re: chatting and non-medical category re: "Ya phir iss per Medical kay elawa tamam catagories khattam ker di jain.."
jaha tak non-medical topic ki baat hai tu iss forum ka har thread informative hota hai, chahe woh kisi bhi category ka ho. log informative topic ko search kerte hai tu iss forum ka koi na koi page khul jaata hai. maslan aap darj zail keyword (non-medical) google mai search kare tu dekhe ge keh iss keywords se related thread wala page khul jaata hai. examples
Sad poetry by wasi shah masala tv recipes poetry of ahmed faraz hazrat ali quotes in urdu khwabon ki tabeer funny quotes in urdu divorce in islam telepathy in urdu urdu islamic poetry herbs name in urdu wazifa for success ghusal ka tarika
oopar jetne bhi keyword phrases likhe hai woh log search kerte hai. aap log bhi search ker ke dekh le keh iss search se forum ke pages kis tarah khulte hai. oopar jo bhi example dia hai wo non-medical aur non-sex category se taluq hai. lehaza non-medical category ka chatting category se muqabla na kia jaaye. chatting category mai member ki personal gup shup se internet ke user ko kia dilchaspi ho sakti hai. lehaza chatting category ka koi bhi page search engine mai nahi khul sakta. aur jab search engine mai jo page nahi khulta os page ka iss forum per kia faida.
jo log chatting kerna chahte hai on ke paas aik doosre ki id mojood hai, woh sab log Facebook, Orkut, msn aur iss jaise doosre chatting ki site per chale jaaye aur waha shoq se chatting kare. aur agar kisi ke paas aik doosre ki id nahi hai tu admin se special request ker ke id exchange ki jaa sakti hai.
mai admin se request kerta hoo keh jo member aik doosre se personal chatting ke khahish mand hai onhai id exchange kerne ki ijazat di jaaye takeh woh kisi aur chatting website per jaa ker chatting ker sake. |