13. Hazrat Aaesha farmati hain kay samajh daar aurat ko chahiyie kay ek alag kapra farigh rakhey jab uska shohar mubashrat sey faarigh ho jaey to isey usko thama dey apni safaee khud karey agar inn kay kapro'n mein janabat ka koi asar nahin pohoncha ho to woh inn kapro'n mein namaz parh saktey hain. (al-mufti)
14. Biwi apney khawand ko bataey kay Allah kay nabi ney fori tor per mubashrat sey mana farmaya hai kyun kay aurat ko jinsi tor per tayyar honay kay liye kuch waqt chahiyie. (zadulmea'ad) yani mubashrat foran shuru nahin kar deni chahiyie warna aap iss amal sey lutf andoz nahin hun gi.
15. Mubashrat sey pehley donon ye du'aa parh lein" Ya Allah humein shaetaan sey mehfooz rakh aur usko bhi (shaetaan sey mehfooz) rakh jo tu humein ata farmaey." (bukhari)
16. Ek mubashrat kay foran ba'ad agar doosri baar mubashrat karni ho to afzal yeh hai kay ghusl kar liya jaey ya phir wuzu kar liya jaey, tayummum bhi kya jasakta hai. Ya sirf a'aaza e makhsoosa (genitalia) ko dho liya jaey aur ghusl subah kar liya jaey lekin kuch khaney sey pehley wuzu karna sunnat hai.
17. Jun'hi khawand ka zakar biwi ki faraj mein daakhil ho jaey to donon per ghusl wajib ho jata hai chahey khawand manzil ho ya na ho.
|