Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:27th Apr 2009, 6:09am |
|
|
Aik saal baad mulaqat ki ijazat aik saal k baad Hazrat Ibrahim As ko milne ki ijazat mili to aap yahan wapis aye Amman hajra Jo miyan se judai k baad roz us ghati ko dekhti thin jahan se woh juda huwe aik din wahan dekha k usi raste se shohar ka deedar huwa. jab woh aye to bohat khush huien un ka istaqbal kiya aur kaha AAp aye annkhein thandi hogaien to Ibrahim As ne farmaya Ajir sirf milne ki ijazat mili hae utarne ka hukum nahi hae to Amman hajra ne sabar kiya aur unhain kaha k kiya itni ijazat hae k Allah ne humain muqadas paani diya hae us se aap ka haath mohn dhulwa don to AAP AS ne farmaya haan is ki ijazat hae Amman hajra ne un k haath mohn dhulwaya aur inhain is paani ka qissa sunaya . Hazrat ibrahim As ne betay ko gaud mein lekar pyaar kiya aur wapis chale gaye. yeh waqt bhi amaan hajra k liye bohat mushkil tha k shohar na atay to acha tha k zabt ka bandhan bandha huwa tha abb phir se woh bandhan toot gaya lekin aap ne gilla na kiya . aur shohar ko rukhsat kar diya. |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:29th Apr 2009, 5:51am |
|
|
wahhhhh SUBHAN ALLAH
ankh bhar ayi hai ye sara kissa perh k
SUBHAN ALLAH |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:29th Apr 2009, 5:53am |
|
|
zebi bhai JazakAllah aaj inshaAllah koshish karongi k poora qissa complete kar don:) |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:29th Apr 2009, 8:19am |
|
|
maryam yes we r waiting |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:10th Jun 2009, 7:10pm |
|
|
shaitan ka amaan hajra aur Ismael AS ko behkana jab Hazrat Ibrahim AS Hazrat Ismael AS ko lekar rawana huwe to amaan hajra k paas foran shitan agaya aur kaha k jakar Ibrahim ko roko woh tumhara beta zibha karne jaraha hae to amman hajra ne farmaya k Woh us k baap hain aisa nahi kar saktay shitan ne kaha k woh aisa hi karne jarahay hain unhain yehi hukum huwa hae to amaan hajra ne farmaya k agar ALLAH ka hukum hae to zaroor tum shitan hogay jo us k hukum k khilaf mujhay barhkanay aye ho isliye main US ki raza main razi hon. shitan wahan se mayoos huwa to raste main hazrat Ismael AS ko behkanay chala gaya Hazrat Ismael AS ne kaha k abba mujhay aik shakhs aise ishara kar raha hae (gardan pe hath pher kar zibha k andaz main) to Hazrat Ibrahim AS samajh gaye k shaitan hae unhon ne ussay 7 kankriyan mari aur woh wahin zameen main dhans gaya phir kuch mazeed fasla teh kiya to phir shaitan namoodar huwa aur Hazrat Ismael AS ko ishare se mana kiya Hazrat Ibrahim AS ne phir usay 7 kankriyan mari woh wahin zameen main dhans gaya. kafi door jakar minna k muqam par phir shaitan namoodar huwa aur Ismael AS ko behkanay ki koshish ki Ibrahim AS ne phir 7 kankriyan mari to woh wahin zameen main dhans kar ghaib hogaya. |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:11th Jun 2009, 6:57am |
|
|
maryam SUBHAN ALLAH
bht achayyyyyyyy
waiting for moreeeeeee |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:16th Jun 2009, 10:40am |
|
|
ISmaeel AS ka hazrat IBraheem AS ko jawab Hazrat Ibrahim AS Ismaeel AS ko lekar agay rawana huwe aur aik choTi pe pohnchay wahan jakar Ismaeel AS ko bataya k beta maine aise khuab dekha hae k main tumhain ALLAH ki raah main qurban kar raha hon Tu bata teri kiya marzi hae to Ismaeel AS ne farmaya (YA ABBA TIFAL SAJUDNI INSHALLAHA MINASSABEREEN) yani ae abba jaldi kar dair na kar to Hazrat Ibraheem AS ne farmaya tumhain pata bhi hae main kiya karne jaraha hon tum to bohat khush nazar atay ho to ISmaeel AS ne farmaya ji main janta hon k aap mujhay ALLAH k hukum se qurban karne jarahe hain marne k baad aap k badlay mujhay ALLAH milega