Aehle Sunnat Aur Aehle Tashee k Aqaid Ma Buniadi Farq
NOTE
is thread ka maksad behas karna aur tool khenchna hargiz nahi
is ka maqsad kisi ko hurt karna nahi
is ka maksad apnay aqaid ko darust sabit karna nahi
kisi k liay in batton se ittefaq karna zaroori nahi
is thread ka buniadi maksad aehle tashee aur aehlee sunnat ka buniadi farq wazih karna hai
is forum par aehle tashee ki bht si posts ka aehle sunnat ki taraf se jawab nahi dia gaya, lehaza aik koshish hai k aham sawalaat ka jawab dia jaey.......
DIPLOMAT KI LAST POST K JAWAB MA.....
diplomat
apki bht baatain darust hain, aur wakai haqiqat sabit honay k liay daleel ki mohtaj nahi hai.
jab aik shakhs apni feham o firast ki inteha ko pohanch jaey, tau uski apni bhi aik individual existence aur perception mojood hai, ussay khud bhi deen par ghore karna chhaiey, aur deen ko samajhnay k liay dusron ki raey aur rehnumai bhi leni chahiey.. ... uski marzi par munhasir hai k woh kisi aik school of thoughts ki logics ko perceive karay, ya bht saron ki, ya apnay zati tjurbat ki kasauti par deen ko parkhay, jahan uska dil mutmain ho jaey.
islam aik bht wasee samander hai jiski koi had nahi, is ma bht wasee paimanay par zindagi guzarnay k tarzeamal ki gunjaish mojud hai, koi qom chahay tau willayet ikhtyar kar le, koi dunia k zahiri iloom ikhtyar kar le, koi mulk geeri, jis ka jo dil chahy ikhtyar kar le.... LEKIN... WO SHAKHS YA QOM UN HADOOD MA QAIM RAHAY JIN HADOOD KO ISLAM NAY BOUNDARY BANA DIA HAI, AUR ISI K SATH YEH BHI ZAROORI HAI K IN TAMAM TAR ZE AMAL K MUSALMANO MA BAHMI MOHABBAT KA MAZBOOT RISHTA QAIM HO, AIK HAKUMAT HO, AUR JAB PUKARA JAEY TAU AIK INTEGRATED QOM NAZAR AEY JISKA BUNIADI MAQSAD ALLAH AUR USKAY DEEN SE MOHABBAT, USKAY DEEN KA NIFAZ AUR DUNIA SE BURAI AUR ZULM KA KHATMA HO, NA KEH YEH K BAHMI HASAD NAFRAT KEENA AUR BUGHZ MOJUD HO.
aap nay sura rehman ki ibtidai ayat se tashreeh le kar jo baat sabit karna chahi hai us se ikhtilaf hai.
quran buniadi tor par haq batil main farq karnay wala hai, is lehaz se yeh tarazu ya meezan khuda e Talah ki sift hai ya takhleeq hai tau is behas ma had se mat barhain, qk na ham Allah ki haqiqat jan saktay hain, na hmari aesi koi hesiat hai.
Allah azal se hai, ilm (quran uskay ilm ka aik hissa) uska zati hai, is haqiqat ko man lain, behas ma mat parain, us nay farishtay aur jinn peda kiay, zahir hai un makhloqat ka bhi ilm tha jiski haqiqat hamain nahi maloom, phir insan ko peda kia, aur ussay ilmulbian ata farmaya.. .. is sab ka maqsad yeh k zameen par insan Allah ka khalifa ho, aur ashrafulmakhlooqat sabit ho, aur is maqsad k liay Allah nay insan k dil par apni 99 sifaat naqsh farma deen,
jo shakhs apnay dil ki is batini haqiqat ki kuraid ma lag jaey, tau woh shakhs rahh e wilayat par hai....woh apnay dil par likhi hui tehreer parhay, aur jab woh khud ko pehchan le, tau aesa shakhs wali e kamil kehlata hai, jis k amar k sath Allah ka amar shamil ho jata hai..
lekin Allah nay insan k liay aur bhi bht kuch peda farmaya hai.. aik uski zahiri dunia aur haqiqat hai, jo shakhs us zahiri haqiqat k rastay par chal paray, woh ya doctor hai, ya engineer hai, ya mujtahid hai ya alim e deen hai.... depend karta hai k insan ki zati fitrat kis raah par kashish mehsoos karti hai.
isko scientifically define kia jaey tau "materialistic world" aur dusra "spiritual world" in terminologies se dunia achi tarhan wakif hai.
physics ma matter ki zahiri properties ki study ki jati hai aur chemistry ma matter ki batini haqiqat par ghore kia jata hai... aur sari dunia janti hai jab matter ki chemistry parhi jaey, tau kainat ki har cheez 110 elements ki configuration sabit hoti hai, aur har element electron, proton aur neutron positron se mil kar bana hai, yani dunia ki har cheez ki haqiqat electron, proton , neutron hai, aur jab inki haqiqat maloom ki jaey tau pata chalta hai k electron, proton, neutron kisi ka bhi wajood nahi hai, yeh "energy wave" ki form hai, is lehaz se tamam matter is equal to energy , Einstein equation.
Hazoor Nabi kareen SA ko is dunia ki aur insaniat ki in dono haqiqaton ka peghambar o moallam bana kar bheja gaya..... aur unhun nay in ma raah e willayet ki janasheeni k liay Hazrat Ali karam ullah wajhu ko muntakhib farmaya, aur dusri haqiqat k liay Sadeeq e akbar RA ko....... lekin is ka yeh matlab hargiz nahi k Hazrat Sadeeq e akbar RA, Hazrat Umer Farooq RA, Hazrat Usman RA "alam e rohaniat" se na wakif thay, unhay bhi is aalam ka achi tarha ilm tha lekin unhon nay duniawi amoor sambhalay isliay unhay willayet ki raah par chalnay ka moka nahi mila.... misal k tor par aik shakhs 6 saal ma MBBS ki poori taleem hasil karta hai lekin ussay mulk ka wazeer bna dia jaey, woh hakumati amoor ma sari zindgi masroof rahay ga aur ussay apni medical practise ka moka nahi milay ga.
jab Hazrat Ali RA ko zahiri dunia ki khilafat bhi sonp di gayi tau musalmano k hathon ma talwarain a gain, halankeh Hazrat Ali RA zahiri dunia ki shariyat k aitbar se haq par thay, lekin Allah ki mushiyat nahi thi aur jab Hazrat Imam Hassan RA ne zahiri dunia ki khilafat se dastbarari ka ailan kia tau aman qaim ho gya.
Allah ki yeh mushiyat kabhi nahi hui k woh aehle bait ko zahiri dunia ki khilafat sonpay.. .. lekin aehle bait main Allah nay aulia karam ko peda farmay.
ham aehle sunnat ka aqeeda hai k maqam e willayet k sab se aala darjay par Nabi e karim SAW k siwa koi faiz nahi ho sakta, aur wohi maqam e wilayaet k bhi sahib e shariat hain.
hadees mojud hai k "aap SAW ne Hazrat Ali RA se farmaya tum ko mujh se wohi nisbat hai jo Musa ko Haroon se thi magar FARQ yeh hai k meray bad koi Nabi nahi" ..... nabi k siwa koi sahib e shariyat ho hi nahi sakta... jitnay janasheen hain, woh asal main usi shariyat k perokar hain jo peghambar ne sikhayi, aur peghambar ko Hazrat Jibrail AS ne sikhai.... nabi k siwa kisi k paas Hazrat Jibrael AS nahi a saktay.. aur hazrat Jibrael AS hi shariyat ko badalnay ka pegham le kar atay hain.
aap ka kalma mukhtalif
aap ki nmaz mukhtalif
aap ka roza mukhtalif
aap ka zabeeha mukhtalif
aap ka fiqqa mukhtalif
yeh tamam woh amoor hain jo is forum ma kia, Hazrat Esa AS ki amad tak decide nahi ho saktay....LEHAZA IN AMOOR PAR IS FORUM MA BEHAS HI NA KI JAEY
Hazrat Imam Hussain RA :
ooper ki tamam tehreer se aik pehlu yeh nikalta hai k agarche Hazrat Imam Hussain RA Haq par thay, lekin Allah ki mushiyat unki khilafat ma nahi thi.
aehle sunnat ka aqeeda hai k Allah ka har kaam hikmat par mabni hai, aur Hazrat Imam Hussain RA ki shahadat ma Allah ki mushiyat aur hikmat shamil hai.....Allah hargiz aesa kamzor na tha k apnay pyaron ko chand insano se na bacha sakta... lekin haqiqat ma Imam Hussain RA nay aehlebait honay ka haq ada kia aur musalmano ko sabaq dia k jab musalmano ki hakumat par ghalat tareekay se jalwa afrooz hoa jaey uskay khilaf laro, chahy akelay hi q na ho.... aur lartay lartay jaan de do.... aaj tamam islami dunia ki hakumaton par qabza kesay kia jata hai sab jantay hain lekin kisi musalman ki gherat nahi jagti...... aur zulm ko bardasht karna unki ghutti ma shamil hai.
Hazrat imam Hussain RA ki shahadat se unka ikhtatam nahi hua, balkeh woh apni haqiqi zindgi ki us asal manzil par pohanchay jis k laiq hona unhon nay apni shahadat se sabit kia... ... .. agar is baat ka gham manana islam ka hissa hai, tau sab se pehlay Hazrat Adam AS k jannat se nikal kar zameen par laey janay ka gham kia aur manaya jaey.
halan k mantiq ya falsfa sy releated moozoo'aat meri dilchasbi ka ba'eys hain aur mujy iss kism k ilmi threads main likhney ka maza ata hey aur meri khuwahish hti hey k main iss qism k threads main reply kroon......
laiken
abb iss forum pr rehtey howey mujy iss qisam k threads main reply krney sy dar lagta hey is ki 2 adad wajoohaat hain..
iss qisam k threads main reply krney k liye aqli aur mantqi daleeloon ka sahara liya jata hey aur uss ko spurd-e-forum krney k liye aik ya do pages ki post krni prrti hey aur aik ya do pages ki post main 2 ya 3 ghantey ka waqat darkaar hoota hey aur iss masroof treen zindgi main 2 ya 3 ghantey ka waqt nikalna brra mushkil hoota hey aur agr mushkil sy waqt nikal liya jaye to phir ye tahreer tang nazar mods k rehm-o-karam pr hoti hey chahey wo iss ko rehny dain ya chahey wo iss ko delete kr dain..to sahib-e-tahreer ki mehnat agr raygaan hi jani hey to phir uss ko iss kism k threads main reply / post krney sy darr lagta hey...
