Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please Exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
    Start New Topic  My Profile
 

Marny K Baad Aisal E Sawab

Religion and Culture   >>   Pray and Dua
 
 
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 263  Age:  22  
Posted on:14th May 2013, 8:39pm
 

Marny K Baad Aisal E Sawab

Assalam o alaikum. Mera ye sawal hy k agr koi shakhs fout ho jy to usko aisal e sawab phnchaya ja skta hy mehrbani kr k mje jawab dejy, agr phnchaya ja skta hy to unki conditions kia kia hoskti hn
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7862  Age:  56  
Posted on:15th May 2013, 3:39am
 

eesaal.e.sawaab

Walekum Assalam Wa Rahmatullah Wa barkaatahu!

aksar olemaa ka iss baat par ajmaa hai k badani ebaadat (jaisay namaaz, rozah etc) k sawaab ko kissi marhoom k liyeh eesaalay sawaab nahi kia jasakta... albattah maali ebaadaat .... jaisay sadqah, khairaat, hajje badal, marhoom k naam par sadqah e jaaria walay kaam jaisay masjid ki tameer, water well, deeni madaaras ki taameer, osmaiN maali taawun, quran o hadees kutub ko shayaa karna etc etc k zariyah iska sawaab marhoomeen ko eesaal kia jasakta hai. marhoomeen k liyeh duaa e maghferat mk zariya bhi onhaiN faidah pahnchaya jasakta hai

lekin

yeh jo hamari society maiN horaha hai k marhoomeen ki wafaat k baad ... quraan khawaani k zariyah... jiss main mohallah k logoun /ya masjid /madarsah k students ko bolwaa kar ... onhain paisay /khanaa khelwaa kar quran khatam karwaa kar iskaa eesaal marhoomeen ko pahonchanaa to ... iss bid'at ki tasdeeq dauray awwaloon (dauray resaalat o sahabah) say nahi hoti...

wallaho aalam bissawab
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 263  Age:  22  
Posted on:15th May 2013, 11:41pm
 

jazakAllah

Kia Qurani ayaat ka jo sawab milta hy use agr hum marhoom ko bhijwa dn kia ye ghlt hy?? Jese dosre amli kaam hn.. Iska bh jawab de dejy. Or ye bh kaha jata hy k Quran ka 1 hurf prhny se 10 nekiyan(not cnfrm) milti hn.. In nekiyon ko kia hum aisal e sawab nhi phncha skty marhoom ko?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7862  Age:  56  
Posted on:16th May 2013, 4:55am
 

Tilawat e Quran

1. aik sahih hadees k motaabiq quran k aik aik harf /letter (word /lufz nahi) ki tilawat par 10 naikiyaan milti haiN... quran ki qirrat aur quran ki tilawat main faraq hai... ham ajmi (arbi nah jannay walay) amooman sirf qirat /reading kartay hain jaisay urdu medium gharanay ka koi bacha baa baa black ship ...have u any wool type poems ko sirf read karta hai... samajhta kuch nahi ... jabkay aik angraiz ka bachaa yeh poem parhta hai to at least word to word meaning jaanta hai...agar in detail poetry ko nah bhi samjhya to ....... quran ki telawat ka matlab issay samajh kar paRhna hai aur quran ki telawat par 1ik harf k badlay 10 naikiyaan hain.... qirat par yaqeenan kam hongi (sawaab milega zaroor) ... lekin matloob quran ko samajh kar paRhna hai...bay samjhay paRhna nahi

2. jaisa k ooper likha gaya hai ... iss baray maiN go olemaa mai ikhtelaafay roy hai...lekin aksar olemaa iss baat say mottafiq hain k eesaalay sawaab sirf maali ebaadaat ... sadqah, khairaat, haj, omrah nk sawaab ko kia jasakta hai... bahoot see sahih ahaadees main iska tazkerah hai

3. badani (ghair maali) ebaadat... jaisay namaaz, rozah, telaawatay quran etc k sawaab ko eesaal nahi kia jasakta ... ahaadees main iska koi tazkerah nahi miltaa ... albattah ...

4. dua (jo aik ghair maali ebaadat hai) kay baray main kaseer ahaadees maujood haiN k marhoomeen ki maghferat k liyeh dua zaroor karnni chahiyeh. Allah marhoomeen k liyeh ki gayee duaoun ko qabool karta hai

wallaho aalam bissawab
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 263  Age:  22  
Posted on:18th May 2013, 8:12pm
 

???

