Aurat Kay Jism Per Baal: (Unwanted Hairs)
Kahin kahin ek khayal yeh bhi paya jata hai kay woh aurat jis kay jism per zyada baal hon woh zyada shahoot parast hoti hai. Magar iss ka koi scientific proof nahi. Taham baaz aurtein zyada unwanted hairs ki wajah sey pareshan ho jati hain. Aaj kay daur mein pareshan honay ki zaroorat nahi. Ab aisey bohut sey tareeqey eejad ho chukey hain jinki madad sey inn unwanted hairs ko hamesha kay liye khatam kya ja sakta hai. (Zakir: Mobeen)
Aurton Ki Jinsi Khwahish Mein Tabdeeli: (Changes In Female Sexual Desire)
Aurton kay jinsi khwahish hamesha ek jaisi nahi rehti bul kay iss mein changes aatey rehtey hain kabhi zyada to kabhi kam. Baaz aurton ki jinsi khwahish (libido) uss waqt zyada hojati hai jab ovulation ka waqt ho. Issi tarhan aksar khawateen ki jinsi khwahish mahwaari (menses) shuru honay sey pehley aur baaz ki mahwaari (menses) kay doran zyada hojati hai. Magar yeh change har khatoon mein nahi ata. Issi tarhan mahwaari (menses) khatam honay per baaz khawateen ki jinsi khwahish kam ho jati hai. (Hyde)
Aurat Aur Jinsi Tasawwuraat: (Woman And Sexual Thoughts)
Mahireen kay mukhtalif survey sey yeh baat samney aaee hai kay maghribi khawateen ki majority musht zani (masturbation) aur mubashrat (Intercourse) kay doran jinsi lutf ko zyada karney kay liye mukhtalif qism kay jinsi tasawwur karti hai. Baaz mahireen ka khayal hai kay tamam aurtein kabhi na kabhi jinsi tasawwuraat sey lutfandoz hoti hain.
|