app ny keha k koi behas maqsood nhi hey laiken app ny jis baat ko apney angle ya nuqta nazar k mutabiq biyaan kiya hey ..iss baat ka sirf wohi point of view ya angale nhi hey bulky iss baat k aur b kai pehloo hoo saktey hain jo kisi aur k apney apney point of view k mutabiq hoon gy...lehaza phir baad main iss behas ko firqa warana behas ka naam dy kr ya to thread close kr di jaye gi ya phir isy safha-e-forum sy hi mita diya jaye ga ...lehaza yahan mehnat kr k post krny sy dar lagta hey
agar to yeh thread 2 ya uss sy ziyada dinoo tak majood rehta hey to phir main apney nuqta nazar ki bhrpoor wazahit kroon ga aur ummeed b krta hoon k iss thred ko delete nhi kiya jaye ga.......
chunk thread main mujy khaas toor pr mukhatib kiya geya hey to iss soorat main mera reply krna haq bnta hey..laiken kia krain yahan mods ko apna naam nihaad farz ada krna hoota hey unhain kisi k haq ki kia parwa hoo sakti hey......!!!!!!!!!
yes agreed to diplomat in all points of above post about forum
but aap dekhain ma nay aik aur point bhi likha hai
is ka maksad apnay aqaid ko darust sabit karna nahi
kisi k liay in batton se ittefaq karna zaroori nahi
kisi k liay zaruri nahi k meray point of view se agree karay
balkeh everyone welcome k har koi apnay point of view se apni baat pesh karay
bjaey iskay k ham dusron ko ghalat sabit kar k apnay point ko darust prove karain, ham apni apni mantaq aik mukhtasir tehreer ma likh kar pesh kar dain
aur yeh thread just diplomat k liay nahi, tamam aehle tashee k liay hai, ma nay aik post ka reply kia tau means sab ko mukhatib kia, but diplomat ko point out isliay kia qk diplomat ki tehreerain sab se ziada logical aur to the point hain
app ki post ko maani-o-mutalib k lehaz sy 2 hisson main taqseem kiya ja skta hey ..
aap ki post ka pehla hissa mantiq k barey main hey aur iss pr behas k liye kafi gunjaish mujood hey ..laiken app ki post ka doosra hissa satehi qisam ki behas pr ishara dyta hey..laiken iss doosrey hissey main b behas k liye qadrey gunjaish mujood hey
aap ki post ka point to point answer krney sy meri baat ki wazahit hoo jaye gi..
aap ki post sy aik iqtebaas hazir hey..
islam aik bht wasee samander hai jiski koi had nahi, is ma bht wasee paimanay par zindagi guzarnay k tarzeamal ki gunjaish mojud hai, koi qom chahay tau willayet ikhtyar kar le, koi dunia k zahiri iloom ikhtyar kar le, koi mulk geeri, jis ka jo dil chahy ikhtyar kar le....
aap ka ishara iss post main jis walayet ki tarf hey wo ye zahiran si duniyawi qisam ki peeri faqeeri wali walyet hey jo k theek hey ya ghalt ye aik alag behas hey....laiken walyet k barey main meri muraad zra muhtilif hey...main ny apni sabiqa post main allah ta'ala k wali honey pr uss waliyet ki trf ishara diya hey jis ka khuda ta'ala wali hey main ny wahan misaal k zriye b wazey ki thi ye baat ...
nizam-e-walyet ko iss zahiri ankh sy daikhney k nateejy main hamari hind-o-pak ki rasoomat aur peeri faqeeri wali rawaiye'yaat zehan main aajati hain ...laiken meri baat ka jayza iss theori sy zra mawra hoker liya jaye to baat kuch iss trah ho gi....
jub khuda ta'ala ny Hazrat adam ko tahleeq kiya to uss k peechy khuda ta'ala ki kai mslehtain kar frma hain...un main sy aik mashiyat-e-khuda wandi ye thi k khuda ta'ala ny hazrat adam (a.s) ko aynda aney wali mahlooq k liye rahnuma aur apna pehla numainda bna kr baijna tha ...ta'k insan ko aik guid line dainey k liye khudaie numaienda pehley majood hoo...jo Deen ya asool-e-hadyet-e-bashri maqsood thi uss ka naam islam hey ...aur iss asool-e-hadayet-e-bashri ko jis nizam k zriye mutarif krwana maqsood tha uss ka nam nizam-e- naboowat aur nizam-e-wilayet hey nizam-e-nabbuwat aur nizam-e-wilayet appis main lazm-o-malzoom hain na nizam-e-nabbuwat nizam-e-walayet sy juda hey ..aur na nizam-e-wilayet nizam-e-nabbuwat sy juda hey..tabi to azal sy khuda ta'ala iss nizam-e-wilayet ka pehla wali hey ....pus khilqt-e-Adam (a.s) nizam-e-nabowat ka aghaz thi ..aur jub hazrat adam (a.s) zameen pr tashreef laye (iss k peechy kia wajoohaat thi ye aik alg behas hey ) to Khuda ta'ala ny apni mahlooq-e-insani ki hilqat ka zriya aur sab'ab b hazrat adam (a.s) ko hi bnaya...chunachey numaienda-e-khuda jaub zameen pr aya to uss k samney yehi tasik tha k wo aney wali nasal ko khuda ta'ala ki wahidniyat ki taleem dy aur acha bura ki tameez ko biyaan kray aur hazrat adam (a.s) ka wapis jannat main jana b insan ki maqsad-e-hilqat ka aik pehloo hey...yaheen sy islam k nazool ka aghaz hoo jata hey
Nazool-e-islam ki hatar nizam-e-nabbuwat k tehat khuda ta'ala apni mahlooq k liye waqt'an fo'waqt'an apney numaiendy baijta reha jo k kam-o-baish 124000 ki ta'adad main hain aur unn main muhtilf numaiyndoon ko nabbuwat k sath sath kai kisam k azafi martabat aur ahdoon sy b nwazta reha ...jaisey inn 124000 numaiyndgan-e-khuda main sy 313 rasool hain aur imam b hain aur sahib-e-kitaab b hain.... lehaza inn sab k zameen pr aney ka maqsad sirf aur sirf insan ki rahnumai tha ta'k wo zat-e-laraib jo k insan ki haliq zat hey uss ki roshnasi hoo sakey aur duniya main rehney k liye maqsad-e-hilqat-e-insani ki wazahit ki jaskey..iss kaam k liye khuda ta'ala ny Deen-e-islam ko muntihib kiya aur ussi ki tarweej ka aghaz kiya jo k ajj tak hum tak puhanch rehi hey
khuda ta'ala is azeem deen islam ko jub insan tak puhncha reha hey to yaqeeni taur pr iss k liye kuch nizaam b muqarar kiye ta'k aik nazm-ozabat sy insani fitret ko madd-e-nzar rakhtey howey deen islam ki tarweej /asha'at ki ja sekey chunachey nizam-e-nabbuwat k akhri Nabi Hazrat Muhammad (s.a.a.w) hain aur Aap (s.a.a.w)pr aur App (s.a.a.w) k baad Nizam-e-Nabbuwat ka baab band hoogeya hey aur App (s.a.a.w) ka ye tura imteiyaaz b hey k Aap (s.a.a.w) nizam-e-nabbuwat k akhri aur sardar Nabi honey k sath sath nizam-e-walayet k b wali hain..
jin ki Hasti-e-Mubarik ki badoolat ajj hum insan musliman kehlwatey hain...jub App (s.a.a.w) pr nizam-e-nabbuwat ko ihtetaam pazeer kiya geya to whaeen sy bila fasl yani baghair towaqaf k khuda ta'ala ny nizam-e-wilayet ka aghaz kiya aur islam ki tarweej ka zriya iss dosrey nizam yani nizam-e-wilayet ko banaya..iss nizam ny koi dosra ya naya deen mutarif nhi karwaya bulkey ussi deen-e-haq , deen-e-islam ki numaiyndgi aur tarweej ki
jis trah nizam-e-nabbuwat k tehat 124000 numaiendy khuda ta'ala ny zameen pr nazil kiye ta'k wo insan ki bunyadi tarbiyat krain bilkul issi tarah khuda ta'ala ny nizam-e-wilayet k liye 12 numaiyendy munthib kiye ta'k wo aik tarbiyat yafita insan ko kamal-e-bandgi ki auj tak ley jaeiyn aur ye numaiyndy apney apney waqt k mutabiq iss kaye'naat main zahoor pazeer hootey rehy.... aur issi nizam yani nizam-e-walayet k akhri wali ki amad abi baqi hey
Hajja-tul-wida k moqa pr ghadeer k muqaam pr jo Aap (s.a.a.w) ki Hadees-e-mubarika milti hey yani "Mankunto Maola Fa Haza Alli-yun Maola" ( jis jis ka main (s.a.a.w) maola uss uss ka Ali (a.s) maola) ki aik tarf to hazrat ali k sr pr wilayet ka taj rakhney ka pehloo hey to doosri tarf deen-e-islam k nifaaz aur hukimraani k liye qayem krda doosrey nizam yani nizam-e-wilayet ki dagh bail ka pehloo b hey..tabi to khuda ta'ala ki tarf sy hukam aya k ay mery Rasool agr tum ny ye kaam na kiya to goya tum ny Risalat ka koi kaam hi nhi kiya... abb yahan sy nizam-e-nabbuwat ka baab khuda ny band kiya aur insan ki hadayet k liye nizam-e-walayet k baab ka aghaz kiya
nizam-e-nabbuwat insan ki basic maloomaat aur buniyadi training k liye wajood pazeer howa ta'ak insan ko uss ki hihaqat k maqsad sy roshnaas kraney k liye aik mahool paida kiya jaskey aur buniyadi tarainig di jaskey aur sath hi sath Deen-e-haq Deen-e-Islam ka nazool b kiya jaskey....aur nizam-e-wilayet ko 124000 aqa'aoon aur maola'aoon k baad iss liye rakha geya ta'k aik buniyadi traing yafita insan ko takmeel-e-nazool-e-Islam k baad aur nifaz Deen-e-haq k liye asal maqsad-e-hilqat-e-inasni ki peek pr puhanchaya ja skey..
