Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:24th Jul 2007, 4:25pm |
|
|
Wazoo: Kin Bato Se Wazoo Nahi Toot-ta
1. Barhana (nude) hone ya apne sharamgah ko hath lagane se wazoo nahi toot-ta hai. 2. letne ya taik laga kar baithne se wazoo nahi toot-ta hai. 3. kisi bachche ko barhana dekhne se wazoo nahi toot-ta hai. 4. Nude picture dekhne se wazoo nahi toot-ta hai. lekin aisi picture dekhna gunah hai lehaza behtar hai keh dobara wazoo kar lia jai. 5. kisi ke samne trouser ko ghutne so oopar karne se wazoo nahi toot-ta hai. lekin aisa karna gunah hai. 6. shoes ko dobara pehenne se wazoo nahi toot-ta hai. 7. sharamgah ko hath lagane se wazoo nahi toot-ta hai. albatta hath dho lena chahia. 8. khana khane ya barhana ho hokar kapra tabdeel karne se wazoo nahi toot-ta hai. 9. aag par paki hui koi cheez khane se wazoo nahi toot-ta hai. 10. Huqqa, biri, cigarette, pan se wazoo nahi toot-ta hai. lekin nimaz se badboo door karna zaroori hai. agar mu se boo ati hai tu nimaz makrooh ho jai ga. 11. aina (mirror) dekhne se wazoo nahi toot-ta hai. 12. doll (gurya) dekhne se wazoo nahi toot-ta hai. 13. nakhoon (nail) mai mail chale jane se wazoo nahi toot-ta hai. 14. kan ka mail nikalne se wazoo nahi toot-ta hai. 15. bal banwane aur nakhoon katwane se wazoo nahi toot-ta hai. 16. baby ko doodh pilane se wazoo nahi toot-ta hai. 17. teeth mai silver bhari hui hone se wazoo nahi toot-ta hai. 18. masnoi teeth lagane se se wazoo nahi toot-ta hai. 19. aurat ka sar wazoo ke waqt nanga rahne se wazoo nahi toot-ta hai. lekin head nanga nahi karna chahia 20. khooshbo ya sent lagane se wazoo nahi toot-ta hai. 21. salam ka jawab dene se wazoo nahi toot-ta hai. 22. wazoo ke bad tolia (towel) istemal karne se wazoo nahi toot-ta hai. Reference: Aap ke masail aur unka hal Vol - 2 Page 53 - 61 By Moulana Muhammad yousuf Ludhianvi Saheed
|
faisee
|
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:24th Jul 2007, 7:38pm |
|
|
Re: Kali Zuban Nice work Miss Kali Zuban. I appreciate it.
|
umairidris
|
Group: Members Joined: 11th May, 2007 Topic: 14 Post: 33 Age:
22
|
|
Posted on:25th Jul 2007, 12:23am |
|
|
 well done kali zuban
|
goramunda
|
Group: Members Joined: 17th Jul, 2007 Topic: 1 Post: 21 Age:
29
|
|
Posted on:25th Jul 2007, 1:54am |
|
|
good info thanx for sharing ..its realy helpful
thnx
GOR@ |
zain606
|
Group: Members Joined: 03rd May, 2007 Topic: 1 Post: 50 Age:
27
|
|
Posted on:25th Jul 2007, 3:16am |
|
|
Re:Kali zubaan salam Mam..Its nice work But I am sorry as usual i didn't find somethings right here. OK Urdu main baat kerte hain
#4 Is per mjhe hansi aa rahi hai ...Oh My God ..Insaan aik gunnah ker raha hai laikn phir bhi Wazu nahin Toot Raha.. Yaar Nude Picture dekh ker Shewat bhi aa sakti hai kay Nahin??? aik nahin do do Gunnah ker kay Wazu nahin toot raha..Pretty Weird
#5 Aik baar phir app ne kaha kay trousers taangon se opper uthana Gunnah hai laikn Aik Gunnah kerne kay bavjood BHi Wazu nahin toota.
#7 Yaar Wazu agar ho to Insaan Nammaz per sakta hai Phir haath Dhone ki zaroorat kyun hai ??? Akhir wazu ko kuch hua hai to Insaan ko haath dhone ki zaroorat parri hai ...Hai kay nahin ????
#10 sorry Mam If you has use Nimaaz(As Prayer)then i will say Nimaaz se Badboo nahin aati ..Hamare Munh se badboo aati hai ..Hamari NIyyat se badboo atti hai..
#21 and 23 ..What is this??? Salam ka jawab dene se wazu nahin tootta God What the use to write it here..I think 6year old will understand that Yeah Salam kay Jawab se wazu nahin tootta..And #23is of same catogery.
