Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Fathers Day: For The Greatest Father Of This World.

Non Medical Discussion
 
 
 
Un-leashed Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 1  Post: 123  Age:   
Posted on:20th Jun 2011, 12:26pm
 

mryam

marym tmhai msg karte hoe error araha hai,so no msg.
Un-leashed Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 1  Post: 123  Age:   
Posted on:20th Jun 2011, 12:29pm
 

maryam

phirse try kar raha hon,maryam tum kia 1000 saal pehle ki makhlok ho?internet,mobile jesi chezai do ajnabiyo ko bhi aese kareb krdeti hai,jese lakri pe lagi demak,phr wo to maan baap hai,roz vamera lagao, call karo aur hogae bat,balkey roz roz baat kar ke aesa dil bharay ga ke sab father day bhol jaogi.avoid day shuru hojaega :)) :)) :))
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:20th Jun 2011, 3:53pm
 

365 Father Days

raat ke 11.30 baje achanak mere bachcho ne kaha keh drawing room chalain. wahan jaa ker dekha keh table per aik Cake hai jis per "Happy Father's Day" likha hai. aik khoobsoorat sa haath se banaya hua Card aur aik red color ka packet jo ke gift tha mojood tha.

maloom hua keh aaj father's day hai aur meri beti ne apne haatho se din bhar painting ker ke mere liye Card tayyar kia. mere betay ki taraf se Cake ka ehtemam aur special gift ka intezam tha. Gift ke andar Shirt tha. yeh sab dekh ker aur paa ker etni khooshi huyee ke bayan nahi ker sakta.

lekin haaye re Un-Leashed ki theory. os ki theory per amal kerne ka matlab yeh hua keh:

meri beti rozana ghanto mere liye Card paint kerti rahe. 365 din mai 365 Cake ka ehtemam ho. aur sab se badi baat yeh keh 365 day mai 365 gift dya jaaye. bhayee agar aap ki theory per log rozana Father's Day mananay lagay tu phir os day ko mananay waley ko log Pagal kahain ge.

bhala aap khood hi sochain keh rozana Father's day mananay ka matlab rozana Cake, Card aur Gift. aik ghareeb family kis tarah aford ker sakti hai. isi tarah aap ki theory ke mutabiq Mother's day bhi 365 days manani pare gi.

Bhayee Un-leashed aap se guzarish hai keh aap apne Fatwa per nazar saani kar ke iss dunya ke logo per Ehsaan-e-Azeem karain


Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:20th Jun 2011, 4:10pm
 

un.leashed

sab se pehlay to aap kisi ko mukhatib karna seekhaiN us k baad kissi issue pe baat karaiN. i don't like k koi mujhay tum kahay aur us ki dekha dekhi mazeed koi yeh kaam karnay ki koshish karay. Thanx

doosri baat k hum ghareeb banday haiN mehnat mazdoori karnay walay logoN ko kahaN yeh fursat k roz video calls karaiN woh bhi mashAllah 7, 7 bachoN se :) agar aap ne apnay parents k sath daily father, mother day mana kar bhi avoid day manana start nahi kiya to inshAllah maiN bhi agar daily apni family (parents) se baat karoN tab bhi avoid day ki nobat nahi ayegi.

avoid insaan apni baatoN ki wajah se hota hae :)

Un-leashed Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 1  Post: 123  Age:   
Posted on:21st Jun 2011, 4:26pm
 

bewaqoof

dost ya to tumhai meri baat samaj nahe arahi ya phr jo muje lag hai wo ye hai tum tafreeh kr rahay ho :)) :)) :))

Un-leashed Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 1  Post: 123  Age:   
Posted on:21st Jun 2011, 4:49pm
 

maryam

alirajput u r right,hope maryam understood.

tum ghareeb ho?phr roz is site pe kese ati ho?is site ke liyai fursat nikal ati hai?phr maan baap ke liyai fursat nahe? (that is also one of the form of avoidance which i am talking about) amma mazdoorni madam kahin tum net unka use to nahe krti jinkey ghar mazdori krti ho? :)) :)) :))

net jiske pas hai uski pohonch mai video,audio,written wagera sb mojod hai,so roz na sahi weekend is available,and 7 childrens ko choro,tum apna farz nibhao.and avoid is a fact and reality,jb dil nahe krta baat ko to avoid hi kia jata hai.avoid is sense mai ke sorry i cant talk today,sorry i m busy wagera.and sorry i have time for forum but not for my parents :)) :)) :))

and last but not the least,tum kehna mera style hai not anythng else,kisi ko pasand aawaay ya na aawaay,assi fikar nahe.

