Birth control ki tablets mein female hormones shamil hotey hain inkay istemal kay baad pistaan (Breast) size mein kisi had tak izafa ho sakta hai. Issi tarhan silicon ka injection dey kar bhi pistaan (Breast) ko artificially big kya ja sakta hai. Estrogen cream laganey sey bhi pistaan (Breast) kuch enlarged ho saktey hain. Surgery ki madad sey bhi inko big kya ja sakta hai. Magar surgery bohut khatarnak hai aur yeh surgery expensive bhi hai. Aisi surgery usually shaadi kay baad ki jati hai. Issi tarhan kuch log vacuum kay zariye bhi pistaan (Breast) big karney ka dawa kartey hain. Yeh system Pakistan mein bhi mojood hai magar iss sey koi farq nahi parta magar try karna mein kya harj hai. Shaadi kay baad specially bachey ki paedaesh kay baad khawateen kay pistaan (Breast) big ho jatey hain. Baaz khawateen kay pistaan (Breast) naram aur loose ho jatey hain aur inko exercise kay zariye hard kya ja sakta hai.
Kuch din pehley Kashmir sey ek 26 year old unmarried larki ney mujhey call ki woh apna large pistaan (Breast) ki wajah sey pareshan thee. Usually big pistaan (Breast) aurat kay husn ko dobala kartey hain magar agar yeh bohut big ho to inn ko sambhalna mushkil ho jata hai. Iss surat mein operation kay zariye unko small kya ja sakta hai. Magar un-married larkiyon ko iss ka mashwara nahi diya ja sakta. Kyun kay operation kay nishan nazar aatey hain. Iss tarhan husband kisi ghalat fehmi ka shikar ho sakta hai.
Baaz auqat ek pistaan (Breast) kuch big aur doosra kuch small hota hai. Yeh ek normal cheez hai. Na kay koi beemari. Iss kay elaj ki zaroorat nahi lekin agar yeh farq bohut hi zyada ho to shaadi kay baad surgery ki madad li ja sakti hai.
|