To kia samajh kr parha jany wala quran k sawab aisal kea ja skta hy?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7862  Age:  56  
Posted on:19th May 2013, 9:57am
 

samjh kar quran parhna

1. issi ko telaawat karna kahtay haiN.. aur issi tarah yaani samajh kar aik letter telaawat karne par 10 nakiyaN milti hain as per hadees

2. badni ebaadaat like telawatay quran k eesaal e sawaab par olemaa ki 2 roy haiN. kuch kahtay hain k issay bhi eesaal kia jasakta hai lekin mostanad tareen olemaa ki aksariyat k motaabiq aisaa nahi hotaa. agar apko kissi marhoom ko eesaalay sawaab bhejna ho to maal kharch kijyeh. oski taraf say Allah ki raah maiN sadqah kijyeh... jin elaaqou main paani easily dastyaan nah ho wahaan tube well /kunwaaN khod.waiyyeh... masjaid madarsah k ikhraajaat maiN share daaliyeh yaa quran o hadees with translation chapwaa kar logoun maiN taqseem kijyeh... insha Alllah confirmed hai k eesaalay sawaab zaroor hoga. unconfirmed eesalay sawaab ka risk lene say behtar hai k confirmed eesalay sawaab karain... takay kal rozay hashar ap ko apnay on marhoomeen k saamnay pashemaani nah ho...agar woh kahaiN k hamaiN to koi sawaab nahi bheja aapnay :)
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 46  Post: 2536  Age:  50  
Posted on:20th May 2013, 4:57pm
 

esaal e sawab

kuch nekiyan ya feraiz ki adaigi zati hoti hai

namaz perah ker, rozay rakh ker , quran perah ker kisi ko sawab nhi diya ja sakta

mernay walay ka umrah badal kiya ja sakta hai

lekin ager mernay walay ki aulad jo bhi naik kaam kerti hai us ka sawab mernay walay ko milta hai kiun aulad ki ye ibadaat baap ya maan ki terbiyat ka aser hota hai

yeh nhi k aulad quran perah ker kahy k ek quran ka sawab us k baap ya maan ki pohnch jai

aur jesa aj kal drama hota hai k merny walay ki qabar per kisi bhi madrasay walon ko pesay de ker hafiz bitha diye jatay hain mernay walay ki qabar per k perah ker usay bakhshain

humaray muasheray main ibadat aur nekiyon ka tasuwar hinduwana aqaid se mumaslat kerta huwa hai

jis terah hindu pooja kerwa ker mernay walay ki rooh ko shanti dilwatay hain usi terah hum ne bhi yeh bidaat bher li hain anay seedhay saadhay deen main

islam k mutabiq jo bura kerta hai usay qayamat tak aur qayamat k baad bhi us ka azaab milay ga

yeh nhi ho sakta k sari zindagi insano ko musalmano ko takleef di aur aakhrat main usay yeh bakhshay huway quran bacha len gay

aisa kuch nhi aur mernay k baad musalmano ki bohat beri taadad is haqeeqat se ashna ho jati hai lekin wapis aa ker kisi ko bata nhi sakti

isi liye shirak aur bidaat ki bhermaar hai jo behkaai rakhi hai

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7862  Age:  56  
Posted on:21st May 2013, 4:23am
 

jazak Allah wehshi bro

well explained
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 263  Age:  22  
Posted on:21st May 2013, 8:08am
 

JazakAllah

:)
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 263  Age:  22  
Posted on:21st May 2013, 5:54pm
 

Myrizvi n wehshi sb???

To phir jo ajkal scols main Quran bghair smjhy bacho ko hifz krwaya ja ra hy wo bh thek nhi kia? Uska bh nhi sawab milta hoga? Jab bghair smjhy Quran prhny ka sawab nhi milta. Plz mere sawal ka jawab dejy.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7862  Age:  56  
Posted on:22nd May 2013, 3:32am
 

Hifzay quran

1. yeh kissi nay nahi kahaa k beghair samjhay quran parhnay ka sawaab nahi milta, paRhnay walay ko ... beghair samjhay qirat karnay par bhi sawaab milta hai lekin "telawatay quran ka sawaab aik haraf = 10 naikiyaaN" wali hadees maiN 10 naikiyaan quran ko samajh kar (arabic seekh kar yaa with translation) parhnay sya motalliq haiN... bin samjhay qirat karnay ka bhi yaqeenan sawaab hai lekin yeh 10 naikiyou say yaqeenan kam hoga...ketna? yeh Allah hi behtar jaanta hai

