Male Impotence Cure (Namardi kay elaj) kay liye Master & Johnson ka kaamyab tariqa e elaj poori dunya mein maamooli radd o badal kay sath istaemal ho raha hai. |
|
|
Home | Sex Education in Urdu for All | Male Impotence Cure 1st Method - Namardi Kay Elaj Ka Pehla Tariqa 1 |
|
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5 |
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3 |
|
Total views since 15 October 2009: 37706 |
|
|
Male Impotence Cure - Erectile Dysfunction Treatment |
-
5 minute tak issi tarhan letey rahein.
-
5 minute kay baad apney jism per hath phaerna shuru kar dein. Massage karein, Thapthapaein, chutki lein. Ahista ahista mukkey marein, Iss mushq mein apney penis ko hath na lagaein aur na hi iski taraf dheyan ley kar jaein. Aap ki sari tawajjuh touch aur feelings per ho jo mushq kay doran mehsoos karein. Iss mushq ka maqsad tanau (erection) nahi. Iss mushq mein aap purani dekhi hui blue film ka tasawwur bhi kar saktey hain. Yeh bhi tasawwur kar saktey hain kay koi pasandeeda aurat aap kay jism per hath phaer rahi hai. Yeh mushq musalsal 4 din karni hai.
-
Panchvey din apney hath ko chikna karein aur apney penis, testicles aur other parts kay darmiyan ki jagah ko stimulate karein. Khusoosan penis kay glans aur iss kay baerooni ring aur topi kay nichley hissey ko jahan topi aur shaft aapas mein mil rahey hain. Inn per hath phaerein. Massage karein, thapthapaein aur bheenchein etc ya apney favourite tareeqey sey musht zani karein. Iss doran yeh tasawwur karein kay koi pasandeeda aurat aap ki musht zani kar rahi hai. Iss kay sath sabqa dekhi gaee blue print ka tasawwur karein. Yeh mushq rozana karein. Amooman ek week kay ander ander tanau (erection) paeda ho jata hai. Tahem ek week sey zyada waqt bhi lag sakta hai.
-
Iss mushq kay doran jab tanau (erection) ho jaey to dheyan kisi aur taraf ley jaein takay tanau (erection) kam ho jaey. Iss kay liye 100 sey ulti ginti gini ja sakti hai.
|
|
 |
|
|
<< Next
Prev >>
|
|
|
 |
Tell a Friend |
|
|
|
|
|
|
|
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site. |
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012 |
|