bid'aat 1. har woh kaam jo nabi kareem saw nay nahi kiaa aur hum kartay hain ... bid'aat nahi hai. jaisay plane maiN safar karna bid'at nahi hai (baaz log 'jawabi hujjat' k taur par aisi misaal pesh kahtay haiN)
2. sirf wohi amaal bid'aat haiN ...... jo aj deen k naam par kia jaa.ay.... yaa jiska kia janaa, deeni samjha jaa.ay / kaaray sawaab samjha jaa.ay / aakherat maiN nijaat ka zariyah samajh kar kia jaa.ay ....... jabkay "aisay kaamouN /rasoomaat" ki SANAD Nabi kareem saw aur sahaba karaam RA ki zindagiyouN maiN nazar nah aa.aay........... yahaaN misalaiN denay ki zaroorat nahi...... har samajh boojh wala shakahs khud dekh sakta hai k aaj kal kaun kaun say kaam deen k naam par "ejaad" kiyeh gaye haiN, jinka saboot dauray resaalat saw aur dauray sahaba RA main nahi miltaa.
3. bis'aat ki aik aur pahchaan:
Allah ka quran maiN hukm hai k Allah ki rassi (quran) ko mazbooti say thaam lo aur baham firqay nah banaa'o............... doosri taraf nabi kareem saw ka farmaan hai k meri ummat maiN 72 firqay paidaa hongay aur in maiN say aik "firqah" k elawah saray firqay jahannami hongay.... poocha gaya yaa rasool Allah ... jahannam main kaun saa "firqah" jahannam say bachegaa (aur jannat main jaayegaa)... jawaab milaa.... woh group jo quran o sunnat par amal kartay howay meray aur meray sahabah RA k tareeqouN par chalta rahegaa (mafhoom)
aj 'mosalmnaaouN' k naam par maujood "tamaam firqouN" ka jaizah lijyeh.... apko mostly "firqay"... aik doosray say inhi "bid'aat" ki wajah say aik doosray say alag nazar aayengay........ yaani har "firqay" maiN maujood "bid'aat" doosray "firqay" ki "bid'aat" say juda juda haiN...... 'imaaniyaat' o aqaid ki baat to choraiN k yeh 'nazar' nahi aatay......... magar deen k naam par jo 'rasoomaat" yeh firqay sar.anjaam detay hain......... yehi "rasoomaat" aik doosray say alag alag hain.... aur yehi "munfarid-rasoomaat" hi in "firqouN" ki wajah shanaakht bhi hai
har common mosalmaan yeh bah khoobi dekh sakta hai k mostly "firqouN" k yeh naam nehaad "mazhabi rasoomaat" ka saboot dauray resaalat /sahabah say nahi miltaa....... pus yehi bid'aat hain.... aur bid'aat par amal karnay walaa gumraah hai...
jannat maiN jaanay k khahish.mand mosalmaanouN par laazim hai k woh nabi kareem saw ki above hadees ki raushni maiN bid'aat k haamil har morawwaj firqouN say doooooooooooor rahtay howay khailsatan quran o hadees k motaabiq apni zindagi guzaaray aur jannat maiN apnay daakhilay ko yaqeeni banaanay k liyeh quran o sunnat ki direction par chalay nah k firqoun ki bid'aat wali direction par
|