alirajput |
Group: Members Joined: 14th Aug, 2011 Topic: 27 Post: 3277 Age:
|
|
Posted on:14th Oct 2011, 4:31am |
|
|
Mashallah Information ki talash.. aur mile Info g.... Allah apko salamat rakhe.. khush rakhe.. abhi mazeed paroonga iss thread ko mukamall..
Allah hafiz |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 244 Post: 4055 Age:
36
|
|
Posted on:14th Oct 2011, 4:42am |
|
|
Islam mai koi ikhtelaf nahi yeh baat tu sab hi jaantay hai keh Shia aur Sunni mai zameen aur asman ka farq hai. dono apne aap ko Musalman kehtay aur samajhtay hai. etna ziadah farq ke bawajood bhi yeh log aisa kio kehtay aur samajhtay hai?
etna ziadah farq keh baad agar aik Musalman hai tu doosra nahi ho sakta, aur agagar doosra Musalman hai tu pehla nahi ho sakta.
lehaza mera sawal hai keh in mai Musalman kon hai? |
softouch12 |
Group: Members Joined: 12th Aug, 2011 Topic: 0 Post: 2 Age:
25
|
|
Posted on:14th Oct 2011, 9:36am |
|
|
shiat k aqaed islam Allah se shru hota hai or Mohammad SA per khatm hota hai
shiat Mohammad SA k baad shru hoti hai or aj tak chal rhi hai
kun k imamon ka concept jo agaya
is k ilawa jhulon se, tabooton se ghoron se mnten mangi jati hain to shirk hi huwa na?????
shiat k poshida aqaed
1 shiat ka aik firqa aisa manta hainbuwat Ali ra ko milni thi gibrail ki ghalti se Mohammad SA ko mil gai
ik firqa manta hai k Ali ra ko Mohammad SA ki medd k liy bheja gia is liy Mohammad SA k bad ali ka hq tha khilafat per
ik firqa manta hai Ali Allah ka dunyavi roop haijesae hindus main awtar hota hai
2 kalma jo Mohammad SA ne btaya woh un k jane k baad khud bakhud badal gaya or us main ALIra k nam shamil ho gaya (kun k Allah ko bad main zaruret peri)
namazon k okat 3 hi hain kun k quran mein 3 ka ziker hai izafi do in k sath mila kr perhi jain gi
3 quran main jahan bhi namaz ka hukm hei whin zakat ka hei lekin shia's k liy khumas hai yani islam k ik rukan ka inkar
khumas mal e ghnimat main se 5% tha Mohammad SA or un k ehl e khana k liyay kun k un per sadqa wajib nhn tha yeh bhi waza ho k us khumas mein se Ali ra ya Fatima ra ko kuch nhn milta tha han agr Mohammad SA kuch khud dete to alag bat thi
4 haj or umrah bhi lag hai jab tak sham or iran or iraq se ziarten na ho jain haj ki tkmeel nhn hoti
nikah or talak bhi alag gherz ik alag mazhab hai jise islam ka rng de ker muslman banaya gia hei
jesay batakh ko rang se kr murghi banaia jai
shiat ki talim ka ik aks ye bhi hei k
ager man beta sefr main hon or bete ko shehwt ajai to beta nafs per kpra lapet ker man k sath shewt khtm kr sskta hei
is k bad bhi dawa k islam ka ik firqa hei kitna bhonda mazaq he na islam or musalmano se |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 44 Post: 2828 Age:
34
|
|
Posted on:14th Oct 2011, 10:17am |
|
|
aik aur pindora box alirajput aap kaheen aman ki bansuri baja rahy hain kaheen purany threads active kar k apny dohary miyaar ka pata day rahy hain , isy munafqat kaha jaye ya aap ka bachpana , jo b hay aap ny acha nahi kiya ..agar aap ko information chahiye thi to aap iss thread ko just read b kar sakty thy , issy reactive karny ka maqsad new pindora box open karna hay . lehaza jab kisi k aitqad par hamla kiya jaye ga aur mann gharrat baton ko kisi k sath mansoob kar k apni "ilmi qaabiliyat" show ki jaye gi to hum par b yeh hujjat ho jaati hay k hum b apna mo'aqqaf aur nuqta nazar biyan karain
laiken afsos jab hum aysa karty hain to kuch munafiq qism k members aman chain ki bansri bajany wahan aa jaty hain , yeh dohra miyaar hi to hay jis ny aaj tak islam k sab firqon ko apis main aik nahi hony diya , chain sy baithny nahi diya , aik banda aag lagata hay to dosra uss main petrol phainkhta hay , iss k jawab main jab aag bujany waly puhanchty hain to ag lagany waly phir sy shareef zady aur aman pasand ban kar beech main aajaty hain aur kaha jata hay k nahi nahi yahan fasaad ho raha hay , aysi behson sy kuch nahi mily ga , waghaira waghaira ..yeh kaisi munafqat hay ..