2. hifzay quran aik bahoot baRi sa'aadat hai... Allah nay laakhouN huffazay quran k zariyah quran ko lufz bah lufz taa qayamat mahfooz rakhnay ka zariyah banaaya hai... jiss k seenay maiN poora quran hifz ho aur woh issay saari zindagi mahfooz rakhnay k liyeh issay dohrataa rahay (with sahih imaan + bunyadi faraaiz ki bajaa awri aur bunyaadi haraam say bachtay howay) ... aisa haafizay quran nah sirf khud jannati hai balkay rozay hashar woh apnay saath apnay waledain ko bhi jannat maiN lay janay ka zariyah banega... ahaadees maiN huffaze karaam ki baRi azmat bayaan ki gayee hai.

3. huffaz e karaam ka ezaaz sirf quran k lafz bah lafz yaad rakhna hai...yehi onka fareezah hai...amooman huffazay karaam aalimay deen, mufti, mohaddis, deeni scholar nahi hotay (exceptions hosakti hai) ... issi tarah olemaa e karaam, deeni scholars, mufti, faqeeh, mohaddis .... quran k haafiz nahi hotay...onhaiN topic wise quran ki ayaat yaad to hoti haiN, yeh bhi pata hota hai k kiss baray maiN quran maiN kahaaN kahaan kia kia kaha gaya hai ... lekin woh Alhamd say wannas tak poora quran biltarteeb yaad nahi hotaa

4. waisay agar hifzay quran k non-arab students hifz karnay say qabal arabic language seekh laiN (jaisay arab students ko hifz say pahlay hi arabi language to aati hi hai) to hifzay quran ka darjah bahoot boland hojayega... yeh indo pak k maujoodah huffaz say bahoot behtar hoga k woh awaam ko poochnay par yeh bhi batlaa sakengay k falaan falaan topic par quran maiN kia kia likha howa hai

5. waisay chand choTi soortaiN hifz karna to har mosalmaan par FARZ hai hi k beghair soortaiN yaad kiyeh namaaz kaisay paRhengay... khaha onhaiN in soortoun ka matlab maloom ho ya nah ho ... namaaz maiN paRhi janay wali darood, tasbeehaat etc ka matlab maloom ho ya nah ho...namaaz to adaa ho jati hai...lekin agar matlab maloom ho to namaaz main yaqeenan bahoot concentration hog, lutf aayega aur sawaab bhi zeyadah milega

wallaho aalam bissawab



Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 263  Age:  22  
Posted on:22nd May 2013, 12:28pm
 

I'm confused:(

Jab bghair smjhy Quran prhny ka sawab 10 nekio se kam hy to un kam nekiyo ka sawab bh to phnchaya ja skta hy as aisal e sawab. Ap phir ye q kh re hn k bghair smjhy wala aisal nhi kea ja skta
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7862  Age:  56  
Posted on:23rd May 2013, 2:58am
 

confusion

meri request hogi k ap above all replies ko aik baar tasalsul say paRh laiN... sari baat clear ho jayegi insha Allah

1. telawatay quran k sawaab, khaah samajh kar parha jaa.ay ya be samjhay...10 naikiyaaN milaiN yaa iss say kam...yeh sirf aur sirf paRhnay waly ko milti haiN... yeh naiki non-transferable hoti haiN ... like namaaz, rozah etc k ... mokhtasaran youN bhi samajh lain k non-financial naikiyaaN (jissay urdu maiN badani ebadat ...namaaz, rozah, telawat e quran etc bhi kaha jata hai) non-transfeable (naa.qaabilay eesaal) hoti haiN

2. sirf maali naikiyaaN (haj, omrah, sadqah, khairaat etc) hi transfer (eesaal) ki jasakti haiN ... (yehi ajmaa.ay ummat hai ... yaani aksariyati ulemaa ki roy)

wallaho aalam bissawab
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 263  Age:  22  
Posted on:24th May 2013, 8:29am
 

:)

Hehehe.. Thanks mje ab dbara prhny se smj aa gai hy:p thanks..
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7862  Age:  56  
Posted on:25th May 2013, 7:54am
 

aik aur misaal

1. hamaray pass 2 qism ki daulat hoti hai ... aik hamari apni ability /salahiyyat (jiss say ham daulat kamaa saktay haiN) aur doosray kamayee howi property (maal o daulat etc) ... ham apni property to kissi ko gift karsaktay haiN lekin apni ability kisi ko gift nahi karsaktay

