Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum


  Best Food For Libido
A Diet for Increased Sex Drive and Enhanced Libido
Food For Sperm Count
Foods to Increase Sperm Count - Which Food is Right for You
Low Sexual Desire
Causes of Low Libido in Men
Increase Sperm Count
10 Easy Ways to Increase Sperm
 
     
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Search Forum
Google
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Wome Health
Men Health
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
Health Articles
Best Articles
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Request to Doctorpk : Regarding Moderatorship

Suggestions
Save Relationship
5 Things You Can Do Today To Save Your Relationship
Marriage Problems
Should I Lie to Protect the Relationship?
Relationship Advice
Relationship Advice: How To Recover From An Affair
Wedding Planning
The Best Time To Get Married
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 233  Post: 3891  Age:  36  
Posted on:22nd Jul 2011, 6:37pm
 

maximum permission

re: "apna demagh larraiye aur waada ko yaad kijiye ta k poora kiya ja saky "

mai kisi qisim ka wada kaise ker sakta hoo, mere ikhtiar mai kuch nahi hai. mujhe yaad nahi keh mai ne aisi baat ki hai, balkeh mai aisi baat ker bhi nahi sakta.

albatta mai admin ko yeh suggest ker sakta hoo keh Diplomat iss forum ka senior aur wafadar member hai lehaza ose maximum permission di jaaye. ab admin ki marzi keh os ki nazar mai maximum ka kya matlab hota hai. mera khayal hai keh maximum mai Restor permission shaamil nahi.
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 94  Post: 4449  Age:  35  
Posted on:22nd Jul 2011, 6:54pm
 

Restore

ki permission pehle kuch members ke pas hoti thi ,to ab kyoon nahi di ja rahi ? jabke ye islye achi rehti hai ke agar koi kisi ka topic bila waja delate karde ya koi replay to use restore kiya ja sake...i dont think is me koi problem wali bat hai aise permission kuch members ko dene me

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 233  Post: 3891  Age:  36  
Posted on:22nd Jul 2011, 7:16pm
 

Restore Permission

mera khayal hai keh restore ki permission kisi ke paas nahi hoti thi.

jo post delete ya edit hota hai woh sahi hota hai, os post ya thread se zaroor forum policy violate hoti hogi. aise post kerne hi nahi chahiye jis se doosro ki dil azari ho aur woh ghussa mai delete ya edit ker day.

lehaza mera mashwara hai keh restore ki permission kisi ko bhi na di jaaye. albatta agar koi najaiz edit/delete kerta ho tu os se edit/delete ki permission le li jaaye lekin restor ki permission general member ke paas nahi honi chahiye.

mera khayal hai keh koi jaan boojh ker ghalat edit/delete nahi kerta. albatta new moderator na-tajarbakari mai edit/delete kertay hai.

ziadah tar post jo edit ya delete hotay hai on ka taluq chatting, religion and sex, politics, religion and culture categories se hota hai. yeh categories intehayee ikhtelafi aur non-scientific hotay hai. lehaza iss category ke edit/deleted post ko restore kerne ki bajay in categories ko hi khatam ker dena chahiy.




alirajput Group: Members  Joined: 29th May, 2011  Topic: 15  Post: 1689  Age:  1204  
Posted on:22nd Jul 2011, 7:38pm
 

Non-Scientific Categories

Re:- "yeh categories intehayee ikhtelafi aur non-scientific hotay hai. lehaza iss category ke deleted post ko restore kerne ki bajay in categories ko hi khatam ker dena chahiy."

Bewaqoof bhai, mere khayaal se agar inn categories ko delete kiya jayega tooh

jooh apke ab tak 25,000 growing members hein unn mein se chand hazaar

bach jaye geye only to entertain medical readings, and that would not

Entertain Noor Clinic Forum, or its Silent Member Readings.. and therefore, I

think apko apki Soch badal ni chahye, in respect to Noor Clinic Forum's

expansion, even if it is "JUST A MEDICAL SITE"..

ab aap ki marzi hai keh apneye ap ke mutabiq chalain ya mere mutabiq.

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 233  Post: 3891  Age:  36  
Posted on:22nd Jul 2011, 8:13pm
 

Iss forum ka aik maqsad hai

alirajput: yaha per jo silent visitors hai woh sirf aur sirf medical category (health and sex) read kertay hai aur kuch nahi. kio keh search mai wahi pages khultay hai. os ke ilawab doosre category mai koi nahi aata aur na hi os mai koi interest leta hai. yeh sab baatai aap ko aahista aahista samajh aaye gi.

balkeh mera khayal hai keh aap ki samajh mai thori bahut aani shuru ho gayee hai jabkeh Wehshi aur Sad_Heart ke abhi oopar se guzar rahah hai. jab on ke bhi samajh mai aane lage ga tu woh bhi fazool, irritating, aur insulting comments pass kerna band ker dainge

yeh aik medical website hai yaha medical ke ilawah aur kuch nahi honi chahiye.

