Hamarey yahan hymen kay silsiley mein bhi ghalat maloomat ki bharmaar hai aur iss ko virginity ka sign samjha jata hai. Yeh vagina kay hole mein zara ander ki taraf mojood hota hai. Magar yeh mukammal tor per vagina ko band nahi karta. Iss mein 1 sey 2 holes hotey hain takay mahwaari (menses) ka khoon nikal sakey. Yeh usually moon shaped hota hai lekin yeh size, shakal aur thickness kay lehaz sey mukhtalif aurton ka mukhtalif hota hai. Aksar aurton ka yeh hymen narm o nazuk hota hai aur pehli mubashrat (Intercourse) mein aasani sey rupture ho jata hai. Jis sey mamooli takleef hoti hai aur kuch khoon bhi nikalta hai. Baaz aurton ka hymen sakht gosht ka bana hota hai jo mubashrat (Intercourse) mein rukawat aur takleef ka sabab banta hai. Aisi surat mein minor operation ki zaroorat hoti hai. Baaz khawateen ka yeh hymen bohut hi elastic hota hai jo kay mubashrat (Intercourse) sey rupture nahi hota kyun kay yeh ander ko push kara ja sakta hai. Aisi surat mein aurat pregnant ho jati hai aur baaz surton mein to child birth bhi ho jati hai phir bhi yeh rupture nahi hota. Prostitutes iss soorat e haal sey khoob faeda uthati hain aur bar bar nath khulwai wasool karti hain.
Hymen ka hona ya na hona kisi bhi aurat kay virgin honay ka suboot nahi. Bohut si larkion ka hymen kisi accident ya uchal kood ki wajah sey rupture ho jata hai. Baaz ka musht zani (masturbation) ki wajah sey rupture ho jata hai. Issi tarhan mahwaari (menses) kay doran pads waghaera kay use ya safaee sey bhi phat sakta hai. Baaz khawateen ka paidaishi tor per mojood hi nahi hota aur kuch khawateen ka hymen khoon kay ikhraj aur takleef kay baghaer hi phatt jata hai. Baaz mahireen ka khayal hai kay zyada tar khawateen ka hymen paedaesh kay baad fitri tor per ahista ahista ghayab hona shuru hojata hai.
|