I know some people will Hate me but i think I Bring some Important points Up ..OK Take Care Allah Hafiz |
aliaslam
|
Group: Members Joined: 11th Jul, 2007 Topic: 4 Post: 76 Age:
32
|
|
Posted on:25th Jul 2007, 4:12am |
|
|
 in my knowledge Shermgah ko Kaproon k upper lagany say Woozo nahi totta Lakin Ander halth dalny ya phir barhna ho ker penis ko pakerny ya vigina ko chairny say woozo toot jata hai
so plz correcet it |
changaiz
|
Group: Members Joined: 21st Jun, 2007 Topic: 5 Post: 18 Age:
23
|
|
Posted on:25th Jul 2007, 6:07am |
|
|
 kali zubaan thnx for these advises but u know if we touch our secret part then our wazoo will b broked mein apki baat se agree nahe karta k wazoo nahe toote ge agar haath lagaya sharamgah ko i disagree aur eik aur baat wo yahe k naswar cigerette peene se wazoo toot ta hai i also disagree with u by this aur haan specially nude pictures ye tho haram hai dekna aur wazoo isse b toot jate hai hope u all will understand |
justSalman
|
Group: Members Joined: 16th Apr, 2007 Topic: 7 Post: 174 Age:
29
|
|
Posted on:25th Jul 2007, 6:42am |
|
|
Nice Topic Nice and very informative Topic Sis Kali Zuban.......
Thanks........... |
safeena
|
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
33
|
|
Posted on:25th Jul 2007, 10:39am |
|
|
Re Assalam o Alikum
great work Mrs. kali Zuban ab jab kay loog is forum main ek se topic repeat ker rahay hain aur in rehnay k liye fazool question ker rtay hain ( jaysa k ek sahaab ne likha thaa apni post main ) tu aap kee ye nice try hay loogon ko religious problems k baray main batanay kee
lekin jo 4 , 5 points zain606 aur changaiz sahaab ne batain hain main ne bhi parha hay wo theek hain specially nude pictures' sharm gah ko choonay se (is k saath ye zaror likhna chaheyye k agar kuch discharge na ho tu nahi tootta) aur paan 'cigerette' niswar b,cuz in cheezoon main nasha hota hay aur jis cheez kee kam MIQDAAR aap ko gunha kee taraf le jaye wo bhi haram hay web addrees yahan allow nahi warna main yahan likh deti
anyways aap ne bhi zahir hay khud se nahi likha hay sab Mulana Yousuf Ludhiyanvi shaheed ko code kia hay lekin jo humaree information hay wo batana bhi zarori hay
thanx |
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:25th Jul 2007, 10:46am |
|
|
Yeh Fatwa Mera Nahi Hai 1. mai na tu alim-e-din hoo aur na hi mufti. Lehaza mai koi bhi fatwa nahi de sakti.
2. mai ne jo kuch bhi likha hai wo Book: Aap ke masail aur un ka hal Vol:2 Page No: 53-61 Written by Mufti Moulana Muhammad Yousuf Ludhianwi Shaheed se copy kia hai.
3. agar ap samajhte hai keh mai ne jo kuch likha hai woh theek hai tu is ka matlab hai keh ap Mufti Moulana Muhammad Yousuf Ludhianwi Shaheed se ittefaq karte hai.
4. agar ap samajhte hai keh mai ne jo kuch likha hai woh ghalat hai tu is ka matlab hai keh ap Mufti Moulana Muhammad Yousuf Ludhianwi Shaheed se ittefaq nahi karte.
5. agar ap ittefaq nahi karte tu is ka matlab hai keh ap Book: Aap ke masail aur un ka hal Vol:2 Page No: 53-61 Written by Mufti Moulana Muhammad Yousuf Ludhianwi Shaheed se ittefaq nahi karte. ap kisi mufti se ittefaq kare ya na kare yeh ap ki marzi.
6. lekin yeh yad rakhe ke oopar mai ne jo kuch likha hai wo mera nahi balkeh Mufti Moulana Muhammad Yousuf Ludhianwi Shaheed ka statement hai.
|
faisee
|
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:25th Jul 2007, 2:38pm |
|
|
Re: first, I agree with Kali Zuban.
Secondly, in books our religious scholars gather all the points which can cause confusions in common people's mind. Thats why if something seems funny to one person can be particularly confusing for others. Those scholars compose those points based upon their experience and the questions asked from them.
Thirdly, our religion is deen-e-fitrat hai where there are not much restrictions are applied on the followers. Based on the concept of wazu, the scholars guided us that in which condition it's broken and in which condition its not broken but its better to do it again. See, in islam this is very clear that "amaal ka daro madar niyaton per hai".