jaisey hum insan duniyawi taleem ki gharz sy school phir college phir university k muhtaj hotey hain na bilkul issi tarah biyaan krda nizam ko khuda ta'ala ki trf sy aik tarteeb k lihaaz sy insaan ki tarbiyat k iye nazil kiya...hum duniyawi mahool main daikhtey haiin k aik choottey bchey ko foran hi colege ya university main dakhil nhi karwa diya jata bulkey pehley uss bachey ki buniyadi tarbiyat ki jati hey aur jub wo bacha / talib ilam sha'aoor ki manzal ko puhnchta hey to uss ka aik drja aur barr jata hy aur wo school sy college aur college sy university tak puhchta hey...iss trah aik insan / talib ilam ka sha'aoor brrta jata hey aur wo sha'aoor ki manzlain tay krta jata hey..iss rah main aisa kabi nhi hoota k jo ustad ussy school k zamaney main parrah rehy they wohi usy college ya university k level tak b prrhaieyn...laiken iss rah main ye zaroor hoota hey k college ya university k usateza ussi base pr aik talib ilam ki rahnumai krtey hain jo k wo talib ilam school college sy bna kr aya hey....aur ussi base ko hi agey barrhatey hain .(iss misal ka matalb ye na liya jaye k aya nizam-e-walayet ko nizam-e-nubawat pr foqiyat hasil hey ya nizam-e-nabbuwat nizam-e-wilayet sy pust hey..nhi bulkey ye doono nizam to apis main lazam-o-malzool hain..aur iss misal sy khuda ta'ala ki insaan ko tarbiyat dainey k silsley main banayee gayee tarteeb ko zahan main rakha jaye...jaisy school ki banai hoi base pr talib ilam ko college main aur phir university main dakhila milta hey..laiken universtiy main puhnchney pr ye ahz nhi kr liya jata k goya school ki ahmiyat hi nhi hey..ya ye universtiy sy past hey..bulky school to university tak puhnchney ki aik assas (base) hey..aur yeh apis main lazm-o-malzoom hain)
aik aur misal iss trah hey jaisy pehley aik aam insan army join krta hey phir army k quayed-o-zuwabat sy rooshnaas hoota hey aur phir wo inn mu'aamlaat ki amli training laita hey aur iss baad uss mukamal fauji ko midan-e-amal ya midan-e-jang main chorra jata hey jahan wo apni paishawarana salahiyat aur li gaye trainig / tarbiyat ka amli muzahira krta hey..laiken aik comander k waza krda hikmat-e-amli k matahat rehtey howey...na to wo foji apny comandar k hukam sy tajawiz krta hey aur na hi uss hukam sy peechy hat'ta hey..yahi uss fauji ki training / tarbiyat ka asal maqsad hoota hey... aur agar aik aam insan ko bghair training / tarbiyat k hi midan-e-jang main dhakail diya jaye to uss insan sy kia umeed rakhi jaskti hey iss baat ko aap behtar samj saktey hain..
pus nizam-e-walayet ny b nizam-e-nabbuwat ki assass (base) aur di gaye training / tarbiyat ko hi agey brrahaya hey...aur aj hum sha'aoor ki jis manzal main dakhil hoo chukey hain yeh ussi nizam ki marhoon-e-minat hey
iss sari behas ka agar khulasa kiya jaye to baat ye banti hey k nizam-e-naboowat Deen-e-Islam k nazool ka aur insan ki bunyadi training / tarbiyat ka sab'ab aur zriya tha aur nizam-e-wilayet Deen-e-islam ki wazahat aur tashreeh k sath sath Deen-e-haq k nifaz aur hukmerani aur hasil krda tarainig / tarbiyat k amli muzahira ka sab'ab aur zriya hey....laiken aik comandar k hukam aur waza krda khikmat-e-amli k tehat...aur unn commandars ka naam hey "Allah" "Muhammad" (s.a.a.w) aur "Aol-ul-Amar"
chunachey iss Deen-e-haq k nazool aur insan k liye iss Deen-e-haq ki buniyadi training / tarbiyat ka marhala akhri Nabi yani Hazrat Muhammad (s.a.a.w) pr hatam hoa......... issi liye khuda ta'ala ny nazool-e-kitab-e-la'raib ko paya takmeel tak puhnchaty howey farmaya "Al Yaooma Akmalta kum Deena" yani aj Deen yani Deen-e-Islam mukamal howa..lehaza Deen-e-haq k nifaz, hukmrani aur iss ziman main insan ko di gaye training / tarbiyat k amli muzahirey k marhaley ka aghaz krney k liye doosrey nizam yani nizam-e-walayet ka amli aghaz / elaan howa...
lehaza yeh kehna be-ja hoga k..koi qom chahay tau willayet ikhtyar kar le, koi dunia k zahiri iloom ikhtyar kar le, koi mulk geeri, jis ka jo dil chahy ikhtyar karle.... lehaza iss ziman main ye araz hey k nizam-e-walayet koi dunyawi nizam nhi hey jis ko baqi manda nukat ya moozo'aat main marj kr diya jaye bulky ye ayn islami nizam hey aur baqi manda nukat koi nizam nhi bulkey iss azeem nizam ki shahain (branches) hain
waqt ki kami k bae'eys main app k aik point ko discus kr ska hoon baqi k liye wait please...
asal ma main khud wqt ki kami k bais tafseeli tor par kuch nahi likh sakta, aur jab kisi tafseeli behas ko ikhtasar ma likha jaey tau tehreer ka matlab wasee paimanay par lia ja sakta hai.... jaisay ap ki post ka hawala hai
"aap ka ishara iss post main jis walayet ki tarf hey wo ye zahiran si duniyawi qisam ki peeri faqeeri wali walyet hey jo k theek hey ya ghalt ye aik alag behas hey"
us tarz ki peeri faqeeri ka mera koi matlab nahi tha, aur ma kaunsi willayet ko murad le raha hun woh aik alag behas hai.... lekin aehlesunnat k nazdeeq willayet ki tareef us se mukhtalif hai jo aap ne bian farmai.. haqiqat ma willayet ko duniawi ilfaz ma bian kia hi nahi ja sakta.. issay sirf mehsoos kia ja sakta hai..... misal k tor par aik admi apple kha raha hai, ap us say poochain apple ka zaiqa kia hai, woh aap ko kafi kuch bataey ga lekin aap us wakt tak uski baat nahi samajh saktay jab tak ap khud apple ko kha kar na dekh lain.... isi tarhan aap khud apple chakhay beghair , kisi teesray admi ko yeh explain nahi kar saktay k aik apple khanay ma kesa mehsoos hota hai...
aap nay jo bian kia agar aap aelesunnat ka ijtemai point of view pochna chahain tau woh kuch aur hai.... lekin asal main aap ne jo kuch wazahat farmai, us ma beshtar hissay se aehlesunnat ka ikhtilaf hai, aur yeh pichlay qariban 1200 saal purana safar hai, aur agar is ikhtilaf ki behas aur mantaqi pehluon par wazahatain ki jain, tau yeh thread shaid kayi saal khatam na ho sakay, balkeh beghair kisi faslay k hi khatam kara dia jaey..... lehaza aapki hi baat ma duhrata hun k agar aap ki daleel k jawab ma daleel type karnay beth jaon tau mujhay 2 3 ghantay chahien, aur phir bhi akhir kaar is thread ka anjam yeh ho ga k ya delete kar dia jaey ga, ya hazaron threads k malbay main dab kar ghaib ho jaey ga..
lehaza yeh logical reasoning se agar ham apas ma aik dusray ki daleel ko ghalat qarar denay lag jain tau sirf waqt zaiya ho ga, us k liay behtareen hal yeh ho sakta hai k aik aesi kitab likhi jaey, jis ma aehle tashee aur aehle sunnat mil beth kar apnay aqaid apnay dalail ki roshni ma sabit karain, ya dusray k dalail ko ghalat sabit karain, us kitab k likhay janay se agarche dono maslak ikathay na ho sakain, lekin bht had tak us nafrat par qabu paya ja sakta hai jo awam un naas ma ghalat fehmion ki buniad par mojud hain, aur hmaray logon ko kam az kam yeh sochnay ka moqa zaroor mil jaey ga k aala satah par dono fareekon main kin amoor par ikhtilaf mojud hai..
lehaza ma akhri martaba apni baat phir duhrata hun, k ma nay aehle sunnat k aqaid, chand daleelon k sath mukhtasir tehreer ma aam o sada ilfaz ma bian kar diay, aur un chand sawalaat k jawab diay jo pichli chand posts ma poochay gayey.
aehle tashee se aesi koi guzarish nahi k woh is sab se agree karain, lekin apnay aqaid bhi sada mukhtasir tehreer ma bian kar dain, takeh sirf aik analysis qaim kia ja sakay k buniadi tor par kia farq hai..
islam aik bht wasee samander hai jiski koi had nahi, is ma bht wasee paimanay par zindagi guzarnay k tarzeamal ki gunjaish mojud hai, koi qom chahay tau willayet ikhtyar kar le, koi dunia k zahiri iloom ikhtyar kar le, koi mulk geeri, jis ka jo dil chahy ikhtyar kar le....
ap nay meray is fiqray ka bilkul satehi matlab lia, halankeh wakai mera exact woh matlab nahi tha jo ap nay lia, lekin "Surah Rehman ki pehli 4 ayat ki sada si tehreer se ap nay jo matlab lia" iski misal ap k samnay hai... bilkul quran ki ayat par jitna bhi ghore kia jaey kam hai lekin kehnay ka matlab yeh k jab kisi k moakkaf ko analyse kia jaey, tau usay general meaning ma lia jaey na keh specified confined meaning.
meri badqismati bhi dusray ham watnon ki tarhan hai k meri "urdu zaban dani" achi nahi hai, balkeh mujhay logical reasoning k liay angrazi zaban ka sahara lena parta hai (halankeh mujhay angrazi zaban pasand nahi, aur mohabbat arbi zaban se aur apni urdu se hai) , apki urdu mashAllah bht achi hai lehaza apki tehreer ka khubsurat ilfaz k istemal k sath apna hi aik husan hai, lekin hmain apnay dusray hamwatnon k sath chalna chahiey, aur usi aam aur sada zaban ka istemal karna chaiey jo hmaray beshtar pakistanion ki zaban ka standard hai.
mera ziada tar aehle tashee se jo experience hai woh yehi k jab bhi aehle sunnat aur aehle tashee k darmian koi behas chirti hai tau dono fareek aik dusray ko daleel ki bjaey ghair tehzeebi tarzeamal se "dabanay" ki koshish kartay hain, ya bht motay alfaz istemal kar k, ya bht aggressively exciting andaz apna k, jesa keh ap is forum ma kafi saray threads ka topic dekhtay hongay "shia membran k liay aik challenge, sunni membran k liay aik challenge"
aap nay jo kuch bian kia is wja se ma apni baat ki khud wazahat karna zaroori samajh rha hun..
meray is moakkaf se murad yeh hai k Allah Talah nay Hazrat Adam AS ko dunia k liay hi peda farmaya tha, aur jo quranic ayet k mutabik jab Hazrat Adam AS ko woh ilm sikhaya gya jo Allah nay bani no insan k liay muntakhib farmaya... aur Hazrat Adam AS ne Allah ko un ashia k naam aur kaam bataey jo farishton ko nahi maloom tha..... asal ma yehi woh "knowledge ka potential" hai jo adam AS ki aulad ma samnay aaya. jitna knowledge is wakt dunia ma mojood hai, is tamam knowledge ko potentially Hazrat Adam AS ki fitrat par naqsh kia gaya, aur yehi knowledge asal ma kainat ki hukamrani ka bais hai.... jesay aik badshah nay apnay aik shehar ki hakumat apnay aik ghulam ko sapurd ki tau matlab k us sheher ka badshah woh ghulam hai, lekin apni hadood k sath, woh independently us sheher ka hakim nahi ban gya, woh tab bhi apnay asal aqa badshah k ahkamat par dependent hai.