jo aap se behtar hae aur is duniya k badlay main jannat milegi jo is duniya se behtar hae phir un ka khayal apni maan ki taraf gaya to udaas hogaye aur kaha k aisa karain mujhay zibha karne k baad wapis na lejana balkay apnay kurte main mujhay yahin dafan kardena aur mera kurta meri maan ko de dena takay jab unhain meri yaad ayegi to woh mera kurta dekh kar apni mamta ki taskeen kar liya karaingi . ibrahim AS ne aap ko zibha karne k liye churi taiz ki aur qurbani k liye tayyar hogaye. |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:16th Jun 2009, 10:55am |
|
|
Ismaeel AS ki jagah chatra ka zibha hona Hazrat Ismaeel AS ne Hazrat Ibraheem AS se kaha k aisa karain k mujhay paishani k bal zameen pe lita dain aur apni ankhon pe paTi bandh lain takay aap mera chehra dekh kar apnay faislay se haT na jayen to Ibrahim AS ne aisa hi kiya un k haath paon bandhay aur paishani ko zameen pe tika kar balon se pakra aur asman ki taraf dekh kar faryad ki
AE ALLAH TU MUJH SE NARAZ HOGAYA THA K MERAY DIL MAIN BETAY KI MOHABBAT AGAI THI . TU NE HI ISSAY ATTA KIYA THA MAIN ISAY TERI RAAH MAIN QURBAN KARTA HON TU MUJH SE RAAZI HOJA MAIN TERI RAZA MAIN RAAZI HON
aur gardan pe churi chala di yeh faryad sun kar saton asmaan k farishtay dharain maar kar roye. 92 baras ka burha to murghi zibha nahi karsakta aur yahn betay ko zibha kiya jaraha tha to jab Ibrahim AS ne churi chalai to churi nahi chali aap ne koshish ki lekin jab churi nahi chali to aap dobara uthay aur phir se churi taiz ki aur dobara aye aur Ismaeel AS ko zibha karne lagay to ALLAH PAK ka hukum agaya k Ae Jibraeel AS is bachay ko bachal lo aur is ki jagah chatara jannat se le jao aur qurban kardo. to Hazrat Jibraeel AS ne jannat se aik safaid rang ka chatra liya aur Ismaeel AS ki jagah jakar lita diya jab Ibrahim AS ne qurbani k baad ankhain kholin to wahan chatra tha aur bacha Hazrat Jibraeel AS k sath khara muskra raha tha. is tarah ALLAH PAK ne Hazrat Ibrahim AS ki qurbani ko qabool farmaya aur qayamat tak is qurbani ki yaad main har baqar Eid pe qurbani ki jati hae NABI PAK SALLAH O Alehe Wasallam har eid pe 2 chatray zibha kiya karte thay aik apni tarf se aur aik apni ummat ki taraf se |
M Asif
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2008 Topic: 4 Post: 794 Age:
|
|
Posted on:16th Jun 2009, 12:09pm |
|
|
SUBHAN ALLAH Pehle b suna hai meine qisa per jitni baar isay pardha suna jaye utna kum hai ...
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:16th Jun 2009, 5:03pm |
|
|
NABI PAK SALLAHO ALEHE WASALLAM k nay ki buniyad is sare qissa ka maqsad NABI PAK SALLAHO ALEHE WASALLAM ki amad ki buniyad batana tha. jaise jab kisi bari imarat ki buniyad rakhi jati hae to pehlay kai 100 gaz gehrai main jakar us ki buniyadon ko bhaar jata hae tab jakar aisi buniyad muyassar ati hae k abb us pe buland imarat ko tameer kiya jasakay. to ALLAH PAK ne NABI PAK SALLAHO ALEHE WASALLAM ko zameen pe bhejna tha to un k anay se pehlay har cheez ko peak pe pohnchaya hazrat IBRAHIm AS ki qurbani ki misaal duniya main nahi milti . lekin abhi bhi 4000 ka arsa darkar tha k yeh nasal tap tap kar jab kundan ban jayegi tab duniya main itni bari HASTI ka wajood ayega. ALLAH PAK chahta to sab se pehlay Sarkare DO ALAM NABI PAK SALLAHO ALEHE WASALLAM ko duniya main bhej deta lekin jis tarah fasal k liye kisan ko intezar karna parta hae phal k liye intezar karna parta hae tab jakar us ka faida hasil hota hae isi tarah duniya ko itni bari HASTI k liye itna intezar karwaya gaya. aur har nasal main se behtareen insaan aur qabeela ko chuna gaya . kisi NABI ki history is tarah mojood nahi shajrae nasab k sath jis tarah NABI pak SALLAHO ALEHE WASALLAM ki history mojood hae.
