Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Bohut si aurtein saari zindagi jinsi lazzat sey mehroom rehti hain. Iss ki bari wajah lack of sex education (ilm ki kami) hai, kyun kay mardon ki aksaryat ko ilm hi nahin kay biwi ko kis tarah jinsi sukoon muhayya karna hai.
   
Home | Sex Education in Urdu for Men | Lack Of Sex Education - Azdawaji Zindagi Kay Hawaley Sey Ilm Ki Kami  
List in Urdu >> Page 1
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
 

Total views since 15 October 2009:
103911
 
Lack Of Sex Education

 jis ki wajah sey biwiyan azdawaji zindagi mein fa'aal kirdaar ada nahin kartiin jab kay kuch adum itmenan ki wajah sey jinsi beyrahrawi ka shikar ho jati hain kyun kay unhein har baar jinsi sukoon kay husool mein naakami hoti hai. Bohut si aurtein saari zindagi jinsi lazzat sey mehroom rehti hain. Iss ki bari wajah ilm ki kami hai, kyun kay mardon ki aksaryat ko ilm hi nahin kay biwi ko kis tarah jinsi sukoon muhayya karna hai. Humarey haan urdu mein iss hawaley sey ek do meyari kutub kay elawa baqi aksaryat kharafaat sey bhari hain. Iss silsiley mein mazhabi nuqta e nigaah sey kafi achi kutub likhi gaee hain magar inn kutub mein sex ka hissa na honey kay baraber hai, jis ki wajah sey khawateen o hazraat ko azdawaji ta'alluqaat kay hawaley sey meyari maaloomaat nahin miltiin. Iss hawaley sey haal hi mein ek bohut achi kitab parhney ka moqa mila magar sex kay hawaley sey iss musannif ko bhi ilm na tha kay mubashrat kahan ki jati hai yani faraj (vagina) kahan waqa'e hai.

    20 saal sey clinic mein logon kay azdawaji masail ko hal kartey huey ek din khayal aaya kay iss hawaley sey logon ko zaroori ta'aleem dii jaey taakay woh khushgawar zindagi basar kar sakein. Chunancha humney Lahore aur Lahore sey baher  ek seminar kay zaryaey ta'aleem ka ek silsila shuru kya jis mein mukhtalif shehron sey mard hazraat shamil hotey thay. Mulk bhar mein apni nauiyat kay iss wahid seminar ney shurka'a ko azdawaji khushyan deney mein bharpoor kirdar ada kya. Shurka'a ka khayal tha kay Pakistan bhar sey log iss seminar sey mustafeed nahin ho saktey, le'haza inn ma'aloomaat ko kitab ki shakal mein paesh kya jaey. Chunancha seminar ka yeh silsila aarzi tor per rok kar iss mozou per mazeed muta'alla aur tehqeeq ki gaee. Ab yeh saari ma'aloomaat aap ki khidmat mein paesh hain.

 
Lack Of Sex Education - Azdawaji Zindagi Kay Hawaley Sey Ilm Ki Kami
 
<< Next       Prev >>
123456789
 
Tell a Friend
 
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012