yehi kuch hisab Hazrat Adam AS k sath bhi tha, k insan ko Allah nay apna khalifah banaya, aur apni sifaat us k dil par naqsh kar k ussay dunia ma bheja, isiliay insan ki khasoosiat ko Allah ki sifaat k sath compare kia ja sakta hai, jesay Allah basir hai, dekhta hai, insan dekhta hai, lekin Allah k dekhnay aur insan k dekhnay main bht farq hai, Allah ki nazar zati, insan ki atai, Allah sami hai sunnay wala, insan bhi sunta hai, lekin Allah ka sunna ABSOLUTE, insan ka RELATIVE, Allah hakim hai, insan ma bhi hakumat ka shok hai, lekin Allah ki hakumat zati, insan ki atai, isi tarhan bht lambi tafseel ma janay ki zaroorat nahi.... aur Allah nay apni hikmat k tehet Hazrat Adam AS ko aik arsa tak jannat ma rakha, phir dunia ma bheja.... aj bhi tamam insano k lashauri hissay main aesh o ishrat hi hai, har insan ki fitrat yehi hai k woh mehnat kar k dolat kamay phir aesh karay, lekin Allah nay deen e haq ka rasta bataya hai k dunia ma mehnat mushaqqat apnay kirdar ko bnanay k liay karo, tab tum us jannati aesh o ishrat k laiq qualify karo gy.
har insan ma shaoori aur ghair shaoori tor par yehi sifat nazar ati hain, Allah musawwir hai, insan artist hai, Allah khaliq hai, insan innovative hai nayi cheez ijad karnay wala, Allah Razzak hai, insan ko bhi makhlooq ko khana khilanay ka shok hai, Allah wadood hai intehai mohabbat karnay wala, insan ma bhi mohabbat hai, bht lambi tafseel hai lekin BUNIADI farq "zati" aur "ataey" ka hai jis k nateejay main aa kar Allah mutakabbir hai lekin insan ajiz, aur insan agar sunnay wala dekhnay wala bananay wala jo kuch bhi hai Allah k hukam se hai, us k hukam k sath hi in tamam se mehroom bhi ho sakta hai.
is ziman main jab bani no insan feham ki inteha ko pohanch gai, tau us par asmani hidayet (nabuwat) mukammal kar di gayi.... ab insano ma woh tamam siffat zahir ho gain jo insan k lashaur ma daffan theen, ab koi insan hakumat karnay k liay hai, koi ghulami k liay, koi research k liay tau koi tadabbur k liay, aur in tamam insano ko aik lari main pironay ka system, "deen e islam, deen e haq" jis ma tamam musalman Allah ki mohabbat ki lari ma piroyey huway, aur yeh musalmano ki jamaat, aik insani jisam ki manind kaam karnay wali..... insani jism ma "stomach, liver, kidney, heart, brain, hands, legs, feet, .. .. . . waghera waghera" sab ki limit aur service mukhtalif hai, har hissa "apnay apnay dairay main harkat kar raha hai" is jism k mukhtalif hisson ko integrate kia jaey tau sochnay samajhnay aur karnay wala insan banta hai...
is misal ko samnay rakhain tau nizam e willaeyet aur us tarzeamal par chalnay walay musalman "jism ka dil" ki hesiat rakhtay hain, aur fiqqa aur deen ka ilm hasil karnay wala allama hazrat, hakumat ma shamil afrad, knowledge and research ma magan afrad, mazdoor pesha afrad, mukhtalif feilds k afrad apko aik hi jisam k mukhtalif hisson ki manind kam kartay nazar ain gy. dil jo hai woh dimagh par hakumat rakhta hai, aur dmagh pooray jisam k androoni aur beruni hissay par hakumat rakhta hai, aur dil ki hifazat ka intzam bhi karta hai
aap ki tehreer se lagta hai jaisay tamam musalmano ko willaeyet hi ikhtyar karni chiaey warna unka islam mukammal nahi......... mera jawab yeh hai k tamam musalman agar islam k ahkamat par chalain aur Allah se mohabbat karain tau woh jis kaam ko bhi pasand karain yeh unkay liay kafi hai....... jesay hands, legs, feet, kidneys, yeh sab kam tau mukhtalif kartay hain, lekin apnay jisam k "dil" se sab ka mazboot rishta qaim hai...... isi tarhan Allah nay har insan ko aik hikmat k tehet khas kisam ki zahanat aur fitrat de kar peda kia hai, musalmano k islami tarzeamal ka nucleaus tau aulia karam hi hain, qk Allah ki mohabbat aur insan ki asal fitrat pehchannay walay wohi hain, lekin aap har musalman ko wilaeyet k rastay par chalnay k liay majboor nahi kar saktay, wali aur us k tarzeamal par chalnay wala khud us rastay par chalay ga, lekin musalmano k is group ko support karnay k liay doctors engineers, soldiers waghera ki apni apni importance hai aur "har shakhs se uski zehniat k level par hisab lia jaey ga"
oper wali post sirf aik statement ki wazahat hai, nizam e nabuat aur nizam e willayet par koi behas nahi ki gai
ma umeed karta hun k ab mazeed ikhtilafi amoor par behas nahi ki jaey gi....... sirf apna moakkaf sada aur mukhtasir andaz ma pesh kia jaey ga, k aehle sunnat aur aehle tashee k aqaid ma kia buniadi farq hai
aap ka meri urdu k barey main tareef krney pr buhat shukriya (halan k meri urdu itni b achi nhi hey)...laiken asal bat yeh hey k main intni lambi baat krny k bawjood apney nuqta nazar ki theek sy wazahat nhi kr ska..meri murad hr giz har giz insan ki mu'ashrti ya mu'aashi masroofiyat k barey main behas krna nhi hey...aik insan hasool-e-mu'aash k silsly main jo mrzi kry ..main ny sirf insan ki hilqat ka maqsad biyaan krney ki koshish ki hey....meri murad har giz yeh nhi k insan ko islam samjny k liye walayet ka rasta hi ikhtiyaar krna chahiye jaisa k aap ny meri post ko prr kr nateeja ahaz kiya hey...bulky main ny jin tootey photey alfaz main nizam-e-walayet ki tashree krny ki koshish ki hey wo aap samjey hi nhi
meri baat hadayet lainey waloon k barey main nhi hey bulky hadayet dainey waloon k barey main hey ..
laiken aap iss behas ko insan k aam mufadat ki nazar sy daikh rehey hain..Hum jis mu'aashry main rehtey hain ya phir youn keheye k hum duniya k kisi b mu'aashre main rehtey hoo hum apni zindgi guzarney k liye kuch asool matay'yan kr letey hain wo asool islam k waza karda ikhlaqiyaat pr b mubni hoo saktey hain aur islam sy hut kr b hoo saktey hain...jub hum kisi islami mulik ki baat krtey hain to uss mua'aashrey main zindgi guzarney waley loogoo k liye yaqeeni taoor pr sab amoor main nhi to kuch amoor main hi sehi ikhlakiyaat ko islam sy hi ahz kiya geya hoo ga ..aur ghair islami mulik main ikhlakiyat to hoongi laiken ghair islami aur khud sahta qisam ki ...misaal k toor pr bartaniya main ikhlakiyat pr mabni jo b letrature ya qanoon hain wo hain to ikhlaki qdroon k mutabiq hi laiken unhain kisi islami kutab sy ahaz nhi kiya geya halan'k islam to hud ihlakiyaat ka dars dainey wala mazhab hey ...... issi trah jub hum pakistan main daikhtey hain to humain yahan pr buht si chaizain aysi milti hain jo k islam sy mutsadam to nhi hain laiken unhain mazhab islam sy ahz b nhi kiya geya
misaal k toor pr hum apney piyaroon ki qabroon pr jaker moom batiyaan (candels) roshan krtey hain aik trf to ye mu'amla islam sy mutsadim nhi hey to doosri trf islam ny iss ki taleem b nhi di ....aur iss sy mna b nhi frmaya
bus issi patren ko agr hum zahan main rakhain to humain yeh duniya ki peeri faqeeri aur auliya ka hoona aur mazarat ka hoona aur kisi darga ka hoona ..nazar ata hey aur bus hum iss ko b apni zindgi guzarney ka aik petern tassawer kertey hain ....halan k iss trah zindgi guzarny ka tareeqa islam ny waza nhi kiya laiken bazahar islam main iss ki koi mukhalfit b nazar nhi ati..bus yeh hamara mu'ashrti style hey aik trah sy...lehaza main iss petern ki baat nhi krta yeh apni jaga aik aham msla hey to hooga ..magr mairi muraad islam k nazool sy lekar islam k nifaz tak aur nifaz sy ley kr aik islami mu'ashery k asal wajood ki bahali tak khuda ny jis nizam k teht ye sub kuch kiya uss ko nizam-e-nabbuwat aur nizam-e-walayet ya nizam-e-imamat keha jata hey....
