Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Urdu Poetry: Dil Main Kasak Si Hai Kiss Ko Sonaon?

Urdu
 
 
khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1432  Age:  27  
Posted on:29th Sep 2008, 2:23pm
 

Dua hai mairi

DUA hai mairi

ki zindagi ki sub hi baharain

Mohubatoun sy ye nam hawayain

Tumhary daman khalay her dam

Ki zindagi ki her ek pal say

Hazaroun khusuyain kasida kar k

Tum apny ander samait lo sub

kasak koi  rahy na baqi

Tumhari dil may

DUA hai meri

 

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2215  Age:  37  
Posted on:30th Sep 2008, 7:43am
 

poetry

zikr-e- shab-e- faraqat sa wahshat ussey bhi thi

meri tarha muhabat kisi say usey bhi thi

mujh ko bhi shoq tha nai charoon ki dead ka

rasta badal key chalney ki adat usey bhi thi

uss rat wo dear tak raha mah v guftago

masroof maien bhi kam tha faragat ussey bhi thi

mujh say bichar kar shar maien ghul mil gaya wo shaks

halankey shar bhar say raqabat ussey bhi thi

wo mujh say barh key zabt ka adi tha ji gaya

warna hai aik sans maien qayamat ussey bhi thi

saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  30  
Posted on:30th Sep 2008, 7:56am
 

poetry

Tum dil ki batein kiya samjho,
Tum Dil ka lagana kiya janoo.
Tum aag lagana seekh gaye.
Tum aaj bujhana kiya janoo,
Ek baar agar tum rooth gaye,
Hum tum ko mana hi lenge magar,
Ek baar agar hum rooth gaye,
Tum humko manana kiya janoo,
Kuch Sath chale phir choor gaye,
Wada jo kya woh tor gaye,
Saathi to banate rehte ho,
Tum Saath nibhana kiya janoo??

Sahil

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2215  Age:  37  
Posted on:30th Sep 2008, 7:59am
 

wow

sahil bhout hi achi poetry hey
saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  30  
Posted on:30th Sep 2008, 8:03am
 

Thanks

Thanks aik aur shair ho jaye

Meri soch ki udhan hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Meri nazar ki had hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Mera sehra hai jahan talak,
Barsaat tum hi tum ho,
Meri barsaat hai jahan talak,
Ghata tum hi tum ho,
Mere khawabon ka mehal hai jahaan talak,
Har qadam pe tum hi tum ho,
Mere dil ki waadi hai jahan talak,
Har chehraa tum hi tum ho,
Mere chehre pe muskurahat hai jab talak,
Muskurahat tum hi tum ho,
Meri aankhon ki shararat hai jab talak,
Woh sharart tum hi tum ho,
Mere pyaar ka sehar hai jahan talak
Us sehar mein tum hi tum ho,
Mere pyaar ka jaadoo hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Meri aarzoein bikhrein hai jahan talak,
Woh umeed tum hi tum ho,
Mujhe sahara hai jahan talak,
Woh saheban tum hi tum ho,
Mere dil ki khusiyan hai jahan talak,
Woh sapne tum hi tum ho,
Meri nazar mein chandni hai jahan talak,
Woh roshn i tum hi tum ho,
Meri umeed ki kirne hai jahan talak,
Sab roshniyan tum hi tum ho

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2215  Age:  37  
Posted on:30th Sep 2008, 8:36am
 

sahil

that one was olso nice

here is noe more

issey appni farda ki fikar thi jo mera waqif-e-hall tha

wo jo uss ki subha-e-urooj thi wo hi mera waqt-e- zawal tha

mera dard wo kasey janta wo meri bat kasey manta

wo tu had fana key safar maien tha ussey rokna mahal tha

wo mila sadyoon key bad jab bhi marey lab pa koi gila na tha

issey meri chup ney rula diya jisey gutago maien kamal tha

marey sath lag key wo ro diya or faqat itna kah saka

jisey janta tha may,wo zindagi tu sirif waham-o-khyal tha

saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  30  
Posted on:30th Sep 2008, 8:45am
 

good saim

wow very nice yaaar

DILL KI BAT HAM SAI NA CHUPAYA KARO
HUM SE CHAHAT NA ZIYADA JATAYA KARO
DOOR RAHTE HO KION PAAS AAYA KARO
TERA JALWA KABHI HUM NE DEKHA NAHIN
KABHI CHEHRA HUMEN TO DIKHAYA KARO
ROZ GHERON KI MAJLIS MAIN JATE HO TUM
KABHI TO APNO KI MAHFIL SAJAYA KARO
HUM RANJEEDA BHI HAIN NEEM DEEDA BHI
AA KE DIL TUM HAMARA BEHLAYA KARO
TERI MAJBOORION KI KHABAR HAI MUJHE
BAAT BAAT PER KASMEIN NA KHAYA KARO
TERE WAADE PE HUM NE BHAROOSA KIA
KUCH TO ULFAT KA TUM BHI HAQ NIBHAYA KARO
CHAHNE WALE KI CHAHAT PE KAR LO YAKEEN
ROSHNI MAIN DIYE NA JALAYA KARO
HUM BHI HUM RAAZ HAIN TUM BHI HUM RAAZ HO
DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2215  Age:  37  
Posted on:30th Sep 2008, 8:50am
 

sahil

yeah tu bhout hi achi thi
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  34  
Posted on:30th Sep 2008, 2:06pm
 

Dobara phir nai milta.