softouch12
aap shaid buhat jaldi main lagty hain , tabi to jaldi jaldi apni zehani ikhteraah yahan bakhair kar aur apni jahalat dikha kar chalty bany hain , jo aqyed jo aap ny biyan kiye hain wo aap ny suny howy hain apny molvi sy iss liye aap ko shaid haqeeqat nahi maloom lehaza aap k liye mashwara hay k aap issi thread k last page par meri posts ko ghore sy parr lain ta k aap ko chain mil saky aur shia k bary asal maloomat mil sakain .. |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 44 Post: 2828 Age:
34
|
|
Posted on:14th Oct 2011, 10:50am |
|
|
bewaqoof ki khahish ki takmeel re "yeh baat tu sab hi jaantay hai keh Shia aur Sunni mai zameen aur asman ka farq hai."
aap jaisy informative member sy iss baat ki towaqqo nahi thi , khair janab baat yeh hay k shia sunni main koi zameen asman ka farq nahi hay just fiqhi / frohi farq hay , jaisy k namaz k tariqa ka , ramzan , waghaira baqi sab kuch aik hay , farq sirf pathar ki soch rakhny walon main aur shia main hay abb pathar ki soch waly chahy sunni hon ya wahabi ya deo bandi
pathar ki soch kia hoti hay
pathar ki soch yeh hay k qatal b acha maqtool b acha , rasool pak (s.a.a.w) b achy aur unn ki aal k muqably main aany waly b achy , Imam Husain (a.s) b achy aur yazeed (l.a) b acha , aur zaalim b acha aur mazloom b acha ..yani k islam b acha aur islam k muqbly main aany wala b acha , yeh hay pathar ki soch aur jis main yeh soch hogi waqiya hi shia ka uss k sath zameen asmaan ka farq hay ..q k pathar ki soch ko achy bury ka koi pata nahi hota uss k liye sab aik jaisa hay wo to pathar hota hay jo na tass hota hay na mass hota hay
re "lehaza mera sawal hai keh in mai Musalman kon hai?"
aap ka sawal hi ghalat hay q k muslimaan hony ka matlab hay kalma ko own karna aur kalma to islam k sab school of thoughts own karty hain , lehaza sirf kisi aik ko define karna k kon muslim hay kon nahi muzehaqa khaiz baat hay kalma own karny k lehaz sy to sab hi musliman hain , laiken masla yeh nahi hay
aap sawal youn karain k kon islam ki min-o-ann ata'at par hay aur kon nahi q k allah ny quran main b 2 tareeqy sy logon sy khatab kiya hay aik momin aur dosry aam log yaani No.1 "yaa ayuo'han'nas , yaa ayou'halla zeena " etc No.2 yaa ayuo'hal momineena , aamaa'nulla zeena" etc , kaheen b muslman k name sy khitaab nahi hay agar musliman k lehaz sy baat hay to just baat hay khitaab nahi hay , iss bat sy zahir hota hay k ya emaan waly ya phir baghair eman waly yaani aam log , to aap ka swal b issi hawaly sy hona chahiye tha
abb bat yeh hay k agar aap poochain kon eman wala hay kon nahi to aik mint main faisla hojata hay , jo log allah ko adal manty hain dil sy janty hain , yaqeen rakhty hain aur hashar k din yaani qiyamat main zalim ko zalim ki saf main aur mazloom ko mazloom ki saf main kharra howa daikhny par yaqeen rakhty hain wo emaan waly hain aur jo iss k ulat hain aur samjhty hain k allah sirf ghafor-e-raheem hi hay wo sab ko bakhash dy ga to unn ka allah k bary eman main kuch kami hay aur jis k eman main rati barabar b kami hay ussy emaan wala to nahi kaha ja sakta..wo chahy islam k andar niqab pehan kar dakhil hi q na ho jaye , chahy zuban sy kalma ka iqraar wa wird hi q na kar lay |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 1 Post: 185 Age:
37
|
|
Posted on:14th Oct 2011, 12:30pm |
|
|
softouch12 islam Allah se shru hota hai or Mohammad SA per khatm hota hai
shiat Mohammad SA k baad shru hoti hai or aj tak chal rhi hai
kun k imamon ka concept jo agaya
is k ilawa jhulon se, tabooton se ghoron se mnten mangi jati hain to shirk hi huwa na?????
