myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 105 Post: 5482 Age:
53
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 9:05am |
|
|
Eid Meelaad un Nabi saw
Celebratingthe birth day of the ptophet saw is an innovation i.e. bida'at.the first time it was done 600 years after the death of prophet saw. Quran says: Today I have completed your DEEN for you. The prophet saw said:whoever introduces something new in our deen, which does not originally exist, that act will be rejected (Bukhari, Muslim)
12 Rabi ul Awwal ka din
Hazrat Muhammad saw ki zindagi maiN 63 baar aayaa, hazrat Abu Bakar RA
ki khilafat maiN 2 baar, Hazrat Umar RA ki kjilaafat maiN 10 baar,
Hazrat Usman Ra ki khilafat maiN 12 baar aur hazrat Ali RA k khilaafat
maiN 4 baar aayaa ... kia in maiN say kissi nay "Eis Meelaad un Nabi
saw" manayee. kia sahabah RA, taabe'een, tabbah taabe'een aur aimah
arba'aa maiN say kissi nay yeh din manaayaa? agar nahi aur hargiz nahi
to jaan laiN k yeh "teesri eid" BIDA'AT hai aur har bisa'at gomraahi hai
aur gomraahi ka najmaam jahannam hai
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4180 Age:
37
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 9:20am |
|
|
Eid Milad Un Nabi
re: "Hazrat Muhammad saw .... ... aur gomraahi ka najmaam jahannam hai "
iss ka tu yahi matlab hua keh aap ke mutabiq woh tamam Sunni Muslim jo Eid-Milad-Un-Nabi mana rahey hai woh sab jahannami hai.
myrizvi saheb mai aap se agree nahi kerta.
agar har koi Jahannam mai jaye ga tu kya sirf aap ke firqa ke log Jannat mai baith ker Baansri baja rahe ho ge ..... ab yeh na kehna keh baansri bajane wala bhi Jahannam jaaye ga, aur sirf kaan mai ungli thoos ker rehne walay log hi jannat jaaye ge.
|
ozone |
Group: Members Joined: 19th Jun, 2008 Topic: 25 Post: 1366 Age:
|
|
Posted on:4th Feb 2012, 12:27pm |
|
|
Bidd'at aur "Achi Bidd'at" eid meelaab un nabi saww ko biddat kehne wale zara tareekh o rivayaat ka mutalia kar leiN to behtar ho ga , sahaba k zamaney meiN beshumar bid'aat khud sahaba ki janib se jari ki gaeiN. Bukhari kitaab al siyaam meiN hai k taraveeh hazrat umar ra k dor meiN shuru hui aur hazrat umar ne issey "achi biddat" ka naam dia ...
kitaab al juma meiN hai k hazrat usmaan ra ne juma k din ek azaan ka izafa kar ke 3 aazaneiN dene ka hukm dia...
hazrat umar ra ne sharaab ki saza mein marey janey wale durroN ki tadaad mei kami beshi ki...
neez beshumar esi misaaleiN mil sakti haiN k sahaba ne khud halaat k pesh e nazar deen mein thoRi bohot tabdeeli ki , aur achi bidd'at kaha yani achi bidd'at lana koi gunah nahi ...
to agar becharey rasool e akram saww ki wiladat ki khushi manaa hee letey heiN to ismeiN harj hee kia hai?? yaa to sahaba ki eejaad ki gayee tamam "achi biddaat" ko tark kia jaye ya iss achi biddat ko tasleem kar lia jaye ...
