Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Tips for Teens How to Handle Pornography

Articles   >>  Sex Articles
Weight Gain Strategies
Weight Gain Program - Four Strategies
Easy Weight Gaining
Easy Weight Gaining Tips
Bodybuilding Diets
Weight Gain Bodybuilding Diets
Penis Cosmetic Surgery
Penis Enlargement Cosmetic Surgery
Sooth Group: Members  Joined: 18th Jul, 2007  Topic: 303  Post: 1941  Age:   
Posted on:10th Sep 2008, 1:54pm
 

Tips for Teens How to Handle Pornography

Tips for Teens How to Handle Pornography

 

Ye bahot hi mushkil hai,khaas torr per jab aap teenager hon aur aap ka samna sexuality content se ho jaye: jaisay ke movies me, pornography ke links ya jab aap kuch aur net per check ker rahay hon tu site per ad banners ah jayain.aik young muslim girl ya boy khud ko aisi cheezoon se kaisay protect keray?

 

Neechay kuch eshi tara ki tips di gayi han jo aap ki help ker sakti han:

 

1.       Know what is Halal and what's not

Log soochtay han hard core pornography hi sirf islam me unacceptable hai.ye true nahi hai.wo men aur women jo improperly dressed hotay han,sexual situations,foreplay,kissing,touching,dirty jokes:in me se kuch bhi islamically acceptable nahi hai.kisi trusted muslim friend se baat kerain,same gender ke family member se ya phir kisi imam se.un se ye poochain k eke es ka Islamic prospective kya hai.

 

2.       Remember your accountability to Allah

America aur kuch doseray countries me jab aap 18 saal ke ho jatay han tu aap khud apnay her action ke fully responsible hotay han.jab ke islam me aap tab fully accountable hotay han jab aap in cheezon ko fully understand ker laitay han.tu aap ye nahi sooch saktay ke aap aisay stuff ko dekhain gay tu ye koi bari baat nahi ho gi.aap ne jo kuch bhi dekha qayamat ke din aap ki eyes us ski ghawahi dain gi.ye yaad rakhain ke khuda her waqt dekh raha hai.wo merciful hai humain humaray achay actions ka reward day ga aur bad actions per punish keray ga.

 

3.       Become conscious of the Haram

Aam torr per aisa stuff khud hi samnay ah jaata hai jaisay ke kisi gum advertisement me spandex-and-bikini-top-clad blonde girl,ya phir guy tight leather pants me aur koi shirt nahi kisi perfume ki advertisement me.jab ye sub aap ke samnay ah jaye aur aap es ko dekhain,tu Islamic perspective yaad rakhain,aap ki Allah ke aagay accountability aur apni gaze lower ker lain.TV aur internet dono ke saath aisa hi kerain.ager aap aisa kertay rahay tu insha-Allah ye aap ki habit bun jaye gi aur phir aap ka automatic action.

 

4.       If feeling overwhelmed, remember Allah
Aisi situation me jab aap ka khud per se control khatum ho jaye tu aap wo chanel tune hi na kerain,browser window ko close ker dain,advertisement se apni eyes ko kaheen aur turn ker lain,aur Allah ki madad manghain.aap ko zyada heavy duty ki zuroorat aur long dua kernay ki zuroorat nahi hai just "La hawla wa la quwwata illa billah" parh lain.

 

5.       Seek refuge in Allah from Shaytan

Shaytan aap ko trap kernay ki pori koshish kerta hai.shaitaan se Allah ki panah manghain aur "awthu billahi minash Shaytan ir rajeem parhain",jo aap ko resist kernay me help keray ga.

 

6.       Get up and leave

Ager aap ye feel kerain ke khud per control nahi ker paa rahay tu uss situation ko hi chorr dain like magazine,tv ya aisi site dekhain hi nay a wo room hi chorr dain jis me tv hai ya net hai ya jidhar aap magazine read ker rahay hon.kuch walk kerain ya kuch aisa jis se physically aap aisi situation se bahir ah jayain.

 

7.       Avoid those involved in pornography

Ager aap ka koi friend pornography ki,aisi sites ki,magazines ki aur dirty jokes koi baatain kerta/kerti hai tu uss ko gentle aur sincere advice kerain aur uss se frequent contact khatum ker dain.uss ki baatain aap ko effect kerain gi,aap uss danger ko yaad rakhain jo aap ke liay hai,aap ke deen imaan ke liay aur aap ke Allah se relationship ke liay tu ye bather ho ga ke aap aisay friend se dour hi rahain.

 

8.       Stay away from places where it's found
kabhi kabhi highway per aisay advertisement hotay han jin ko aap miss nahi ker saktay ya phir kisi movie ka poster ho gay tu bather yehi hai ke aap aisay places ko avoid kerain,summer me beaches per mat jayain.

 

9.       Surf or watch TV when others are around
jab aap room me akelay hon aur tv dekh rahay hon ya phir net serving ker rahay hon tu aisi pictures aur movies aap ko attract kerain gi.late bight tv aur internet serving se avoid kerain.aap tv dekhain aur net serving kerain jab aap ke pass aur irdgird koi aur bhi ho es se aap apni desire ko control ker lain gay.ye good idea hai ke tv ya computer ko bedroom me mat rakhain instead study place ya phir living room me rakhain.

 

10.   Remember your example
ager aap ke younger brother aur sister han tu uss example ko soochain jo aap apni un ke liay chorr rahay han.kya ager wo aap ke room me ah jayain aur aap ko aisa stuff dekhtay huay dekh lain.

