Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Sexually Transmitted Diseases
Sexually Transmitted Diseases In Urdu And Roman Hindi
Arthritis Type Causes And Treatment
Arthritis Type Causes And Treatment in Urdu And Roman Hindi
Diseases Of The Eye
Diseases Of The Eye
Influenza
Influenza
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

namaaz ka tareeqah in fiqah jafarya

Religion and Culture
 
 
 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 105  Post: 5482  Age:  53  
Posted on:5th Feb 2012, 12:37am
 

namaaz ka tareeqah in fiqah jafarya

fiqah jafaryah say wabastah ahlay ilm like diplomate n mufti bros say request hai k woh fiqah jafaryah k motabiq 2 rekaat namaaz ka tareeqah step by step, tarteeb k saath asaan lafzouN maiNyahaaN bayaan karaiN. shukarya... namaaz maiN faraazi o wajebaat bhi batlaa dain
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 4  Post: 519  Age:  38  
Posted on:5th Feb 2012, 5:18am
 

myrizvi

Aap ne aik topic mein apni namaz bataye mein wohi yahan paste kerta hon aur jo aap ki namaz aur hamari namaz k tareeka mein farq hai woh mein sath mein likhta jaon ga ta k sab ko farq samajhnay mein asani ho...

1. sab say pahlay (kissi bhi zubaan maiN) namaaz ki niyyat ki jati hai...jaisay maiN fajir 2 rekaat naamaaz farz adaa karta houN, peechai iss imaam k (agar baa.jamaa'at ho to), mounH mera ka'abah shareef ki taraaf..... Allaho Akbar kahtay howay dounoun haath kanoun ki lau tak othatay howay naaf k ooper left hatheli k ooper right hatheli rakh kar haath baandh lenaa.

Neeat k baad takbeer kehnay k baad shia hazraat apnay hath seedhay rakhtay hain yeni khulay rakhtay hain.

2. niyyat aur haath baandhnay k baad ... sanaa paRhna

Shia hazrat hath khulay rakhtay hain.

3. agar baa.jamaa't namaaz adaa ki jarahi ho to sirf imaam ...aur agar tanha namaaz parhi jarahi ho to namaazi... pahlay soorat faateha paRhegaa + kam az kam koi aik soorat yaa baRi soorat ka kam az kam teen ayat ki telawat karega

Shia hazrat Surah Al hamd k baad surah Akhlas perhtay hain.

4. phir Allah o Akbar kahtay howay rakoo maiN jhuk jayegaa.... rakoo maiN 3 yaa 5 yaa 7 martabah "subhan rabbi alazeem" parhegaa aur phir "same Allah holeman hamedah" kahtaa howaa khara hojaayegaa bilkul seeddhaa.... jamaa't ki soorat maiN imaam "same Allah holeman hamedah" aur muqtadi ... rabbana lakal hamd... kahega

Raku mein janay se pehlay Kazala kela Ho Rabbi perhnay k baad takbeer k sath hath bhi buland kiye jatay hain aur rakku mein jatay hain 3 dafa Subhana Rabbi Alazeem perhtay hain aur iss k baad duroud behjna muhtisibat mein hai aur phir Sami Allah Holemun Hamedah perhtay huay seedha ho jaye ga

5. phir Allaho Akbar kahtaa howaa sajday maiN chalaa jayegaa.... sajday maiN 3 yaa 5 yaa 7 baar "Subhaana rabbe al Aa'laa" kahegaa aur Allah o Akbar kahta howaa baiTh jayegaa........ phir issi tarah doosra sajdah karegaa

Aur takbeer k sath hath buland kernay k baad sajda mein chala jaye ga,3 baar Subhana Rabbi Al Aalaa aur 1 baar daroud kehnay k baad takbeer kehtay huay beth jaye ga aur phir Astaghfirullah Rabbi Watubo Elah kehnay k baad phir takbeer kahay ga aur phir sajda mein chala jaye ga aur phir wohi amal dohraye ga jo pehlay sajda mein dohraya ga...sajda mein 7 azaa ka zameen per lagna wajib hai 2 hathalian,2 ghutnay,dono paon ki unglian aur matha...

6. doosray sajday k baad dobarah khara hogaa.... aik rekaat poori hogayee ab issi tarah doosri rekaat mokammal karegaa.... magar qirat ka aghaaz soorat faatehaa say karegaa...... sanaa sirf pahli rekat main paRhee jati hai... yaani niyyat + sanaa sirf pahli rekaat main hogi baqyah rekaat sooorat faatehaa say start hogi.

