Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Urdu Poetry: Dil Main Kasak Si Hai Kiss Ko Sonaon?

Urdu
 
 
goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 62  Post: 7612  Age:  33  
Posted on:17th Sep 2008, 7:19am
 

ok

ok that s good beeji..........beeji woo honay wali fiance jee koon ha......
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:17th Sep 2008, 7:20am
 

ok

wasey HONEY WALI

kiya matlab samjh nahi aiee

abhi howi nahi kiya

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:17th Sep 2008, 7:21am
 

yar

jab ho jaaeygi tou bta doonga. Filhaal tou main fone par uske sath larrai kar ke hata hoon. hehehe
goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 62  Post: 7612  Age:  33  
Posted on:17th Sep 2008, 7:22am
 

ok

beeji mujay lagta ha s4u tumhari mangater ha.............is it right
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:17th Sep 2008, 7:31am
 

goodman

yar Su Su larka hai. Uss se mangni krne ke liye mujhe larki banna parrhega jo ke bht mushkil kaam hai aur aaj kal spare parts bht mahnge hain main afford nahin kar skta. hehehe
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:17th Sep 2008, 3:15pm
 

aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya
kuch din to mera aks raha ayeena naqsh
phir yoon huwa k khud mera chehra badal gaya
jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
to kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya
kadmon talay jo ret bichi thi woh chal pari
us nay churaaya haath to sehra badal gaya
koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya
hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya
kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya
shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya
qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya
manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya
aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee
apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
yeh kon shehar ka naqsha badal GaYa!
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:17th Sep 2008, 3:16pm
 

Funkaar hai toh haath pay sooraj saja kay la

Funkaar hai toh haath pay sooraj saja kay la
Bujhta hua diya na muqaabil hawa kay la

Darya ka inteqaam dabo day na ghar tera
Saahil say roz roz na kankar utha kay la

Samaan wafa kay baandh magar soch soch kar
Is ibteda mai yun na sakhat inteha kay la

*Mohsin* ab uska naam hai sab ki zabaan par
Kis nay kaha tha usko ghazal mai saja kay la?
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:17th Sep 2008, 3:18pm
 

I love this one!

Aaj
Shab-e-Tanhai Mein
Palkon Pe Sitare Sajae
Gham Ki Chokhat Pe Beth Kr
Soch Raha Hon
Jab Mein Ne Usky Hath Ko Chuwa Tha
Tu Wo Muskura Kr Boli Thi
"Tumhare Hath Kitne Garm Hain,
or Jante Ho,
Garm Hath Wafa Ki Alamat Hote Hain"
Ye Sun Kr Mein Itna Khush Hoa
K Baqi Sub Bhool Gya
K Us K Hath Kitne Sard Thy...
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:18th Sep 2008, 1:12pm
 

Tanhai

Her rooz Subhu Uthta Hoon
Dua Mangta Hoon
Tujh Se Milny Ki
Aur Tanhai Se Bicherny Ki
Lakin Na Jany Kya Baat Hai
Meri Duaain be Aser Hain
Ya Main
Jisey Kisi Ne Chaha Hi Nahi
Tanhai Mujh Per Ashiq Ho Gai Hai
Keh Tuu Mujhe Milta Nahi
Aur Tanhai Mujh Se Bicherti nahi
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:18th Sep 2008, 4:39pm
 

Uljhan

Mujhy khoaf hay
Wo Nibhaah k ksi merhaly pe
Ye aa k keh de k ab nahi
Mery Dil ko teri talab nahi !!!!

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:22nd Sep 2008, 1:59pm
 

Mohabbat

Mohabbat To.....
Baarish Jesi Hai

Jise....
Choone Ki khwahish Men
Hatheliyan To Geeli Ho Jati Hen
Magar.........
Hath Hamesha Khali Hi Rehte hen!!!
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:22nd Sep 2008, 2:17pm
 

Talash

Is munafqat k dor main
Jab key !

