thread , topic , post , reply re "muja smjh ni ati ka thread kya hoti ha?"
Thread
jab koi member yahan sawal / masla / information / gup shup k liye very first mater likhta hay aur likha geya mater jab page ki shakal main samny aata hay jis par deegar members apny apny comments karty hain (kabi kabaar nahi b karty) ussy thread kaha jata hay ..thread yaani forum par zahir hony wali tahreer ya mater
Topic
kisi b thread main ki gayee baat topic kehlati hay , maslan koi member aik thread start kary jis main wo pait dard ka ilaaj poochy to iss baat ka matlab hay k uss k started thread ka topic pait dard hay ..topic yaani unwaan ya mozu
Post
post ka matlab multiple hota hay , post yaani baijna jaisy post office hota hay , post yaani job / auhda jaisy fulan banda fulan post par kaam karta hay laiken jab hum forum par post ki bat karty hain to yahan post ka matlab yeh hay k koi member jab apna masla / sawal / comments / reply ya mater likh kar post par click karta hay to reply box sy nikal kar thread page par zahir hony wala mater post ban jata hay , post yaani zahir shuda mater ya alfaaz
Reply
kisi ki query / sawal / istafsaar ya roy mangny par members ki tarf sy jo jawab ki shakal main comments hoty hain ussy reply kaha jata hay ..reply yaani jawaab yaa jawaban comments
umeed hay main kuch kuch baat wazy karny main kaam yaab hogeya hon ga |