Answer to Others:
Agar koi insan buri niyat sai nude picture daikhta hai tu yeh us ki niyat hai laikin foran hi ruk jata hai tu is sai wazu nahin toota because he has restricted himself. obviosuly der tak dekhnay sai mazi nikal aye gi aur wazu toot jaye ga. sharamgah ko haath laganay sai wazu nahin tootta laikin haath dho laina afzal hai. is ka maqsad yeh hai kai aap phir wahi hath holy book ko lagain gai, haath ganday tu nahin hue laikin taharat ki aik feeling ko barqarar rakhnay kai liye yeh suggest kia gaya hai kai hath dho liye jayen.
Listen wazu ka maqsad pak saaf ho kar ibadat kai liye tayyar hona hai, laikin is ka matlab yeh nahin kai insan sara din wazu hi karta rahay. islam pakeezgi per zor deta hai buhut ziada sakhti nahin karta aur asanian bhi rakhee gaee hain, laikin is main sari baat aap ki niyyat per a jatee hai aur Allah behter jannay wala hai. |
justSalman
|
Group: Members Joined: 16th Apr, 2007 Topic: 7 Post: 174 Age:
29
|
|
Posted on:28th Jul 2007, 9:34am |
|
|
Sis Kali i have Question Can you Answer it `Hello Sis Kali Zuban Well first i apperciate your work secondly dont care about other's comments up till you think you are right and not crossing the borders of Islam in my opinon you are right,
My question is if mazi come's out and stuck on trouser or under wear still we can pray or not and if we are wearing a trouser or underwear on which a little quantity of semen is there .
i know This fatwa not belong to you but i have confusion and you are a senior member with experience.
Thanks............ Waiting for your reply................ |
noorbaba
|
Group: Members Joined: 25th Jul, 2007 Topic: 4 Post: 33 Age:
30
|
|
Posted on:25th Sep 2007, 4:51pm |
|
|
To Justsalman & Kali Assalaamu `alaykum waRahmatullahi Wabarakatoh
It is impure. The private part and the area soiled with mazi will have to be washed. The soiled portion of the undergarment will have to be washed. Mazi invalidates wudhu and not the ghusal.
If the Mazi came out while performing Wudhu or performing Salaat, then the Wudhu and Salat are invalid. You should repeat the Salaat.
And Allah knows best
Wassalam
(reference) Mufti Ebrahim Desai Darul Iftaa, Madrassah In'aamiyyah Fatwa no. 14986 & 9494 (askimam.org) ---
Great job by kali zuban One thing i would like to add that these points of not breaking the ablution are for Hanafi followers. The other 3 school of thoughts (shafi, hambli, malaki) have some variations. Followers from other maslak should concern accordingly. |
fazi
|
Group: Members Joined: 25th Sep, 2007 Topic: 1 Post: 4 Age:
30
|
|
Posted on:25th Sep 2007, 4:56pm |
|
|
MOSTLY WRONG................. sharamgah ko hath lagane se wazoo tute jata hai. Washroom main bagar kaproon kay wazoo karna se bhi wazoo nahi hota. Is liya Shalwar pahan kar wazoo karna chiya.
yeh main nahi kah raha hoon. Main nay QTV per suna tha. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4305 Age:
38
|
|
Posted on:25th Sep 2007, 7:28pm |
|
|
re: fazi noorbaba ne bilkul theek kaha hai keh kali zuban ka article Hanfi maslak ke mutabiq hai. jabkeh other 3 school of thoughts (shafi, hambli, malaki) mai thora farq hai.
agar aap Hanfi maslak se taluq rakhte hai tu phir aap ko Kali Zuban ke article se agree hona pare ga, chahe QTv wale kuch bhi kahte rahe. agar aap ka maslak Hanfi nahi hai tu phir bhi aap ko Kali Zuban ke article ko ghalat kahne ka haq nahi kio keh woh article Hanfi maslak ke tehat likha gia hai. aap ka deen aap ke saath aur kali zuban ka deen kali zuban ke sath. aap apne maslak par chalne ki koshish kare, lekin kali zuban ke maslak ke khelaf bhi na bole.
kia aap bata sakte hai keh aap ka maslak kia hai. takeh hamari bhi maloomat mai izafa ho keh doosre maslak ka Hanfi maslak se kia ikhtelaf hai. aap se yeh bhi guzarish hai keh yeh bhi batai keh QTv wale kis maslak ko follow karte hai?
