40 saal ki umar tak aasani sey dubara mubashrat (intercourse) ki ja sakti hai. Agar iss raat doobara tanau (erection) naa ho to agli raat zaraor mubashrat (intercourse) karein aap ko inzal per zyada control hoga. Doobara tanau (erection) laney kay kaee tariqey hain jin ka tafseeli zikar hamari doosri book " Azdawaji Khushiyan___Khawateen Kay Liye" mein mojood hai. Iss ka muta'alla kar lijiye.
7. Surat e inzal (premature ejaculation) ko control karney ka ek aasan tariqa yeh hai kay aap 1 ya 2 condom use karein ya mota ek condom use karein. Iss sey zakar ki hassasiyat kam ho jati hai aur fard jald manzil nahi hota.
8. Mard jab jinsi tor per bohut zyada mushtail ho to iss waqt dakhool naa karey. Iss soorat mein woh jald manzil ho jaey ga. Mard iss waqt dakhool karey jab biwi orgasm hasil karney kay bilkul qareeb ho.
9. Baaz maahireen naujawanon ko yeh mashwarah detey hain kay woh mubashrat (intercourse) sey 1 or 2 ghantey pehley musht zani karein. Iss sorat mein mubashrat (intercourse) mein jald inzal nahi hoga. Iss kay elawa dakhool kay baad tawajjuh ko bhi muntashir kardein.
10. Dakhool kay waqt zakar ko chiknaa naa kiya jaey, agar zakar chikna hoga to inzal jald ho jaey ga. Tahem agar chiknaahat ki bohut zaroorat ho to zakar ki shaft per mamooli chiknaahat laga lein aur zakar ki topi kay ooper chiknaahat kay bajaey thook lagain. Iss tarhan dakhool aasan ho jaey ga. Dakhool kay baad thook ko khushk ho jaey ga aur aasan stroking kay liye faraj ki apni chiknaahat kafi hogi. Tahem agar zyada chiknaahat use ki jaey to yeh bhi useful hai.
|