Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:23rd Apr 2009, 5:56am |
|
|
Hazrat Ibrahim AS ka waqia(Qissa) Allah pak ne 80 baras k baad Hazrat Ibrahim AS ko betay ki basharat di . is waqt un ki zoja Sara bhi burhi ho chuki thin aur banjh thin to Allah pak ne AAp As ko amman Hajra jo k misar k badsha ki beti ya laundi thin mein se beta ata kiya jin ka naam ISmaeel tha. lekin phir Allah ka hukum huwa k inhain apni nazron se kahin door chor aao . to hazrat Ibrahim As ne poocha kahan chor aon to Allah pak ne aik farishta ko aap ki rehnumai k liye sath kiya k jahan yeh kahay wahin chor ana. to AAP AS apni BIWI aur betay ko lekar rawana huwe chalte chalte (oont pe) 3 hafton k safar k baad aik registan mein Allah pak ka hukum huwa k yahan pe inhain chor kar wapis chale jaien to Hazrat Ibrahim AS bohat pareshan huwe k yahan to na pani hae na khorak ka samaan yahan kaise chor don lekin phir Allah k hukum ko mante huwe unhain wahin chora aur wapis chal pare. Amman hajra ne poocha k humara qasoor kiya hae ? lekin jab unhain pata chala k yeh Allah ka hukum hae to woh bhi khamosh hogaien. aur kaha k agar yeh Allah ka hukum hae to phir Woh humain zaiya nahi karega
Hazrat Ibrahim AS unhain wahan chor kar wapis palat gaye. go k bohat afsurda thay lekin Allah ka yehi hukum tha aur wapsi pe dua ki k Ae Allah Tu hi in ka negehbaan hae tujhay yeh baat pasand nahi ayi k meray dil mein betay ki mohabbat ne ghar kar liya . main teri raza mein razi hon.
jab 3 din guzre aur khane peenay ka samaan khatam huwa to amaan hajra ki chati bhi khushk hogai abb beta bhook se bilak raha tha to unhain aik jagah zameen pe dala aur khud aik pahaR pe charhin aur idhar udhar nigaah dorai jab bacha nazar se ojhal huwa to darmiyan se phir choti pe gaien aur aik nigaah bachay pe dali phir wahan se marwa ki taraf doaR lagai is tarah 7 chakar Safa aur Marwa k darmiyan lagaye akhir thak kar wahin beth gaien aur himmat jawab de gai to socha k abb tabhi wapis jaongi jab bacha jaan de dega k nazron k samne usay bhooka marta nahi dekh sakti thin k achanak door se aik safaid rang k kapron mein bazurg nazar aye jo bachay ki taraf arahe thay to phir sari himmat ko mujtama kiya aur wapis bhagin to jab neechay pohnchin to kiya dekhti hain k jahan bachay ne airiyan ragrin wahan se aik chashma jari hogaya aur bazurg ghiab thay to Hazrat Hajra ne kaha zam zam zam zam (Abrani zuban ka lafz hae jis ka matlab hae ruk ja ruk ja) to chashma ruk gaya. Nabi Pak S.A.W.W farmate hain Allah reham kare Ismaeel ki maan par warna agar woh zam zam na kehtin to poore arab mein dariya jari hojana tha . AAp ne woh pani khud bhi piya aur bachay ko bhi pilaya. aur Allah pak ka shukar ada kiya. |
goodman
|
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 65 Post: 7710 Age:
34
|
|
Posted on:23rd Apr 2009, 7:08am |
|
|
ok ap nay bohat acha lekha ha........lekan yeah us waqat he sabaq amooz ho sakta sab kuch hamaray liyay jab ham is per AMAL keray aur Qurbani ka DARAS hasil keray....... |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:23rd Apr 2009, 7:14am |
|
|
good man bhai thanx Good man bhai asal main abhi yeh incomplete hae isay complete karna hae abhi. aur phir is ki logic bhi batani hae. inshaAllah sath sath yahan add karti rahon gi. |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2215 Age:
37
|
|
Posted on:23rd Apr 2009, 4:06pm |
|
|
maryam app ney bhout acha kiya key yeah waqya yahan post kiya,good information
acha aik bat may pochna chati hoon key kiya Hazrat Ibraheem(A.S)ney amman hajra say shadi ki thi?