2.issi tarah apni ability /salahiyyat say ki jaanay wali naikiyaaN (like telawate quran, namaaz, rozah etc) kissi ko gift (eesaal) nahi karsaktay ... albattah daulat say ki janay wali naikiyaaN (like sadqah khairaat, omrah, hajj etc) ham apnay marhoomeen ko gift (eessal) kar saktay haiN :)

wazah rahay k jo naikiyaaN eesalay sawaab ki jati haiN... oska sawaab naiki karnay walay ko bhi milta hai...aur jissay eesaal kia jaa.ay ossay bhi ... yaani aik ticket maiN 2 mazay :)

wallaho aalam bissawab



Hayya Group: Members  Joined: 09th Apr, 2012  Topic: 0  Post: 42  Age:  39  
Posted on:25th May 2013, 9:03am
 

marnay k baad esaal e sawab

above replies ko quran e pak maiN iss tarah bayaan kiya gya hae.

Surah Al baqarah 141. Yeh ummat hae jo guzar chuki, jo unhoN ne kiya un k liye hae aur jo tum ne kiya tumharay liye, tum un k amaal k baray maiN sawaal na kiye jaogay.

surah Najam 38-39. koi kissi ka bojh nahi uThayega . insaan k liye wohi kuch hae jiss ki uss ne sa.ee ki.

Surah Fatir 18. koi bhi bojh uThanay wala doosre ka bojh nahi uThayega agar koi garaaN baar doosre ko apna bojh uThanay k liye bulayega to woh uss maiN se kuch bhi na uThayega go qarabat daar hi ho.

Ahadees ka mafhoom hae. jiss ka amal uss ko peechay choR gaya uss ka nasab issay agay nahi baRhayega.

2. marnay k baad bhi insaan ko jin 3 cheezoN ka sawaab milta hae 1. naik aulaad, 2. sadqa e jaaria, 3. ilm (bhalai)

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7862  Age:  56  
Posted on:26th May 2013, 5:17am
 

Jazak Allah Hayya sis

well said and explained ... issay kahtay haiN samandar ko koozay maiN band karna :)
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 263  Age:  22  
Posted on:26th May 2013, 10:48am
 

Myrizvi sahib apse 1 or sawal.

Kia ap ye bat ahl e sunnat wal jama'at k ulma k ijma se mutaliq bta re hn?? Jahan tak meri soch hy ahl e sunnat wal jama'at k ulma ka ijma is bat py hy k tilawat e quran ka bh aisal kea ja skta hy..
Bint hawa Group: Members  Joined: 21st Mar, 2013  Topic: 16  Post: 263  Age:  22  
Posted on:26th May 2013, 10:48am
 

Myrizvi sahib apse 1 or sawal.

Kia ap ye bat ahl e sunnat wal jama'at k ulma k ijma se mutaliq bta re hn?? Jahan tak meri soch hy ahl e sunnat wal jama'at k ulma ka ijma is bat py hy k tilawat e quran ka bh aisal kea ja skta hy..
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 131  Post: 7862  Age:  56  
Posted on:27th May 2013, 4:44am
 

ajmaa.ay ummat

haa haa yeh aik acha joke hai ... ahlay sunnat waljamaat k ulmaa ka ijmaa ... phir ahlay tashee k ulmaa kaijmaa bhi hoga, ahlay hadees k ulemaa ka ijmaa bhi hoga ... alaa haazaa al qayaas :)

maiN ajmaa.e.ummat ki baat kar raha houN ... jiss maiN kitaab o sunnat k baad

1. kholfaa e rashedeen aatay haiN
2. ashrah mobash.sharah aatay haiN
3. sahabah karaam aatay haiN
4. taabe'een aatay haiN
5. tabbah raa.be.een aatay haiN
6. aur oskay aad say lar ab tak k olemaa ki aksariyati roy aati hai

insab ka majmoo'a ajmaa.e.ummat hai.

sunni, shia, barelwi, deubandi, ahlay hadees etc etc ... islam insab firqouN ki amad say pahlay say thaa aur mokammal thaa... wohi deen hamaray liyeh hujjat hai aur asal hai

wallaho aalam bissawab
For More Detail Click On Page No: 1 2  >>
 
 
 
Pakistani Singer In Malaysia  How To Fill Out A Job Application  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us