Sunehri & Diplomat: aap logo ko jo bhi thread restore karani ho os ke number ya title yaha likh dain. Umeed hai keh iss forum ke ba-ikhtiar log os thread ko restore ker dain ge.

Note: koi bhi member apna start kya hua post khood delete nahi ker sakta. lehaza new thread start kerne se qabal achchi tarah soch lena chahiye keh isey delete nahi kerna hai. Self delete walay post ko amooman restore ker diye jaatay hai.
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 94  Post: 4449  Age:  35  
Posted on:22nd Jul 2011, 8:48pm
 

Bwaqoof

waise mere ilam me kuch members hain jinke pas ye option hua karti thi ...khair...

filhal mere zehan me aisa koi topic nahi hai jo delate hua ho,aur jise mai restore karwana chahun...maine to ye option ka islye kaha tha,kyoonke kabhi kabhar kuch members shikayat karte hain ke unka falan topic delate kar diya kisi junior mod ne..to use restore kiya ja sake...


alirajput Group: Members  Joined: 29th May, 2011  Topic: 15  Post: 1689  Age:  1204  
Posted on:22nd Jul 2011, 9:26pm
 

Deletion of Self Created Thread

Please Janwar wali thread, Lap Band Surgery Wali Thread, Hazrat Ayesha (RA) wali threads ko delete rehneye deye, if they have not already been deleted by its Respectful Owner or Moderator.

Ek baat wazaye kar dena chahtaah tha mein idher only because its Discussed.

I was Searching a (Sexual) topic over the internet, regarding some

personal gain.. Khair, Noor clinic shot up, the search engine used once was

called "Yahoo", 2nd time around it was "Ask".. I want to bring this to your

attention that there are sites out there, that do show topics,

threads from Noor Clinic, and I can prove it to you,

or to anyone here if there is a Need.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 233  Post: 3891  Age:  36  
Posted on:23rd Jul 2011, 11:11pm
 

Bandar Ke Haath Mai Narial

logo ne noorclinic ko mazaq aur tafreeh ka zaria bana rakha hai, jab chaha thread start ker dia aur jab chaha ose delete ker dia. mai admin se request kerta hoo ke tamam new members jinhai Edit/Delete ki permission di gayee hai on se yeh permission foran wapas li jaaye. warna on ke haath mai Edit/Delete ki haisiat Bandar Ke Haath Mai Narial Jaisi hai.

aik thread aik aisa beej hota hai jo waqt ke saath saath aik tanawar darakht banta hai. aur aise thread jis mai multiple post ho os ki haisiat aik darakht jaisi hoti hai. ose delete kerna aisa hi hai jaise ke aik darakht ko kaat dena.

jin members ko yeh maloom hi nahi keh kisi bhi website ko banane, chalane ka maqsad aur tareeqa kia hota hai os ko forum per Edit/Delete option tu door ki baat hai onhai tu post ki bhi ijazat nahi honi chahiye.
alirajput Group: Members  Joined: 29th May, 2011  Topic: 15  Post: 1689  Age:  1204  
Posted on:23rd Jul 2011, 11:38pm
 

Bandar ke Haath

Sir, ghaltiya sab se hoti hein, tooh kiya app Edit/Delete options hi wapas le laingeye.. Jho galtiyaan menaye ki, menaye apse share karli aur yahi socha ke

app koi achi feed back dengeye, khair apke guzaye mein bhi menaye achi feed back nikaali hein, lekin Sir, ye tooh koi tareeka na huwa. Pir bhi, agar apko mere
paas Edit/Delete options achaye nahin lagteye, app mujse jab chahein le sakteye hein.

Itna bataadoon, ke menaye kabhi ghalat istemaal nahin kiya, beshak mein apke nazroon mein ek naya member se kam nahin!

App jab se aye hein.. apse aur Diplomate ki naye training thread se menaye kaafi kuch seekha hein. App meri history check kar sakteh hein, Kabhi bhi Ghalat istemaal nahin kiya.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 43  Post: 2608  Age:  34  
Posted on:23rd Jul 2011, 11:48pm
 

moderating options

re "albatta mai admin ko yeh suggest ker sakta hoo keh Diplomat iss forum ka senior aur wafadar member hai lehaza osemaximum permission di jaaye."

bewaqoof aap ki safarsh ka buhat shukriya ..:) laiken najany aysa q lag raha hy k main agar kisi ki safarsh karon to wo to shaid maan li jaati hay laiken agar mery bary main koi safarsh kary to uss par jaldi sy amal nahi hota .. chahy sfarash bewaqoof hi q na kar rahy hon ...pata nahi iss ki kia waja hay ?
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 233  Post: 3891  Age:  36  
Posted on:23rd Jul 2011, 11:50pm
 