Sajda k baad takbeer kehnay k baad  Be Ho Lilah Hi Wa Aqumu Waqad perhtay huay seedha khara ho jaye ga aur surah fatiha perhay ga aur uss k baad koi bhi surat perhi ja sakti hai...iss amal k baad takbeer kehnay k baad qunoot karay ga yeni dono hath buland karay ga jaisay dua mein kiye jatay hain aur uss mein dua perhay ga...pehlay duroud perha jaye ga phir Rabana Atena fi Duniya Hasanatun wa fil aakhi rati hasana wa fina azabin naari wa fi azaab il qabari wa fi azaab il hashr wa hashurna ma al mutaqina wal ibrar Be hurmate Muhameed wa Aalehi uss k baad takbeer kehtay huay rakku mein chala jaye ga aur wohi amal dohraye ga jo pehlay rakku mein dohraya hai...



7. doosri rekaat main dounouN sajday k baad baiTh jayegaa aur At.tahiyaat+darooday ibrahimi paRhegaa

Dosray sajda k baad beth jaye ga aur tashud perhay ga aur daroud perhay ga...

8. right side ki taraf mouNh phertay howay Assalam o Alaikum kahega..... phir right side say saamnay ki tarf mouNh pheregaa. ab saamnay say left side ki taraf Assalam o Alaikum kahta howaa salaam pheray gaa....phir saamnay ki taraf mouNh pher legaa..... 2 rekaat namaaz mokammal hogayee... ab chaahay to dua bhi karlay ... beghar dua k bhi namaaz mokammal h

Sajda k baad beth ker kahay ga Alhamdolilah Ashadu Allah La Ilaha Il Lilah Wa dahu La Shareek alaa wa Ashadona Muhamed un Wa Abdohu Wa Rasoolohu uss k baad 1 dafa daroud perhay ga aur uss k baad 3 salam perhay ga.

1.Aslamo Alaika ayuhun Nabio wa rehmatullah hay wa barakato.

2.Aslamo Alaina wa alaa ibadila hisaleheen..

3.Aslamo alaikum wa rehmatullah hay wa barakato.

aur uss k baad 3 dafa takbeer kahay ga aur hath buland karay ga.

uss k baad 34 mertaba  Allah o Akbar,33 baar Alhamdolilah aur 33 baar Subhan Allah perhni chahiye aur uss k baad apnay liye aur sab momineen o mominaat k liye jo bhi dua mangna chahein maang saktay hain...


9. 4 rekaat ki soorat main doosri rekaat maiN At-tahiyaat parhnay k baad (darood shareef parhay beghair) qayaam ki taraf lauT jayegaa aur seedha khaRaa hokaar haath bandh legaa aur baqyah 2 rekaat issi tarah soorat fatehaa say aghaaz karta howaa parhegaa aur 4 rekaat ki takmeel par salaam pher legaa.

4 raqat ki surat mein 3rd aur 4th raqat mein sirf aik surah yeni surah Al Hamd perhi jaye gi aur dheemi awaz mein perhi jaye gi...

10. 4 rekaat farz ki soorat main teesri aur chauthee rekaat main qiraat main sirf soorat fatehaa paRhegaa... saath main koi soorat nahi milayegaa (as done in 1st & 2nd rekaat)

11. 4 rekaat sunnat ghair mo'akkedah ki soorat main doosri rekaat k baad at-tahiyaat k baad darood shareef bhi parhegaa coz sunnat ghair mo'akkedah nafil namaaz ki tarah hoti hai jo 2 rekaat pay mokammal hojati hai

myrizvi bhai meray khayal se mein ne apni namaz kafi hudd tak clear ker di hai agar arabic mein kuch ghaltian hui hain to Allah maaf karay kiun k roman urdu mein likhna mushkil hota hai arabic ko...umeed hai aap samajh jaein ge k mein ne kiya likha hai agar mazeed kuch reh gaya hai to aap bata dijiye ga mein clear ker doon ga...

