Taqaiyaah
taqaiyaah ek istelaah khud sakhta hai jis ki buniyad yeh li jati hai k Ibrahim AS aur un ki bivi ko jab ek zalim badshah ne pakar liya jis ka asool tha k behan bhai ko chor deta aur shoher biwi hon to shoher ko qatal ker k biwi ko apnay haram main daal leta tha wahan jab Ibrahim AS se us ne poocha to Aap AS ne fermaya k hum dono behan bhai hain jis per us en un dono ko chor diya is qisay main ikhtilaaf hai kiun k isi qisay ka doosera rang ye hai k jab us badshah ne jab SAIRA AS ki teraf ghalat iraday se qadam berhaya to us ko Allah ki teraf se rukawat aai aur us ka jisam maflooj ho gaya aisa 3 baar huwa aur us en jan liya k AAp AS ek naik hasty hain us ne Aap AS se muafi mangi aur HAJRA AS jo k us ki kaneez thin SAIRA AS ko hadiya ker diya HAJRA AS Ismail AS ki walda thin ab ager Ibrahim AS ne jhoot bola to phir yeh kia kahani hui aur ager yeh kahani sach hai to woh kahani kahan se aai is ka matlab k TAQAIYA kisi bhi terah se ya kisi bhi nabi k waqat main islam ka hisa nhi tha is liye TAQAIYA ko fiqahi ikhtilaf kehna ghala hai kiun k ikhtilaf us waqat hota jab Nabi SAW ki hayat main kisi ne ais akiya hota is terah k masail ki sdaqat sabit kernay k liye jo bhi hawalay diye jatay hain woh tareekhi hain shiraai nhi ahal e tashi fiqha k mutabiq koi bhi iradah, shahadat, waqeaa, feraz , hata hakumati ya shiraai kam jis per aap ka dil mutmaeen na ho TAQAIYA ker k ki ya mani ja sakti hai jab k ager Ibrahim AS k hawalay ko bhi man liya jai to woh jhoot jan bachanay k liye tha aur us main na to Nabi SAW ne ya Bani Israel ki riwayat main usay TAQAIYA kaha gay ahai ya is s emumaslat ka koi lafaz use kia gaya hai riwayat main hai k Ali RA ne Abu bakar RA ki bait 6 month k baad ki jis ki wajah ye biyan ki k Fatima RA ki nasazi e taba ki wajah se na aa sakay jab k ehal e tashee kehtay hain k Ali RA ne woh bait TAQAIYA ker ki thi is k hawalajat k liye HAQ UL YAQEEN aur bohat si kutab miojood hain |