 

11.   For brothers, remember your mom and sister
Disgusting right? Exactly koi bhi sane ladka ye sooch bhi nahi sakta ke jis tara uss ne net per,magazine me ya tv per jis tara ladkiyoon ko dekha hai uss tara apni mom aur sister ko dekhay.apni mom aur sister ko yaad rakhain es se aap aisay stuff se avoid kerain gay.

 

12.   Have someone watch over you
ager aap feel kertay hank e aap aisay stuff ke addicted ho saktay han tu kisi aur ke saath tv dekhain aur internet surf kerain.aap ko unhain ye batayanay ki zuroorat nahi hai ke aap un ke saath kuin dekh rahay han.laikin may be ye method aap ko aisay material se dour hi rakhay.after all Shaytan humain tab hi zyada trap kernay ki koshish kerta hai jab hum akelay hon.kisi family member ki company me baithain ya phir kisi muslim friend ki.insha-Allah ye aap ki madad keray ga.

 

13.   Fast
Nabi(SAW) neb hi muslims ko yehi method bataya ke wo rozay rakhain apni khowahishaat ko control me kernay ke liay.es method se aap apni desire ko handle ker lain gay jo aisay stuff se arouse hotti hai.

 

14.   Do Tawba and return to Allah
ager aap ne ye irada ker liya hai ke aap kabhi nahi aisa stuff dekhain gay tu Allah se tauba kerain.uss sin ko compensate kernay ke liay good deeds kerain.wo insha-Allah aap ko maaf keray ga.

 

15.   Repent again and fine yourself
ager aap ne irada ker liya tu bar bar sachay dil ne tauba kerain aur ye khud se promise ker lain ke ayainda aisa nahi kerain gay.aur ager phir aisa kerain gay tu aik din ke liay roza rakhna ho gay a fixed amount charity daini ho gi.

 

Message ye hai ke aap give aap na kerain aur shaytan ke khilaaf struggle kertay rahain aur phir insha-Allah khuda ki madad se aap kamyaab hon gay.

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:10th Sep 2008, 2:14pm
 

rE: Tips for Teens How to Handle Pornography

Article lenghthy hai magar buhut hi acha aur barhiya likha hai......shabash 6 stars 4 you (1 extra) ........ajse appka naam hai amazing girl hai.


Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4718  Age:  30  
Posted on:10th Sep 2008, 3:48pm
 

sooth

aap se request hai ke aak he din mein 4 new post start na kare.es se aak to aap ko dekh kar aur bhi new members aak din mein bhut saari post karna start kar de ge.

dosri baat yeh k article likhne ka sehi tareeka yeh hota hai ke one by one likha jaye.aap article ke saare parts aak he din mein post kar deti ho.aap ko kali zuban ne bhi bataya tha ke aak din mein saare part post na kiya kare.

ager aap one by one post kare gi to read karne mein sab ke liye asaani ho gi..aur members es tarha zaida read kare ge.aap khud bhi moderator hain to lehaza aap ko samujne ki zaroorat nehin.

Djxpro Group: Members  Joined: 31st May, 2007  Topic: 11  Post: 39  Age:  23  
Posted on:10th Sep 2008, 7:43pm
 

Mashallah

Bohat He Khoob Article Ha . Allah taLa Humain Seda Rasta Dekhai Burai Sa Bachnay Aur Bachany Ki Toufeek Ata farmai.. God Bless U Sister.
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:10th Sep 2008, 7:56pm
 

Soothy

very nice article . agar sab log in baaton pe ammal bhi karain to bohat hi khushi ki baat hae is chand roza zindagi k liye hum akhirat ki abdi zindagi ko dao pe laga detay hain. jok kabhi na khatamhone wali hae aur yahan to pata hi nahi aik palmain hain aur doosre pal main nahi. ALLAH PAK hum sab ko sharm O haya ki daulat atta farmaye(Ameen)
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:11th Sep 2008, 2:00am
 

sooth

very nice article...

gud dear sis

ozone Group: Members  Joined: 19th Jun, 2008  Topic: 25  Post: 1368  Age:   
Posted on:11th Sep 2008, 8:52am
 

Soothy

Tussi great OoO G .......
misha_ch Group: Members  Joined: 06th May, 2009  Topic: 1  Post: 482  Age:  25  
Posted on:6th May 2009, 5:10pm
 

gr8

wow greattttttt.......masha Allah

lakin kiya yehi artcle english main mil sakta ha  agar ham kisi ko mail main send karna chahin to keon k us ko urdu nahi aati...?????

dom_man Group: Members  Joined: 13th Mar, 2009  Topic: 75  Post: 1315  Age:  34  
Posted on:6th May 2009, 6:21pm
 

excellent

Excellent article.Very well balanced and composed. keep up the good work.

Sobia123 Group: Members  Joined: 15th Oct, 2009  Topic: 11  Post: 46  Age:  26  
Posted on:29th Oct 2009, 11:31pm
 

good work soooooth

its so sooooothing n wellll composed keep it up
Love pain Group: Members  Joined: 23rd Oct, 2010  Topic: 5  Post: 19  Age:  21  
Posted on:23rd Oct 2010, 2:07pm
 

Sooth

I'm new user can you space the topic friends.

its grea.......ttttttttttt


very nice sooth lenthy hai per great hai. ```

1
Abortion
What You Should Know About Abortion
Allergy Products
Allergy Control Products
Anemia Information
Information on Anemia
Arthritis Facts
The Facts And Details On Arthritis
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us Last Updated: 28th March 2013