|
Maryam |
Group: Members
Joined: 17th May, 2008
Topic: 32
Post: 5089
Age:
|
|
Posted on:15th Jan 2010, 6:18am |
|
|
Right Spelling Of Muhammad (PBUH) given below info is released on face book that
MOHAMMED is correct spellings .wrong spellings created by yahudis is Muhammad
if we spell it ..... edited.....
real spelling is MOHAMMED (P.B.U.H)
MED & MOHAMMED is implimented in saudia plz tell every body to use MOHAMMED (SALLAHO ALEHE WASSALAM )
is it the right & authentic info ? if anybody knows plz guide us in proper way .
Mod Note: edited wordz say indirectly "taheenay resalat" ka pahloo nikal sakta hai. issliyeh issay edit kar dia gaya. |
hasna |
Group: Members
Joined: 25th Apr, 2009
Topic: 40
Post: 1066
Age: 23
|
|
Posted on:15th Jan 2010, 7:33am |
|
|
very nice i will care about it next time INSHALLAH |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 93
Post: 3368
Age:
|
|
Posted on:15th Jan 2010, 10:39am |
|
|
Plz confirm again what is the ur source of above news item?
jahaaN tak mujhay yaad paRta hai koi 3/4 decades qabal international islamic scholars nay muttafiqqah taur par iss naam k yeh spelling recommend kiyeh thay... tab say maiN yehi spelling use kar raha houN
Muhammad (saw) |
Maryam |
Group: Members
Joined: 17th May, 2008
Topic: 32
Post: 5089
Age:
|
|
Posted on:15th Jan 2010, 12:19pm |
|
|
Re: maine aaj subha face book pe read kiya tha . agar kisi ko saudia k is rule ka ilm hae tou plz batayen main bhi is ka resource maloom karti hon . maine yeh topic start kartay huwe hi likha tha k agar kisi ko sahi ilm hae tou confirm kar dain warna tas,hee kar dain lekin mistakenly woh post hi nahi huwa .i hope saudia main rehnay walon ko is ki koi khabar hogi . lekin google pe search kar k latin words ka meaning tou dekha jasakta hae na ? |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 93
Post: 3368
Age:
|
|
Posted on:16th Jan 2010, 2:41pm |
|
|
wordz n languages 1. kissi aik zuban k kissi wordz ka kissi doosri zuban maiN matlab talaash karnaa...yeh lesaaniyaat k osool k khilaaf hai....... jaisayword Bhutto ka aik ghair mulki zuban (mulk ka naam bhool gaya) maiN matlab aik fahash gali hai. jab pakistani sadar z a bhutto nay pahli martabah oss mulk ka daura kia to oss mulk k hukkam /media ko baRi diqqat howi... bil aakhir onhouN nay bhutto ko "zulfiqar" k naam say bolnay /likhnay ka faisla kia.
2. kissi word ko break karkay oskay meaning ossi zuban maiN bhi talash karna lessani etbaar say ghalat hai...kissi doosri zuban maiN talaash arna to aur bhi ghalat hai.... jaisay urdu zubaan ka aik lufz hai ... DILBAR.DAASHTAH ... ab agar issi lufz ko dilber say break karkay 2 alfaaz banaa liyeh jayaiN to dounouN lufz mayoob aur bazaari ban jatay haiN jissay koi bhi suljha howa mohazzab shakhs use nahi karegaa... magar urdu adab maiN bataur aik word ...dilber.dashtah... use karnay main koi karaahiyyat nahi aur iska matlab bhi bora /mayoob nahi.
3. Muhammad ... aik arabic lufz aur ism (noun) hai... issay kissi doosri zubaan maiN tarjuma karkay nahi likhaa jasakta 9noun ko tarjuma nahi kia jata)... aur nah hi iskay kissi bhi zubaan maiN aisay spelling say likhna chhaiyeh jo spelling already oss zuban k kissi lufz ka ho aur oskay meaning koi aur houN 9khaah achay yaa boray)....... lekin kissi non-arabic language maiN iss ism k kissi bhi spellings ko break karkay kissi teesri zubaan k meaning likhnaa... baat samajh say balaa tar hai.
4. actually ajkal cell sms aur net k zariyeh islam say motalliq naye naye "fitnay" phailaa.ay jarahay haiN.... mujhay nahi maloom yeh bhi onmaiN say aik hai yaa nahi... lekin above lingustic logics k to bahar haal khilaaf hai hi.
5. albattah agar ulema ki koi council above "etraaz" ko sahi samajhtay howay iss mubarak naam k koi aur spelling tajweez karti hai to hamaiN labbaik kahna chahiyeh... but yeh authentic zaraye say maloom ho... gumnaam sms, emails, aur net par idhar odhar phaili howi batouN say nahi.
