tanau (erection) kam honay per phir musht zani karein yahan tak kay phir tanau (erection) ho jaey. Tanau (erection) honay per phir dheyan doosri taraf ley ja kar tanau (erection) kam karein. Erection kam honay per phir musht zani karein. Iss tarhan 4 bar yeh mushq karein. Es Mushq mein inzal na ho, ho jaey to pareshan na hon. Mushq jari rakhein.
9. Usually 3 weeks mein tanau (erection) aana shuru ho jata hai. Zyada waqt bhi lag sakta hai iss doran pur sukoon rahein. Aaj kal yeh masla 100% qabil e elaj hai.
10. Iss doran inzal (ejaculation) wali musht zani (masturbation) har giz na karein.
11. Mardana quwwat ko check karney kay liye zina na karein.
12. Agar 4 week ki mushq kay baad bhi tanau (erection) paeda na ho to phir doosra tareeqa istimaal karein warna kisi achey mahir e nafsiyat ko milein jo jinsi masail ka mahir bhi ho. Doctors ki tarhan har mahir e nafsiyat jinsi masail ka mahir nahi hota.
Eric Aid System:
Namardi kay elaj ka adviyat (medicine) kay baghaer doosra kamiyab tareeqa eric aid system hai. Yeh system bazar sey 2000 sey 10000 tak mil jata hai. Jis shop sey aap yeh system khareedein gey woh shop keeper aap ko iss kay istemaal karney ka tareeqa bhi bataey ga. Yeh ek bohut hi effective aur safe tareeqa e elaj hai.
1. Exercise 20 ta 30 minute tak karein.
|