marriedguy ap ne bohat kuch sahi likha hai
lakin aik baat shayed ap bhool gai hain k
ISLAM QAYAMAT TAK K LIYAY HAI
is main ijtehad ho sakt ahai lkain jin baton ko hadees ne direct ya isharatan mana kiya hai un ko halal kerny k liyay nhn balkay qawaneen ko up dat ekernay k liyay
aisa kehtay hain bohat se bhaai k ji alaska main ya un ilaqon main jahan bohat SERDI hoti hai schempein peena jaiz hai as medicin
main HELLSINKI jo k thanda tareen ilaqon main shumar hota hai raha huin lakin kabhi koi aisi cheez as medicine peenay ki zaruret nhn peri
ap k points valid hain lakin ap is bat ko is terah samjhain
jab hum koi new car purchase kertay hain to us ki running puri ki jati hai yani usay low speed aur low weight k sath kuch milage tak drive kiay jata hai
lakin ager hum is bat ki car ena kerain to car k engin ko nuqsan hota hai aur kharabi hoti hai
isi terah Allah ne insan ko bnaya aur yeh hidayet di k jab lerki aur lerka baligh ho jain to un ki shadi kerdo takay woh lust main ghalat kam na kerain
lakin hum maghrib k peechay lag ker is hadees ko bhool gai balkay aik zulam qerar diya
3 KAM MAIN DER NA KERO
1 JAB LEKRI BALIGH HO JAI US KI SHADI KERNAY MAIN
2 JAB NAMAZ KA WAQT HO JAI TO NAMAZ ADA KERNAY MAIN
3 JAB JANAZA TAYAR HO JAI TO USAY DAFNANAY MAIN
last 2 kam to hum ke rhi letay hain lakin pehlay kam ko nhn smajhtay
maghrib main small age marrieg to qanooni tor per mana hai zulam hai lakin small age sex allowed hai us k khilaf koi qanoon nhn
sab k knowledge main ho ga k sab se choti bin biyahi maan UK main hai 8 saal ki
jab hum apni aqalain Allah k ehkamat se beri samjhain gay to woh tamam buraiyan hum aajain gi jin se bachnay k liyay Allah ne yeh ehkamat diyay
log kehtay hain k jab lerka jawan ho to erection bhi hoti hai to kay keray
lakin hadees main hai k ager tumhain lust ziyadah ho to ROZA rakho yeh koi nhn manta
kiun k roza rakhnay se islam nazar aai ga
aur pura din kon bhooka rahay yeh behter nhn k 2 minit zaya kiyay au rsukoon
meri sab se guzarish hai k Quran aur hadees ko batarjuam perhain ap ko 99% masail k hal mil jain gau aur 1 % k na milain to woh Quran ya ahadees k puranay honay ya out dated honay ya time change ki wajah nhn
balkay humari aqal ki kami hai jo hum unahin samajh nhn sakay
ager hum kisi sahi aalim se mashwera kerain gay to insha Allah us 1 % ka bhi pata chal jai ga
humain fakher hai k hum her bat mani her kaam main Allah aur Allah k Nabi SAW k di hui taleemat k mohtaj hain humain kisi maghribi falsfay ya phychology ki zaruret nhn |