Iss book ko parhney sey biwi naa sirf aap ko bey panah jinsi lazzat aur sukoon dey sakey gi bul kay aap kay jinsi masail maslan early discharge etc ko hal karney mein bhi aap ki madad kar sakey gi. Biwi ki madad sey iss masley ko aasani sey hal kiya ja sakta hai. Iss book kay muta'alley kay baghaer biwi aap ko bharpoor azdawaji khushiyan na dey sakey gi.
2. Pakistan mein azdwaji khushiyon kay rastey mein sab sey bari rukawat mahol hai. Azdwaji lutf angaezi kay liye mahol pursukoon ho. Shor o ghul mard kay jazbaat ko foran sard kar deta hai. Asoli tor per mian biwi kay liye alag room hona chahiyie jo har qisim ki madakhilat sey mahfooz ho. Badqismati sey Humarey yahan taqreeban 90% mian biwi ko alag room nahi milta. Jiski wajah sey inn ko hamesha bachon kay jag janay, kisi kay aa janay ka dar hota hai ya "pakrey" janay ka khauf hota hai. Chunancha hamarey yahan 90% log azdawaji zindagi sey bharpoor lutf andoz nahi ho saktey. Kyun kay iss soorat mein mian "kaam" ko jald niptana chata hai. Isey foreplay ka moqa nahi milta jab kay biwi kay liye kam sey kam half hour kay foreplay ki zaroorat hai. Naatejatan biwiyan orgasm hasil nahi kar patiin aur mian jaldi ki wajah sey early discharge ka shikar ho jata hai. Humarey yahan early discharge ki ek bari wajah yehi hai.
Yeh masla hamari workshop aur seminar kay doran mein ziyada wazeh ho kar samney aya. Iss kay hal per ghor o fikar kiya gaya ek tajweez yeh samney aee kay cities ki hadood tak government ya miyari private sector mein "Shadi Halls" ki tarhan "Azdawaji Ghar" qaim hun, jahan kamrey "hujla urusi" ki tarhan sajey huey hun. Yeh room 2 hours kay liye asli mian biwi ko miyari rent per diye jaein, jahan woh hafta war (weekly) azdawaji lutf utha sakein.
|