Kafi dinon kay baad phir mubashrat (intercourse) ki koshish karta hai itney arsey mein mani (semen) ki naaliyan bhar jati hain jis ki wajah sey mamooli stimulation sey woh phir waqt sey pehley inzal ho jata hai. Agar yeh masla der tak jari rahey to kuch afraad iss ki wajah sey nafsiyati naa mardi ka shikar ho kar iss sharmindigi sey bach jaatey hain. Yani naa tanau (erection) hoga, naa mubashrat (intercourse) aur phir naa hi early inzal ki sharmindagi ho gi. Agar fard ek bar iss ka shikar hojaey to aa'enda expectation ki wajah sey jald inzal ho jata hai. Iss tarhan woh surat e inzal kay masley ka mustaqil mareez ban jata hai. Waisey har fard kabhi naa kabhi iss ka shikar ho jata hai. Aisi surat mein smile karein aur kahein kay aa'enda karkardigi behtar hogi.
Mukhtalif maahireen nay early inzal ki mukhtalif tareef ki hai. Agar koi fard dakhool kay 30sec kay baad inzal hojaey to woh iss masley ka shikar hai. Ek maahireen kay mutabiq agar ek fard dakhool kay baad 1 minute sey pehley inzal hasil karley to iss ko surat e inzal ka masla hai. Master And Johnson kay mutabiq agar koi fard mubashrat (intercourse) mein apni biwi ko 50% bar jinsi sukoon mahiya naa kar sakay to iss ko surat e inzal ka masla hai merai khayal mein sab sey achi tareef doctor H.Kaplan ki hai iss kay mutabiq agar mard ko apney inzal per control hai yani woh apni marzi sey inzal hoto woh early inzal ka shikar nahi, agar isey inzal ya control nahi to isey surat e inzal ka mareez samjha jaeyga.
Premature Ejaculation Causes (Surat e Inzal Ki Wajoohat)
Iss masleyki Wajoohat kay silsiley mein America aur Europe mein bohut research ho chuki hain.
|