Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Quran & Hadith dos n dont Download
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

question regarding tafseer and isalmic book

Religion and Culture
 
 
 
sabrina1 Group: Members  Joined: 13th Mar, 2013  Topic: 24  Post: 65  Age:  29  
Posted on:22nd Aug 2013, 1:48pm
 

question regarding tafseer and isalmic book

Asalaam o Alaikum bros/sisters, 1- I just started reading tafseer cud u let me know Quran-e-Pak ki tafseer may her ayat ki explanation kioun majood nahi hay?
2- How to know which islamic books are good and have authentic information? 3- any suggestion of islamic book for knowing more about basics of islam? really appreciated.
jazak ALLAH khair
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 120  Post: 7195  Age:  54  
Posted on:22nd Aug 2013, 11:53pm
 

Quran

Walekum Assalam Wa Rahmatullah Wa Barkaatahu

1. sab say pahlay yeh jaan lijyeh k Allah ka kalaam yani Quran majeed asalmaiN wohi hai jo arabic maiN maujood hai. koi bhi tarjumah ya tafseer arabic quran = Allah k kalaam k equvalent nahi hai aur nah hosakta hai... arabic quran ka 100% exact tarjumah kissi bhi zobaan maiN impossible hai

2. lekin chouNkay ham ajami mosalmaan arabic seekhnay ki taarf tawajjah nahi detay to hamari "zaroorat" ko poora karna k liyeh quran k motarjmeen nay mukhtalif languages maiN quran ki tarjumaani (tarjuma nahi) karnay ki koshish ki hai.

3. koi bhi tarjuma apni jagah mokammal nahi kahla sakta... taaham aisa tarjumaa behtar jana jata hai jo reader ko quran ki asal rooh say qareeb tar kar sakay. aur jo ahaadees maiN maujood quranic tashreeh say ham ahang ho

4. agar aap quran ko paRhna aur samajhna chaahti haiN to pahlay issay awwal taa aakhir kissi bhi 1/2/3 translations k zariyah 2 chaar martabah complete kijyeh. kiyouNkay quran ki bahoot see ayaat ki tashreeh khud quran maiN doosri jagah maujood hai... aur hir quran k 30 parouN k translations ko baar baar paRhlena ossi tarah asaan hai jaisay arabic quran k naazera ko mokammal karlena... jabkay tafseer start to har insaan karleta hai magar issay complete karna ... awwal taa aakhir mokammal karna har kissi k bas ki baat nahi... phir aik aam aadmi ko taweel tafaaseer ki zaroorat bhi nahi hoti

5. ahmara mashwarah hai k pahlay aap pooray quran k sirf tarjumay ko at least do teen baar read kijyeh. phir sahih bukhari aur sahih muslim ki summary ko do yaa teen baar read kijyeh... iss say apko basic islamic knowledge mil jayega... jo mushkil moqaamaat (ayaat yaa ahaadees) aayaiN, onhaiN markkarlaiN aur phir kissi aur tarjumah say inka matlab dekh laiN... yaa jahaaN zaroorat pesh aa.ay wahaaN tafseer dekh laiN

5. quranic aayaat ki bila tashreeh Topic wise classifications aur sahih bukhari k jumlah ahaadees ki summary k liyeh www.paighamequran dot com ko bhi dekha jasakta hai jabkay quran aur ahaadees k topic wise awaamir o nawahi (dos n donts of quran n hadees) k liyeh yahaaN visit kijyeh. insha Allah kam say kam waqt maiN zeyadah say zeyadah quran o ahaadees ki taaleemaat say aagaah hosakengi
http://www.scribd.com/doc/147293634/%D9%82%D8%B1%D8%A2%D9%86-%D9%88-%D8%AD%D8%AF%DB%8C%D8%AB-%DA%A9%DB%92-%D8%A7%D9%88%D8%A7%D9%85%D8%B1-%D9%88-%D9%86%D9%88%D8%A7%DB%81%DB%8C
sabrina1 Group: Members  Joined: 13th Mar, 2013  Topic: 24  Post: 65  Age:  29  
Posted on:23rd Aug 2013, 9:42am
 

sir myrizvi

asalaam-o-alaikum

3- koi bhi tarjuma apni jagah mokammal nahi kahla sakta... taaham aisa tarjumaa behtar jana jata hai jo reader ko quran ki asal rooh say qareeb tar kar sakay. aur jo ahaadees maiN maujood quranic tashreeh say ham ahang ho

sorry i didn't get u any example will help me in better understanding?

4- This is my shameful act, i did not get time to read quran with full 30 parah translation/understanding.

Do you mean, every company/publishers have different translation or meaning?
How about reading Quran-e-Pak with word by word translation, i found that in local da rul islam store.

It would another great favour for me. If u help me in making a right plan in my this journey.
  1. Daily read Quran-e-Pak with translation 2-3 times
  2. Read sahih bukhari and sahih muslim hadees reference, 2-3 times
  3. tajweed/translation or better understanding
  4. learn arabic
  5. hifaz
note: And in this whole process mark question if any, ask family/friends/co-workers/online communities, search and learn.

5- Which arabic i should learn, modern standard arabic, Qur'anic arabic, or colloquial arabic?

I know basics what islam is and what we should not but i realize many of my concepts are missing or info is not authentic.

Now the thing is, if i Google or look videos/lectures, every lecture/video teach me something different and i don't know who is right or wrong. (as far as i know, my this feeling is because i did not get help from hadees book) [I mean, some people give very good explanation/logical answer of everything according to Islam how do they do that?]

In short, as per your knowledge you suggest take help from Quran/Hadees in every aspects of world/life, -> (learning arabic is better ) then search -> Learn -> ask -> share -> and leave reset to ALLAH.