Tumhein b to khabar hogi,
k darya pas behtay hon to pani acha lagta hai,
kinaron se jurri mitti se pocho rog chahat ka,
k is pani ki chahat main kinaron se ukhar ker,
Ajnabi desoun main jana kitna mushkil hota hai,
kinara phir nai milta,
tumhein bas itna likhna hai,yahan jo b bicher jaye,
dobara phir nai milta.

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  34  
Posted on:30th Sep 2008, 2:09pm
 

Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain

Hasrat Hay Tumhari Deed Karain

Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain


Kuch Roz Tu Dil Ko Chain Milay

Kuch Roz Tu Munn Ka Phool Khilay

Kehtay Hain Eid Ki Aamad Hay
Hum Log Bhi Ta'eed Karain

Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain

Tum Say Yeh Aik Guzarish Hay


Yeh Apnay Dil Ki Khuwaish Hay
Ek Bar Milo Ek Bar Milo

Har Bar Yehi Ta'eed Karain
Tum Aao Tu Hum Eid Karain


Jab Ghum Ke Badal Chaye Thay

Uss Waqt Bhi Tum Na Aye Thay

Iss Bar Bhi Tum Nahin Aye Ho
Sab Dushman Yeh Tanqeed Karain

Tum Aao Tu Hum Eid Kariain

Mana Ke Hum Dewanay Hain

 

Sab Batoon Say Anjanay Hain
Jab Apnay Hi Bayganay Hain

Kya Ghero'n Say Umeed Karain
Tum Aao Tu Hum Bhi Eid Karain

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  34  
Posted on:30th Sep 2008, 2:16pm
 

Chandni December ki

Raat Uss ne Poocha tha
Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki !
Main ne Kehna Chaha Tha:
Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?
Chahey koi Manzar ho
Dasht ho , Sumandar ho
June ho , December ho
Dharkanoo'n ka Har Naghma
Manzaroo'n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise
Ik Nasha sa Taari hai
Lakin Uss ki Qurbat mein
Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko
Chandni December ki
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  34  
Posted on:30th Sep 2008, 2:17pm
 

Rozy

wo jiski chahat ki khatir,
wo jisko paaney ke junoon mien,
mainey sara saal rozey rakhey thy,
wo mila tou bari mohabbat se bola,
wo khud kisi k chahat mien rozey se hai!!!!!!
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  34  
Posted on:30th Sep 2008, 2:23pm
 

Gham

Rutjagoun se ghabra k
aansuoun se tang aa k
main ne pichli raat
apny saary dukh
apny kamry ki devaaroun se
keh daaly!
or
ab main sota rehta houn
Devaarian roti rehti hain!

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  34  
Posted on:30th Sep 2008, 2:32pm
 

Bhrosa!!!!

Mujhay udaas dekh kar us nay kaha
meray hotay howay tumhain koi dukh nahin day sakta
phir ...
aisa hi howa.....
baad main jitnay b dukh milay
sub usi kay thay........!
khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1432  Age:  27  
Posted on:30th Sep 2008, 2:41pm
 

Poetry

Musafer tu bichatty hai rafaqat kab badalti hai

Mohubat zinda rehti hai mohubat kab badalti hai

Tumhy ko chaty hai ham tum hi sy phayre karty hai

Yahi barsoun sy adat hai ye adad kab badalti hai

Kali ka phool banna or bikhar jana muqadar hai

Yahi qanoon fithrat hai ye fithrat kab badalti hai

Badal jaty hai mosam phool may khusboo nahi rehti

Mager chahat k phooloun ki rafaqat kab badalti hai

 

 

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  34  
Posted on:30th Sep 2008, 3:15pm
 

Main Roi To Nahi Hoon...

Najaney Kiyoon Mera Kajal
Jab Bhi Dalo Ankhon Main
Ab Aksar Phail Jata Hai
Main Roi To Nahi Hoon...

Tum To Jantey Ho In Dino
Bohat Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Surkh Meri Naak
Main Roi To Nahi Hoon...

Kaha To Hai Yunhi Buss
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fiker Mat Karo
Main Roi To Nahi Hoon...

Nahin, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baies
Thakawat Ho Hi Jati Hai
Main Roi To Nahi Hoon...

Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi
Nahin Aata To Na Aaye
Ab Us Ki Yaad Mai Dekho
Main Roi To Nahi Hoon...

Bata Dena Us Ko Ja Ker
Koi Khush-Fehmi Na Palley
Waisey Hi Surkh Hain Ankhin
Main Roi To Nahi Hoon...

khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1432  Age:  27  
Posted on:30th Sep 2008, 3:20pm
 

uetain31 bai

bohat khoob ,,

waisy uetian thora distance rakha karo yar,,par nahi sakhty

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  34  
Posted on:30th Sep 2008, 3:23pm
 

@khyali

hhahaha...is main meri ghalti nai...apni eye sight chk kerian..lolz...
khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1432  Age:  27  
Posted on:30th Sep 2008, 3:32pm
 

uetian

yar lagta hai U.S waloun ki eya sight bohat teez hai,,waisy yaha aisa nahi hai,,,yaha boht kuch kamzoor hai

hahahaha

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  34  
Posted on:30th Sep 2008, 3:34pm
 

@Khyaali

hahahahha......bs g kbi ghror nai kiya...
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7  >>
 
 
 
Pakistan Day Celebration In Malaysia  How to get college scholarship in usa  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us