taham aik bat ki tashreeh main yahan zaroori samjta hoon k main jis Nizam-e-walayet ka zikar kr raha hoon iss nizam k wali ko wali ya imam keha jata hey ..jaisey Nizam-e-Nabbuwat ki hamil hasti ko Nabi keha jata hey bilkul issi trah Nizam-e-walayet ki hamil hasti ko imam keha jata hey ...youn samj lijeye k nizam-e- walayet ka doosra nam nizam-e-imamat hey aur yeh ayn khudaiee nizam hey jis ka hum sub ko tabey honey ka hukam diya geya hey aur yahi asal islam hey .aur agar hum iss pettren pr chltey hoye islam ko samjain aur islam ko hud pr nafiz krain to goye hum ny khuda ta'ala k asal maqsad jo k hilqat-e-isani k barey main hey ko paa liya....aur yhi shia aqyed ki haqiqat hey
aik aur wazahat
jis trah sy Nizam-e-Nabbuwat main hum iss baat k qayel hain k Nabi ko koi hum jaisa insan Nabi nhi banata bulky Nabi khuda ta'ala ki trf sy hum pr hujat kiye gaye hain aur khuda ta'ala ki hi trf sy Nabi , Nabi ban kr atey hain...jaisey Hazrat Essa (a.s) ki madar-e-grami Hazrat maryam (s.a) pr jub yahoodiyoon ki tarf sy unn ki pak damini pr shuba kiya geya aur buhtan lagaya geya k yeh bacha (hazrat Essa a.s) kahan sy paida hoo geya q k tum(maryam) to abi ghair shadi shuda hoo.... to Hazrat Essa (a.s) ny apni maa ki pak damini pr uthney waley aitrazat ka az khud dafa farmatey howey hukam-e-khuda sy apni zuban sy frmaya k "main (Essa ..a.s) khuda ka bnda hoon aur khuda ki trf sy tum pr hujat (Nabi) ban kr aya hoon aur main apney sath aik kitab (anjeel) laya hoon aur meri maa tahira(pak saaf) hey.... jub'k uss waqt Hazrat Essa (a.s) ki umar sirf 3 din thi....yahan yeh baat wazey hoo jati hey k Nabi ko hum jaisey aam insan Nabi nhi bnatey bulky Nabi khuda ki taraf sy ban kr ata hey..Nabi tab b Nabi hota hey jub wo shikm-e-madar yani maa k pait main hoo...aur nabi tab b nabi hoota hey jub iss duniya main tashreef laye..lehaza 124000 ambiya main sy kisi b nabi ko kisi b insan ny kisi elaection ya selection k zariye nabi nhi banaya..aur iss baat pr be-hasiyat-e-musliman sab masalik aur firqaoon ka eeman hoona chahiye...q k yeh khuda ta'ala k waza krda aik nizam yani nizam-e-nabbuwat ki haqeeqt hey jis pr ahl-e-tasheyoo ka eemaan hey
be'ayn-e-hi hum jub khuda k waza krda doosrey nizam yani Nizam-e-wilayet ya nizam-e-imamat ki baat krtey hain to humara iss babt b yahi eeman hy k Nizam-e-Walayet ya imamat k wali ya imam ko hum jaisy kisi insan ny nhi bnaya aur na hi khuda ta'ala ny hum jaisy kisi insan ki marzi sy bananya hey..bulky ye hadi b hum pr khuda ta'ala ki trf sy aisey hi hujat hain jaisey k nizam-e-nabbuwat ki hamil hastiyaan yani Nabi hum pr hujat hain......yani imam khalistan khuda ta'ala ki marzi sy hain...q k nizam-e-nabbuwat wa nizam-e-imamat kisi taoor b aik doosrey sy juda nhi hain
baqi aap ny shia aqayed ki sada lafzoon main wazahat krny ki baat ki hey to uss ziman main sirf itna hi arz-e-hidmat hey k shia qom wo qom hey jo khuda ta'ala k banaye howey nizam ki usi andaz sy pairvi krti hey jaisa k khud khuda ta'ala ny chaha..aur chahta hey...iss baat ki daleel main.. main uper kafi lambi chorri post kr chuka hoon
doosri baat yeh hey k hum shia loogoon pr jo sab sy ziyada aitraaz hootey hain wo sirf aur sirf muharram k ayaam main karbala k hawaley sy jo hamari muhabbat hey aur uss muhabbat k nateejy main hamrey jo jazbaat k izhaar ka andaz hey bus ussi k barey main hain
darasal aitrazat k barey main yeh hey k shia mukhalif ulma ny jis qadar zahreela prapogandda shia mukhalifit main kr diya hey uss k nateejy main karbla ka asal mafhoom hi khoo kr reh geya hey...halank iss ziman main shia ulma ny aur shia cumunity ny kafi had tak madal'al jawabat b diye hain ...magr phir b ye moozoo abi tak tishna hi hey
karbla k barey main aur especiely ihtejaj braye gham-e-husain (a.s) k barey main jub b baat ki jati hey to hum sub apni apni zindgiyoon main honey waley waqiyaat aur mushahidaat ki roshni main baat krtey hain aur humari hud ki zindgi guzarney k patren ko madd-e-nazr rakh kr karbla k waqiya ka tajziya ya iss pr tabsra kiya jata hey...iss liye ye azeem waqiya humain aik satehi qisam ki jung ya aik aam si qurbani ki dastan k roop main nazar any lagta hey...aur yaheen sy shia cumunity pr aitraazaat ki barish shuroo hoo jati hey...
ye aitrazat kuch iss qisam k hootey hain...... gham ya soog sirf 3 din ka hoota hey hur saal q manaya jata hey...ya shia loog seenoo pr peet peet kr aur aunsoo baha baha kr kis islam pr amal paira hain...ya shia loog imam (a.s) ki shahadat pr rony ki bajaye hatam waghaira dila kr imam (a.s) ko isaal-e-swab q nhi krty waghaira waghaira
laiken haqeeqt iss sy muhtilif hey aur haqeeqt ki teh tak jany ki koi koshish nhi krta ya teh tak jana hi nhi chahita.
hamari muashrti zindgi main gham mana'ny k barey main kuch iss trah ki iqsaam raiyj hain..............................
yani gham uss cheez ka kiya jata hey jo... kho jaye , mar jaye , chala jaye , choorr jaye , na miley waghara waghaira..
laiken karbala k mu'amley main ye iqsaam directely ya dleel k taoor pr paish nhi ki jaskteen ...jub hum in iqsaam ko ya inn jaisi kuch aur iqsaam ko karbla k waqiyaa sy mix up kr daitey hain to waheen sy asal garr barr shuroo hoo jati hey...aur hamari naqis aqloon main shia muhalif points ubrney lagtey hain ...
gham ki aik qisam yeh hey k kisi shahs ya insan pr koi direct gham nazil hoo jaisy uss ka koi piyara mar jaye.wghaira
aur gham ki dosri qisam yeh hey k kisi k gham ko gham samj kr uss sy ulfat aur muhabbat ka izhaar krtey hoowey soog ki halat apnaie jaye aur agar gham ka talq kisi mazloom ki mazloomiyat sy hoo to uss mazloom k liye awaz-e-haq buland ki jaye aur uss pr zulam krny waley k hilaaf ihtejaj kiya jeye ..iss treeqey sy mazloom k sath hooney waley zulm ko dil sy mehssoos kiya jaskta hey...aur doosrii trf zalim ki tash'heer b hoo sakti hey..aur zalim ki tash'heer krna jaiez hey....iss liye main aam raij alafz gham-e-husain (a.s) ki bajaye ihtejaj braye gham-e-husain (a.s) ka lafz istemaal kr reha hoon ta k main apni baat ki wazahat theek sy kr skoon
ihtejaj braye gham-e-husain ka asal mefhoom samjney k liye humay iss waqiya k asbab aur asl haqayq ko jan'na hoo ga..
main yeh baat pehly b arz kr chuka hoon laiken dobara arz krta hoon k ....jub ablees ny hazrat adam (a.s) ko sajda na kiya aur numayinda-e-khuda k muqabiley main ageya to shaitaan thehra.... aur yahin sy haq-o-batil ki do quwattoon ny janam liya aur haq-o-batal ki aik jang shuroo hoogaye aur iss jang ka aghaz humain Qabeel aur Habeel k waqiya sy milta hey...laiken ajj tak iss haq-o-batal k takrrao ka ihtatam nhi milta aur ta qiyamat nhi miley ga...khair... har ze-sha'aoor insan janta hey k haq ko man'ny ka matlab hi yeh hey k haq k muqably main aney waley batal ko batal hi mana jaye...ajj b koi ze sha'aoor insan agr habeel ko haq manta hey to sath qabeel ko zalim aur batal b manta hey..issi trah jab koi shahas hazrat moosa (a.s) ko haq namta hey to phir ussy hazrat k muqabiley main aney waley fir'aoon ko batal hi man'na hooga..agr fir'aoon ko hazrat k muqabiley main batal na mana jaye to iss ka matlab yeh hey k uss shahas ny hazrat moosa(a.s) ko b haq nhi mana...issi trah hazrat ibraheem (a.s) aur unn k muqabily main aney wali shaitani quwat namrood k barey main hey
chunachey aik traf rehmani quwatoon ki pakeeza sulab sy aur pakeeza siffaat sy amad hooti rehi aur yeh pakeeza sulab / siffat hazrat Adam (a.s) k aik mazloom laiken naik sift baitey habeel sy thi...doosri trf nijas siffat aur nijs sulab sy shaitani quwtain janam laiti rehi jo k Hazrat adam (a.s) k doosrey baitey qabeel ki zalimana siffat ki hamal thi (yahan aik baat ki wahat zroori hey k nasl-e-adam hazrat adam (a.s) k aik aur baitey jis ka naam tareekh main "sheest" likha hey sy chli thi ...laiken baat naik aur bad siffat ki hoo rehi hy jo "qabeel" aur "habeel" sy hy)
chunachey naik siffat k hamil insan bashmool Nabi imam naik sulab sy... aur bad kardar aur zalim aur khuda sy takraney waly insan fir'oon , namrood , shehdaad , samri , hata k abu sufiyaan aur phir yazeed shaitani quwat k roop main nijas sulab sy paida hootey rehey...
khuda apny nimayndy baijta reha aur sath hi shaitani qoowatain b muqably main ati rehin..aur hur wo insani aqal jis ki tarbiyat nizam-e-nabbuwat k zriye khuda ta'ala kr rha tha haq ko haq aur batal ko batal manti rehi ....yeh silsla chaltey chaltey jub hazrat muhammad (s.a.a.w) tak puhancha to uss waqt shaitani quwat k roop main musharkeen-e-arab "abu lahab" "abu jahal"aur inn ka supream leader "abu sufiyaan" tha ... yahan aaker aql-e-insani q dhookha kha jati hey jub haq ko haq mana hey to us k muqabley main batal ko batal man'na hi hooga aur ye qanoon-e-qudrat hey..matlab yeh hey k aap agar Rasool pak (s.a.a.w) ko haq mantey hain to phir abusufiaan ko batal man'na hi hoo ga...aur iss maloon ki nasl ko b batal hi man'na hooga q k ye khud aur iss ki nasal haq sy takraiee hey...issi trah aap agar hazrat ali ko haq mantey hain to unn k muqabley main jo ,jo b aya hey ussy batal man'na hi hoo ga...chahey wo koi b hoo chahey uss ka kitna hi jao hasham q na hoo
shaitani quwat k toor pr nasl-e-abu sufiyaan agey brrti rehi aur remani quwat k toor pr zuriyat-e-abu talib wa abdul mutlib agey brrti rehi ....jub nasal-e-abusufyaan yani yazeed maloon k hathoon 124000 nabiyoon ki mehnat yani islam ko masakh kiya jany laga to rehmani quwat k mazhar khoon-e-Muhammad Mustifa (s.a.a.w) aur khoon-e-Abu talib wa Abdul Mutlib ko josh aya aur islam ko lutney sy bachaney k liye aur islam ko apni asal halat main bahal krney k liye imam (a.s)ny karbla ka rukh kiya..apna bra ghar lutaya laiken islam ko lutney sy bachaya
bus alahi nizam k tabey rehtey hoowey shia qoom issi haq ko duniya k samney apney seeny pr peet kr sabit krney ki koshish krti hey aur tamam insanoo aur khaas toor pr musilmanoo ko uss qanoon-e-qudrat ki tarf mutwajja krtey hain jo khuda ta'ala ny nizam-e-nabbuwat aur nizam-e-imamat k zriye sab insanoo aur khaas toor pr muslimano ko haqeeqi manoo main tarbiyat k liye waza kiya hey yani haq ko haq aur haq k muqabley main aney waley ko batal keho (meri baat ka matlab satehi na liya jaye q k zahiri toor pr to sab ahl-e-islam yazeed ko batal hi samjtey hain..bulky iss bat ko haqiqi ma'anoo main liya jaye )
shia sect Hazrat imam husain (a.s) ki sirf sh'hadat pr hi nhi rootey halanky pney aap main ye b aik maghmoom baat hey..bulky shia loogoon ka roona iss baat pr b hey k aik tarf to sab apney aap ko muslimaan kehtey hain aur hud ko islam ka brra hamdarad samjtey hain to doosri trf islam ko bachaney wali hasti jin ki waja sy hum aaj azadana muslim kehlwatey hain k gham pr ihtejaj krney ko bid'at aur na janey kia kia kehtey hoo...yaad rakhain k mazloom pr hooney waley zulam pr zalim k hilaaf awaz buland na krna b apney aap main zalim ki hamayet he hey..