6. agar kissi ko iss baray maiN authentic baat maloom ho to zaroor share karay. |
Maryam |
Group: Members
Joined: 17th May, 2008
Topic: 32
Post: 5089
Age:
|
|
Posted on:18th Jan 2010, 12:14pm |
|
|
myrizvi bhai jazakAllah . maine face book pe is info ko share karnay walay se bhi deleting ki request ki hae bcoz no authentic resource of this info . bila tehqeeq kisi bhi baat ko phailanay se isi liye mana kiya gaya hae . i,m going to change my topic takay agar google pe is quest ko search kiya jaye tou is topic ko info nahi balkay question hi samjha jaye . takay aisi kisi bhi info ki tasdeeq ya tardeed hojaye |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 93
Post: 3368
Age:
|
|
Posted on:22nd Jan 2010, 7:54am |
|
|
Right Spelling of Mar.yam above thread starter k nick /name ko dekh kar khayaal ayaa k "Mar.yam" ki spelling (meem+ray+yeh+meem) bhi yaqeenan ghalat hai:) meem+ray=mar k meaning haiN marnaa jabkay persian language maiN yeh+meem = past tense of 'we' hai... youN iss 'mar.yam' ka matlab howaa ... "hum" mar.gaye....... ap apni zaat ki had tad to (kissi par bhi aur kabhi bhi :) marnay ka 'dawa' karsakti haiN. lekin ap ko yeh 'haq' hasil nahi k apnay saath hamaiN bhi lay DoobaiN :)
lehaza ayandah ap iss segha.e.jamaa ko wahid mutakallam (1st person, singular no.) maiN change karkay apnay aap ko "marm" (meem+ray+meem) likha karaiN ... jiska matlab hogaa (hi) maiN mar gayee (guR khaa kay:).... agar 'guR' ki jagah kuch aur pasand ho to woh likh daiN, 'hamaiN' koi etraaz nah hoga:) .... iska aik aur matlab yeh bhi hosakta hai k ... (hi) maiN muree gayee :) ab in dounouN meaning par kissi ko etraaz nahi hosaktaa.... lehaza ap ayandah say apnay urdu name maiN say 'yeh' ka harf nikaal daiN... aur issi tarah roman spelling bhi 'correct' karlaiN like ... marm...:)
Maryam Sister: "ilmul.kalaam" ki roo say issi tarah kissi bhi word ka postmortem kia jasakta hai jaisay above satoor maiN kia gaya hai jo abtak millions of muslims maiN phail chuka hogaa (face book /cell sms k zariyeh)... aur millions of muslims ab iss name k saath hi woh lughw aur kharaab ilfaaz ko yaad kia karengay...... yaqeenan yeh kaaristani kissi danaa dushman nay hi ki hogi...yaa phir woh kam az kam nadaaN dost to hoga hi... Mods ka yeh note durust maloom hota hai k iss thread say 'tauheenay resaalat" ka pahloo bhi nikal sakta hai. lehaza iska edit kia jana yaqeenan durust hai.
|
System |
Group: Members
Joined: 04th Jun, 2008
Topic: 46
Post: 2141
Age: 29
|
|
Posted on:22nd Jan 2010, 10:34pm |
|
|
myrizvi yar rizvi saheb app kyon hmare dmagh ki lassi banane per tule howe hain... aisis aise muskil urdu kahan se dhond ke late hain.. lolzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz... |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 93
Post: 3368
Age:
|
|
Posted on:23rd Jan 2010, 8:30am |
|
|
lassi sehat k liyeh mofeed hai:) kabhi kabhi dimaagh ko lassi ki tarah blonay bhi dia karaiN oski efficiency maiN insha Allah izafah hi hogaa haaaaaaa haaaaa |
Maryam |
Group: Members
Joined: 17th May, 2008
Topic: 32
Post: 5089
Age:
|
|
Posted on:26th Jan 2010, 1:42pm |
|
|
myrizvi bhai aaj aik aur info dekhnay main ayi hae :) is pe bhi islah kar dain
saudia main "hello " kehnay pe pabandi ayed ki gai hae kyun k un k mutabiq "hell" jahannum ko kehtay hain aur "hello" jahannumi" ko isliye phone recieve kartay huwe ya miltay huwe hello ki bajaye salamti ki dua karni chahiye . |
myrizvi |
Group: Members
Joined: 20th Apr, 2008
Topic: 93
Post: 3368
Age:
|
|
Posted on:26th Jan 2010, 2:18pm |
|
|
sharmindah nah karaiN :) Islaah aur maiN karouN... ab aap sharmindah to nah karaiN ... kahaaN maiN kahaaN yeh moqaam, Allah Allah ... maiN to bus apni roy pesh kia karta houN...
iss wahiyaat lufz "hello" ko to ab western culture k ander bhi wahaaN k mohazzib afraad nay use karna turk kar dia hai... ab iskay bajaa.ay woh telephone receive kartay howay "yes" kahnay lagay haiN.
hell, bila shubah jahannam ko kahtay haiN... hello ka matlab agar "jahannami" nah bhi ho to yeh aik mahmal (bay.maani) lufz hai, jo hell hi say niklaa hai. lehaza iskay istemaal ko turk karna hi behtar hai.
pakistan maiN telephone receive kartay howay "Assalam o Alaikum" kahnay ka rewaaj last aik ashray say tezy say phail raha hai jo aik khush ayand baat hai. maiN bhi arsay say hello ki bajaa.ay Assalam o Alaikum hi kahta houn... lehaza agar iss pasay manzar maiN "hello" kahnay par koi pabandi ayad ki jati hai to iska khair maqdam kia jana chhaiyeh.....
taham mutlaqan issay HARAM kahna aur aisaa kahnay walay ko gunaah.gaar samajhnaa bhi monaasib baat nahi maloom hoti k yeh etedaal say haTnay wali baat hai.
wallaho aalam bissawab |
Maryam |
Group: Members
Joined: 17th May, 2008
Topic: 32
Post: 5089
Age:
|
|
Posted on:26th Jan 2010, 2:35pm |
|
|
Re: Allah na karay k main "aap" ko ya kisi aur ko sharmindah karon beharhaal aap ki kasre nafsi hi hae :) jazakAllah for more detail |
|