Anam Yasir |
Group: Members Joined: 16th Jun, 2011 Topic: 1 Post: 4 Age:
24
|
|
Posted on:17th Jun 2011, 3:46am |
|
|
please take seriously answer my question doctor sahib mere sath yeh problem hai k mere huband saudia rehty hai, humare shadi ko abhi 2 saal p poray nahi hue, shadi k foran baad ma un k pas chali gae th, 10 months hum akathay rahay or phir mere pregnency hotay he ma pakistan a gae. 9 month k baad jab mere byti paida hue to woh pakistan aie, byti honay sy kuch din pehly or even byti ki paydaish k hafta baad he hum ny mubasharat kia.....takriban woh mahina rahay mere pas or ic doraan hum ny kafi baar mubasharat kia. Ab masla yeh k un k janay k mahina baad mujy mubasharat ki buhat talab hoti hai, even k mujy chirchirapan hota hai jism awazaar rehta hai......apny husband k sath rehty ma unsy mukamal satisfy the, humare sexual life buhat mutmain ha.......Ap plz mujy ic ka haal bata sakty hain k kia yeh koi bymari hai? kuin jab ma 9 monyh pregnency k doraan unsy door rahi the tab mujy aici koi feeling nahi hoti thi, na kabhi shadi sy pehly mujy kuch aica feel hota tha kabhi, na he mera visa lag raha hai dubara k ma un k pas ja sako..........plz doctor sahib mujy detail ma mere masly ka haal bata dien,ma khud ki waja sy buhat parayshan ho,,,,ma apki buhat shukar guzaar hogi.
|
DrKamiAli |
Group: Members Joined: 12th May, 2011 Topic: 1 Post: 377 Age:
32
|
|
Posted on:17th Jun 2011, 4:12am |
|
|
Anam Nahi ye koi beemaari nahi hai. Ye bilkul natural feelings hain. Aur pregnancy k dauran aam taur par females ki sex ki desire kam ho jati hai. Kiyunkay
1- pregnancy k dauran hormonal changes aati hain aur us k ilawa
2- female apnay bachay ko bhi feed kar rahi hoti hai,
3- concentration apni pregnancy aur bachay par ho jati hai
Laikin ab aapki pregnancy bhi nahi hai, aur husband bhi sirf ek month aapkay paas rahay, tau ab sexual frustration ka hona bilkul natural baat hai. Some females me ye zayada hoti hai aur some females me kam hoti hai. Is liye ye koi beemaari nahi hai.
Aur shadi say pehlay aap nay kaha feelings nahi theen, tau sister shadi say pehlay aur shadi k bad me bohat faraq hota hai, shadi kay bad husband aur wife ek ho jatay hain, unkay jisam ek doosray k bagair adhooray lagtay hain, unhein ek doosray k lams ki aadat ho jati hai. Aur phir doosri bat ye k ek feeling ko jab tak aap ko nai mili aap ki us k liye talab itni nahi hoti, laikin jab aap ek feeling k aadi ho jatay ho tau us say door rehna mushkil ho jata hai.
Ab question ye hai k in feelings ko kam kiaisay kiya jaye tau iska answer aap isi section me ek aur thread hai "Reduction of craving sex", us thread ko aap please parh lijiye aapko apna answer mil jayega. Wahan Dr. Qasim aur myrizvi bhai nay bohat achay jawaab diye hain
Click below link:
reduction of craving sex
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2431 Age:
48
|
|
Posted on:17th Jun 2011, 3:41pm |
|
|
anam yasir ap k is sawal main aik bohat beri bat hai jisay shayed Dr.kamiali n emss ker diya
woh yah k ap ne NAFAZ k doarn yani bacha peda honay k 40 din k ander ander husband k saah relation kiya jo k islam main haam hai au ap ne ghalti se nhn balkay bohat bar kiya
doctor sahib hi behter bta saktay hain k is ka efect bhi ho sakta hai k ap ko itni demand ho rahi hai |
DrKamiAli |
Group: Members Joined: 12th May, 2011 Topic: 1 Post: 377 Age:
32
|
|
Posted on:17th Jun 2011, 6:49pm |
|
|
WEHSHI
Thank you so much. Waqai mujhe ye important point unhein batana chahiye tha. |
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2431 Age:
48
|
|
Posted on:18th Jun 2011, 3:42am |
|
|
alirajput saudia se jab koi vacation per jata hai to apnay gher k hsab se jata hai
yahan companiese main aisa nhn k jo date fix hai us per vacation per jana zaruri hai
is k ilawa aik bat anam ki pose main clear hai k un k husand jab aai to delivery nhn hui thi aur unhon ne deliver e pehlay bhi relation kiya?
