Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 9:45pm |
|
|
Sami bhai Aap ne ghalat samjha.. woh post mein ne Uetian bhai ke liye hi ki thi, or us ka mqasad yeh tha k jab hum loug Faraz sahab ki baaton ko samajh nain saktay, un per amal nahin kar saktay tu phir un k shair parhnay ka kya faida...
Faraz sahab ne jis waja se sari umer mushkilein uthayi.. Jila watan howe.. un k ghar ka saman utha k bahar phaink diya gaya... aap ne us ki reason maloom ki... Un k kya khayalaat thay... Aap un ko bhi samajhnay ki koshish kijiye...
Faraz sahab Faiz or Habib Jalib k baad fouji hukmaranon k khilaaf aik mazahmati shayir ki hasiyat rakhtay hein.... Aap sirf un k romantic shair na parhien. Un k baqi khayalaat se bhi istefaada hasil karein..
Agar aap ko meri waja se dukh howa tu sorry... Mein Uetian bhai ki taraf se bhi sorry bol deti hoon because its your topic or hamein aap ka topic kharab nahin karna chahiye....
Mein ne last page per aap k liye bhi aik post ki thi.. shayad aap ne woh nahin parhi... Aap woh bhi parh lein or phir yahan reply kijiye ga... Shayad aap ko faraz sahab ki koi baat samajh aa jaye..
|
Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 9:50pm |
|
|
seemi aapi aap ko sorry karne ki zroorat nahi hay. aap jo kaha hay wo sab theek hay. aur main ne aenda es forum pe syasast k bare main REDCHILLY jesa moaqaf apna lya hay. bas parha karn ga. aur likhon ga kuch b nahi. baqi jitne b topic hain on pe aap jo marzi kahen lakan syasat k ley sorry. |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 9:58pm |
|
|
@sami144 Bhai meri ksi baat se aap hurt hoy houn to iam sorry..meri ya seemi ki ksi se koi zaati dushmani nai hay....ham logoun ka nazriyaati clash hay and evryone has his own right to stick wid wt he thinks is right, lakin insan ko her ksi k respect ka pehlo zehan main rukhna chy.....or i assure u k now onwards i wont even reply to ur topic...lakin aap ne agr koi aisa topic shuru kiya jis main i feel k mjy bolna chy to i will.....coz its an open forum, or jahan tk aap ne kaha k u wont reply to syasi topiics,,,,its ur choice...all we can say is k u hv right to express ur views but plzzz dosroun k jzbaat ka b khyaal rukhian.... |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:31st Aug 2008, 4:44am |
|
|
Ahmed Faraz ki yaad main 1_Jeewan zehar bhara sagar
kab tak amrit gholengay
neend to kiya ayegi Faraz
maut aai to so laingay.
2_ Suna hae zindagi imtehan leti hae Faraz
par yahan to imtehanon ne zindagi leli. |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
35
|
|
Posted on:31st Aug 2008, 8:58pm |
|
|
one thingg.. dukh tu buhat hai....
pur i got confused one thing... I have read it some where here kay faraaz died about 3-4 weeks ago.. and listen to news that he died 2 days agooo.. |
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:31st Aug 2008, 9:57pm |
|
|
Nikama uncle 3 4 weeks pehlay un ki death ki khabar ghalat report hoi thi.. woh us waqt USA mein hospital mein thay.. lekin phir Pakistan aa gaye or un ka inteqqaal 25th of August 2008 ko howa..
ALLAH un ki maghfirat farmaye.. ameen
|
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
35
|
|
Posted on:31st Aug 2008, 10:27pm |
|
|
okk .. thanks seeemi..
main samjaa tha kay shya d do faraaz hotay hoon kaheen... |
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:31st Aug 2008, 10:34pm |
|
|
nikama uncle shukar hia aap ko samajh aa gayi warna aap ne do do Ahmad Faraz bana diye thay..
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:25th Aug 2009, 1:22pm |
|
|
ahmad faraz ki barsi aaj Ahmed Faraz ki pehli barsi hai |
made4u
|
Group: Members Joined: 12th Aug, 2008 Topic: 12 Post: 443 Age:
|
|
Posted on:25th Aug 2009, 2:44pm |
|
|
In the memory of Ahmed Faraz. As u know friends famous urdu poet Ahmad faraz is no more. he died on 25th august 2008. In his memory i want to share his 1 beautiful ghazal with u.
Dost ban kar bhi nahin saath nibhaane waalaa Wohi andaaz hai zaalim ka zamaane waalaa
Ab isse log samajhtay hen giraftaar meraa Sakht nadim hai mujhe daam men lane waalaa
Kya kahen kitnay maraasim thay hamaare is say Wo jo ik shakhs hai munh pher k jaane waalaa
Tere hotay huay aa jaati thi saari duniyaa Aaj tanhaa hun to koi nahin aane waalaa
Muntazir kis ka hun Tuti hui dehleez pe main Kaun aayegaa yahaaN kaun hai aane waalaa
Main nay dekhaa hai bahaaron men chaman ko jaltay Hai koi Khwaab ki taabiir bataane waalaa
Kyaa Khabar thi jo meri jaan men ghulaa hai itnaa Hai wohi mujh ko sar-e-daar bhi laane waalaa
Tum taqalluf ko bhi ikhalaas samajhte ho 'Faraz' Dost hota nahin har haath milaane waalaa… |
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 >> |
|