wafa1 |
Group: Members Joined: 11th Jan, 2011 Topic: 5 Post: 33 Age:
25
|
|
Posted on:19th Mar 2012, 2:10am |
|
|
koi to batlaye !!! dil bohat udas hai........miyan ji ko janey kya soojhi ke doosri shadi kar baithey...pehle pehal to bohat sab ne hamein mazloom sabit karne ki koshish mein sar pe charhaya ..magar joon joon baat purani hoti gai woh nai mohtarma "inn" aur hum "out" hotey gaye .....phir kahan ki mazloomiyat aur kahan ka zulm iss khatye mein to sabhi jurm hamare nikley(pehli bv jo thehre)ab qissa kuch youn hai ke woh mohtarma har saal aik nadir namoona iss dunia mein la rahi hain aur hum ko apna mutaqbil khatre mein nazar aa raha hai ..baghair koi qasoor hotey huye bhi apne paon asman aur zameen k darmiyan muallaq mehsoos ho rahe hain ....koi veerani se veerani hai ......dil mein tor phor....mustaqbil k andeshe.......bachon ka saath ........aur miyan ji ka doosri bv k har naye bachey k sath hi badalta rawaiya ....koi achha maqool hal ho to bataye iss situation ka plzzz.
|
stranger_1 |
Group: Members Joined: 15th Oct, 2009 Topic: 6 Post: 103 Age:
32
|
|
Posted on:19th Mar 2012, 3:03am |
|
|
sad to know! Wafa,
Sad to know about your story, do you have any children?
|
wafa1 |
Group: Members Joined: 11th Jan, 2011 Topic: 5 Post: 33 Age:
25
|
|
Posted on:19th Mar 2012, 4:11am |
|
|
yes stranger i have 2 kidz masha Allah...
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 13 Post: 885 Age:
25
|
|
Posted on:19th Mar 2012, 6:58am |
|
|
wafa sis as salam oalikum
kaisi hain aap ? aap ka masla koi itna bara masla nahi hai sis jo hona tha ho gaya . or aap us p koi ahtjaj b nahi kar sakti ku kay aap kay hubby na dosri shadi k hai nikah kai hai jis ki usay ijazat hai qanonan b or sharean b or daikha jay to ye koi buri bat b nahi magar buri bat tab hai jab wo dono wifes kay darmian insaf na kar sakay agr aap kay sarth wo na insafi kar rha hai to allah ki hukum adoli kar rha hai or aap kay huqoq ghazab kar kay gunah ka murtakib tehar rha hai ....
ab aatay hain aap kay maslay kay solution ki taraf : sis aap agr job kar sakti hain to job kar lain koi teaching wagaira is se aap ka zehan b bat jay ga or financialy b aap ko masla nahi rahay ga or dosra aap adam tahafuz ka shikar b nahi hon gi...kay agr aap kay hubby nay hath khainch lia to aap kay kids ka kia hoga ......duahon main yad rakhiye ga jazak allah khair
|
stranger_1 |
Group: Members Joined: 15th Oct, 2009 Topic: 6 Post: 103 Age:
32
|
|
Posted on:19th Mar 2012, 7:36am |
|
|
@wafa mashaALLAH u got kids too, phir kis cheez ka dar hai...
Dekhein aap kay husband ney 2nd marriage ki hai, yeh oos ka haq hai, aap sirf itna karo kay ussey khush rakho, apney aap ko waisa banaa kar rakho jaisa ussey pasand hai... woh aap ko bhi pyaar dey ga, ignore nahi karey ga cuz aap oos kay bacho ki maa hain..
Job is a good idea but husband sey permission ley lo, agar woh ijazat deta hai tou zaroor karo, but do not do anything that he do not like... because ab competition hai, aap ki sautan majood hai ab, ab har koi aap ka aur aap ki sautan ka comparison karta hoga, so dont do anything foolish jis sey aap ko sab bura samjhein..
achey achey kaam karo, husband ko khush rakho, lets be positive, sab theek ho jaey ga inshaALLAH!!