is ka matlab hai k delivry se kam a kam 10 din pehlay to aai hon gay
is k baad insan main saber ar control hota hai
aik aur bat k shadi k baad anam apnay husband k sath chali gai thin 10 month sath rahay aur pregnant hotay hi wapis aagain means k unhain alag huway shayed 8 month huway thay
itni der main aisa nhn ho jata k insan halaal haraam bhool jai
aur in ki baton se saf zahir hai k in k husband saudia ain achi post per hain werna family visa itna asan nhn milna
is liyay yeh in ki ghalti hai aur jan boojh kr ghalti ki hai |
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:18th Jun 2011, 5:17am |
|
|
as salam oalikum byti ki paydaish k hafta baad he hum ny mubasharat kia.....takriban woh
mahina rahay mere pas or ic doraan hum ny kafi baar mubasharat kia. mujhay sab baton se itifaq hai jo dr sahab ne or dosray member ne mashwaray diye magar 1 baat chatak rahi hai kay beti ka paydahish kay haftay badd,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, kia koi female haftay bad is qabil ho jati hai ka intercorse kar sakay agr normal delivery hai to b stiches wagaira nahi hon gay kia 1st baby main to aa hi jatay hain or agar operation hai to b itna jaldi to namumkin hai theek hona us mai to bed rest hota hai kasi ziada ..........(alhamdolilah meray khod 2 betay hain )to mujhay aaisa nahi lagta kay yeh possible hai phir b aap logon ki rahay ka intizar hai thanks
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:18th Jun 2011, 5:38am |
|
|
sawal gandum jawab chana bhaiyyo aur bahno! ap sab apna zoray khataabat chanaa ki taraf kiyouN kar rahay ho...sawaal to gandum ka hai... mohtarmah aur onkay husband say agar koi mistake hogayee hai (aur yaqeenan howi hai) to aplog issay point out karkay asal sawaal ka jawaab ki taraf tawajjah kiyoun nahi detay...
anam sahibah ka asal sawal yeh hai:
Ab masla yeh k un k janay k mahina baad mujy mubasharat ki buhat talab hoti hai, even k mujy chirchirapan hota hai jism awazaar rehta hai...... |
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:18th Jun 2011, 5:48am |
|
|
aray rizvi bhai aap b na ..hairat nahi hogi is baat per jo baat im possible lagay gi us ko point out to karain gay na bhai .aap batahain kay kia jawab dain is baat ka .mashalah wo 1 beti ki maa hai khod samajh sakhi hain ab unhain chahiye kay un ka dhiyan apni beti ki taraf lagahain ...............khod hi sukoon mil jahay ga inshallah
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:18th Jun 2011, 5:53am |
|
|
its true chalaiN "aik mashwarah" to apnay day hi dia ,... amooman iss qism ki thread fake bhi hoti hain...lekin phir bhi 'sawaal" apni jagah valid hota hai. kuch logoun ko shah.wat ki zeyadah talab hoti hai. aur yeh onkay liyeh 'maslah' ban jata hai. jiskay seriously jawaab bhi dena chaahiyeh. |
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2431 Age:
48
|
|
Posted on:18th Jun 2011, 4:20pm |
|
|
myrizvi janab jabGANDUM aur CHANA sath sath BOAY hian to pehlay CHANA ugay ga:)
is liyay CHANAY ka jawab h banta hai
ok as u advised hum gandum k baray bhi dekhtay hain
ager to beti ki pedaish k baad in ko ziyada demand hai to us ki 2 wajoohat ho sakty hain
1 jab yeh beti ko feed kerati hongi to in ko ziyadah feel hota ho ga kiun k ho sakta hai k in ka active in k feeeding oint hon
2aisa bhi ho sakta hai k jab inhon ne doran e nafas relation kiya to us se in ko kuch aisa huwa ho k in main demand berh gai hai
akhir Allah ne jab koi bat se manakiya hai to us ki koi wajah bhi ho gi
wesay beti ki teraf dhiyan den aur apni routin ain aajain gher k kam kaj main
is k ilawa in k liyay aik mashwera hai k husband se on line aur on cam chat e perhaiz kerain
werna control kerna mushkil ho ga |
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2431 Age:
48
|
|
Posted on:18th Jun 2011, 4:20pm |
|
|
myrizvi janab jabGANDUM aur CHANA sath sath BOAY hian to pehlay CHANA ugay ga:)
is liyay CHANAY ka jawab h banta hai
ok as u advised hum gandum k baray bhi dekhtay hain
ager to beti ki pedaish k baad in ko ziyada demand hai to us ki 2 wajoohat ho sakty hain
1 jab yeh beti ko feed kerati hongi to in ko ziyadah feel hota ho ga kiun k ho sakta hai k in ka active in k feeeding oint hon
2aisa bhi ho sakta hai k jab inhon ne doran e nafas relation kiya to us se in ko kuch aisa huwa ho k in main demand berh gai hai
akhir Allah ne jab koi bat se manakiya hai to us ki koi wajah bhi ho gi
wesay beti ki teraf dhiyan den aur apni routin ain aajain gher k kam kaj main
is k ilawa in k liyay aik mashwera hai k husband se on line aur on cam chat se perhaiz kerain
werna control kerna mushkil ho ga |
Anam Yasir |
Group: Members Joined: 16th Jun, 2011 Topic: 1 Post: 4 Age:
24
|
|
Posted on:19th Jun 2011, 3:55am |
|
|
mere sawal mazak nahi ha
apko masly ka hal nikalna tha friends par apko masla bana kr byth gae..... !st of all mera sazayrian hua tha 7 din baad stiches khulay thay or oc k 4 din baad humny mubasharat ki the.............. mujy blood nahi laga tha.........or mere bleeding hafty ma he khatam ho gae the.........islam ma kahi nahi likha k 40 din poray krna hoty hai........... mujy bleeding nahi the.....mere husband ki khuahish the.........ma ic kabil the k pori kr sako..........ici leay sab hua........or husband ki wish puri krna jannat ki raah hamwaar krna hai. mere husband ny mjy periods k duraan t nahi kaha k ma mana krti.......... i think ab ap ic baat ko positiv liengy.bajae olat jawab dyny k.