Softouch sahab dekhein zubani baat kernay se na hi koi aap per yaqeen karay ga aur na hi aap ki baat mein wazan ho ga...
Umeed kerta hoon k unn sab baaton k aap shia books se ref. zaroor laein ge tak hum bhi dekh sakein aur dosray members bhi dekh sakein...
Dekhein meray bhai Islam Rasool Allah saww per khatam nahi hua balkeh Islam to qayamat tak qaim rahay ga,aap ko kis ne khabar de di k Islam 1400 saal pehlay hi khatam ho gaya tha ??
Jahan tak baat hai imamat/khilafat ki to meray bhai yeh aqeeda bhi hai k Rasool Allah saww k ne fermaya k meray baad 12 khalifah hon ge to iss hadith ko aap kis teraf lo ge ??
Kiya aap samajhtay hain k Rasool Allah saww ne aisay hi mazzaq mein hi keh diya aur iss hadith ki koi ahmiat nahi hai ??
Aur khilafat taqreeban her Nabi k baad rahi hai bhai agar aap history perho...
Nabi shariat lata hai aur khalifah uss ko agay le ker chalta hai...
Meray khayal se aap iss masla per mazeed tahqeeq karein ge ta k aap k ilm mein izafa ho aur aap iss ko islam k khilaf na samjhein... |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 1 Post: 185 Age:
37
|
|
Posted on:14th Oct 2011, 12:39pm |
|
|
softouch12 shiat k poshida aqaed
1 shiat ka aik firqa aisa manta hainbuwat Ali ra ko milni thi gibrail ki ghalti se Mohammad SA ko mil gai
ik firqa manta hai k Ali ra ko Mohammad SA ki medd k liy bheja gia is liy Mohammad SA k bad ali ka hq tha khilafat per
ik firqa manta hai Ali Allah ka dunyavi roop haijesae hindus main awtar hota hai
Aap ne yeh sab kharafaat kahan se lein janab ??
Aur khufiya aqeeda aap ko kaisay pata chal gaya :P
Aur aap ne kaha k aik shia firqah manta hai k Hazrat Jibrael a.s ne ghalti ki to kiya aap uss firqah ka naam batana pasand karein ge aur zahir hai yeh baat unn ki books mein bhi mojood ho gi to jahan se aap ne yeh aqeeda perha hai pls uss ka scan page yahan de dein aur agar aap aisa nahi karein ge to hum samjhaein ge yeh aap ki zehni kharafaat hai na k shia k kisi firqah ka aqeeda...
Jahan tak baat hai Mola ali a.s ka madad k liye bhejna to meray bhai iss mein kiya ghalat hai ??
Kiya yeh shirk ho gaya ?? pls aap iss per mazeed baat karein ta k aap ka etiraz clear ho sakay...
Aur jo yeh aap ne 3rd ilzam lagaya hai to janab yeh aap k kisi mulla ka propegenda to ho sakta hai lakin iss meink oi haqeeqat nahi hai...
Iss k liye aap ko shia aqeeda mein Tauheed perhna chahiye ta k aap ko samajh aa sakay k jo aap k mulla ne bataya hai woh uss k zehan ki kharafat hai na k shia aqeeda Balkeh shia to Allah ko aap ki terha bhi nahi manta k uss k hath hain,paon hain jo qayamat k din allah jahanum mein dalay ga ya pindali hai jo nishani k toar per qayamat k din loagon ko dikha ker apni pehchan kerwaye ga :P
Hum to inn sab cheezon se Allah ko bala-ter samajhtay hain aur hamara aqeeda hai k Allah mehdood nahi ho sakta....