jab se duniya bani hae asmaan k farishtay 2 martba roye hain aik tab jab HAZRAT IBRAHIM AS ne betay ko zibha karne se poehlay faryaad ki aur doosra tab jab NABI PAK SALLAHO ALEHE WASALLAM ko taif main pathar pare aur aap ne aik darakht k neechay beth kar ALLAH PAK se dua ki thi k ae ALLAH yeh to mujhay nahi jantay to mujhay janta hae agar tu isi main raazi hae to main teri raza main raazi hon is par saton aasman k farishtay dharain maar k roye thay. |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:16th Jun 2009, 5:13pm |
|
|
hazrat ismaeel as ko alehda kyun kiya gaya. Hazrat ISMAEEL AS aur AMAAN hajra ko sehra main chor kar anay main hikmat yeh thi k ALLAH PAK ne HAZRAT Ismaeel AS ki pusht se NABI PAK SALLAH O ALEHE WASALLAM ko paida karna tha to un k liye arab ko chuna aur behtareen qabeela jurhum ka intekhab kiya. arab woh wahid khitta hae jahan teen taraf samdar behta hae lekin is main koi bhi dariya nahi jis ka maqsad yeh hae k yahan khalis nasal paida hoti yahan kisi ki milawat nahi hae. phir doosra maqsad yeh tha k amman hajra ki zuban ibrani thi jab k ALLAH pak ne apnay NABI k liye arabi ko pasand kiya isliye wahan qabeela jurhum ko amaan hajra k paas bheja jis k sath HAZRAT ISMAEEL AS ki parwarish hui . |
goodman
|
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 65 Post: 7710 Age:
33
|
|
Posted on:16th Jun 2009, 5:19pm |
|
|
ok Maryam last post may ap woo Rabat aur continously nahi rekh saki joo kay phli post may thee...........
App ke bat Kay Hazrat Ibrahim A.S Jadul Anbaya ha aur Hazrat Ebrahim A.S nay dua kee thee Allah maray Khandan may say aik Nabi dunya ma bayjoo joo seri dunya kay liyay REHMATUL ALMEEN hoo........so Allah nay HAZRAT EBRAHIM A.S Kee dua qabool kee..............Allah nay Hazrat Mohammad SAW Koo AKHRI Nabi chunna tha is liyay unhoo nay AKHAR per he anna tha aur apnay NABI SAW KOO sari dunya kay liyay rehmat banana tha........
|
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:17th Jun 2009, 9:25am |
|
|
wah SUBHAN ALLAH |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:18th Jun 2009, 5:35pm |
|
|
goodman bhai yeh waqia hum sab bohat martba sun aur parh chukay hain lekin abhi yahan is tehreer ka maqsad yeh tha k is k peechay logic ko discuss kiya jaye. rizvi bhai ne lesson of the story bohat acha bayan kiya tha un se request karongi k woh baqi waqia ka lesson bhi discuss karain .
makka ko ALLAH PAK ne sarsabz nahi banaya wahan barishain kam wahan ki abo hawa sakht registan .goya kafi mushkil hae wahan ki life .us ka maqsad aik to yeh tha k arab nasal main koi milawat na ho dosora yeh k ALLAH PAK ne wahan apna ghar baitullah ko qaim farmaya. to ALLAH PAK chahta hae k loag us ki mohabbat main wahan jayen wahan k mailay thelay aur ronaqain dekhnay na jayen . insaan ko har formality se pak kar diya k us ki mohabbat lekar jayen zahiri namoodo numaish k chakar main na par jayen.
hazrat ismaeel AS ki paishani ko sar pe tikaya gaya (unhi k kehnay pe) to nimaz ka tohfa atta kiya gaya aur ALLAH K samnay paishani tikanay ka hukum huwa . ALLAH PAK sajday ki halat main sab se ziada qareeb hota hae. to is waqia k sabab hum pe ALLAH PAK ne itni barkatain nazil kin k hajj aur nimaz jaise satoon islam main qaim kar diye. |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:19th Jun 2009, 7:22am |
|
|
maryam wah
kia bat hai ap ki
very nice
very good
may Allah bless u |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:14th Sep 2010, 12:49am |
|
|
do Anbiya A.s ki judai ka waqia
Hazrat Yaqoob As aur Hazrat Yousuf As ki judai ka sabab.
