c. Jo aksar auqaat jinsi amal mein muzahimat karti hain. d. Jo apney khawand per uss waqt tanqeed karti hain jab woh jinsi jazbaat ka izhar karta hai. Jab aurat iss tarah zahir karti hai kay woh sex ko pasand nahin karti to iss sey mard apney aap ko ghalat, bura, gunda aur sharmindagi mehsoos karta hai. Aurton kay iss ravayyey ki ka'ee wajoohaat hain maslan yeh ghalat mafrooza kay mard unn aurton ki izzat nahin kartey jo sex ko pasand karti hain iss bunyaad per aurtein apney jinsi jazbaat ko dabati hain kay unki izzat ho haala'n kay mard unn aurton ko pasand kartey hain jo sex ko pasand karti hain. Ba'az aurton ko sex to pasand hoti hai magar unko apney khawand ka sex ka tariqa kaar pasand nahin hota ya woh kisi wajah sey khawand kay sath sex sey lutf andoz nahin hotiin iss surat mein aap apney aap sey sawal karein kay khawand kis tariqa sey sex karega jo mujhey pasand hoga, phir khawand ko bataein ba'az auqaat iss ki wajah la'shaoori hoti hai phir mahir e nafsiyat sey milein.
2. Woh aurtein bhi aakhir kaar mard kay jazbaat sard kardeti hain jo kabhi bhi pehel nahin kartiin ya kam karti hain iss sey mard ko ghussa aata hai agar aap kabhi pehel nahin kartiin ya kam karti hain to iss surat mein mard ko her baar jazbaati khatra mol lena parta hai kay kahin usko mustarid na kardiya jaey le'haza aurat zyada pehal karey ya kam az kam khawand ko paeghaam dey kay woh inkaar nahin karegi. Aurtein amooman iss liye pehel nahin kartiin kay uska khayal hai kay iss tarah mard samjhey ga kay woh sex ko pasand karti hain aur phir woh uski izzat nahin karega.
|