Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:25th Aug 2008, 9:24pm |
|
|
Ahamd Faraz Has Died Today Aj Hamare Mulik k Almi shuhrat yafta aur mashhoor shaer AHMAD FARAZ Sahib Intqal kar gae hain.
Allah On ko Jannat main jagah ata farmae. (AAmin).
ye topic sirf aur sirf on poetry par mushtmil ho ga. ya on k hawale se sher shamil hoon ge. |
Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:25th Aug 2008, 9:29pm |
|
|
AB K Bichhreh
ab ke ham bichhrhen to shaayad kabhii Khvaabon main milen
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon main milen
DhuuNDh ujrhe hue logon main vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon main milen
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaaN hain to kyun itane hijaabon main milen
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar main shaamil kar lo
nashaa barhtaa hai sharaben jo sharaabon main milen
aaj ham daar pe khenche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabon main milen
ab na vo main huuN na tu hai na vo maazii hai
`Faraaz',
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon maim milain
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:25th Aug 2008, 9:44pm |
|
|
INALILLAH-E-WAINA ELEH-E-RAJEOUN INALILLAH-E-WAINA ELEH-E-RAJEOUN
Its a very sad day, Fraz sab bohata chy shair hony k ilawa mulk main jamhoriat or insani haqooq k bohat bardy alamberdaar b thy, allah un ko jant naseeb fermaay, Fraz sab or faiz sab aisy shair ksi maashry ka asasa howa kerty hain, jahan ham aj kel dekhty hain k her terf keht-ur-rijal si kafiat nzer aati hay wahan hamain koi b aisa shair nai milta k jo Faraz ya Fiaz sab jesa ho...may allah belss his soul and rest him in peace! |
Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:25th Aug 2008, 9:50pm |
|
|
Utain on ki koe achhi si gazal hi post kar den...
mere to wo pasandeeda shaer the. |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:25th Aug 2008, 9:56pm |
|
|
sami144 abi i gtg.....insh kal zroor post kerounga..and wo mery b thy...jb sher smjhna shuru kiya tha unhi ko perha tha...:) |
Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:25th Aug 2008, 9:57pm |
|
|
ye merii Gazale.n ye merii nazme.n tamaam terii hikaayate.n hai.n
ye merii Gazale.n ye merii nazme.n tamaam terii hikaayate.n
hai.n
ye tazkiren terii lutf ke hai.n ye sher terii shikaayate.n
hai.n
mai.n sab terii nazr kar rahaa huu.N ye un zamaano.n kii
s'ate.n hai.n
jo zindagii ke naye safar me.n tujhe kisii roz yaad aaye.N
to ek ek harf jii uThegaa pahan ke anfaas kii qabaaye.N
udaas tanahaa_iiyo.n ke lamho.n me.n naach uThe.ngii ye
apasaraaye.N
mujhe terii dard ke alaavaa bhii aur dukh the, ye jaanataa
huu.N
hazaar Gam the jo zindagii kii talaash me.n the, ye jaanataa
huu.N
mujhe Khabar hai ki terii aa.Nchal me.n dard kii ret
chhaanataa huu.N
magar har ek baar tujh ko chhuu kar ye ret rang-e-hinaa
banii hai
ye zaKhm gul_zaar ban gaye hai.n ye aahe.n-sozaa.N ghaTaa
banii hai
ye dard mauj-e-sabaa huaa hai ye aag dil kii sadaa banii hai
aur ab ye saarii mataa-e-hastii ye phuul ye zaKhm sab tere
hai.n
ye dukh ke nauhe ye sukh ke naGme.n jo kal mere the vo ab
tere hai.n
