Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Mardon mein jiryan ki tarhan khawateen mein leucorrhea ki khud sakhta beemari bhi aam hai. Iss mein vagina sey white pani ka discharge hota hai.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Leucorrhea  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
 

Total views since 15 October 2009:
87058
 
Leucorrhea

Khawateen Kay Paet Aur Pistaan (Breast) Per White Lakeerein:

    Baaz khawateen kay paet aur pistaan (Breast) per white lakeerein parr jatin hain. Iss ki wajah yeh hoti hai kay pregnancy mein aurat kay paet ki skin phael jati hai. Issi tarhan pistaan (Breast) ki bhi skin phael jati hai. Baaz aurton ki skin zyada lacahkdaar (elastic) hoti hai inn kay jism per lakeerein nahi parti magar aksar aurton ki skin zyada elastic nahi hoti jiski wajah sey skin phat jati hai aur phir bachey ki paedaesh kay baad yeh tears white lakeeron mein badal jatey hain. Yeh bhi ek normal process hai. Iss hawaley sey pareshan honay ki zaroorat nahi. (Zakir) 

Leucorrhea: 

     Mardon mein jiryan ki tarhan khawateen mein leucorrhea ki khud sakhta beemari bhi aam hai. Iss mein vagina sey white pani ka discharge hota hai. Agar thora bohut white pani kharij ho to iss kay barey mein fikar mand honay ki zaroorat nahi kyun kay yeh ek bilkul normal aur aam discharge hai jisey Bartholian glands kharij kartey hain. Yeh discharge kisi soorat mein bhi nuqsan deh nahi aur waqt kay sath sath khud hi khatam hojata hai. Leucorrhea kay liye kisi qism ki dawa leney ki zarorat nahi. (Asif Mehmood: Mobeen) Taham agar pani ka discharge bohut zyada ho, thick ho yeh smelly ho to yeh usually vagina kay infection ki wajah sey hota hai. Yeh bhi koi khatarnak beemari nahi. Kisi achey doctor sey contact karein. Yeh bohut aasani sey theek honay wala masla hai.

 

 
Leucorrhea
 
<< Next       Prev >>
167168169170171172173174175176177
 
Tell a Friend
 
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012