Umeed hai aap mazeed tahqeeq karein ge aur jin baaton ka mein ne aap se kaha unn ka saboot yahan paish karein ge...
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 1 Post: 185 Age:
37
|
|
Posted on:14th Oct 2011, 12:48pm |
|
|
softouch12 2 kalma jo Mohammad SA ne btaya woh un k jane k baad khud bakhud badal gaya or us main ALIra k nam shamil ho gaya (kun k Allah ko bad main zaruret peri)
namazon k okat 3 hi hain kun k quran mein 3 ka ziker hai izafi do in k sath mila kr perhi jain gi
Thora sa zehan waseh karein aur mazeed tahqeeq karein na k sunni sunai baaton per yaqeen ker k apna aqeeda bana lein...
Jahan tak baat hai kalma ki to meray bhai aap aur nahi sirf tarikh tabari ko le lein jo ahl sunnat ki book hai..
topic hai dawat asheera jab Rasool Allah saww ne apnay khandan ko bulaya aur kaha k kon hai jo meri madad karay Islam ko phelanay mein to siwaye Mola Ali a.s k kisi ne bhi iqrar nahi kiya...aap ne aisa 2 baar kaha aur sirf Ali a.s ne hi jawab diya to tab Rasool Allah saww ne fermaya k ali a.s mera wasi hai aur meray baad mera khalifah hai tum loag iss ki baat suno aur iss ki ataat karo,sab loag hansnay lag gaye aur unhon ne tanzun Hazrat Abu Talib a.s ko kaha k lo ab tum apnay betay ki bhi ataat karo...
Kher meray bhai jo kalma hum perhtay hain uss ka hukam to Rasool Allah saww ne fermaya tha lakin aap shayed unn loagon ki terha hain jinhon ne uss waqt mazzaq uraya tha Rasool Allah saww ki hadith ka aur aaj bhi ussi terha mazzaq urra rahay hain :P
Janab hum bhi 5 namazein perhtay hain magar 3 auqat mein lakin agar koi alag alag namaz bhi perhna chahye to koi ghalat nahi aur 2 namazein aik sath perhnay ka saboot mein already wehshi sahab ko sahih bukhari se de chuka hon kiun k unhon ne bhi aisa hi etiraz kiya tha...meray bhai yeh to sunnat hai to kiya aap ki nazar mein sunnat per amal kerna jaiz nahi hai ??
Aur aap ne Quran ki baat ki to meray bhai kiya aap kisi ayat se dikha saktay hain 5 auqat namazon k agar aap ko 3 auqat per bohat etiraz hai ?? |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 1 Post: 185 Age:
37
|
|
Posted on:14th Oct 2011, 1:12pm |
|
|
softouch12 3 quran main jahan bhi namaz ka hukm hei whin zakat ka hei lekin shia's k liy khumas hai yani islam k ik rukan ka inkar
Janab aap ko kis ne kaha k shia zaqat nahi detay ??
Janab shia zaqat detay hain lakin aap ki terha paisay per 2-1/5% nahi detay kiun zaqat inn per nahi hai balkeh aur cheezon per hai...aap kisi hadith book se dikhaein ge k zaqat paisay per hai ??
khumas mal e ghnimat main se 5% tha Mohammad SA or un k ehl e khana k liyay kun k un per sadqa wajib nhn tha yeh bhi waza ho k us khumas mein se Ali ra ya Fatima ra ko kuch nhn milta tha han agr Mohammad SA kuch khud dete to alag bat thi
Yeh aap ki aik aur kam-ilmi samnay aa gaye janab...kiya aap hadith books se sabit karein ge k Mola Ali a.s ka haq nahi tha khums mein ??
Werna mein aap ki hadith books se sabit karon ga k khums tha hi sirf banu hashim k liye na k dosron k liye...