pus shia qoom nazool-e-islam sy ley kr islam ki tashreeh tak aur tshreeh sy ly kr nifaz-e-islam (nifaz-e-islam sy murad hud pr islam ka nifaz krna hey yani musliman ban'na hey..kisi mulik main hakuumti satha pr islam ka nifaaz iss behas ka maqsood nhi hey ..halan'k islam ka hukoomti sateha pr nifaaz b issi nizam-e-walayet ka aik maqsad hey ..aur ye baat nizam-e-walayet sy alag nhi hey) k silsley tak khuda ta'ala k waza krada nizamoon yani nizam-e-nabbuwat aur nizam-e-imamat / walayet ki tabey hey...aur khuda k waza krda nizaamoon k tabey rehtey howey islam pr gamzan hey aur issi nateejey main app ko hamari namaz , kalma , zabeeha, aur fiqqah apney sy muhtalif nazar aati hey....
kisi dost ya kisi member ki agar meri post k akhri hissa sy dil azari hoi hoo to mazrt..laiken haq haq hey aur batal batal.
ji diplomat apka buhut shukria k ap nay itna waqt nikala aur itni achi tehreer ma sab kuch bian kar dia.....
ap nay dalail k sath aehlee tashee ka mokkaf bian farma dia, ab ma aik post apni taraf se karna bhi zaruri samajhta hun jis say aehle sunnat k aqaid ka aehle tashee k aqaid se farq wazih ho jaey..,
itefaq se kal 9 jan ko mujhay out of station jana hai, INSHALLAH wapas atay hi ma waqt nikal kar apni post type karoon ga
ma kafi din bad apni post kar raha hun, jiski aik wja mera intehai masroof ho jana tha…… abhi bhi ma ziada tafseel se jwab isliay bhi nahi de sakta qk meray pas waqt ki bht kami hai…… lekin diplomat nay bht waqt nikal kar bht achay andaz ma is thread ma posts kin, jis ki wja se ma unka bht shukar guzar hun…
aap ki baat aik lehaz se darust hai aur aik lehaz se bilkul ghalat…… gar aap haqiqi dunia par nazar dorain, tau aap ko “sulab” k lehaz se bht asani se nazar a jaey ga k rehmani quwat o shetani quwat ka sulab se koi taluk nahi… missal k tor par… Hazrat Ibrahim AS ka baap aazer mushrik….. Hazrat Yaqoob AS ka beta yahooda…(sab bhaiyon ne Hazrat Yousaf AS k liay sazish tyar ki)…… beshumar misalain di ja sakti hain….yahan tak keh ham indopak k musalamno k sadion puranay abaaa o ajdad, hindu kafir o mushrik reh chukay hain…. Jab islam arab se nikal kar mashriq o maghrib ma phela, tau tamam mushrik o esai logon nay islam qabol kia.. agar mehaz sulab k lehaz se chhanti kar di jaey, tau phir tau kafiron ko deen e haq ki dawat dena bhi ghalat hai, qk agar sulab k lehaz se aik shakhs najis hai tau wo aur uski aulad hamesha najis hi rahay gi.
Sulab k lehaz se Abu sufian ko najis qarar dena chhatay hain tau abu sufian umaiyya ki aulad h, aur umaiyya aur hashim dono abad manaf ki aulad hain….. yehi hashim k betay Hazrat Abdul Mutlib hain,,,,,, Nabi e Akram SA k dada, abu talib k baap …… aur abdul mutlib hi “Hamza RA, Abbas RA k baap hain tau abu lahab jesay maloon k bhi baap hain”…… isi haqiqat ko samnay rakhain tau abu sufian bhi usi sulab se hain jis sulab se Nabi e karim SA hain, yani “abad manaf” k sulab se……yehi abu sufian RA hain, jinkay ghar ko Hazoor SA nay fatah makah k waqt aman ka maqam qarar dia tha….. tamam tar dushmani k bawajood Allah nay unhay islam qabol karnay ki taufeeq ata farmayi…… lekin hazrat abu talib ko sari umar Nabi e karim SA ki madad karnay k bawajood bhi islam qabol karnay ki taufeeq hasil na ho saki…… har wo shakhs jissay nabi e karim SA k zamanay main islam qabool karnay ka sharf hasil hua uskay intehai buland darjaat se koi bhi musalman inkar karnay ki himmat nahi kar sakta…… aur yehi wo NUQTA hai jahan se aehle tashee aur aehlee sunnat ki behas ma garma garmi shuru hoti hai aur nihayyat ishteyal angezi ka bais banta hai…
“shaitani quwat k toor pr nasl-e-abu sufiyaan agey brrti rehi”
aap agar abu sufian ki sulab ko gali de rahay hain tau aap yeh zaror sochain k yehi sulab thora ooper ja kar Nabi e Karim SAW k sulab se bhi mil jata hai…….. bass ma is se agay behas nahi karna chhata…. Agar ma is baat ka jawab doon tau yeh behas nihayyat taweel surat ikhtyar kar le gi………. Yazeed k aemal ka zimedar ap uskay sulab ko qarar mat dain..
asal ma aap jin hawala jaat se apna moakkaf bian kar rahay hian wo tamam shia kitabon k hain.. aap un hawala jaat ko hargiz tasleem nahi karain gay jo aeelesunnat ki kitabon se akhaz kiay gaey hain.. isi tarhan aap jo kuch apni kitabon k hawalay se bian kar rahay hain wo ma isliay tasleem karnay ko tayyar nahi qk aehlay sunnat ki kitabon ma kuch aur hai…….. na aehle tashi aehlay sunnat ki kitabon ko darust tasleem kartay hian na hi aehlay sunnat aehle tashee ki kitabon main.. aur dono masalik ki kitabon main tareekh bilkul mukhtalif bian ki gayi hai…. … bht saray pehlu zer e behas atay hian….. yahan tak k “Abdullah ibne saba” munafiq aur uska fitna jo aehle sunnat ki kitabon main nihayat tafseel se bian kia gya hai, aehle tashee Abdullah ibne saba ko aik farzi kirdar aur mun gharat kahani k tor par pesh kartay hain …….. jab abdullah ibne saba k fitnay par ghore kia jata hai, tau bilkul wesi hi surat samnay ati hai jesi Abdullah bin ubayi munafiq nay Nabi e karim SA k zamanay main islam ko nuqsan pohanchaya……… aur yeh Abdullah ibne saba wohi shakhs hai jiskay sathion ko Hazrat Ali RA nay aag ma jalwaya tha……. Yeh bht lambi tafseel shuru ho jati hai jis say smajh ati hai k “jang e juml” o “jang a safeen” kis pasemanzer ma wuku pazeer huwin… aur asal main “shahadat e Usman RA” hi shahadat e hussain ki pehli kari thi…….
Main janta hun aap meri yeh baat kisi surat tasleem nahi karain gy…..lehaza is se agay ham behas na hi karain tau behtar hai……. Allah khud apnay deen ka muhafiz hai…… ussay apnay deen ki hifazat main kisi kafir ya munafiq ka koi khof nahi hai……. Aur deen e haq deen e islam wo kamzor shama nahi jiski roshini yeh shetani quwatain apnay mun ki phonkon se bujha dain……
Aap ki bht si baton ka ma jawab dena chahta hun, lekin ma unka jawab nahi de raha… meri niyat kisi aehle tashee member ki dil azari karnay ki nahi……. Lekin aik baat zaroor kahun ga phir se….. aur wohi baat.. k aehle tashee ki kitabon ma, aur aehle sunnat ki kitabon main tareekh bilkul hi mukhtalif andaz ma bian hui hai….
Umeed hai aap bhi meri kisi baat ka bura nahi manain gy…… kuch baatain aesi hain jinhay bian karna ma apni aukat k hisab se “chota mun bari baat” samajhta hun……lehaza ma apni baat ka yahin par ikhtatam kar dena chahta hun…
Mein ne yahan pe kisi ki poori posts nahi parhein sirf cheda cheeda nukaat parhey hen aur zahir hai yahan imamat aur khilafat par behes ho rahi hai , diplomate ne bohot achey tareeqey se "Aqli" dalaiel se Imamat ko sabit kia lekin mein ne behtar samja k tareekhi dalaiel b de diye jaein ....
"RASOOL SAWW K JANASHEEN 12 HEIN"
Sahih bukhari Jild 3 , Kitaab ul Ahkaam , Baab 1186 , Hadees 2086 , safha 774
"Jabar bin samra ka bayan hai k mein ne Nabi kareem SAWW ko farmatey suna k Ameer Bara Hoon ge , Iss k baad Aap SAWW ne aik lafz farmaya jo mein na sun saka , mere walid e majid ne bataya k aap ne farmaya k sab Quraish se hoon ge"
Kitni wazahat k sath hadees hai k AMEER bara hoon ge , Agar iss hadees se Khulafa raashdeen murad liye jaein tou inn ki taadad 4 se aagey nahi barhti aur agar inn khulafa k umvi khulafa ko b shamil kar lia jaye tou inn k aakhri khaleefa Marvaan ibne Muhammad par khulafa ki tadaad17 banti hai...Agar sirf Umvi khulafa ko hee tasleem kar lia jaye tou bhi inn ki tadaad 13 banti hai.....Iss liye ye tou tasleem karna parey ga k tareekh e Islam mein 12 sirf wahi 12 hein , unn k ilawa koi Ameer nahi hai .....