One thing come in my mind, learning arabic and then Quran Hifz is best than reading tajweed... correct me if i am wrong?

thanks for scribd and paighamequran site
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 120  Post: 7195  Age:  54  
Posted on:23rd Aug 2013, 10:39am
 

tarjuma e Quran

1. Quranic arabic is so rich k aksar o beshtar ayaat k kaii kaii meanings hotay haiN...balkay aik aik word k bhi several meanings hotay haiN... translations ki "majboori" yeh hoti hai k aik sentence ka tarjuma bhi aik sentence hi maiN likha jata hai word by word translation maiN bhi aik word ka aik hi alternate translation likha jata hai... issi liyeh sirf urdu language maiN more than 90 translation chup chukay haiN... aur yeh saray translations aik doosray say kaheeN nah kaheeN balkay aksar ayaat maiN different bhi hotay haiN ... iskay bawajood kissi bhi aik mostanad tarjumah say aik common muslims islam ki basics easily jaan sakta hai... aur jahaaN kaheeN mushkil pesh aa.ay wahaaN other translations /tafseer say rajoo karaiN yaa kissi aalimay deen say raabita karaiN

2. Quranic arabic seekhni chaahiyeh... jo kissi darul aloom, islamic adaaray ki quranic arabic sikhlanay ki institute say seekhni chahiyeh.... waisay to hifzay quran ki bhi baRi ahmiat hai...lekin Quranic arabic seekh kar quran aur sahih ahaadees (like bukhari n muslims) ko arabic maiN paRhkar seekhnay ki salahiyyat haasil karna iss say afzal hai.

3. taaham agar koi dunyaa daar mosalman k pass etna waqt /wasaail nahi hai k woh mokammal quranic arabic seekh kar quran o hadees ko samajhay to oskay liyeh kam az kam yeh bhi kaafi hai k taraajum ki madad say quran k 30 paray + at least bukhari+ muslim ki tamaam kutub ki ahaadees ki talkhees hi paRh lay... bukhari ki original9 volume haiN taaham summary maiN 1/2 volume maiN bhi book mil jati haiN.

4. ap daily at least 1/4th para (or one complete para) naazirah +tarjuma paRhiyeh aur issi k saath saath bukhari ko bhi 15 /30 mintues dijyeh. in donouN kaam k liyeh 1-2 hrs daily minimum kaafi hai... onkay liyeh jo islamic madarsouN /darul aloom ki bajaa.ay aam schoolcollege k students houN yaa rahay houN

5. google etc to aik common muslims ko gomraah karsakta hai k iss maiN to ghalat+sahih etna mixed up hai k aik common student iss maiN tameez kar hi nahi saktaa...

Allah apka haami o naasir ho ... aap few days paighamequran aur paighame hadees ko paRh kar dekhiyeh agar simple aur easily samajh maiN aanay lagay to continue kijyeh warnah koi aur mostanad tarjuma dekhiyeh... scribd walay dos n donts ko at least aik baar to paRh kar dekiyeh apkay ilm maiN bahoot izafah hoga... baar baar paRhnay say zehan nasheen bhi hoga... yeh bahoot mukhtasar aur to the point hai aur aik aik sentence (quran /hadees) ka refernece maujood hai...jahaaN koi moghaaleta /mushkil pesh aa.ay original ki taarf rajoo kijyeh

Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 233  Age:  20  
Posted on:23rd Aug 2013, 4:52pm
 

Sabrina

Agar aap itni willing hoto ap keci islamic institute q nahi jati hain?? Mje keci aalima ne ye kaha tha k Quran itna rich hay k hme khud se tafseer parh kr samajh lena nahi chahey. Or googling to waqai gumrahi ka rasta hay ye keci bh wqt apko trap krskta hay. Isi forum py 1 ayat ki tafseer parhny ka mujhay kaha gya mene jab keci aalima se ruju kea to main heran thi k 1 he ayat main se kitnay maslay nikal rhe hain or wohi tafseer kehlati hay. Ab to jaga jaga institutes khul chukay hain aap waha se tafseer start krn khud ghar main beth kr sach much zara bhi samj nhi ati qk humara darja na cheez se bhi nechay ka hay:p main to apko yhi khn gi k ghar main prhny se behtar hain k aap keci madrasay jaa kr tafseer sekhain ta k gumrahi k chances kam hon
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 120  Post: 7195  Age:  54  
Posted on:24th Aug 2013, 12:01am
 

Jazal Allah Bint hawa

well said ...deen seekhnay ka asal /best tareeqah yehi hai k olemaa /deeni adaarouN ki baqaidah shagirdi ikhteyaar ki jaa.ay
sabrina1 Group: Members  Joined: 13th Mar, 2013  Topic: 24  Post: 65  Age:  29  
Posted on:24th Aug 2013, 2:40am
 

bint hawa

@bint hawa u r right, but right now joining an institue is bit difficult for me as i live in a town side and all good institutes are far away from my home and if i go to the city side then it takesme almost 1-2 hours in just travel (going and then coming back to home).

i have a plan to shift from here lets see. thanks for suggestion
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 233  Age:  20  
Posted on:24th Aug 2013, 3:58pm
 

JazakAllah sabrina n myrizvi

Sabrina Allah apko ap k naik maqsad main kamyab kre or mujhay bhi isi maqsad main kamyab kre:) aameen.
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 233  Age:  20  
Posted on:24th Aug 2013, 3:58pm
 

JazakAllah sabrina n myrizvi

Sabrina Allah apko ap k naik maqsad main kamyab kre or mujhay bhi isi maqsad main kamyab kre:) aameen.
1
 
 
 
Pakistani Student In Harvard University  Medical School Admission Story  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013