/http://media.photobucket.com/image/khums/mufti-e-azam/scan0023.gif?o=12
Yeh hadith hai sahih bukhari ki aur yehi hadith sunan ibn majah mein bhi hai k hazrat usman ne shikayat ki aap ne khums mujhay nahi diya magar banu hashim aur banu mutalib ko diya hai to unhon ne fermaya k yeh haq hai hi inn ka :P
To aap kaisay keh saktay hain k Mola ali a.s ko kuch nahi milta tha ??
Aap ko chahiye k pehlay apni books perhein uss k baad hum per ilzam lagaein ya propegenda karein... |
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 1 Post: 185 Age:
37
|
|
Posted on:14th Oct 2011, 1:33pm |
|
|
softouch12 4 haj or umrah bhi lag hai jab tak sham or iran or iraq se ziarten na ho jain haj ki tkmeel nhn hoti
Janab aap ne kahan perha k jab tak shia ziaraat na ker lein uss waqt tak hajj ya umrah sahi nahi hota ??
Aap pls uss book ka scan page yahan dikha dein...
Hajj her uss shaks per wajib hai jo istetaat rakhta hai aur uss ka naem o badal na umrah ho sakta hai aur na ziaraat...yeh shayed aap k zehan ki kharafat hai iss ka shia aqeeda se koi taluq nahi hai...
nikah or talak bhi alag gherz ik alag mazhab hai jise islam ka rng de ker muslman banaya gia hei
Meray bhai kaisay alag hai nikah aur talaq ??
Agar aap yeh kehna chahtay hain k hum aap ki terha aik dafa hi 3 talaq denay se talaq maan lein ya mazzaq,nasha ya ghussa mein talaq denay se talaq ho jaye to bilkul iss se shia ki talaq bilkul hi alag hai kiun k Quran ne kahin bhi nahi kaha k aik sath 3 talaqein dena sahi hai ya talaq ho jaye gi balkeh iss masla per to aap loag biddat ker rahay hain jis ka islam se koi talq nahi hai...
jesay batakh ko rang se kr murghi banaia jai
shiat ki talim ka ik aks ye bhi hei k
Janab aap loag rang ki hui badagh ko shayed murghi maan lein magar shia nahi mantay kiun k badagh aur murghi mein bohat farq hai kher janab islam mein biddat to aap k aqeeda ki wajah se aaein na k shia mazhab ki wajah se aur aap ulta hum per hi ilzam laga rahay hain...
ager man beta sefr main hon or bete ko shehwt ajai to beta nafs per kpra lapet ker man k sath shewt khtm kr sskta hei
is k bad bhi dawa k islam ka ik firqa hei kitna bhonda mazaq he na islam or musalmano se
Janab iss ka to aap zaroor scan page dijiye ga mein intezar karon ga proof ka...
aur jab tak aap yeh scan page dikha dein uss waqt tak mein aap ko kuch aap k aqeeda k baray mein bhi bata doon k aap k aqeeda k nazdeek agar koi shaks apni maa,behan ya beti se nikah ker le to aap k mutabiq uss per koi sharai hudd nahi hai :P
Matlab k koi saza hi nahi hai k aap loag apni maa,behan ya beti se nikah ker le...
Dosra aap loagon ka aqeeda hai k agar koi shaks apni maa se zinnah ker le koi harj nahi kiun k woh ussi aurat k jism ka aik hissa tha to woh uss mein chala gaya to kiya bura hua :P
Aur meray bhai aap kab se quran aur Islam k thakedar bun gaye ??
aap loagon ka hi aqeeda hai k Quran ko khoon aur urine(paishab) se likhna jaiz hai Astaghfirullah...
Meray bhai issi liye kehtay hain k pehlay apnay gareban mein jhanko phir kisi per ungli uthao...
