nikaah maiN wali ki marzi islamic shariyat maiN kaNwari laRki ka nikaah oskay wali (parents) ki marzi k beghair nahi hosakta... jabkay muliqah ya bewah k nikaah maiN khatoon ki marzi ko oskay wali par fauqiyat haasil hai... Allah nay mardouN ko hukm diahai k woh apni aurtouN (laRkiyouN) k nikaah kia karaiN... aurtoun konahi kahaa k woh khud nikaah karlaiN apna...
1.tum apni aurtoun k nikaah mushrik mardouN say kabhi nah karna (Al-baqarah-221)
2. shauher deedah (bewah /mutliqah) aurat ko apnay nafs par apnay wali say zeyadah haq aur ikhteyaar hai (kanwari ko nahi)...behqi
3. kanwari knikaah say qabal iski razamandi haasil kijaa.ay... khamoshi bhi ijazat hai (muslim)
wallaho aalam bissawab |