or dosri bat yeah key app ko or bhi waqiyat agar maloom haien tu zaroor post karien
jasey may Hazrat Noh (A.S)ka waqya bhi jana chati hoon agar app ko pata hey tu please zaror post karien |
simpleguy
|
Group: Members Joined: 14th Apr, 2009 Topic: 3 Post: 60 Age:
31
|
|
Posted on:23rd Apr 2009, 7:12pm |
|
|
maryam? your topic was nice, meri dua he ke ALLAH ap ki knowledge me mazeed barkat de, me samajhta hooke Prophet Abraham (pbuh), Sarah (pbuh), and Hajra (pbuh), esa triangle he ke jinki information taman muslims ko honi chaye, kyonke aj jo palestine me muslims ke saath horaha hai is se ye triangle bohat related he kiyonke inhi ki offsprng (aulad) apas me lar rahe he, therefore as a student of bible myself me ek seperate article me create karna chata hoo, i hope you will not mind? |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7777 Age:
56
|
|
Posted on:24th Apr 2009, 2:29am |
|
|
simpleguy if u r a student of bible, i wud suggest you to watch related CDs of Dr zakir nike. At the moment he is almost authority on comparatitive religion, especially christianity and islam. you can also visit irf dot net where you can find all such stuff. |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:24th Apr 2009, 8:41am |
|
|
saim ji ji mera irada to yehi hae bas Allah pak is pe isteqamat naseeb farmaye .maine bohat se Anbiya AS ki Qissas parhe bhi hain aur un ko Alime deen se suna bhi hae isliye yahan bhi share karna chahti thi k yeh Humare Nabi pak SAWW ki entire history hae . aur Allah pak ne khud bhi Quran e pak main in waqiat ko bayan kiya hae. inshaAllah jald hi isay comp kar k mazeed likhongi.
Amaan hajra k bare mein badsha ki beti ya laundi dono baatein suni hain . laundi ka ghalib guman hae isliye laundi se nikkah nahi hota woh waise hi jaiz hain. |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:24th Apr 2009, 8:44am |
|
|
simple guy main khud bhi abhi yahoodiyat ki aik book ko read kar rahi hon jis main is waqia ko bayan kiya gaya hae lekin zahir hae is tarah nahi hae jaise hum loag apnay mazhab k hawale se dekhte hain . koshish karongi k un k kuch points bhi discuss karon . aap zaroor article likhain is se bohat se mazeed info samne ayegi. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7777 Age:
56
|
|
Posted on:24th Apr 2009, 9:20am |
|
|
lesson of the story Amman Hajra RA ka zikr aik launDi k hawalay say ayaa thaa.... yahaan Maryam sis nay poora qissah bahoot khoob.soorti say bayaan kardia hai.... conclusion iss ka yeh nikalta hai k agar koi muslim khatoon ... zamanay ki gardishoun k baa'es launDi yaa baandi bhi banaa dee jaye to Allah k nazdeeq oska moqaam kam nahi hotaa... balkay agar woh launDi rahtay howay bhi allah aur allah k RasoolouN ki pairwee sidqay dil say karti rahay to oska martabah etna boland hosakta hai k bhook piyaas k piyaas k baaes oski bhaag dauR allah talaa ko etni pasand aajaye k woh rahti dunyaa tak tamam mard o zunn ko iss bhaag-dauR ... (safaa o marwaa pahaaRiyouN k beech saee karnaa... haj o umrah k dauraan)... ki copy karnay ko ibadat ka darjah ataa karday... wazah rahay k bibi haajera nabi nahi theeN k jinkay amal ki pairwi zarori hoti.... magar Allah nay taa qayamat aanay wali khawateen k liyeh yeh misaal pesh kardi hai k woh dunyawi mushkilaat o pareeshaniyoun maiN bhi Allah ki naa.shukri nah karaiN aur nah hi shauher ki khaah woh onhaiN registaan main oskay bachay samait tanhaa hi kiyoun nah choR kar chala jaye...