|
alon.bird |
Group: Members Joined: 05th Sep, 2010 Topic: 4 Post: 69 Age:
22
|
|
Posted on:19th Mar 2012, 9:24am |
|
|
Aduu say raghbat-e-pyhm hai yar ko lekin . . . . . Hamen hai saaniha-e-ittefaaq mein rakha So sad. . . You should show him greater care and affection than your raqeeb |
wafa1 |
Group: Members Joined: 11th Jan, 2011 Topic: 5 Post: 33 Age:
25
|
|
Posted on:19th Mar 2012, 12:22pm |
|
|
Glamour , stranger alone bird! Aap logon k positive mashwaron k liye bohat shukria......main jaanti hoon k union ne kuch gunah nahi Kia....... Aur main ne iss baat ko le k unhein kabhi tang bhi nahi Kia ...pehle pehal to sab mere sabar ki misal dete they... Jiss larki se shadi ki uss ki shuhrat kuch khas achhi na thi iss liye sab mukhalfat kar rahe they shadi ki aur phir uss ne shadi se pehle mere hubby se talluqat rakh k kafi paisa waghaira khaya tha unn se...... Lekin shadi ho janey k do/ char saal baad ab sab ne uss ko accept karna shuroo kar dia hai ..... Mujhe iss baat pe Iteraz nahi hai Lekin dukh iss baat pe hai k jab main kisi ko kuch nahi kehti aur sabki madad karne ki koshish karti hoon husband ka bohat khyal rakhti hoon .... Bachon ko hamesha baap ka famanbardar banaya....phir yeh kahan ka insaf hai k uss aurat k naye bachon ki amad k sath hi meri aur mere bachon ki taraf se nazrein phairna shuroo ho jayein...... Hum log USA mein hotey hain aur yahan k qanoon k mutabiq do shadian nahi ki jaa sakti..... Other wife is in pak my hubby visit her once a year.....aur doosri baat yeh k main bohat saaf aur saada nature ki aurat hoon I don't like muqabla bazi ya khud ko ouncha sab it karna main nature k khail ad nahi jaa sakti apne sab farayiz poore karti hoon jahan tak ho sake hear kisi k kaam aati hoon koshish karti hoon k sadhi aur sachi baat karoon..... Phir bhi mujhe Ur mere Bachon ko yeh zehni azziyat kion bardasht karni par rahi hai? And yes I'm looking for a job .....
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 13 Post: 885 Age:
25
|
|
Posted on:19th Mar 2012, 10:10pm |
|
|
wafa sis as salam oalikum
kaisi hain aap .....abhi main aap ko ziada detail main reply nahi kar sakti ku kay time short hai or mujhay job p janahai bas mukhtasiran itna kahon gi kay aap chay ab sonay ki ban jaho ya jo b kar lo aap wohi makam p raho gi jis p ho us ki chah main apnay aap k ona thakaho .agr wo mahil hota hai to well nd good warna qapnay aap ko mitii main milanay ki koi zarorat nahi hai ........apnay aap ko himat o hoslay se aagay barhao .......koi job kar lo takay kids ko koi mushkil paish na aay.......... or allah se dua karo kay wo aap kay liye aasanai paida karay .......ek or bat aap ko bata don kay ye us shaks ki aazmahish hai aap ko pata hai kay dosri shadi ek aazmahish hoti hai mard pul e sarat p chalta hai agr insaf nahi kar sakta to pal pal gunah ka murtakib hota hai or aap kay husband b usi gunah kay murtakib ho rahay hain ....aap kasrat se allah se rehan or madad mango inshallah azo jal aap ko khud ki is parayshani se nijat mil jay gi or hosla rakho kids kay liye un ki khatir jeena seekho ......ok m going now fee aman allah
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 107 Post: 5585 Age:
53
|
|
Posted on:20th Mar 2012, 12:26am |
|
|
Jazak Allah glamour for for ur nice n positive reply, as usual ... masha Allah ... keep it up.
|
wafa1 |
Group: Members Joined: 11th Jan, 2011 Topic: 5 Post: 33 Age:
25
|
|
Posted on:20th Mar 2012, 3:32am |
|
|
W.S Glamour sis !!! aap k mufeed mashwaron ka bohat shukria ....aap ne bilkul sahi kaha k mujhe apne bachon k liye strong ban'na hai ......main janti hoon k yeh aik aisa rishta hai jiss ko na to koi badal sakta hai aur na hi mujh se chheen sakta hai (Allah k siwa)....aur aap ki iss baat se bhi main ittefaq karti hoon k do shadiyan kar k insaf na karne wala shakhs kabhi sakoon se nahi reh sakta ..... |
|