Is Dr. Abdul Qadeer Khan Real Hero Of Pakistani Atom Bomb? yes , Doctor A.Q Khan hi pakistan ka nuclear power inventor hay yeh credit kisi aur ko nahi diya jaa sakta iss liye k jab pakistan main atom bomb banany ki buniyaad daali gayee to aik team tashkeel di gayee thi jis main Dr. Qadir smait Dr. samar mubarik mand b shaml thy laiken iss team k head k tour par Dr.Qadeer Khan ko hi muntehab kiya geya
iss mission main aik bandy ki khuwa koshshain shamil nahi hain laiken head hony k naty sy credit to head ko hi jana hay iss liye aaj pakistan main Dr. A.Q Khan hi hero hain , laiken iss mu'ashry ki tareekh guwah hay k yeh apny mohsinon k sath hamaisha sy hi bura aur zillat amaiz salook karti aye hain
tareekh main aik name Malangi ka b milta hay jisy hum Malangi Daku k name sy jaanty hain laiken yeh banda asal main daku nahi tha issy hamari mohsin kush soch ny hi daku sabit kiya aur tareekh k aik ganaony kirdaar k tour par poori zindagi k liye masakh kar k rakh diya
yeh banda asal main tahreek-e-azaadi ka aik aham aur mutehark kaarkun tha , iss ny sab sy pehly angraiz saamraaj k khilaaf awaz-e-haqq buland ki yeh banda ghair qanooni tour par maal-o-dolat par qabiz afrad sy aur khasoosan muslim dushman quwaton sy maal cheen kar apni qom k ghurba main taqseem karta aur unhain unite karny ki koshish kar raha tha
yeh bat kisi b sorat angraiz saamraaj aur hindu baniye ko qabil-e-qabool na thi chunachy unhon ny issy Daku declare kiya aur lahore k gulbarg chowk main sar-e-aam phansi dy di , iss pr hamary mu'ashry ki be hissi daikhiye k iss bandy ki lash 3 din tak chowk main latakti rahi aur koi iss ka waali waris ban'ny ya zumma daari lainy ko tyaar nahi tha
yeh wohi banda tha jo apni bhoki nangi qom ka an daata bana howa tha yaani unn ka mohsin tha laiken choun k yeh mu'ashra shuro sy hi mohsin kush hay iss liye kisi ny b apny mohsin ki parwaa na ki aur issy lawarson ki trah hi angraizon ny khud aik gharry main phaink diya
aaj iss dour main b hum ussi mu'ashry ki baqiyaat hain aaj b hum apny mohsinon k bary wohi khiyaalaat aur jazbaat rakhty hain jo hum aaj sy 100 / 200 saal pehly rakhty thy , chunachy hamary samny koi Doctor Qadeer Khan ho ya Muhammad Ali Jinah hum mohsin kush hain aur rahain gy ..yahi hamari tareekh hay , yahi hamara haal hay aur yahi mustaqbil hoga .... |