|
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:26th Sep 2007, 2:13am |
|
|
gud one very nice sister Kali zuban
bht informative article hai ap ka :-) |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:26th Sep 2007, 4:03am |
|
|
REPLY As'salam - O - Aluikum ,
Dear sister Kali once again great job as usual . . . But maiyn yahi
kahoon ga Sensitive Islamic matter ko yahan per kam se kam hi raise
karein jis kisi ko koi problem hoo woh directly mufti se consult karey
. . . App sab ko eak aur baat batata chaloon kah 2 Mufti gar 1 baat per
ittefaaq krtey hain aur app ne donon se fatwa laey liyah aur donon ne
eak hi baat kahey tou woh baat app per mannah lazim (mandatory) ho
jatey hai
Kuch chezoon se wuzu toothtah tou nahi hai lekin makhrooh ho jatah hai
aasey surat maiyn app ki marzi hai kah app wuzu karein ya na karein
lekin ALLAH ko makhrooh cheez pasand nahi hai lekin agar kisi bandey ko
psand hai tou uss per koi gunnah nahi hai . . Waisey karlein tou zayadah behtar hai . .
App sab maiyn conflict issi liyah ho raha hai kah Sister Kali na wuzu
jin cheezoon se nahi toothtah hai woh yahan per bataein hain aur in maiyn
woh cheezein bhi shamil hain jin se wuzu makrooh ho jatah hai aur issi
liyah buhat se Islamic Scholars ne makrooh karar detey howey dobara
wuzu karney ko kaha hai . . lekin kisi ne yah nhi kah kah iss se wuzu
tooth jatah hai
- Nude rah kar wuzu karein ya ghusul iss se na tou wuzu per farq
parhta hai na ghusul per lekin ALLAH apne sharaam gahoon ki hifazat
karney waley logon ko pasand karta hai iss liyah behtar yahi hai kah
wuzu kapdrey pehen kar kiyah jaey
- Tambaqoo noshi haram hai iss liyah koi bhi haram cheez khaney ya peeney se wuzu tooth jatah hai
- Sharamgah ko haath laganey se (with lustful intention) se wuzu
makhrooh ho jatah hai agar mazi ka koi drops nahi nikla . . Agar mazi
nikal gaey tou wuzu tooth jaey ga (chahaey woh trouser per lagey ya undergarments per) aasey surat maiyn app apney sharamgah
ko paak karein aur kapdrah k uss hissey ko 3 bar pani se dhoo lein aur
phir se Wuzu karein
Sister Kali app ne sirf 1 phase ki taraf dehaan diyah hai lekin dusra
phase nahi batayah kah WUZU kin cheezoon se tooth jatah hai iss liyah
yahan per buhat sarey conflicts create ho gaey hain . . . App se
guzarish karta hoon kah app yahan per logon ko yah bhi bataein kah WUZU
kin cheezon se tooth jatah hai . . . Once again thank you for being
such a participating member of this forum
Take care ,
ALLAH Hafiz
|
Kali Zuban
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:5th Oct 2007, 4:19pm |
|
|
References of my articles 1.Wazoo: Kin Bato Se Wazoo Nahi Toot-ta
Book: Aap ke masail aur un ka hal Vol:2 Page No: 53-61 Written by Mufti Moulana Muhammad Yousuf Ludhianwi Shaheed
2. Nikah Toot Jai Ga: By Kali Zuban
Book: Aap ke Masail aur oska Hal, Vol: 5 Page No: 185 - 197 Written by Mufti Moulana Yousuf Ludhianvi Shaheed |
Mnadeem
|
Group: Members Joined: 01st Sep, 2007 Topic: 2 Post: 231 Age:
|
|
Posted on:22nd Oct 2007, 6:38am |
|
|
Be correct your knowledge Miss Kali,
No.7, is needed to be reconsiderd by the reference of Sahih Hadis, I can bet you that touching to " SHARAM GAH" is caused the break of abluotion (WAZOO),
I request you that please asked any scholar regarading this point and you will get the right answer.
Allaha Hafiz |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4305 Age:
38
|
|
Posted on:22nd Oct 2007, 6:45am |
|
|
Mnadeem: Kali zuban koi mufti nahi hai kali zuban koi mufti nahi hai. os ne yeh article Islamic scholar ki book ki madad se tayyar ki hai. aap book read kare. agar book mai point 7 nahi hai tu kali zuban par objection kare. agar book mai point 7 mojood hai tu phir kali zuban ki bajai scholar ke office ja kar objection kare. kio keh agar book mai mojood hai tu phir kali zuban ka koi qasoor nahi.
Book: Aap ke masail aur un ka hal Vol:2 Page No: 53-61 Written by Mufti Moulana Muhammad Yousuf Ludhianwi Shaheed
|
|