aur kisi k jahannumi honey ki fatwa baazi karne ki bajaye tareekh ka mutalia kar lia jaye to behtar hai , agar eid meelaad mananey wale jahannumi heiN to sahaba jinhoN ne deen mein tabdeeli ki , k barey meiN apka kia khayal hai?? |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 105 Post: 5482 Age:
53
|
|
Posted on:6th Feb 2012, 10:32am |
|
|
islam ki basic ebadaat like namaaz, rozah, eidain maiN kami ezafah nahi kia jasakta... aisaa nahi hosakta k 5 namaaz farz ki jagah 3 yaa 7 namaz farz paRhna start kardia dia jaa.ay... farz rozay aik month ki jagah 2 month yaa one month kardi jaa.ay.... islam maiN sirf 2 eidain hai...iss maiN sunniyouN ki eid meelad un nabi saw aur shia ki eiday ghadeer islamic eid maiN ezafah hai, jiska islam say koi talluq nahi
islam maiN saalgirah ya birth day manaanay ka bhi koi concept nahi hai... dauray resaalat ho yaa dauray khilaafat o adwaaray sahabah ...kabhi kissi nay saalgirah nahi manaayee.... nabi ki saalgirah christians ki ejaad hai jo woh Xmas k naam say hazrat eesa AS ki saalgirah manaatay haiN... ham nay bhi onhi ki moshaabehat maiN hazrat Muhammad saw ki saalgirah ko eid meelaad un Nabi saw k naam say mananaa shooroo kardia hai... iss maiN darj zail ghair islami baat hai
1. saalgirah manaana islam maiN nahi hai, ham nay Nabi saw ki saalgirah start kardi
2. christian apnay Nabai AS ki saalgirah X-mas manaatay haiN...ham nay onki moshabehat maiN apnay Nabi saw ki saalgirah manaana start kia... jo moshrekeen ki moshabehat ki wajah say haraam hai
3. islam maiN 2 eid hai...sunni.youN nay aik teesri eid start ki jo eid maiN ezafah hai.
4. meelaad k dauran honay wali activities maiN bhi bahoot si activities haram haiN
Allah ham sab ko asal deen par chalnay ki taufeeq day aameen |
alirajput |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2011 Topic: 2 Post: 1367 Age:
35
|
|
Posted on:6th Feb 2012, 4:40pm |
|
|
My Reply re: "Allah ham sab ko asal deen par chalnay ki taufeeq day aameen"
Allah huma Ameen.
Behter haiN ke jho bataiN hamaiN sahi na laage ham unn ko mazeed study karle, kabhi kabaar jho ham par tanqeed kar rahaa hoota haiN, usko khud samaj nahiN hooti ke wo ye harkat karr ke hamaiN mazeed door lekar jaa rahaa haiN ek "Unity" ke yakeen se. Islam ki jho sharuwaat haiN wo "unity" amal ko lekar huwi thi, iss maiN, naa toh koi goraa, kaale se oonchaa thaa, aur naa, koi kalaa goraaye se oonchaa, wese hi, alag alag tehzeeb aur yakeen ki baat ajaati haiN. Islam hamaye batwaraaa nahiN sikhaata, hamaiN ek hoona sikhaata haiN.
|
tote_sapne |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2011 Topic: 4 Post: 881 Age:
26
|
|
Posted on:7th Feb 2012, 1:31am |
|
|
janatt ka faisla har jhga bs yeh lga rkha hai janatt me wo jayga ye jayga ab khuda pak ko chor kr insan kya faisle karege kon jant me jayga ye khuda ka faisla hai okwohi karega
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 105 Post: 5482 Age:
53
|
|
Posted on:7th Feb 2012, 2:05am |
|
|
agreed with tote sapne 1. bay shak kissi Mr /Ms xyz k liyeh koi insaan qatayee taur par yeh faislah nahi karsakta k woh jannat maiN jayega yaa jahannam maiN... kissi insaan k jannati ya jahannami hone ka faislah Allah k sewaa koi nahi karsaktaa.
2. lekin Allah hi nay quran /hadees k zariyah yeh Already DECLARED kardia hai k falaaN falaaN aqsaam k log jahannam maiN jayengay ... aur Allah ki yeh baat koi bhi quran o hadees k hawalay say 'dohraa' sakta hai k...
a. kuffar jahannam maiN jayengay, agar woh marne say qabal kufr choR kar islam nah lay aa.ay to
b. Allah ki zaat maiN SHIRK karne walay jahannam maiN jayengay, agar onhouN nay shirk say taubah nah karli to... khaah yeh mushrekeen kuffar k ander say houN ya (self claimed) muslims k ander say
c. quran o sahih hadees k bil.aks batouN par jaan boojh kar amal karne aur iska parchaar karne walay jahannam maiN jayengay.
quran o hadees khol kar koi bhi yeh jaan sakta hai k kiss qism k amal karne walay jahannam maiN laazman jayengay... hamain bas ossi qism k amalsay bachnay ki koshihs karni chahiyeh
wallaho aalam bissawab |
|