jo terii qurbat terii judaa_ii me.n kaT gaye roz-o-shab tere
hai.n
vo teraa shaayar teraa muGannii vo jis kii baate.n ajiib sii
thii
vo jis ke andaaz Khusro-vaanaa the aur adaaye.N Gariib sii
thii.n
vo jis ke jiine kii Khvaahishe.n bhii Khud us ke apane
nasiib sii thii.n
na puuchh us kaa ki vo diivaanaa bahut dino.n kaa uja.D
chukaa hai
vo kohakan to nahii.n thaa lekin ka.Dii chaTTaano.n se la.D
chukaa hai
vo thak chukaa hai aur us kaa teshaa usii ke siine me.n ga.D
chukaa hai
|
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:26th Aug 2008, 12:23am |
|
|
re
Uetianبھائی۔
اللہ ان کی مغفرت فرمائے۔ بہت اچھے انسان تھے، ساری عمر حق کے ساتھی رہے اور
جبر کے خلاف بات کی۔ لیکن اچھا ہی ہوا جو وفات پا گئے۔
آپ کے لیے ایک شعر عرض ہے۔
عابد! یہ آدمی کی
اذیت کا دور ہے
اچھے رہے وہ لوگ، جو پہلے ہی مر
گئے
|
Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:26th Aug 2008, 4:17pm |
|
|
ankh se door na ho... aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to Dar jaayegaa tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa Duubate Duubate kashtii to ochhaalaa de duu.N mai.n nahii.n ko_ii to saahil pe utar jaayegaa zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz' zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa |
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 2:41am |
|
|
Sami bhai Khali Faraza Sahab ke shair parh parh k khush hona koi sahih baat nahin... Kya aap ko Ahmad Faraz sahab ke afkaar ka ilm hai? Kya ap ko maloom hai k woh Pakistan mein kaisa nizaam chahtay thay.....
Aap ke liye Ahmad Faraz sahab ki guftagoo ka kuch hisa paish e khidmat hai... Jo unhoon ne Capital Talk mukhtalif programs mein Hamid Mir ke saath guftagoo mein kaha...
احمد فراز: پہلے تو میں ان وکلا کو سلام پیش کرتا ہوں، جنھوں نے اس تحریک کو
شروع کیا۔انصاف اور عدل کے لیے انھوں نے یکجہتی کا مظاہرہ کیا۔اور ایسے وقت میں سب
لوگ ان کے ساتھ ہیں۔آپ نے دیکھ لیا ہو گا جلوس جو ستائیس گھنٹے میں ایک جگہ سے
دوسری جگہ پہنچا۔قطع نظر اس کے، یہ بشری صاحبہ نے جو فرمایا کہ شاعر کا کام۔۔۔۔۔
ایک وقت آتا ہے کہ ایک شہری کی حیثیت سے، شاعر تو ہوتا ہے، لیکن ایک انسان، ایک
شہری کی حیثیت سے اس کی کچھ ذمہ داریاں ہوتی ہیں اور اس مین دھارے میں اسے آنا
پڑتا ہے۔ جب سٹالن گارڈ پر حملہ ہوا تھا نازیوں کا، تو اس وقت کسی کے پاس درانتی
تھی تو وہ لے کے آیا، کسی کے پاس کدال تھی تو وہ لے کے آیا، اس طرح دشمن کا مقابلہ
کرتا رہا۔آج وہی صورت ہے، ایک دشمن کا مقابلہ ہم نے کرنا ہے۔
حامد میر: دشمن کون ہے؟
احمد فراز: جرنیل ہیں ہمارے، یہ ہمارے دشمن ہیں۔ہر پانچ سال بعد آ جاتے ہیں۔
اور میں انھیں غدار سمجھتا ہوں، اس فرد کو بھی اور اس جماعت کو بھی جو کسی فوجی
حکومت کی حامی ہوتی ہے یا اس کے ساتھ مل جاتی ہے۔ وہ اپنے لوگوں سے غداری کے برابر
ہوتی ہے۔تو اس لیے میں سمجھتا ہوں کی شاعر کا اس سے بھی زیادہ، یعنی وہ صرف یہ
نہیں کی گھر میں بیٹھ کے، کونے میں بیٹھ کے کالم لکھ لیا اور اس کی کچھ قیمت لے
لی۔ایک وقت وہ آتا ہے جب شاعر کو جان ہتھیلی پر رکھ کر آگے آئے۔ لوگ یہ نہ سمجھیں
کہ یہ صرف گفتار کے غازی ہیں، کردار کے نہیں۔۔۔۔
Ahmad Faraz sahab ne 3 November ki emergency k khilaaf apnay bazoo per patti bandh kar , Shahra e Dastoor per Media k saath kharay ho kar 8 9 ghantay naaray lagaye... Us moqay per unhoon ne Kya kaha... zara ghour farmaiye....