Edit/Delete ka elan kerne wale member

aise member ke paas Edit/Delete ki permission nahi honi chahiye jo bar bar elan kerta phiray keh os ne falan falan post Edit/Delete ki hai. jab tak ose forum ka falsfa (Edit/Delete ka elan nahi kerna hai) samajh na aaye os waqt tak ose Edit/Delete ka option nahi milna chahiye.

re: "apse aur Diplomate ki naye training thread se menaye kaafi kuch seekha hein"

mera khayal hai keh training mukammal honey tak Edit/Delete permission nahi honi chahiye. warna rozana koi na koi problem hota hi rahe ga .... aur os ka Elan bhi hota rahe ga.
alirajput Group: Members  Joined: 29th May, 2011  Topic: 15  Post: 1689  Age:  1204  
Posted on:23rd Jul 2011, 11:58pm
 

Elan kerne wale member

Sir, Please app dekhaye around you. Yahaan par har koi jho maangraha hein more power, wooh sirf aur sirf apneye liye hi maang raha hein.

Meinaye tooh apni koi ghalti ki, tooh uska bhi etraaf karliye ke app agaye samjhaye ge ya batayngeye, lekin App sir,

koi naye baat uss mein se bhi nikal lete hein jho mein mazeed soch kar pareshaan hojaatah hoon.

Sir mein pehle bhi keh chuka hoon, Mein ek decent aadmi hoon, jho apko karna hein app karein, agar app nahin samaj teye ye hoon tooh behter yahi hein ke ya na hoon, aur agar app samaj teye hein ke ye hoon, tooh behter yahi he ke ye hoon.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 233  Post: 3891  Age:  36  
Posted on:23rd Jul 2011, 12:21pm
 

forum policy

alirajput: aap ka koi qasoor nahi. aap forum ko observer kertay rahain. waqt guzarne ke saath saath sab kuch maloom ho jaaye ga keh yaha per kia kerna hai aur kia nahi.mera zaati khayal hai keh jab aap forum ki hidden policy ko samajh len ge tu aap ko bhi maximum options mil jaaye ge.

Forum ki hidden policy
1. Forum ko khalis medical website mai tabdeel kerna
2. Non-medical material ko aahista aahista khatam kerna
3. forum per ziadah se ziadah visitors laanay ke liye forum ko SEO ke mutabiq banana
4. bazaria scientific maloomat logo ki ziadah se ziadah khidmat kerna
5. website ke zaria ziadah se ziadah rupia kamana.

yani medical ko encourage kerna, non-medical ko discourage kerna, jo kuch kerna SEO ke mutabiq kerna, relevant aur scientific baatain kerna, ziadah se ziadah rupia kamana. yahi iss forum ki policy hai.

jin logo ne bhi forum ki iss hidden policy ko samjha, os per amal ker ke khood bhi website banaya aur woh bhi bazaria website kama rahe hai.

noorclinic walo ko achchi tarah pata hai keh iss waqt internet per kon kon si website os ke competiter hai, kon kon si website os ka charba hai, kis kis website per noorclinic ka copyright material mojood hai. ose iss ki iss liye perwa nahi keh copy ker ke paste kerne wali website kabhi bhi Search Engine mai munasib position hasil nahi ker sakti.

noorclinic walay na sirf pakistani balkeh dunia bhar ke readers ko bazaria internet ghar baithay kamane ka fun sikhaney mai taawan kerne ko tayyar hai aur isay naiki ka kaam samajhtay hai. issi liye onho ne Career and Success category bhi bana rakhi hai jis mai bazaria internet ghar baithay kamane ka tareeqa per discuss kia jaa sakta hai

noorclinic ka maqsad sirf aur sirf khidmat hai. aur woh iss maqsad mai kahi kamyab hai.




System Group: Members  Joined: 03rd Jun, 2008  Topic: 39  Post: 2154  Age:  30  
Posted on:23rd Jul 2011, 8:50pm
 

alirajpoot

tum is insan ya jo bhi kahen ko naheen jante. isko maza ata hai naye aur shareef logon ko tung karke aur yeah banda naye logon pr pressure dalta hai..

this is a universal truth that a bewaqoof always remain bewaqoof.

ali bhai tum khud socho keh jab se bewaqoof ne forum join kia hai tab se lekar abtak Bewaqoof hai. koi taraqi nahee howi.

1 2>>
Womens Perfect Bra
How to Find a Perfect Bra
Proper Bra Sizing
Proper Bra Sizing: What Every Woman Should Know
Bra for Wife
How to Buy a Bra for Your Girlfriend or Wife
Bra Sizes
How to Measure Bra Sizes
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us