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4180  Age:  37  
Posted on:5th Feb 2012, 2:54pm
 

wahabi aur shia ki namaz

Allah Taala Mufti (shia) aur myrizvi (wahabi) ko naik hidayat dey aur on dono ki namazo ko qabool karay ... Ammen
goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 6500  Age:  31  
Posted on:5th Feb 2012, 2:59pm
 

Hadyat

bewqoof sahib ap ab wahabi aur shia kee fight kyoo kerwana chatay hoo...mufti aur rizvi dono bahi ha...Allah donoo koo Hadyat day Ameen...sath may Allah sab koo hadiat day...ameen
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4180  Age:  37  
Posted on:5th Feb 2012, 3:29pm
 

mufti aur rizvi bhai bhai

re: "bewqoof sahib ap ab wahabi aur shia kee fight kyoo kerwana chatay hoo.."

janab fight mai nahi karana chahta. Namaz kisi bhi tareeqa se parhain. Sahi aur ghalat ka faisla Niyat per hai. agar aap ki niyat Namaz ki hai tu phir aap ki Namaz ho gayee chahe aap kisi bhi tareeqa se Namaz read karain.

Mufti aur myrizvi dono ka deeni ilm bohot wasee hai os ke bawajood dono ki Namaz mai farq hai. aur dono ka yahi israr hai ke sirf on ki namaz sahi hai. jab keh haqeeqat yeh hai keh agar khaloos Niyat se namaz parhi jaaye tu dono ki namaz sahi hai aur qabil-e-qabool hai.

Muslamano ki aksariat ziadah taleem yafta nahi hai. beshtar koi book bhi read read nahi ker saktay. aur on logo ki rasayee kisi deeni aalim tak bhi nahi. agar kisi aik firqa ke deeni aalim tak ho bhi jaaye tu doosray firqa ke deeni aalim kehtay hai keh tu pehle sahi tha ab ghalat ho gaya hai.

Namaz ka sahi tareeqa kya hai? yeh bahas aur masala sirf aur sirf deeni aloom rakhne wale Ulema ka hai. aam awam ko chahiye keh woh inn logo ki bahas mai na parain. woh Namaz parhai, jaisa on ka dil chahey, sirf Namaz ki Niyat honi chahiye, Allah taala sirf Niyat dekhta hai, Allah ko iss se koi matlab nahi keh kon haath baandh ker Namaz perhta hai aur kon khulay haatho se.

Allah taala khulay hatho ki namaz bhi qabool kerta hai aur haath baandh ker bhi. woh sirf Niat dekhta hai. Allah ki nazar mai duya ky tamam log sirf aur sirf Insaan hai. jaisa ke os ne paida kya hai. os ki nazar mai poori dunya ke logo ka sirf aur sirf aik mazhab hai aur woh hai Insaniat. Allah ne aakhrat mai sirf aur sirf Insaaniat ko dekhna hai. os ne na tu kisi mazhab ko dekhna hai aur na hi kisi firqa aur maslak ko.

Allah Taala se dua hai keh woh dunya ke tamam logo ko mazhabi aur fiqa/maslak keh jhagro se najaat delaye aur on sab ko sahi Insaan banaye.
alirajput Group: Members  Joined: 02nd Nov, 2011  Topic: 2  Post: 1367  Age:  35  
Posted on:6th Feb 2012, 12:15am
 

More Proof backing Bewaqoof's dua to Allah (SWT)

ye firqa parasti ke liye to Allah ne bhi 1,400 saal pehle hi farma diya hey ke:

“JIN LOGON NE APNE DEEN KE TUKRE TUKRE KIYE AUR GIROH GIROH HO GAYE, (AEY RASOOL), TUM KISI BAAT MEIN IN MEIN SE NAHIN. IN KA MA’AMLA SIRF ALLAH KE SUPURD HEY, PHIR WOH INHEN BATAYEGA JO WOH KARTE RAHE HEIN.” (Surah Al An’aam, Ayat 159/160)

Aur Huzoor (S.A.W.) ne bhi 73 firqon ke bare mein peshangoi kar di thi. Magar aaj jo 200 se uper firqe ho gaye hein, ye dar asal 73 mein se hi division aur sub-division ho gaye hein. Is ki wajeh kya hey? Ek wajeh to ye hey. Pehle ek Hadees dekhiye:

“Aap (S.A.W.) ne farmaya: Ek waqt aisa hoga jab Musalman zalil-o-khwar ho rahe honge. Sahabae Kiram (R,A.) ne puchha: Ya Rasoolullah (S.A.W.), kya us waqt Musalman ta’adad mein kam honge? Aap (S.A.W.) ne farmaya: Nahin, ta’atad to unki bahot hi zyadah hogi, magar woh log bhatak gaye honge, ya’ani Allah (S.W.T) ki rassi HABLILLAH ya’ani Qurane Kareem ko chhor diya hoga.” (Sahih Al-Bukhari Hadith 6.546, Rawi Hazrat Uthman bin Affan.)