احمد فراز: کل ایک منسٹر سے، میں نے۔۔ ہوٹل میں میرے۔۔ وہ آئےتھے مجھے ملنے کے
لیے۔ میں نے کہا میں تو اس سے ہاتھ بھی نہیں ملانا چاہتا جو اس حکومت کے ساتھ ہے
اور فوج کے جرنیلوں کے ساتھ ہے۔ فوج کا اور کام ہوتا ہے۔ ہر کوئی اپنا کام کرے۔۔
سرحدوں پر تو لڑ نہیں سکتے۔ ہر جگہ شکست کھاتے ہیں۔ ٹرائبل ایریا والے پکڑ کر لے
جاتے ہیں ویپنز کے ساتھ ان کو اور کچھ نہیں کر سکتے۔ یہاں ایک مسجد پر دھاوا بول
دیا تو جی بڑا کارنامہ کیا۔ اور میرا خیال ہے کہ ہم زندہ رہیں گے یہ (جرنیل
حکمران) نہیں رہیں گے۔
Ab Aap khod faisla kar lein.. Agar aap Ahmad Faraz sahab ko Pakistan ka qoumi asaasa samajhtay hien tu aap ko ghour karna ho ga k woh sari umer kya kehtay rahay.. Kya aap un ke baqool khod ko ghadaron ki fehrist mein shamil karana chahtay hein... Faisla aap ko khod karna hai....
Ya aap bhi Hitman bhai ki tarah Ahmad Faraz sahab ko Baikaar, Beghairat or Pakistan ka dushman qaraar de kar bas bait bazi mein hisa lena jaari rakhein ge..... Think about it...
For further reference, watch Capital talk, 26h of August 2008.
Agar aap ko online nahin mil raha tu mujhay bata dijiye ga, mein aap ko link de doon gi.. Aap Faraz sahab ke alfaaz khod un ki zabani sun lijiye ga... Shayad ALLAH aap k dilon mein lagi girahein khol de....
|
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 3:06am |
|
|
Faraz ka aik shair Faraz sahab ka aik shair jo Waziristaan operation k baad unhoon ne kaha...
برباد کر کے بصرہ و بغداد کا جمال
اب چشمِ بد ہے جانبِ خیبر لگی
ہوئی
غیروں سے کیا گلا ہو کہ اپنوں
کے ہاتھ سے
ہے دوسروں کی آگ، میرے گھر لگی
ہوئی
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 3:53am |
|
|
Ahmed Faraz ki yaad main Nazam dulhan thi teri ghazal teri mehbooba
Alvidaa Ahmed Faraz ja tujh ko Khuda sonpa |
Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 3:14pm |
|
|
Seemi aapi Uetianبھائی۔
اللہ ان کی مغفرت فرمائے۔ بہت اچھے انسان تھے، ساری عمر حق کے ساتھی رہے اور جبر کے خلاف بات کی۔ لیکن اچھا ہی ہوا جو وفات پا گئے۔
aap muje to kehti hain just nazryati ikhtlaf hay lakan aap to syasi behs ko dil par le bethi hain. ye topic main ne shuru ky atha aur aap ne Utain31 ko special mukhatib kar ke kaha hay Allah Faraz sahib ki Magfrit farmae. aap hi bata den dil par koun le raha hay?? |
sweetie
|
Group: Members Joined: 13th Jun, 2008 Topic: 11 Post: 509 Age:
33
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 5:37pm |
|
|
Inna Lillah..... ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jaain,
Faraz aao sitaray safar ke dekhtay hain. |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 5:57pm |
|
|
sami144 Mohterm is main itna jelous hony wali kya baat hay...seemi g ne jis reason se kaha hay wo yehi hay k Faraz saab ne saari umer Dictatorships k khilaaf lerty guzaari hay...jb k aap or baqi aap jesy log aik dictator ki andhi takleed or mohabbat main Faraz sab k msg ko smj nai paay......u mught like him as romnatic poet but he was a symbol of ongoing strugle against dictatorship and human rights! one thing is common b/w me and seemi is that we both hate dictators and those who wana kill inocent ppl by force....jbi unhoun ne mjy mukhaatib kiya tha... |
Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 7:36pm |
|
|
Utaian31
Utane31 mind ur language!!! agr main ne seemi se koe bat kahi hay to aap ko takleef kyun ho rahi hay?? aap to hamesha Dictator ship ka hi rona rote raho ge. aur hahil kuch nahi ho. aap jo America ko aur Musharaf ki dosti ko itna Bura bhal akeh rahe the, muje to ab pata chala hay tum b America k ...edit...... agr itna hi tum mulk k khair khawa ho to aao mulk main aur karo Falah-o-behbood k kam. sirf chatting karne se mulk main jamhooryat nahi aae gi.
