Jab isey bharpoor tanau (erection) ho jata to woh dakhool sey pehley ek rubber band zakar ki base per charha deta jo zakar ki base ko mazboti sey bheench leta jis sey zakar ki naliyun ka blood wapis na jata. Iss tarhan iss ka tanau (erection) barqarar rehta. Iss kay liye bazar sey cream ring kay rubber band miltey hain. Inn ko hasb e zaroorat dohra tehra kar kay istaemaal kya ja sakta hai. Iss say inzal kay baad bhi tanau (erection) barqarar rehta hai aur iss tarhan aap taweel mubashrat (intercourse) sey lutfandoz ho saktey hain. Magar yeh rubber band 30 minutes sey zyada nahi rehna chahiyie Warna nuqsandeh ho sakta hai. Rubber band kay elawa Eric Aid system mein use honay waley rubber kay ring bhi use kye ja saktey hain.
7. Baaz afraad ko tanau (erection) hota hai magar zyada sakht nahi hota. Iss soorat mein zakar ko zyada chikna kar kay faraj mein thons dein aur phir strokes lagaein. Amooman kuch strokes kay baad tanau (erection) ho jata hai koshish karney mein kya harj hai.
8. Pehli bar yeh mushq kuch minute kay liye karein. Phir har 2, 3 ghantey kay baad dohraatey rahein. Tasawwur karein kay aap apni biwi kay sath hain aur aap ko bharpoor tanau (erection) hai. Tasawwur karein kay dakhool kay baad aap bohut pursukoon aur aaramdeh (comfortable and relaxed) halat mein hain. 1 or 2 minute kay baad tasawwur karein kay aap ahista ahista strokes sey lutfandoz ho rahey hain. Phir ahista ahista strokes ko tez kardein phir ahista ho jaein, phir strokes ko tez kardein aur iss sey lutfandoz hun. Ab raftar kam karlein hatta kay ruk jaein phir ahista ahista raftar ko tez karein aur aakhir kar shandaar inzal kay tasawwur per khatam karein. Last mein yeh fiqra zaroor kahein " jis tarhan tasawwur mein isi tarhan haqeeqat mein hoga". Iss mushq ko pehli mushqo'n kay sath mila kar use kya ja sakta hai.
|