Iss kay elawa apni shagird mahir e nafsiyat Uzma Butt, Rizwana Hashmi aur Haleema Saadia ka bhi shukar guzar hun kay unhon ney kitab kay larkiyon waley hissey ka ja'eza liye aur mufeed mashwarey diye.
Apney American dost janab AbdulHaleem Khan aur bhateejey Hafiz Ishtiaque Ahmed (london) ka khaas tor per mamnoon hun jinhon ney mujhey iss mozou per meyari aur taza tareen (latest) kutub bhijwaee'n jin sey mein ney bharpoor faeda uthaya.
Aakhir mein apni honey biwi ka bey hudd shukar guzar hun jinhon ney humesha merey aaram aur such ko har kaam per tarjeeh dii aur kitab likhney kay doran mujhey har sahoolat, aaram aur sukoon muhayya kiya.
Harf e Aaghaz
Chund saal pehley ek ma'aroof idaarey ney mujhey "Naujawano'n Kay Masail" per lecture ki da'awat dii. Ghaliban Pakistan bhar mein iss tarah khuley aam jins (sex) jaisey nazuk mozou per guftugoo ka yeh pehla moqa tha. Naujawan shurka'a ney iss lecture mein bohut zyada dilchaspi lii chunancha kuch arsey ba'ad isi idaarey ney mujhey phir isi mozou per izhar e khayal ki da'awat dii. Iss martaba taqreeban 19 jinsi mughalito'n (sexual misconceptions) ki haqeeqat beyan ki gaee jinhon ney naujawano'n ki zindagi ko tabah kar rakha tha. Naujawan shurka'a ka khayal tha kay inn ma'aloomaat ney unn ki zindagi mein aasani paeda ki aur masail kay bojh ko kam kya. Lehaza yeh ma'aloomaat Pakistan kay har naujawan tak pohonchni chahiyien.
|