Aur janab jab aap scan pages yahan quote ker dein ge to mein aap ko inn fatwon k scan pages de doon ga....umeed hai aap jald hi scan pages provide ker dein ge... |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 44 Post: 2828 Age:
34
|
|
Posted on:14th Oct 2011, 2:24pm |
|
|
kuch batain hum b poochna chahty hain
aik baat to waazy ho gayee k iss forum par abb tak shia's dushamni main jo jo b ilzamat shia's par lagaye gaye hain wo mehaz ilzam hony k bawajood b jawabat sy khaali nahi gaye ,
hamary bary main jo "molvion" / "mullaaon" ny ghalat salat batain philaa rakhi hain aur jin baton ka shia's k aitqaad k sath door door ka b koi wasta nahi hay aur jinain sun kar aaj k "parrhy likhy" afraad b baghair tehqeeq kiye aysi abhaas main dorry chaly aaty hain hum ny koshish ki k unn ko dlaleel k sath aur hawala jaat k sath treat kiya jaye ,
aur humain iteminaan hay k hum apni iss koshsih main fil hal kaam yaab b hain aur ummeed b karty hain k shia's k bary ahbaab ki ghalat fehmiyaan door b hoi hongi
dosri baat yeh hay issi trah humain kuch tahffuzat hain , hum b wo clear karna chahty hain , abb tak sirf hum sy hi sawalkiye jaaty rahy hain aur hum abi tak sirf jawab dainy main lagy howy hain apni tarf sy koi sawal nahi kiya laiken abb hamari baari hay
to sab ahal-e-danish sy sawal yeh hain k
- khalafat-e-rashada k 4th khaleefa Hazrat Ali (a.s) ki khilafat k dour main parallel khalafat q qayem thi ?
yaani madina + kufa main Hazrat Ali (a.s) aur sham main muawiya ? agar koi kahay k uss waqat muaviya sham ka guvernar tha to sawal yeh paida hota hay k aik guvernar apni fouj lay kar safeen k muqaam par Hazrat Ali (a.s) sy jang karny q ageya ?
agar parallel khalafat thi b to inn dono main sy islam ka asal khalifa kon tha ? muaviya ya hazrat ali (a.s) ? agar hazrat ali (a.s) theek thy to aaj k dour main muaviya ko theek q kaha jata hay ? yeh koi apsi ghalat fehmi to na thi aur na hi siyasi masla tha , balky yeh to sara sara islami nizam sy baghawat thi ..aap kia kehty hain ?
abi k liye itna hi baaqi baad main
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 1 Post: 185 Age:
37
|
|
Posted on:14th Oct 2011, 2:48pm |
|
|
softouch12 Janab mera bhi aap se aik sawal hai aap ne hazrat ayesha k baray mein kaha k shia unn per bohtaan lagatay hain to musalman kaisay huay...
Pehli baat to yeh hai k shia unn per koi ilzam nahi lagatay...
Lakin dosri teraf agar aap ne history aur tafseer perhi ho to jab hazrat ayesha per bohtaan bandha gaya to to uss mein hasaan bin sabit bhi tha balkeh uss ne to ayesha k baray mein shairai bhi ki thi jis per kafai larai bhi hu kuch loagon k sath...
To janab yeh kiya k aap hazrat ayesha ko bhi sahi mantay hain aur hasaan bin sabit ko bhi azeem sahabi,sacha aur Islam aur Rasool Allah saww ka poet bhi mantay hain aur naam k sath yazeed ki terha r.a bhi lagatay hain...
Mujhay aap loagon k aqeeda ki aaj tak samajh nahi aaye...
jang e jamael mein 10000 loag qatal huay magar phir bhi dono musalman jannati,musalman aur r.a thay,safeen mein 70000 loag qatal huay magar phir bhi dono teraf sahabi,sachay aur r.a theray aap k aqeeda mein...
