Deen e Kamil
اليوم اكملت لكم دينكم و اتممت عليكم نعمتي ،،،،،،،الخ
آج ھم نے تمھارے لۓ تمھارا دین کامل کر دیا اور
اپنی نعمتیں تم پر پوری کر دیں اور تمھارے لۓ اسلام کو دین پسند کیا-
سورۃ
المآئدہ آیت # 3
Aaj hum ne tumharay liyay deen kamil ker diya aur apni nematain tum per puri ker den aur tumharay liyay ISLAM ko deen pasand kiya SURA AL MAIDAH AYAT # 3 Nabi SAW ki zuban e mubarek se yeh alfaz ada honay k sath hi islam main her terah k izafay ya kami ak derwazah band ker diya gaya Ab jab yeh kaha gaya k DEEN KAMIL KER DIYA to is ka matlab yeh huwa k 1-KALMA TAYABAH LAILAHA ILALLAH MOHMMAD UR RASOOL ALLAH aakhri kalma ban gaya qayamat tak is main koi izafa ya kami deen se kharij kerde gi chahay who izafa AQEEDAT ki buniyad per ho ya kami bughaz ki buniyad per, chahay who izafa Nabi SAW k alfaz se liya jai ya QURAN se kisi bhi terah qabil e qabool nhn 2-NAMAZ Is se pehlay aur is k baad jab tak NABI SAW is duniya main rahay unhon ne 5 namazain muqarara auqat main ada ken Ab ager is tadad main koi izafa to kya keray ga ager kami keray ga to who bhi islam main qabil e qabool nhn hai 3-ZAKAT Nabi SAW ne apni hayat e mubarka main aur charon Khulafa ne Aap SAW k baad usi nisaab se ZAKAT wasool ki jo Aap SAW ne waza'a kiya tah us main koi kami beshi ki gunjaish na thi aur na hai ager koi keray ga to who bhi islam main qabil e qabool nhn 4-ROZA Ramzan ak aik ehtram aur tamam hadood o quyood Nabi SAW ne her terah se khol ker biyan ferma din aur koi aisi bat nhn chori jo samajh na aai Is liyay ab ager Ramzan k Roza k liyay koi bhi rad o badal kiya jai to islam main who qabil e qabool nhn ho ga 5-Hajj Hajj aik aisa satoon hai deen ak jo k FARAZ E AAID nhn balkay FARAZ E ISTITA"AT hai yani agerkisi main financially itni himat nhn k HAJJ ker sakay to who is FARAZ se bari hai jab k baqi tamam feraiz ilawa zakat k jo k zehani , qalbi aur jismani hain un se koi aur kisi bhi terah ka ferar nhn Ab ager hajj k liyay koi bhi taghayur kiya jai ya mashair e muqadsa k baad samjha jai k haj mukamal nhn to yeh bhi islam main qabil e qabool nhn Asal bat yeh hai k is ayat mubarka k baad koi naya deen , naya firqa , ya koi naya nazriya islam main nhn ban sakta job hi firqa banay ga who islam se baher ho ga kiun k islam to aik mukamal deen aur zabta e hayat hai is main juz to ho saktay hain lekin tafreeq nhn ais anhn ho sakta k kisi aik amal ko aik firqa gunah manay aur doosera sawab Islam main jo sawab hai who sawab hai jo gunah hai who gunah hai jo halaal hai who halaal hai jo haraam hai who ahram hai sab k liyay Allah ka Quran aik aur Nabi SAW ki hayat e tayba bhi aik hi hai jo k humaray samnay hai AHADEES ki shakal main Ager koi insaan , musalman sachay dil se Quran aur Ahadees s erehnumaai chahay to koi bhi ghalat ya mangherat hadees perhtay hi us ko dil main ehsa sho jai ga k yeh Quran se ya Nabi SAW ki hayat se match nhn kerti Is k liyay kisi khas ilam ya feham ki zaruret nhn bas insane k dil main Allah se sachi lagan aur Nabi SAW ki mohabt ho 1-2 misalain deta hun 1 hadees hai k Nabi SAW ne fermaya k koi bhi shakhas MAKKAH ki teraf munh ya peeth ker k peshab ya rafaa hajat na keray Usi k neechay Abdullah Bin Omar RA ki riwayat hai k " main aik din chat per cherha to dekha k Nabi SAW Makkah ki teraf peeth kiyay peshab ferma rahay hain sath brecket main likha hai k Abdullah bin Omar bachay thay ho sakta hai k unhain ghalt fehmmi hui ho Yeh hadees perah ker to insane samjh jata hai k Makkah ki teraf munh ker k peshab kerna mana hai lekin yeh riwayat perah ker sahi musalman samjh jata hai k yeh riwayat bhalay Abdullah bin Omer jesi mohtram hasti se mansoob lekin yeh mangherat aur jhooti hai jis se Nabi SAW ki zat e ba berkaat ko ghalat rang den aaur Abdullah bin Omer ko mashkook kern ahai Isi terah bab e ghusal main aik hadees hai k Kisi k ghusal se bachay huway pani se ghusal na kero kiun k us se safaai to ho jai gi lekin PAKI hasil na ho gi Isi k neechay Um e Salma RA ki riwayat hai k " Main Nabi SAW k ghusal k bachay huway pani se ghusal ker leti thi Yeh riwayat bhi hadees k khilaaf hai Ager meray jesa aam feham insane yeh samjh sakta hai k yeh riwayat jhooti aur mangherat hain to beray beray deen k jughadri bethay kya ker rahay hain kiun nhn aisi mangharat hadeeson aur riwayaton ko nikal detay SAHAAI SITTA main se takay deen ka sahi rukh samnay aai aur ishkalat ka khatma ho Ho sakta hai kuch ahadees itni deep hon k un k baray fesla kerna mushkil ya na mumkin ho lekin aisi riwayat jo samnay hain sab k yeh to 2 misalain hain pata nhn kitni hongi aisi jo logon ko gumrah kerti hain aur gher muslim kam ilam musalmanon ko behkatay hain aisi riwayat suna ker
|