go k bibi hajra RA ka shauher nay, jo aik Nabi AS bhi thay yeh amal Allah k hukm say kia thaa.... magar yeh business to hazrat Ibrahim ka "personal maamlah" tha k woh aisa kiyoun kar raha haiN........ aik aurat /biwi ki haisyat say bibi haajera RA k saamnay zameeni haqaaiq to yehi thay naa k onka husband onhain bay yaar o madad.gaar aik weeranay main akelaa choR ka jaraha hai. aur onkay pass apnay shauher ko aisaa karnay say roknay ka koi ikhteyaar nah thaa..... yehi woh nukta hai jo aaj ki biwiyoun ko samajh na chhaiyeh...
k agar khoda nah khaastah onka shauher on paer zulm karay ossay bay yaar o madad gaar chor day aur oskay paas apnay shauher ko aisaa karnay say roknay ka option nah (amooman nahi hota) to woh sabar karaiN... Allah par bharosa karaiN... aur khud koi jawabi /zulm gonaah karneki bajaye.... Allah say madad talab karaiN... jab woh bibi haajera k liyeh registan maiN zam zam baha sakta hai to abaadiyoun k beech main apni kissi mazloom bani ki madad nahi karsaktaa... yehi khawateen muslim khawateen ki role model haiN... aur yehi inn qisas k bayaan karnay ka asal maqsad hai. Allah hum sab ko apnay deen par chalnay ki taufeeq day aameen |
simpleguy
|
Group: Members Joined: 14th Apr, 2009 Topic: 3 Post: 60 Age:
31
|
|
Posted on:24th Apr 2009, 10:31pm |
|
|
yes
yes rizvi, i like him for his comparative study but the person who is my hero & spiritual father is the person who was also his hero, he was one of those guys that only come into this world once in every 100 years. you know who am i talking about as there is only one like him.
sister maryam i will write "Was Hajira a Slave women or Eqyptian Princess?" ye basically is liye kiyonke ye ek bohat bari saazish he yahud ki palestine hasil karne ki or wo isi question ke zarye horahi, ap bhi read karyega, atleast me chata hoo ke ham sab ko maloom ho ke hamare saath ho kiya raha hai.
sorry my urdu is not great.
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:25th Apr 2009, 12:24am |
|
|
myrizvi bhai bohat shukriya ji aap ne meri adhi mushkil asaan kar di . aap ne bohat acha explain kiya hae Allah aap ko jazaye khair ata farmaye.
simpleguy bhai ji aap zaroor yahan share karain . waiting for your article. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7777 Age:
56
|
|
Posted on:25th Apr 2009, 4:18am |
|
|
adhi mushkil asaan u r welcome ... aap baqya story zaroor share karaiN takay poori mushkil asaan hojaye :) |
submarine
|
Group: Members Joined: 31st Mar, 2008 Topic: 15 Post: 194 Age:
27
|
|
Posted on:25th Apr 2009, 5:47am |
|
|
re nice
|
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4646 Age:
39
|
|
Posted on:25th Apr 2009, 6:09am |
|
|
Maryam Verry good Post !! |
goodman
|
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 65 Post: 7710 Age:
34
|
|
Posted on:25th Apr 2009, 8:43am |
|
|
TAQWA Asal cheez ha Taqwa aur Prrehaizghari aur Daar........Kitna insan Allah say darta ha.......Allah yeah dekhata ha kay yeah insan muj say kitna darta ha..........aur mari kitni tabiadari kerta ha............
Asal cheez yeah ha................
ALLAH SAY DAROO TAKAY TUM TAQWA (PERHAIZGHAR )BANOO..........
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7777 Age:
56
|
|
Posted on:25th Apr 2009, 8:46am |
|
|
doodman ki good baat Allah say darna........ jo jetna zeyadah Darnay wala hoga woh otna hi zeyadah Allah ka farmaaN.bardaar hoga......... khaah woh kissi bhi halat maiN kissi bhi position maiN kiyouN nah ho.