Aur ab ye kuch Qurani Ayate:

“AUR TUM SAB KE SAB ALLAH KI RASSI (QURAN) KO MAZBOOTI SE THAM LO AUR BIKHAR NA JAO” (Surah Aale Imran, Ayat 103)
Aur ye bhi Ayat dekhen, ke aaj ham kyun bikhre huwe hein:

“AUR RASOOL KAHENGE, AEY MERE RABB, MERI QOUM NE IS QURAN KO CHHOR RAKHA THA” (Surah Al Furqan, Ayat 30)

Ham is liye bikher gaye hein ke hamne Quran ko choor diya hey.

Surah Al Imran Verse number 103 maiN saaf likhaa haiN ke firka firka na banoo, lekiN Mufti sahab, Allah ke hukam ke aaghy bhi zuban laraate haiN, daleele pesh karte haiN.

103. And hold fast, all of you together, to the Rope of Allah (i.e. this Qur'an), and be not divided among yourselves, and remember Allah's Favour on you, for you were enemies one to another but He joined your hearts together, so that, by His Grace, you became brethren (in Islamic Faith), and you were on the brink of a pit of Fire, and He saved you from it. Thus Allah makes His Ayat (proofs, evidences, verses, lessons, signs, revelations, etc.,) clear to you, that you may be guided.

Ab masla ye hey ke 200 se zyaadah firqe kaise EK ho sakte hein, jab sirf shia sunni kehlaane waale hi ek nahin ho sakte! Deobandi aur barelvi kehlaane waale ek nahin ho sakte! Ahle sunnat aur Ahle hadees kehlaane waale ek nahin ho sakte! Is Forum mein chand members hein, woh ek nahin ho sakte! Jawaab uper ki Qurani Ayton mein aur Hadees mein aa gaya hey.

WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 31  Post: 2497  Age:  24  
Posted on:6th Feb 2012, 12:24am
 

ali

well done..
Mashallah good post.....
Mufti Group: Members  Joined: 10th Oct, 2011  Topic: 4  Post: 519  Age:  38  
Posted on:6th Feb 2012, 5:33am
 

Bewaqoof

Allah Taala Mufti (shia) aur myrizvi (wahabi) ko naik hidayat dey aur on dono ki namazo ko qabool karay ... Ammen

Aap ka shukriya k aap ne hamaray liye achi dua ki....

Lakin aap ki baaton se mehsoos hota hai k aap na myrizvi sahab k tareeka e namaz se agree kertay hain aur na hi meray tareeka e namaz se agree kertay hain...

Mein aap se request kerta hoon k aap woh namaz ka tareeka yahan likha dein jis se hum samajh sakein k yeh tareeka e hidayat hai...

Aap ne fermaya k namaz ka tareeka ulma ka masla hai...

Meray bhai mein ne yeh tareeka khud se nahi likha balkeh ulma ne hi bataya hai...

Aur jahan tak mein janta hon myrizvi sahab ne bhi namaz ka tareeka khud se nahi bunaya balkeh unn k ulma ne unhain bataya hai,unhon ne kahin bhi dawa nahi kiya k yeh mera bunaya hua tareeka hai...

phir aap bachon wali baatein kaisay ker rahay hain ??

Kher ab aap yahan apni namaz ka tareeka yahan likh dein ta k humein bhi pata chalay k woh kon sa tareeka hai jisay aap sahi tareeka mantay hain...

Dosri baat meray bhai sirf neeat kaam nahi aati balkeh neeat k sath amal bhi zaroori hai...

Mein yahan beth ker sirf neeat ker loon k mein namaz perhta hon to kiya meri namaz qabool ho jaye gi ??

Ya mein neeat bhi sahi rakhon lakin apna rukh namaz mein Qibla k mukhalif rakhon to namaz qabool ho jaye gi ya fajar ki namaz mein 4 raqat farz perh doon aur neeat achi ho k ziada se ziada ibadat ker raha hon to kiya namaz qabol ho jaye gi ??

Yeh bachon wali baatein hain k sirf neeat honi chahiye amal nahi...

1
 
 
 
Gall Bladder | Pitta
Gall Bladder | Pitta
Stomach Problems And Treatment
Stomach Problems And Treatment
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
Cirrhosis Of Liver | Jigar Ka Sukarna In Urdu
HIV And Aids Causes And Treatment
HIV And Aids Causes And Treatment In Urdu

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us