Meri Info se guzarish hai muje ye explain kar k bata dein k Rasool Pak SAWW ki iss hadees k mutabiq wo 12 Ameer konse hein , jesa k mein bata chuka hoon k khulafa e rashdeen , unn k umvi khulafa , Banu umayya aur Banu Abbas mein b koi aisi series nahi hai jo k puri ki puri 12 banti ho ...Ye 12 wahi 12 Hein jin mein pehle Hazrat Ali AS aur aakhri Hazrat Mehdi AS hein ...
Info aap ne sahi farmaya k Abu sufyan k ajdaad aur Rasool Kareem SAWW k ajdaad aik thay magar hath ki panchon ungliyan barabar kabi nahi hotein , Nabi Kareem ka relative hone k ye matlab hargiz nahi hai k wo Islam k sath thay jis tarha Hazrat Nooh As k betey ne Hazrat Nooh ki mukhalifat ki thi issi tarha inn logon ne islam aur Aap SAWW ki mukhalifat ki ...
Mein InshAllah apni awwaleen fursat mein tareekhi havala jaat bayan karun ga Muavya ibne Abu sufyan ka Kirdar Islam mein ....
Stalker ap nay cheeda cheeda post parhi hai, agar poori parhi hoti tau aap samajh letay k is post ma shia sunni k ikhtilafi amoor discuss nahi kar rahay…… is thread ma shia sunni k aqaid ka buniadi farq mukhtasir mukhtasir bian kar rahay hain…
Is thread ka naam jis nay bhi rakha hai ghalat rakha hai, warna ma nay is thread ka naam kuch aur rakha tha….. is thread ka asal naam hona chahiaey tha “aehle sunnat aur aehle tashee k aqaid ma buniadi farq”
Agar aap nay ikhtilafi amoor par behas karni hai tau aap aik naya thread start karain…. Diplomat ne apnay ilfaz ma shia aqaid ko chand dalail k sath bian kia hai, isi tarhan ma nay aehle sunnat ka bian kia hai, is bian ma thora bht ikhtilaf jo hua wo bhi sirf apnay moakkaf ko bian karnay k silsilay ma hua…. ..
ap jis andaz ma aik ikhtilafi behas ko shuru kar rahay hain wo is thread ma kabhi khatam nahi ho sakti….. nateeja yeh ho ga k aap kay 100 ghantay typing ma aur meray 100 ghantay typing ma istemal hongay, aur yeh thread dusray threads k neechay dab kar gum ho jaey ga.
Abu sufian k baray main ma nay jo kuch likha, behtar hai k aap diplomat ki post parhain phir dubara meri post parhain….. ma nay asal ma sirf diplomat ki us statement ka jawab dia hai jo unhun nay farmaya tha “habil aur kabil ki missal ki tarhan nasal e insane ki aik gunahgar sulab hai aur aik naikokar sulab… unhun nay is daleel se abu sufian aur aal e abu sufian ko najis qarar dia aur aal e abi talib ko pak”…… .. ma nay sirf yeh statement di hai k har insane apnay aemal ka khud zimedar hai, kisi insan k aemal ma uska sulab zimedar nahi hai, warna sulab k lehaz se har insan barabar hai……… yahan tak k kisi intehai naik peghambar ki aulad kafir ho sakti hai (bani Israel) aur kisi intehai kafir ki aulad peghambar (Hazrat Ibrahim AS)
Stalker said “Sahih bukhari Jild 3 , Kitaab ul Ahkaam , Baab 1186 , Hadees 2086 , safha 774 "Jabar bin samra ka bayan hai k mein ne Nabi kareem SAWW ko farmatey suna k Ameer Bara Hoon ge , Iss k baad Aap SAWW ne aik lafz farmaya jo mein na sun saka , mere walid e majid ne bataya k aap ne farmaya k sab Quraish se hoon ge"
Stalker ap nay aik baat pooch hi li hai tau uska jawab bhi dena ma zaruri samajh raha hun. Stalker sahib sab se pehlay yeh btain k kia aap nay sahi bukhari parhi hai? Yeh aap nay kahin se suna sunaya reference utha lia hai aur dekhay beghair hi yahan paste kar dia… Aap sahi bukhari ko kholain, aur apna reference jakar dekhain… ya pta nahi konsi sahi bukhari ap nay dekh li hai jis k volume 3 ma 774 pages hain…… volume 3 ma total pages 650 hain.
Lekin ap ki hadees bilkul darust hai… lekin iska sahi reference yeh hai Sahi bukhari volume 9, kitab ul ahkam, baab 157, hadees 1, page 266 "Jabar bin samra ka bayan hai k mein ne Nabi kareem SAWW ko farmatey suna k Ameer 12 Hoon ge , Iss k baad Aap SAWW ne aik kalma farmaya jo mein na sun saka , mere walid e majid ne bataya k aap SAW ne farmaya k sab Quraish se hoon ge"
Stalker sahib mera sawal ap sy yeh hai k aap jab sahi bukhari ko nahi mantay tau iska reference q de rahay hain?
Aur agar ap issay mantay hain tau is context ma “kitaab ul ahkam” ma 60 ahadees bian hui hain…. Aap baki ki 59 ahadees ko q nazar an daz kar rahay hain?
Pehlay aap yeh baab ki tamam ahadees parhain phir matlab nikalain… Jesay keh aap nay jo hadees bian ki hai, isi hadees k neechay yehi hadees dusri riwayat main bian hui hai…… jo in ilfaz ma hai … “yeh deen barabar izzat se rahay ga 12 khalifon k zamanay tak” Abu daood ma yehi hadees in ilfaz ma bian hui hai “yeh deen barabar qaim rahay ga, yahan tak keh tum par 12 khalifa hongay aur sab par ummat ittefaq karay gi”..
Sahi bukhari ma jo hadees ap nay bian farmai hai, usi page number 266 k pichlay page 265 par dekhain tau apko yeh hadees milay gi .. “Muhammad bin jubair k walid ne bian kia aik aurat Hazoor SA k pas ayi aur aik amar ma kuch arz kia. Aap SAW ne farmaya bad ma ana.. us nay kaha ya rasoolAllah SAW agar ma phir aon aur aap SAW ko na paon, Aap SAW nay farmaya mujh ko na pao tau abu bakr RA k pas ana..”
Is se peechay jain page 194 tau apko hadees milay gi “musalmano ka khalifa e azam qureshi hona chahiey”………….(aap SAW nay yeh q na farmaya “hashimi” hona chahiey?) Isi se peechay k baab ma bhi dekh lain tau aap ko wo hadees mil jaey gi “jab Hazoor SAW nay wifat se kuch arsa pehlay bimari ma imamat ki takat mehsoos na farmai tau abu bakr RA se farmaya k wo nmaz ki imamat karain.” Ma baki ahadees bian nahi karna chhata post bht lamba ho jaey ga
Stalker sahib ab ma ap se sawal karta hun k aap nay apnay matlab ki aik hadees samnay la kar baki ahadees ko q nazarandaaz kia? Kia aap yeh sabit karna chah rahay hain k 10 crore aehle sunnat scholars bewakoof aur jahil hain jinhay is hadees ki samajh nahi hai jo aap nay bian farma di?
Phir ap mujhay bhi ijazat dain k ma aap ki shia books k reference se ap k aqaid ghalat sabit karon? Lekin ma aesa nahi karon ga qk shia kitabon k hawala jaat mujh se behtar shia scholars samajhtay hain…
Jab ap sahi bukhari ko nahi mantay, tau us ma say chand apnay matlab ki ahadees samnay la kar sirf aehlay sunnat se behas k liay hathiar k tor par q istemal kartay hian?
Aur yeh is hadees ma kon 12 log murad hain yeh bhi sun li jiay. Uuper tamam ahadees jo ma nay quote ki hain, wo sab is tashreeh ma hain k wo 12 khalifa kon murad hain. Is hades ki Arabic ma word “ameer” istemal hua hai…Agar aap Arabic language jantay hain tau apko maloom hoga k “ameer” Arabic ma us shakhs ko kehtay hain jis ka hukam mana jaey… yani hukamran.
Agar apko tareekhe islam ka ilm hai tau aap sequence wise khulfa e islam k naam sunain.
(.1 - 4..) Hazrat Abu bkr RA – Hazrat Ali RA (..5) Hazrat Imam Hassan RA (..6) Hazrat Muawia RA (..7) Yazeed bin Muawia (..8) Muawia bin Yaziid (..9) Hazrat Abdullah bin Zubair RA (..10) Marwan bin Hukam (..11) abdul Mulk bin Marvan (..12) Waleed bin Abdul Mulk (..13) Suleman bin abdul Mulk (..14) Hazrat Umer bin Abdul Aziz ……………………. (..15,16,17) (sahi khilafat qaim hi na kar sakay) (..18 onwards) banu abbas
In sab ma Muawia bin yazeed ne sirf 1 mahina khilafat ki aur dastbardari ka ailan kar dia, isi tarhan Marvan bin hukam ki khilafat asal ma qaim hi na ho saki aur 6 mahinay medan e jang ma Hazrat Abdullah bin zubair RA se kashmakash ma reh kar wifat ho gai, lehaza in 2 ko khalifa qarar hi nahi dia ja sakta, in 2 ko nikal dia jaey tau baki wohi 12 khulafa bachtay hain jin par uuper ki ahadees ki tamam khususiat poori utarti hain.
Ab aap un ahadees k ilfaz par ghore karain, “ameer 12 hongay” “sab qureshi hongay” “deen izzat se qaim rahay ga” “tamam ummat ittefaq karay gi” Uuper k tamam 12 khulfah par ummat nay akhir kaar ittefaq zarur kia, aur ummat akhir kaar un par ikathi hui… (yazeed ka mamla, aur Hazrat Muawia RA wala mamla aik alag behas hai, lekin akhir kaar in dono ki khilafat qaim zarur hui jis par tamam muslim ummat ikathi thi)… yeh tamam log “qureshi” thay…. In tamam k zamanay tak deen poori tarhan izzat se qaim raha….Hazrat umer bin abdul aziz k bad ummat kabhi ikathi na ho saki, hazrat umer bin abdul aziz ki wifat k sath hi ummat abbasion ma aur banu umaiyya ma batna shuru ho gai, aur akhir kaar hakumat 2 hakumaton ma bat gayi, aik undalas ma umwi khulfa ki aur dusri abbasion ki… usi k bad musalmanon ka melan duniawi khahishat aur aesh o ishrat ki janib hona shuru hua aur musalmano ki hukumat ma jagir dari poori tarhan chha gai.
Agar is hadees ma 12 imam murad hain tau Hazoor SA nay “lafz qureshi “ q istemal kia? Lafz “hashimi” q na istemal kia? ….. jo 11 imam aehle tashee pesh kartay hain un ma sirf Hazrat Ali RA ki aur Hazrat Imam Hassan RA ki khilafat qaim ho saki, unhay “ameer il momineen” pukara gya, un k bad tau kisi ki hakumat qaim na ho saki jis par ummat ne ittefaq kia ho?.... lekin “qureshi” qabila ma Hazrat Abu Bakr RA, Hazrat Usman RA, Hazrat Abdullah bin Zubair RA, aur Banu Umaiyya bhi shamil hain.