Jazak Allah |
goodman
|
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 65 Post: 7710 Age:
34
|
|
Posted on:25th Apr 2009, 8:56am |
|
|
ok my rizvi ap nay theek kaha ha..........thanks u too
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:25th Apr 2009, 11:35pm |
|
|
Ismaeel AS ki parwarish aur makkah mein abadi ka intezam yaman se qafle chalte thay sham ki taraf samandar k kinare kinare to in k qafle k paas paani khatam hogaya inhon ne apnay kuch loagon ko paani ki talash mein bheja unhain makkah ki fizza main parinde urte nazar aye to gumaan kiya k parinde wahan hi hote hain jahan paani ho to yeh wafad wahan pohncha inhon ne akar paani manga to Amman Hajra ne inhain paani ata kiya abb woh wapis gaye aur apnay qabeela walon ko bataya woh AAp k paas aye aur ijazat li k behan kiya hum yahan reh sakte hain to amman Hajra ne kaha haan haan zaroor lekin yeh paani ka chashma mera hae unhon ne kaha ji bilkul bas humain rehnay ki ijazat chahiye. abb Allah pak ne wahan abadi ka intezam kiya . yeh qabeela jurham hae aur in ki zuban arabi hae to Allah pak chahte thay k Imaeel AS ki zuban arabi ho isliye un ko is qabeela k sath parwan charhaya. |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:27th Apr 2009, 6:00am |
|
|
Aik saal baad mulaqat ki ijazat aik saal k baad Hazrat Ibrahim As ko milne ki ijazat mili to aap yahan wapis aye Amman hajra Jo miyan se judai k baad roz us ghati ko dekhti thin jahan se woh juda huwe aik din wahan dekha k usi raste se shohar ka deedar huwa. jab woh aye to bohat khush huien un ka istaqbal kiya aur kaha AAp aye annkhein thandi hogaien to Ibrahim As ne farmaya Ajir sirf milne ki ijazat mili hae utarne ka hukum nahi hae to Amman hajra ne sabar kiya aur unhain kaha k kiya itni ijazat hae k Allah ne humain muqadas paani diya hae us se aap ka haath mohn dhulwa don to AAP AS ne farmaya haan is ki ijazat hae Amman hajra ne un k haath mohn dhulwaya aur inhain is paani ka qissa sunaya . Hazrat ibrahim As ne betay ko gaud mein lekar pyaar kiya aur wapis chale gaye. yeh waqt bhi amaan hajra k liye bohat mushkil tha k shohar na atay to acha tha k zabt ka bandhan bandha huwa tha abb phir se woh bandhan toot gaya lekin aap ne gilla na kiya . aur shohar ko rukhsat kar diya. |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:27th Apr 2009, 6:09am |
|
|
Ismaeel As ki Qurbani ka hukum 96 baras ki umar mein Hazrat Ibrahim As ko hukum mila k jao aur jakar apnay betay ko Allah k naam pe zibha kardo Hazrat Ibrahim As ne rakhte safar bandha aur 3 hafton ya aik maah ka safar isi shasho panj main teh kiya k apnay betay ko apnay haath se kaise zibha karonga usay marta huwa kaise dekhonga aur betay aur biwi se kiya kahonga . 96 baras ka admi to murghi zibha nahi karsakta aur unhain beta zibha karne ka hukum mil gaya aap jab manzil teh karte wahan pohnchay to Amman hajra aap ko dekh kar bohat khush huien aur betay se kaha yeh tumhare abba hain betay ne pehli baar bahosho hawas unhain dekha unhain bohat sa pyaar kiya aur khoob baatein ki . 2, 3 din k baad hazrat ibrahim As ne kaha k Hajra betay ko tayar karon main inhain sair kara laon to Amman hajra ne Ismaeel As ko tayar kiya aur woh AAP k sath khushi khushi sair k liye rawana huwe. |
|
For Detail Click On Page No: 1 2 >> |
|
|
| |
|