Lehaza hymen ka na hona hargiz iss baat ka suboot nahi kay larki badkirdar hai. (Zakir: Mobeen: Hyde: Bechtel)
Pistaan (Breasts)
Baloghat mein larkyon kay jism mein bohut si tabdeelian aati hain. Inn mein ek ahem change pistaan (Breast) ka ubhar hai. Yeh ek medical kaifiyat hai. Yeh kaifiyat larki ko aurat bananey aur mother banney kay liye tayyar karney ki ibtidaee manzil hai. Aurat kay pistaan (Breast) ka ubhar husn ki alamat samjhee jati hai. Aurat kay jism mein pistaan (Breast) sab sey zyada prominent sexual characteristic hain. Na sirf mard bul kay aurtein bhi inn ko sexual sign samajhti hain. Aurton kay pistaan (Breast) chotey bhi ho saktey hain aur big bhi. Baaz elaqon maslan france mein chotey aur smart pistaan (Breast) zyada pasandeeda hain. Jab kay bohut sey doosrey elaqon mein big pistaan (Breast) husun ki alamat hain. Issi tarhan baaz afraad ko big pistaan (Breast) pasand hain aur baaz mard chotey aur smart pistaan (Breast) kay aashiq hotey hain. Pistaan (Breast) kay chotey ya big honay mein heredity, female hormones aur general sehat ka dakhal hai.
Jin elaqon mein big pistaan (Breast) pasand kiye jatey hain wahan unko barhanai ki bharpoor koshish ki jati hai. Wahan har khatoon ki khwahish hoti hai kay inn kay pistaan (Breast) big hon. Western countries mein khusoosan America mein pistaan (Breast) enlarge karney kay bohut sey tareeqey aazmaey ja chukey hain jin mein surgery bhi shamil hai. Magar iss mein koi khas kamiyabi hasil nahi hui.
|