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 7:45pm |
|
|
@sami144
so sad...i was not expecting such a rubish langg from an educated ENGINEER, khr meri post main itny ghtya words aap ki shan main nai hain jitny ap ne mujy kehy hain.....its ok..main apni zaat pe hony wali ksi ghtyaa baat ka bura nai manata...or jahan tek rehi amrica k tukroun pe palny wali baat to mohterm iam here to work!!! not here to claim SOCIAL SECUTIRY BENIFITS, i work and get paid, agr halal treeqy se kamana ksi k tukroun pe palna hay to wt do u think of ur self??? or main ne kbi aap ko ye nai kaha k aap mushrraf ki jitni tareefain kerty ho kya us se maang k khaaty ho?? aap main or muj main bs yehi furq hay k aap perh likh k b jahil ho and iam atleast EDUCATED, rest main ne apni post main reason btai thi jo k i think seemi b aap ko bta daingy.....or jahan tek rehi mulk main aak refaahi kamoun ki baat to....jb Allah ko manzor howa insh wo b ker lounga...lakin us k liy mjy ksi k mshwary ya ksi musharraf k supporter ki ghatyaa langg ki zroorat nai hay!!!!
|
Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 7:51pm |
|
|
utain31 I am sorry jo itne din aap se kissi b mozzo par behs hoe hay. aap ki meri soch main Zameen AAsman ka farq hay. aap ki sab se barhi kamzori ye hay keh aap apne aap ko buht zyada aqal mand samjte hain.
I think keh aenda hamen Kissi mozoo par behs karne ki zroorat nahi..
Good .................................... Bye |
Red Chilli
|
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4962 Age:
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 7:55pm |
|
|
Sami uncle & Utain uncle Ooh hoooooo ye kia aap dono larai kyun ker rehe hain?
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 7:57pm |
|
|
@sami144 bhai aap ko kahan se aisa feel howa k i think k main bohat barda aalim faazil houn, kya kbi main ne aap ki taalemi ya knowlge ko pin point kiya k aap jahil ho etc ect, soch k furq ka ye mtlb nai k ksi ko gaalian dena shuru ker dain....haan main itna zroor kahounga k although iam younger thn you but atleast muj main itni capacity hay k i can bear wtevr u can thow on me...main en hemesha aap k point of view ki respct ki hay...aik julma b aisa meri saaari posts main se le aao k jis main main ne tumhaari kahin se b insult ki ho to i promiss i will quit this forum forevr!!! ye aik merd ka wada hay!!! main ne to bhai hemesha aap ko respect se mukhatib kiya hay i always start with word "mohterm" i think u dont know the meaning of this word..or is k ilawa aap ko meri uper wali post main aisa kya bura lga jo ap ne itni ghtiyaa batain kien mery baary main....or us k bawajood i nver said a single word kuin k mjy ksi se koi zaati dushmani nai hay...lakin aap ne iasy keh k apna aap expose ker diya hay k aap un logoun main se ho jin ki jb daleel khtm hojati hay to wo thn ghtiyaa batoun pe utr aaty hain..... |
Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 7:59pm |
|
|
Larhae... pata nahi os ne muje jelous Kaha aur muje Gussa aa gya. main kabi kissi pe gussa nahi huwa. shaed kissi ne muje jelous b nahi kaha. main jelous hota b nahi. hamesha khush rehta hoon. ye syasat ne bore kar dya hay. |
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 >> |
|