Iss kay elaj sey aap iss masley per control hasil kar sakein gay. Ta hem Premature Ejaculation (Surat e Inzal) ki jismani wajah na honay kay baraber hoti hai. Iss soorat mein mandarja zael tariqon per amal kar kay iss masley ko control kya ja sakta hai. Ek baat zehen mein rahey kay kamiyab tareen tariqa bhi sab afraad kay liye ek jaisa mu'asser nahi hota. Lehaza inn sab tariqon ko use karein aur dekhein kay aap kay liye kon sa tariqa useful hai.
Premature Ejaculation Medicines - Surat e Inzal Ka Adviyaat Sey Elaj
-
Baaz maahireen ney Premature ejaculation (surat e inzal) ko adviyaat sey control karney ki koshish ki hai. Amooman adviyaat iss masley ka mustaqil hal nahi aur na hi yeh sab kay liye mu'asser hain. Yeh adviyaat mubashrat (intercourse) kay waqt ko 5 sey 10 minute tak bharhaati hain. Adviyaat amooman mubashrat (intercourse) sey 4 ghantey pehley li jati hain jab kay Antidepresssent 5 – 24 hours pehley leni parti hain. Baaz auqat rozana li jati hain. Inn adviyaat ki low khoorak li jati hai. Inn kay koi khaas side effects nahi hotey. Inn mein mandarja zael adviyaat ko azmaya ja sakta hai. Paxil, Zoloft, clomofranil, Prozac, Luvox.
-
Mubashrat (intercourse) kay waqt ko barhanay waley aur ek mubashrat (intercourse) mein zyada orgasm hasil karney waley tariqey use kiye jaein. Inn ka zikar peechey guzar chuka hai. Bohut sey log sirf mubashrat (intercourse) kay waqt tawajjuh ko muntashir kar kay inzal per control hasil kar letey hain.
-
Agar aap ko nakami ya doosrey khauf aur anxiety hai to mubashrat (intercourse) sey aadha ghanta pehley valium ki 5mg ki ek tablet use karein.
|