Hur taraf jhoot ki hakoomat hy,
Khud gharzioon aur faraib ki duniya main
Gehmaa gehmi hy....
Mujhe talash hy
Sirf
Ik aise shakhs ki
Jo
Anadar se bhi bilkul
Bahar ki tarha ho...
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:22nd Sep 2008, 2:23pm
 

Dua

Mainy aye dost !
din raat roo ro kar

apne Rub k hazoor Sir basajood ho kar
tera Sath..
tera hi sung manga hy..
Sirf teri hi khushioon ki duaa ki hy
kia kabhi tu ne bhi aye dost !
apne hath uthaa kar
mujhe Rub se manga????
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:23rd Sep 2008, 6:34am
 

ghazal

intazar-e- saba raha barsoon

aik darecha tha khula raha barsoon

aik din uss ka piyar barsa tha

or maien bhegta raha barsoon

aik darcha tha khula raha barsoon

un ki ankhoon key jam yad rahey

bin piyea bhi nasha raha barsoon

tab kahien ja key aik ghazal likhi

maien tujhey sochta raha barsoon

aik darcha tha khula raha barsoon

fasley kam na ho sakey qaser

amna samna raha barsoon

intazar-e- saba raha barsoon

aik darcha tha khula raha barsoon

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:23rd Sep 2008, 6:37am
 

Uetian & Saim

very very achi.
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:23rd Sep 2008, 6:43am
 

s4u

very very sukriya
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:23rd Sep 2008, 7:55am
 

poetry

ajab sawal kiya hawa ney patton say

shajar say toot kar girna batoo kesa laga

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:23rd Sep 2008, 8:04am
 

one more

wo marey dil say lafzoon ko baynaqab chatta hey

wo mujh say appni muhabbat ka izhar chatta hey

may uss ko batana bhi chaoon tu bata nahi sakta

key mera dil bhi ussey beyhisab chatta hey

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:23rd Sep 2008, 1:48pm
 

meray humsafar

meray humsafar, tujhay kya khabar
yeh jo waqt hai kisi dhoop chaa-on’ k khail sa
isay daikhtay, isay jhailtay
meri aan’kh gard se att gai
meray khuwab rait mai kho gaye
meray hath barf se ho gaye
meray bay khabar tere naam per
wo jo phool khiltay thay hon’t per
wo jo deep jaltay thay baam per,
wo nahi rahey
wo nahi rahey k jo aik rabt tha darmayan wo bikhar gaya
wo hawa chali
wo kisi sham aisee hawa chali
k jo barg thay sar-e-shakh-e-Jaan’, wo gira diye
wo jo harf darj thay rait per, wo ura diye
wo jo raaston ka yakeen thay
wo jo manzilon k ameen thay
wo nishan-e-pa bhi mita diye!
maire humsafar, hai wohi safar
magar aik moor k farq se
tere hath se maire hath tak
wo jo hath bhar ka tha fasla
kai mosamon mai badal gaya
usey naptey, Usey kat tay
mera sara waqt nikal gaya
nahi jis pe koi nishan-e-pa
mery samnay hai wo rah guzar
meray chahrah ger
meray durd ki tujhay kia khabar
ye jo raig-e-dasht-e-firaaq hai
meray raaston’ mein bichee hui
kisi morr pay ye rukay kaheen’
ye jo raat hai meray chaar soo
magar is ki koi shajar nahi
na he chhaa-on’ hai na samara koi
main nay chhaan daykha shajar shajar
meray chahrah ger
meray durd ki tujhay kia khabar
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:23rd Sep 2008, 9:05pm
 

MOHABBAT KI VAHI

Kabi ankhon ki ibadat ghah main bethay
Puraney taqchon main gull, charagon ko nayi lo se rafu kar kay
Koi Gum Gushta seepara parhon
Shayed.....!!!
Nafi asbaat khul jaye
Qadar ki raat khul jaye
Kabi honton kay mehrabon pey likhi ayatain
Main rooh ki masjid se dhoraon...
Hisar-e-kainat kay jisam se bahir nikal jaon
Kabi hairat zada ashkon kay aab-e-zam zam se vazu kar kay
Kisi athar-e-jabeen kay sang-e-asood kay main boosay lon
Kabi main zaat kay gaar-e-hira main beth kar sajday karon
Shayed.....!!!
Isi soorat
KABI MUJ PER MOHABBAT KI VAHI UTRAY...!!

For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7  >>
 
 
 
Pakistani in Italy  How To Get Visa For Japan  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us