Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Urdu Poetry: Dil Main Kasak Si Hai Kiss Ko Sonaon?

Urdu
 
 
Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4723  Age:  31  
Posted on:11th Sep 2008, 9:37pm
 

Urdu Poetry: Dil Main Kasak Si Hai Kiss Ko Sonaon?

dil main kasak si hai kiss ko sonaon?

aankh num hai kiss ko bataon?

tum to so gayi baatein karte karte

main apna ghum kiss ko dekhaon?

 

Written By Veer

Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4723  Age:  31  
Posted on:11th Sep 2008, 9:45pm
 

takdeer

zamane se gila kya karo ge tum Veer

jab acha he na tha mukader na takdeer

ofsoos to es baat ka hai humhe sirf

na ban sakhe hum mulana na safeer

 

Written By Veer

sweetie Group: Members  Joined: 13th Jun, 2008  Topic: 11  Post: 509  Age:  33  
Posted on:11th Sep 2008, 10:39pm
 

wah veer bhai

aakhir main kya wazan se qaafia milaya hai.

mulana na safeer.... written by veer :)

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:11th Sep 2008, 11:19pm
 

wah

veer bhai buhot khoob
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:12th Sep 2008, 9:34am
 

hamzi,s poetry

nahi woh shakhs muqadar main

phir bhi us se miltay hain

barra purlutf lagta hae Muqadar ko saza dena.

Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4723  Age:  31  
Posted on:12th Sep 2008, 7:26pm
 

jee to chahta hai

jee to chahta hai tujhe yaad na karon.

mager kya kare jism par likha tera naam,

phir teri yaad dila deta hai.

 

Written Veer

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:13th Sep 2008, 8:26am
 

poetry

pardees ko hum dees kaha kartey haien

rahan hi hey aik shart raha kartey haien

jiney ki bhi tuhmat hey sisaktey dil par

marney ka bhi ilzam saha kartey haien

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:13th Sep 2008, 8:31am
 

one more

yoon tu chain say aik pal key liya soya bhi nahi

dil wo bay mahar key kho kar usey roya bhi nahi

sadgi dekhyea shamil hey wo gham khwaro maien

or daman say mera khoon hey dhoya bhi nahi

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:13th Sep 2008, 8:33am
 

one more

jo dard key sahra maien akela bhi bhoot hey

iss key liya dewar ka saya bhi bhoot hey

dekha nahi tanhai maien kabhi tum ney uss ko

bichrey howey logo ko wo roya bhi bhoot hey

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:13th Sep 2008, 8:42am
 

arz kiya hey

andaz ho baho teri awaz pa ka tha

dekha nikal key ghar say tu jhonka hawa ka tha

chup chup key roow or sar-e-anjuman hansoo

mujh ko yeah mashwara marey dard-e-ashna ka tha

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:13th Sep 2008, 8:44am
 

Bulhey Shah

Jhaleya Ishq kamana Okhha,

Kisse nu yar banana okha,

Pyar pyar te har koi boley,

Kar ke pyar nibhaana okha,

Har koi dukhaan te ro lenda,

Kise da dard wandana okha,

Gallaan naal nai rutbe mildey,

Jogi bhes watana okha,

Koi kissey di gal nain sunda,

Lokaan nu samjhaana okha....

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:13th Sep 2008, 8:50am
 

one more

sahar sisaktey howey asman say utri

to dil ney jan liya key yeah bhi sal dard ka hey

kisi ney pocha key farhat bhoot haseen ho tum

tu muskura key kaha ,sab jamal dard ka hey

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:13th Sep 2008, 9:26am
 

poetry

dilon may waham-e- judai rakh kar wisal kesa ajeeb sa tha

wo lamha khushi may shamil malal kesa ajeeb sa tha

na chand chamka na abar barsa na phool kiley na khwab aii

bichar key tum say kasey batien key hall kesa ajeeb sa tha

striker22 Group: Members  Joined: 13th Sep, 2008  Topic: 7  Post: 117  Age:  28  
Posted on:14th Sep 2008, 7:23pm
 

"Jannat"

Neend apni bhula k sulaya hum ko...

Ansu apne gira k hansaya hum ko...

Dard kabhi na dena us Khuda ki Naimat ko

Zamana kehta ha "MAA" jis ko...

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:15th Sep 2008, 3:10pm
 

main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi

main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi
main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi

har aik maslay ka hal nikal rakhti thi
zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi

main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi

bas aik woh thi jisay ghaow main dikhata tha
bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi

woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say
woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi

woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi

duain us ki balaon ko rook laiti thin
woh mairay chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

ik aisi dhuun kay nahi phir kabhi main nay suni
woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi

usay nadamatain mairi kahan gawara thin
woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi

bichar kay uss say main dunya ki thokaron main hon
woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi

sahar tha naam , ujalay ghulam thay us kay
woh zindagi kay andhairay ujaal rakhti thi

woh muntazir mera rehti thi dhoop main shaid
main laut-ta tha to chaon nikal rakhti thi
Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4962  Age:   
Posted on:15th Sep 2008, 3:23pm
 

uetian31

 waaah waah waah bohat khooob
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:15th Sep 2008, 5:30pm
 

hum yaad rakhtey hain

Thanks Chilli millii:) still 3 wah's...:P

 

 

Koi mousam ho wisal-o-hijar ka
hum yaad rakhtey hain
teri baton se is dil ko
bohat abad rakhtey hain
kabhi dil k saheefay par
tujhey tasveer kartey hain
kabhi palkon ki chhaon main
tujhey zanjeer kartey hain
kabhi khwabeeda shamon mein
kabhi barish ki raton mein,
koi mousam ho wisal-o-hijar ka
hum yaad rakhtey hain
teri baton se is dil ko bohat abad rakhtey hain

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:15th Sep 2008, 5:34pm
 

Dar badar ki saza se dartey hain

Dar badar ki saza se dartey hain,
Khushk pattey hawa se dartey hain,

Yun teri be-rukhi se dartey hain,
Log jaisey KHUDA se dartey hain,

Aandhiyon se kabhi mohabbat thi,
Ab to baad-E-saba se dartey hain,

Nafraton ney woh lazzataien bakhshien,
Chahaton ki bala se dartey hain,

Doston ka karam hai FARAZ,
Zindagi ki dua se dartey hain................

striker22 Group: Members  Joined: 13th Sep, 2008  Topic: 7  Post: 117  Age:  28  
Posted on:15th Sep 2008, 5:52pm
 

bilaunwan...

tujhe roz dekhen qareeb sa

mere shoq b han ajeeb say

mjhe mangna ha tujhe ko bus

apny Rab aur us k Habib sa

meri aankh ma b ha aajzi

mere khwab b han gareeb say

mere sub dukhon ki dawa ho tum

milay kya sakoon ab tabeeb say

main bohat khush houn jo mil jay

naseeb apna tere naseeb say

Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4723  Age:  31  
Posted on:16th Sep 2008, 12:06am
 

waqt esa aya

waqt esa aya jis ne har cheez ko pacheeda kar diya

hanste huye Veer ko pal mein Sunjeeda kar diya.

 Written Veer

For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7  >>
 
 
 
Pakistani Student In Harvard University  How to apply for an australian visa  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us