yazeed l.a ne Khandan e Rasool saww aur Ahle Bait a.s ko shaheed kiya aur khandan nabi saww ki hurmat ko jagah jagah phirwaya magar Imam Hussain a.s bhi aap ki nazar mein sahi aur r.a aur yazeed l.a bhi aap ki nazar mein sahi aur r.a
Aur hazrat ayesha bhi r.a aur unn per bohtaan bandhnay wala aur unn k khilaf shairi kernay wala hasaan bin sabit bhi sacha,sahabi aur sahi thera aap k aqeeda mein :P
ab aap ka kiya aqeeda hai kiun k agar hasaan bin sabit sacha sahabi tha to hazrat ayesha per jo uss ne ilzam lagaya woh bhi aap ko sacha hi maanana paray ga aur agar hazrat ayesha uss waqiya mein be-gunnah thein aap k aqeeda mein to phir hasaan bin sabit kaisay sacha sahabi ho gaya ?? |
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 10 Post: 1441 Age:
46
|
|
Posted on:15th Oct 2011, 1:08pm |
|
|
tapna tapaana |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 44 Post: 2828 Age:
34
|
|
Posted on:15th Oct 2011, 2:15pm |
|
|
re tapna tapaana jo aitraazat hum par kiye gaye thy hum ny unhain "buhtaan" sabit kar diya hay waisy b wo buhtaan afwaahon par mabni thy jis ka haqeeqat sy ko link na tha
hum choun k adal k qayel hain jo cheeez jis muqaam ki hoti hay ussy usi muqaam par rakhty hian , ...yaani "tahar" ko "tahar" ki jaga aur "nijas" ko "nijas" ki jaga , laiken kuch log "tahar" aur "nijas" main tameez nahi karty aur dono ko mix kar daity hain aysy afraad kisi ko tapaaty nahi aur na hi tapaany ka dawa kar sakty hain balky wo khud saari zindagi tapty rehty hain ..q k tapna unn ka muqaddar ban geya hay ..
behar haal hum b apny uthaye gaye aitrazaat k jawaab chahty hain aur danshi mandi issi main hay k jawabaat diye jayein warna aik baar phir sy apny ghalat aqayed par mazrat kar li jaye ..kia farq parrta hay ..aur waisy b mazrat kar lainy sy insan chotta to nahi ho jata na ...:))) |
alirajput |
Group: Members Joined: 14th Aug, 2011 Topic: 27 Post: 3277 Age:
|
|
Posted on:15th Oct 2011, 2:57pm |
|
|
WEHSHI BROTHER Ajaye medaan main Sir.. Main kehta hun ke Diplomati g.. aur Mufti ko kamus kam islaami taleemaat toh sikhaani chahye.. ya jho nazriya unka sahaba ikraam ke hawale se theek nahin woh kamus kam DARUST karna chahye.. inshallah.. toh khamooshi na rakhen.. Jaldi aye.. Apka intezar hain... aur ho raha hain. ALlah Hafiz |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 44 Post: 2828 Age:
34
|
|
Posted on:15th Oct 2011, 3:27pm |
|
|
good call ummeed hay call par amal hoga ..:) we are also waiting ..:) |
Mind Hunte |
Group: Members Joined: 09th Oct, 2011 Topic: 1 Post: 21 Age:
27
|
|
Posted on:16th Oct 2011, 2:13am |
|
|
Diplomate & Mufti. Sorry Brothers my post is not related to this topic.. but can i have your personal Email id or facebook account or i can give you my id. so i can contact you in private i have some things to ask. plzz
Do not post offline personal contact information (i.e.. your home address, phone numbers, email address, etc.) and do not ask for personal information from others. Moderator
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 1 Post: 185 Age:
37
|
|
Posted on:16th Oct 2011, 4:07am |
|
|
Mind Hunter Ji zaroor aap fcaebook per contact ker lein mujhay...id hai edit aur dp mein edit ki pic hai...
Do not post offline personal contact information (i.e.. your home address, phone numbers, email address, etc.) and do not ask for personal information from others. Moderator
|
Mind Hunte |
Group: Members Joined: 09th Oct, 2011 Topic: 1 Post: 21 Age:
27
|
|
Posted on:16th Oct 2011, 4:21am |
|
|
Mufti sorry brother i cud not find it.. can u plz add me.. id is edit dp main edit thanks
Do not post offline personal contact information (i.e.. your home address, phone numbers, email address, etc.) and do not ask for personal information from others. Moderator
|
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 44 Post: 2828 Age:
34
|
|
Posted on:16th Oct 2011, 10:36am |
|
|
Mind Hunte dear yahan ID likhna allow nahi hay , lehaza dosri baar agar aap ny ID publish karny ki to ho sakta hay Admin aap ko blocked kar day iss liye please aap dono honorable members ID publish karny sy graiz karain ....
bye the way mind hunte aap ko mujh sy ya mufti bhai sy kia kaam hay ? agar aap munasib samjhain to apna kaam yaheen forum par likh dain agar ho saka to main ya mufti brother aap ki help kar dain gy ...shukriya .. |
|