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:21st Jun 2011, 4:57pm
 

Un. leashed.

aap apna style apnay paas hi rakhaiN. jitnay well groomed aap haiN aap ki baatoN se feel horaha hae. aur insaan apni baatoN ki wajah se avoid hota hae. so i,ll try to avoid u .

wese ghareeb hona to aib nahi lekin badtameez hona zaroor aib hae :)

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:21st Jun 2011, 5:02pm
 

Alirajput bhai

its ok. yahaN is qisam k log atay rehtay haiN jo cheap popularity k liye cheap harkataiN kartay rehtay haiN. jahaN tak in mausoof ki theories haiN, last day aik program meiN Dr kaamran mujahid aye huwe thay. woh PU k deen haiN. kehtay haiN k log uni level tak pohanch jatay haiN lekin unhaiN baat karnay ka saleeqa nahi ata. even k apni baat properly convey bhi nahi kar saktay. slum ppl paRh to letay hi haiN kisi na kisi tarah lekin roots se bahir nahi asaktay. Thanx for your moral support :)
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:21st Jun 2011, 5:35pm
 

Kia Islam Bad-Tameezi Sikhata Hai?

re: "tum ghareeb ho?phr roz is site pe kese ati ho?"

Un-Leashed kya Islam aik khatoon se isii tarah guftagoo ki ijazat deta hai. mera khayal hai keh aap ya tu Islam Islam kerna chor dain ya phir Islami taleemat ko samjhne aur os per amal kerne ki koshish karain. Tumhara aik khatoon se andaz-e-guftagoo etna ghatya hai keh mujhe yaqeen hi nahi aata keh tum aik Musalman ho. tum se sirf aur sirf aik sawal hai keh Kia Tum Musalman Ho?
Un-leashed Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 1  Post: 123  Age:   
Posted on:21st Jun 2011, 6:07pm
 

maryam

sirf tum kehne pe tmne mujhe itna kuch bura bhala kehdia hai,tum kehna badtameezi hai to muje ye bdtameezi manzor hai.thank u for avoiding me :)

Mod Note: sorry to say k hamaiN yeh bad.tameezi manzoor nahi k koi male meber kissi female member k saath badtameezi say pesh aa.ay. ap kissi aisay forum ka rukh kijyeh jahaaN ki intezamia apko iss baat ki ijazat day.

Un-leashed Group:   Joined: 31st Dec, 1969  Topic: 1  Post: 123  Age:   
Posted on:21st Jun 2011, 6:12pm
 

bewaqoof

acha,tumhara apne baray mai kia khayal hai?

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:21st Jun 2011, 7:08pm
 

re: Badtameezi

re: "tum kehna badtameezi hai to muje ye bdtameezi manzor hai"

Un-Leashed: ji haan aap ko tu zaroor manzoor ho ga. ham sab ko yaqeen hai.
Un1eashed Group: Members  Joined: 22nd Jun, 2011  Topic: 0  Post: 33  Age:  32  
Posted on:22nd Jun 2011, 10:35am
 

mod and alirajput brothers

alirajput brothr u dont worry,is site pe ek dosre se larna new baat nahe.mryam sis ko tang mai ne nahe kia wo khud muje bura bhala kehrahi hai dost.nd apki suggestions achi hain,i dont no baki loag ispe amal karainge ke nahe.

nd diplomate ne muje devil kaha,so mai ne usay nasehat kardi not laraye,ek baat to batao, devil kehna badtamezi hai ya achi baat hai ? :)),khair phr bewaqoof id activate hogae laraye keliyain but usay nakami hoe bcoz mei ne usay koi jawab nahe dia,so it shows who wants peace nd who want fight.anyway mod ne usay tok ke acha kaam kia.

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4655  Age:  37  
Posted on:9th Jul 2011, 8:27pm
 

Fathers day

missing my father so much today....  :(

maine kabhi Fathersday pe unke kuch special nahi kiya..islye bohat pachtati hoon ...

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4655  Age:  37  
Posted on:10th Jul 2011, 10:35am
 

alirajput

 Thanks a lot...
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 112  Post: 6589  Age:  54  
Posted on:7th Aug 2011, 12:31am
 

har khushi ka din nahi manana chahiyeh

as a muslim, hamain aisa koi din /khushi ka din nahi manaanan chahaiyeh jo

1) islamic taaleemaat ki rooh k khilaaf ho

2) mushrekeen ki "mazhabi khooshiyouN" wala ho yaa onki moshabihat main ho like easter, christmas, deeali holi etc etc

albattah in 2 categories k elawah har qism ki cultural /regional khooshiyouN k ayyam ko manaanay main koi harj nahi like usa ki azaadi ka din, bharat ki azaadi ka din, bharat main yaumay jamhooria, sports festival khaah non-muslim hi issay arrange karain etc etc

fathers day manaanaa yaqeenan koi "ghair islami" nahi hai ... manaa lo to bhi Theek nah manaa'o to bhi Theek... iskay haami ho to bhi Theek, iskay mokhalif ho to bhi theek...yaani iska deen o mazhab say koi directly link nahi... it's optional like other activities

iss reply ka maqsad sirf ali bhai k aik jumlay ki CORRECTION maqsood thi k.... Har khushi ka din, Manaana chahye, chahein wooh hamara Culture ho ya na hoon.

1 2 3>>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013