Shukriya Shukar hai Rabb e kareem ka jis ney mujhey ek munfarid aur mufeed kitab likhney ki toufeeq aur hosla diya. Mein apney dost mahir e nafsiyat lieutenant Muhammad Rafiq, Professor Dr. Syed Azhar Ali Rizvi, Professor Javed Iqbal Nadeem aur Dr. Khalil Ahmed ka bey hudd shukar guzar hun jinhon ney muswaddey ka ek ek lafz parha aur jin kay mufeed mashwaron ki roshni mein kitab mein kaee mufeed tabdeeliyan ki gaee'n. Janab Akhter Abbas ka khaas tor per shukar guzar hun jinhon ney mujhey pehli bar iss mozou per izhar-e-khayal ki da'awat dii, aap ney kitab ka tanqeedi ja'eza liye, unn kay mashwaron ki roshni mein kitab mein kaee ahem tabdeeliyan kii gaee'n. janab Akhtar Abbas aur Dr. Khalil Ahmed kay mashwaron ki roshni mein kitab kay aakhri baab ka mufeed izafa kya gaya. Mein apney shagird dost Dr. professor Syed Sabir Hussain mahir-e-nafsiyat ka mamnoon hun jinhon ay apney kaee ahem cases merey sath discuss kiye jo iss kitab ka hissa baney. Shah ji! Humaesha mujh sey kisi kaam ki tawaqqa kartey hain, Khuda karey kay mein un ki tawaqqa per poora utroon. Mein apni shagird mahir e nafsiyat professor Kashifa Riyaz ka shukar guzar hun jinhon ney kitab ka larkiyon wala hissa parha aur mufeed mashwarey diye. Unn kay mashwaron ki roshni mein na sirf mozoon tabdeeliyan kii gaee'n bul kay kuch izafey bhi kiye gaey.
|