Hazrat Yaqoob As apnay betay Hazrat Yousuf As se bohat mohabbat kartay thay . lekin Allah pak ne unhaiN aik doosre se juda kar diya aur woh 40 saal tak judai ki takleef maiN mubtila rahay . Hazrat Yaqoob As samajhtay rahay k Hazrat yousuf A.S is duniya maiN nahi aur Hazrat Yousuf A.S Ko izan e rabbi nahi tha k woh apnay walid ko apnay zinda honay ki itlaa detay .
Hazrat Yaqoob A.S ko Yousuf A.S se itni mohabbat thi k woh aap ki judai maiN ro ro kar apni beenai kho beThay .
40 saal baad Hazrat yousuf A.S ne Allah pak se ilteja ki to Allah pak ne un ki dua qabool farmai aur unhaiN apnay baap se mulaqat ki ijazat mil gai . jab dono baap beta mil gaye to Alla pak ne Hazrat Yaqoob A.S se poocha kiya tum jantay ho k maine tumhain kyuN juda kiya ? AAP a.S ne farmaya nahi to Allah pak ne farmaya aik martba tum nimaz paRh rahay thay aur Yousuf A.S tumharay paas beThay thay k achanak woh ronay lagay , Yaqoob A.S ki tawaju un ki taraf mabzool hogai k kyuN ro rahay haiN . Allah pak ko yeh baat pasanad nahi ayi k aik Nabi jin k walid bhi Nabi aur beTa bhi Nabi nimaz main Allah k samnay khaRay haiN aur dhayan beTay ki taraf chala gaya isliye us sabab ko hi un se door kar diya jis ki wajah se woh lamha bhar ko ghafil huwe .
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:14th Sep 2010, 1:08am |
|
|
gherat e khudawandi ka muamla
is waqia ko tehreer karnay ka maqsad yeh tha k Allah pak ko yeh pasand nahi k hum Allah k hazoor aisi halat main paish hoN k humara jism to nimaz ada kar raha ho jab k dil kahiN aur laga ho . jab insaan nimaz k liye khara hota hae to Allah pak tamam parday hata kar apnay banday ki taraf mutawaju hojata hae lekin jab banday ka dhayan Allah pak ki taraf na ho to woh farmata hae ae meray banday mujh se acha kon hae k tu meray samnay akar bhi meri taraf mutawaju nahi . 3 martba yehi farmata hae aur agar banday ka dhayan nimaz maiN na aye to Allah pak tamam parday gira deta hae .
humari duaen qabool na honay ka sabab bhi yehi baat hae k hum dua k liye haath to allah k agay phelatay haiN lekin humara dil kahiN aur mashghool hota hae humara zehan kisi aur k khayal maiN hota hae .
Allah pak ne Hazrat Moosa A.S se farmaya k ae Moosa qayamat k roz maiN sirf amal nahi dekhoNga balkay dil bhi dekhoNga k wahan kon tha, dil maiN kis ki mohabbat thi .
jab Anbiya A.S jo naik pak haiN aur Allah ki raza hi Un ki zindagi ka maqsad thi un K sath Allah pak yeh muamla farmata hae to hum to bohat aam se gunehgaar insaan haiN . humara dil to Allah k siwa duniya ki har shaii main laga huwa hae . aisi halat main jab hum Allah pak k samnay jayeNgay us ki sana karain. gay aur us se duaen mangaiN .ge to kiya woh maqbool hongi ? humari duaen qabool na honay ka sabab yehi hae . isliye koshish yehi ho k jab Allah k samnay hazir hoN to usi ka kahayal bhi ho . Allah pak apnay banday se farmata hae jis ka mafhoom yeh hae:-
ae meray banday "MaiN" tujh se pyar karta hoN tu bhi to "Mujh" se pyar kar
aiik aur jagah farmata hae k ae "Meray" banday tu auroN k liye sajta sanwarta hae kabhi "Meray" liye bhi to zeenat kiya kar .
aur zeenat se muraad hae k apnay dil ko Allah ki mohabbat se abaad kiya jaye .
|
suspious
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2013 Topic: 1 Post: 2 Age:
32
|
|
Posted on:17th Jul 2014, 12:34am |
|
|
aoa
apki post bhot achi hn kindly jaha se ap ne ye sab parha hai books refer kr dain mujy i want to read it in more detail ...MOD EDIT: Removed email address...
MOD NOTE: Sharing of email address is not allowed as per forum rules. If you need some information, ask for it on the forum, not on email.
|
|
For Detail Click On Page No: 1 2 >> |
|
|
|  |
|