|
DrKamiAli |
Group: Members Joined: 12th May, 2011 Topic: 1 Post: 377 Age:
32
|
|
Posted on:19th Jun 2011, 5:19am |
|
|
Anam
I think k jo meri pehli post thi wo apkay sawal ka complete jawab tha. Aap please usay parh lein. |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:19th Jun 2011, 5:26am |
|
|
anam gup shup, hansi mazaq apni jagah... magar ooper ki replies main, as dr sb said...apko bahoot say tips diyeh gaye haiN... ap saari replies ko ghaur say paRhaiN... aur jagah jagah bikhray howay tips ko notes ki soorat maiN yakjaa kar laiN...yeh apkay liyeh aik tarah say medical prescription (Dr. ki parchi:) ban jayega. now its up to u ap in hedayaat par kaisay amal karti haiN |
DrKamiAli |
Group: Members Joined: 12th May, 2011 Topic: 1 Post: 377 Age:
32
|
|
Posted on:19th Jun 2011, 5:34am |
|
|
Another thing Islamic point of view say doosray membran aapko behtar taur par guide kar sakeingay, laikin jahan tak mera knowledge hai, islam me nifas 40 din zaroori nahi hai, agar bleeding 7 din me ruk jaye aur bleeding k dubara shuru honay ka chance na ho, tau nifaas 7 din me bhi khatam ho jata hai (laikin apnay doctor say mashwara kar leina chahiye k kia ye medically safe hoga). Haan albatta ma historical perspective say yea kahunga, k Hazoor SAW k zamaanay me aurtein usually 40 din nifaas k liye rakh leiti thin. Agar kisi ko sure hai k ma kuch galat keh ra hu tau please meri correction kar dein.. |
DrKamiAli |
Group: Members Joined: 12th May, 2011 Topic: 1 Post: 377 Age:
32
|
|
Posted on:19th Jun 2011, 5:40am |
|
|
WEHSHI
Dear jahan tak muje knowledge hai, nifas k dauran sex k jo medical problems ho saktay hain un me, sex ki talab ka ziada ho jana nahi hai.. |
DrKamiAli |
Group: Members Joined: 12th May, 2011 Topic: 1 Post: 377 Age:
32
|
|
Posted on:19th Jun 2011, 5:43am |
|
|
myrizvi
Sorri brother.. muje aisa ni kehna chahiye tha k mera answer complete hai.. thanks for indirect correction.. God bless you.. |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:19th Jun 2011, 5:43am |
|
|
nifaas ki muddat
حیض و نفاس کی مدت کیا ہے؟
جواب:
حیض کی کم از کم مدت تین دن اور تین راتیں ہیں اور زیادہ سے زیادہ مدت دس دن اور دس راتیں ہیں جبکہ نفاس کی کم از کم مدت کوئی نہیں اور زیادہ سے زیادہ چالیس دن ہے۔
ترمذی، الجامع الصحيح، أبواب الطهارة، باب ماجاء في کم تَمکثُ النُّفَساء؟، 1
menses duration: minimum 3 days n 3 nights .... nifaas duration: maximum 40 days and zero minimum days |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:19th Jun 2011, 5:50am |
|
|
Dr Ali it's ok dear...mera matlab apki correction hargiz nah thaa... maiN to just mohtarmah ko batlaa rahaa thaa k ooper etnay mashwaray milay haiN phir bhi apko gila hai k ham serious nahi :) ... and u r also right k nifaas ki koi minimum duration nahi hai... maiN nay apki baat ki tasdeeq k liyeh hawala bhi pesh kardia hai. |
DrKamiAli |
Group: Members Joined: 12th May, 2011 Topic: 1 Post: 377 Age:
32
|
|
Posted on:19th Jun 2011, 5:53am |
|
|
myrizvi
Thanks dear aap nay mashaAllah reference provide kar dia.. it will be helpful for many.. |
|