UsmanMkw
|
Group: Members Joined: 30th Sep, 2011 Topic: 6 Post: 29 Age:
19
|
|
Posted on:15th Mar 2012, 2:19pm |
|
|
Hindi or Urdu ? Iss website per kai jaga likha hua hai 'sex edu in hindi and urdu' ya 'sex edu in hindi' . Me ye puchna chahta hun k agar doc ne kisi bhi jaga hindi ka koi word use nahi kia ya koi esa article start nahi kia then why Sex education in hindi while urdu is used everywhere ? I want to request to the owner to remove this world 'Hindi' from this website Is. Anyone ageed ? |
H.A.S
|
Group: Members Joined: 16th Dec, 2011 Topic: 3 Post: 471 Age:
19
|
|
Posted on:15th Mar 2012, 10:13pm |
|
|
Usman M janab.... Hindi aur Urdu ek dosre se bahout mail khati hai......Aur ye bhasha itni yaksaa hai ki aap se main abhi hindi bhasha main baat kar raha hu ais vartamaan main lekin ye aap ko pta nai tha...........Brother mere kahene ka matlab ye hai ki jise urdu bolna aati hai wo hindi bol skta hai aur vice versa......But likhne nai aaye gi aur jise urdu nai aati wo urdu font ko read bhi nai kar skta but yaha tu urdu k liye bi eng font use karte hai na.......And bro....Yaha par hindi aisliye likha gaya hai q ki yaha bahut se indian bhi hai main khud bi hu aur yaha urdu bahut kam states main raaiej hai so aun visitors or membars ki aasani k liye wo likha gaya hai....
|
yashfeen
|
Group: Members Joined: 17th Nov, 2011 Topic: 5 Post: 664 Age:
26
|
|
Posted on:15th Mar 2012, 11:49pm |
|
|
hindi or urdu agreed with h.a.s
agr aam lehje me baat ki jaye tu dono taqriban same hai
lkn usmanmk ji yanha pure hindi ka use kare tu kisi ki samajh me nahi aayega :) |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:16th Mar 2012, 7:14am |
|
|
urdu n hindi donouN bunyaadi taur par aik hi zobaan hai
urdu ... arabi rasmul khat maiN liki jati hai. urdu, arabic aur persian k letters /alphabets almost same same haiN
Hindi ... deu.naagri rasmul khat maiN lkihi jati hai ... hindi, bengali, gujrati k letters /alphabets miltay jultay haiN
agar urdu aur hindi donouN ko "roman english" (jaisa k iss forum maiN ham sab likhtay haiN) maiN likhi jaa.ay to donoun maiN koi faraq baqi nahi rahtaa.
issi liyeh iss forum ko urdu aur hindi donoun kaa jasakta hai ... hindi india ki qaumi zoban hai, jiski population 1.3 billion hai... lehaza yeh forum roman maiN honay ki wajah say indian population ko bhi attract karta hai
kissi bhi language say tassub /nafrat nahi honi chahaiyeh. har aik ko apni zobaan say mohababt zaroor karni chaahiyeh magar doosroun ki zobaan say nafrat nahi. hindi india ki zobaan ha... indian movies hindi language maiN hoti haiN, jissay pakistani baray shauq say dekhtay haiN...kiyounkay bolnay main hindi aur urdu ka faraq khatam hojata hai, jaisay roman main aa kar urdu aur hindi ka faraq khatam hojata hai.
|
UsmanMkw
|
Group: Members Joined: 30th Sep, 2011 Topic: 6 Post: 29 Age:
19
|
|
Posted on:16th Mar 2012, 5:35pm |
|
|
Pure Hindi ??? ye pure hindi ka kia mean hai ? Or language kabhi pure ya impure bhi hua karti hain kia ??? Meray khyal se agar iss website per sex edu for indians likha jata to behtar hota. Q k indians roman urdu 100% samajh saktay hain. Agar urdu hindi 1 hi language hai to isay alag alag q likha gya hai site per ? |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 112 Post: 6589 Age:
54
|
|
Posted on:18th Mar 2012, 2:43am |
|
|
urdu hindi 1. bahoot pahlay urdu hi ki tarah likha jata tha
2. bahoot baad maiN hindu beraadri nay hindi rasmul khat ko urdu say change karkay maujoodah deunaagri rasmul khat maiN likhna start kia
3. "pure hindi" ka matlab hai iss maiN sansakrat k ilfaaz ki bhar.maar ho ... "asaan hindi" main aisaa nahi hotaa
4. "roman urdu" ho yaa "roman hindi" ... yeh donun same same haiN... naam say koi faraq nahi parta... indians hindi naam ko pasand kartay hain aur pakistani urdu naam ko...
5. apki tajweez say bhi koi faarq nahi parega...apko bhi hindi lufz say tassub nahi baratna chaahiyeh
|
yashfeen
|
Group: Members Joined: 17th Nov, 2011 Topic: 5 Post: 664 Age:
26
|
|
Posted on:20th Mar 2012, 7:20pm |
|
|
nice reply myrizvi sir mashaallah se apko language ki bhi khasi malumat hai |
|