s4u walekum Assalam,
agreed k jadoo barhaq hai ... lekin ham aksar har nah hosaknay walay kaam k baray main khud say hi yeh tay karletay haiN k ham par yaqeenan kala jadoo howa hoga aur phir iss (allegedly) jadoo ka asar khatam karwanay k liyeh ghalat qism k aamiloun k chakkar maiN phans kar apni dunya o aakherat kharaab kar letay haiN
above case rishtah nah honay say motalliq hai... namazay istikharah aur iski dua iss baray maiN behtareen raastah hai... agar koi jadoo etc howa bhi to Allah k fazal say khatam hosakta hai... jab bandah /bandi direct Allah say rajoo kar lay to kissi jadoo ka toR karnay walay pesha war aameleen ki help ki zaroorat nahi rahti albattah mustanad aalimay deen say rajoo kia jasakta hai... quran ki aakhri do soortoun (alfalaq, al.naas) ka wird bhi jadoo ko khatam karnay ki ahliyat rakhta hai
wallaho aalam bissawab |