Iss kay liye aurat penis (zakar) ko hath sey pakar kay vagina (faraj) mein daakhil kar sakti hai ya apney donon labias (lub) achi tarah khol dey taa kay khawand zakar ko aasani kay sath daakhil kar sakey humarey haan chu'n kay biwiyio'n ko iss baat ka ilm nahin le'haza woh dakhool mein khawand ki rehnumaee nahin kartiin jis ki wajah sey bohut sey khawand rehnumaee ki adum mojoodgee mein aasani sey dakhool nahin kar patey aur iss koshish mein baher hi manzil ho jatey hain yeh cheez biwi kay liye shadeed frustration aur khawand kay liye sharmindagi ka baa'iss hoti hai.
11. Mahireen ka khayal hai kay jab tak aap donon kay liye jinsi amal sey lutf andoz honey kay liye kafi waqt na ho iss ki koshish na ki jaey, iss kay liye aap kay pass kam az kam ek ghantey ka waqt ho tub aap foreplay (mohabbat kay khel) aur intercourse (mubashrat) sey bharpoor andaaz mein lutfandooz hosakein gi. Aurat ko to jinsi amal kay liye tayyar honey mein hi aadha ghanta lag jata hai.
12. Jaisey kay peechey bataya ja chuka hai kay mubashrat sirf faraj mein hogi maq'ad mein qata'an haram hai Hazrat Abu Huraera sey rivayat hai kay Hazrat Muhammad ney farmaya jo shakhs apni aurat ki maq'ad mein budfaeli karey woh mal'oon hai, khuda uski taraf nazr e rehmat sey nahin dekhta (tirmazi, abudaud). Budqismati sey humarey haan bhi ab kuch khawand yeh harkat kartey hain merey paas aisey kaee case aaey. Le'haza iss surat mein biwi ko kabhi bhi khawand ko iss amal ki ijazat nahin deni chahiyie warna woh khud bhi gunah gaar hogi agar kabhi ghalti sey ek aadh baar ho jaey to surf e nazar karein, ba'soorat e deegar pehley apney khawand ko samjhaei'n warna iss ma'amley ko donon khaandano'n kay samney paesh karei'n. Iss tarah islam mein haez o nifaas kay doran bhi mubashrat sey mana kya gaya hai chuna'ncha irshaad hai "Haez (menses) mein aurto'n sey bacho inn sey qurbat na karo jab tak woh paak na ho lein to jab paak ho jaein to inn kay paas iss jagah sey aao jis ka Allah ney tumko hukum diya hai."(al-baqarah 222) Intercourse during menses (haez/mahwaari mein mubashrat) na karney wali khawateen amooman rahem kay cancer sey mehfooz rehti hain.
|