Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Menopause kay doran jinsi sargarmi rokney ki zarorat nahi. Aurton mein amooman mukhtasir daur kay liye jinsi khwahish mein kami hojati hai. Yeh khwahish bilkul khatam nahi hoti.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Menopause And Sexuality - Low Libido In Women - Jinsi Khwahish Mein Kami  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
 

Total views since 15 October 2009:
45247
 
Menopause And Sexuality - Low Libido In Women

 Menopause kay doran jinsi sargarmi rokney ki zaroorat nahi. Aurton mein usually mukhtasir daur kay liye jinsi khwahish mein kami (low libido in women) ho jati hai. Yeh khwahish bilkul khatam nahi hoti. Kyun kay jinsi khwahish ka ta'alluq male jinsi hormone testosterone kay sath hai jo sari zindagi paeda hota rehta hai. Chunancha aurat mein jinsi khwahish hamesha mojood rehti hai. Iss age mein kyun kay pregnancy ka khauf nahi hota iss wajah sey aksar khawateen mubashrat (Intercourse) sey zyada lutf andoz hoti hain. Menopause ki aksar tabdeeliyon ki wajah estrogen ki kami hai. Lehaza kisi achey doctor ki wajah sey iss kami ko pura kya ja satka hai. Jis ki wajah sey bohut sey symptoms khatam ho saktey hain. 

    Menopause ki age different aurton mein different hoti hai. Menopause ki America mein average age 51 saal hai jab kay wahan aurat ki average age 79 saal hai. Ek thori ta'adad ki menopause ki age 40 saal sey kam hai. Kam umer mein menopause ki wajah poverty, aulad na hona, motapa, der sey baligh hona aur heredity waghaera hai. Kabhi kabhi aurtein 60 saal ki ibtedai daur (62,63 saal) mein menopause tak pohonchti hai. Hamarey yahan ek andazey kay mutabiq menopause ki ek average age 45 saal hai. America mein 50% aurtein 50 saal ki umer kay baad bacha paeda nahi kar sakti. Sirf 5% aurtein 55 saal ki umer kay baad bhi pregnant ho sakti hai. (Hyde)

 
Menopause And Sexuality - Low Libido In Women - Jinsi Khwahish Mein Kami
 
<< Next       Prev >>
171172173174175176177178179180181
 
Tell a Friend
 
 
   Home
   Dr. Rizwan
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum new
   Your Comments
   General Articles
   Daily Questions
*******************  
   Islam and Sex
   Health & Sex Articles
   AIDS and STDs
   Infertility
   Breast
   Vagina & Hymen
   Menses
   Pregnancy
   Depression
   Cancer
   Cosmetic Surgery
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012