WALLAH O ALAM……ASAL HAQIQAT ALLAH KO MALOOM HAI, WO QAYAMAT K DIN FASILA KAR DE GA.
Upper wali post ma 12 khulfa ma se agar yazid ko nikal dia jaey tau yeh bhi kul 11 khulfa bantay hain….. yazid nay kul 4 saal khilafat ki, lekin makkah o medina k musalmano nay uski beyat nahi ki, is lehaz se yeh bhi kaha ja sakta hai k yazid ki khilafat mutafiqqa tor par qaim na ho saki… … .. agar baki k 11 khulfa ko khalifa e haq tasleem kia jaey tau is se yeh baat samnay ati hai k shaid abhi aik aur azeem ushan musalman khalifa bhi zahir ho ga jis k hath par tamam ummat e muslima aik bar phir ikathi hogi aur islam ko wohi arooj hasil ho ga….. imam mehdi hon ya Hazrat Esa AS………WALLAH O ALAM.
Hazrat Ali RA aur Hazrat Muawia RA ka bhi jo ikhtilaf hua hai, us par shia kitaabain Hazrat Muawia RA ko har lehaz se zalim jabir aur ghasib sabit karti hain, aur jo jo hawalay diay jatay hain unki koi sanad aehle sunnat ki kitabon ma mojud nahi hai, yani sab yak tarfa asnad hain.
Jab keh aehle sunnat k hawala jaat k mutabik Hazrat Muawia RA nay bhi Hazrat Ali RA ko khalifa barhaq qabol kia tha, lekin sirf yeh shart lgai thi k meri beyat se pehlay Hazrat Usman RA ka qisas un logon se lia jaey jinhun nay unhay shaheed kia, aur Hazrat Ali RA nay jab apnay lashkar ko hukam dia k qatileen e usman alag ho jain tau 10 hazar lashkarion nay khud ko qatil e usman keh kar kharooj kia aur Hazrat Ali RA k baqi lashkar par hamla kar dia…… yeh tamam munafiqeen ki phelai hui sazishain then jinhun nay kisi surat bhi Hazrat Ali RA aur Hazrat Muawia RA ma itefaq na honay dia.
Yeh wo tareekh hai jis se aehle tashee kabhi bhi agree nahi karain gy, is k jawab ma jo tareekh aehle tashee pesh kartay hian us say aehle sunnat kabhi bhi agree nahi kartay, .. jiska fasla qayamat k din Allah ki zaat hi karay gi k kaun darust tha kaun ghalat.
i m very very sory k main aap ki last post jo mery reply k baad tha ko buht dair baad parrh raha hoon ....main asal main aik zehni karb main mubtela hoon iss liye shaid abi bi app ki "sulab" k barey main paish krda wazahat pr koi commint na kr sakoon iss liye main abi tak app ki... ki gayee buhat achi mehnat pr apni tarf sy iss waqt apny zehni karb ki waja say koi izhar-e-hiyaal krney ki position main nhi hoon
main insha'allah buhat jald "sulab" ki wazahat aik naye andaz sy paish kroon ga ...
tab tak main aap sy mazrat khuwa hoon..q k aap ny buhat achi mehnt ki hey laiken main achanak kisi aur jaga masroof ho janey k saba'ab abi tak app ki mehnat pr koi comments krney ki position main nhi hoon
aap k zehni karb ka sun kar dukh hua... Allah apki takleef dur farmaey amin..
jinab sorry ya mazirat ki koi baat hi nahi hai, yeh aik open forum hai kisi ko bhi post ka reply karna zaruri nahi hai, jesay ap ka dil chahay jab chahain reply karain , ya beshak koi reply na karain ... :)
aap apni zehni uljhan ko hal karain tasalli aur sakoon k sath
aur meri routine khud be inteha masroof ho chuki hai, main ainda shaid apko noor clinic forum par nazar bhi na aon .. :) ya shaid bht kam nazar aon...
aap ka buhat buhat shukriya aap ny meri majboori ko samja ....aap q is forum pr nhi ayein gy yeh b bata dejeye please...
behar haal main abi tak apni majboori ki haalat main hi hoon laiken main ny munasib samja k apney tooty phootey alfaz main lafz "sulab" ki tshree kr doon...
yeh meri post ka wo iqtebaas hey jis pr aap ny apney zreen khyalaat ka izhaar kiya hey....
chunachey naik siffat k hamil insan bashmool Nabi imam naik sulab sy... aur bad kardar aur zalim aur khuda sy takraney waly insan fir'oon , namrood , shehdaad , samri , hata k abu sufiyaan aur phir yazeed shaitani quwat k roop main nijas sulab sy paida hootey rehey...
aur aap ki post sy aik iqtebaas jis pr main comment krna chahita hoon
aap agar abu sufian ki sulab ko gali de rahay hain tau aap yeh zaror sochain k yehi sulab thora ooper ja kar Nabi e Karim SAW k sulab se bhi mil jata hai…….. bass ma is se agay behas nahi karna chhata…. Agar ma is baat ka jawab doon tau yeh behas nihayyat taweel surat ikhtyar kar le gi………. Yazeed k aemal ka zimedar ap uskay sulab ko qarar mat dain..
darasal baat kuch iss trah hey k hum jub kisi baat ki wazahat krney ki koshish krtey hain to yaqeeni toor pr hum kisi na kisi duniyawi misal ka sahara letey hain ...ta k apni baat ko asan sy asan kr k paish kr sakain....laiken baz'oqaat uss nateejey main hoota yeh hey k asal baat jis ko samjana maqsood hoota hey wo waheen ki waheen reh jati hey aur di gaye misal pr aik behas ka saman bandh jata hey..aur yahan b aysa hi howa
farz krain zaid puri plat kha geya zaid pura galaas pee geya waghaira...ab iss baat sy ye matlab nhi liya jata k zaid plastic ki plate kha geya ya zaid palastic ka galaas pee geya bulky iss zarf ka naam ley kar mazroof ki wazahat ki jati hey yani zaid ny puri plate khai matlab uss ny plate main jo tha wo sarey ka sara kha liya...
matlab zarf ka naam ly kr mazroof ki wazhat ki jati hey... ghoor mazroof pr krwana maqsood hoota hey zarf pr nhi... bilkul issi trah jub aap lafz "sulab"ki wazahat krtey hain to yehi asool zehan main rakhain k aap aik zarf ka naam ley kar uss main mojood mazroof ki wazahat krna chah rehey hain ...aur iss zarf yani "sulab" main mazroof k toor pr jo cheez hai wo shaitani quwatoon sy labraiz wo siffat hain jo direct shaitan sy muntiqal hooti hain aur wo naik siffat b hain jo k rehmani quwat k toor pr nazool hooti hain...... jis trah aik zarf plate main halal gosht b rakha jaskta hey aur haraam gosht b bilkul issi trah sulab main naik aur bad siffat ka hoona koi achanbey ki baat nhi hey
agar to sulab ko zahiri mano main liya jaye yani jis zriya sy aik insan ki paidaish hoti hey jisy aam lafzon main "rahm" kehtey hain to phir yeh to daikhain k khud shaitaan kis nijas "sulab" ki paidaiyesh hey wo to pehly naiku kaar frishta aur bulky sardar frishta tha wo shaitaan ban'ny sy pehly ablees tha ussy to kisi nijas sulab sy paida nhi kiya geya tha bulkey wo khud apni harkat yani "tark-e-aula" k nateeja main shaitaan bna tha ...
be-ayen hi jub hum issi baat ko zra mazeed wasee canvis pr daikhtey hain to baat samj aney lag jati hey k lafz "sulab" sirf aik baat ki wazahat k liye istemaal kiya jata hey jub k iss k peechey asal mefhoom unn shaitani quwatoon ko define krna hoota hey jo aik insan / frishta main tark-e-aula k nateeja main zahir hooti hain...
jub baat ko samait'tey howey hum "abu sufyaan" ya nasl-e-sufiyaan tak puhnctey hain to yhi baat samney ati hay k ye wohi bad naseeb loog hain jinhoon ny tark-e-aula kr k apney sulab ki wazahat kr di...
doosri baat yeh hey k aap ny keha k main shia history ki base pr apney nuqta nazar ki wazahat kar raha hoon ...to iss ziman main yeh arz hey k main ny kisi tareekhi kutab ka hawala nhi diya jis sy aap ya koi dosra member iss behas ko shia sect ki likhi howi histroy kutab k tanazur main daikhey ....bulkey main ny to ayn mantqi aur phalsfi andaaz sy apni baat ko paish krney ki koshish ki hey...q k shia sect ka yeh mo'aqqif aur man'na hey k khuda tala ki tarf sy jis jis husti aur jis jis insan ko jis jis siffat sy muzayan paida kiya geya hey bilkul ussi trah sy hi unn ko mana jaye (yeh baat aam insano k barey main nhi bulky hadi aur hadi k muqabley main aney waloon k barey main hey)....agr tareekhi hawala jaat sy baat ki jaye to hum sub muslimaano ko munh chupaney k liye kaheen jaga nhi miley gi q k maloon sulmaan rushdi ny Nabi pak (s.a.a.w) ki shan main jo gustakhi ki hey wo uss ny apny paas sy nhi ki bulkey inhi islamic history ki kutab sy akhaz ki hey aur yeh tezheek amaize ihtera'h kisi shia sect ki histroy sy nhi li gayee bulky aam raiyj islamic history ki kutab sy li gayee hain jo k aaj b hamarey madrasoon main shan-e-risalat k moozo sy barry fahar sy parrahi jati hain
baqi info bhai main such main aap k andaz-e-biyaan aur islamic history pr aboor rakhney pr mutasir howa hoon...allah aap k qalam main zoor aur haq likhney ki quwat ata krey ameen
iss banda-e-haqeer ko b apni du'aaoon main yaad rakheye ga...thanks
ma is forum par kuch medical sawalaat karnay aur apna aik masla discus karnay aaya tha, lekin forum k yeh sections bhi mujhay achay lagay tau aik mukhtasir wakt k liay ilmi behas ma hissa lena mujhay pasand aaya
ma forum ko chor nahi raha, meri intehai masroofiat ki wja se ab extra time nahi bach rha.
jo ilfaz ap nay meray liay kahay, wohi ma ap k liay dohrana chahta hun k mujhay aap se baat kar k bht acha laga, mera kabhi kisi aehle tashee se baat karnay ka aesa experience nahi hua jesa aap k sath hua.. yeh jab bhi aehle tashee ya aehlee sunnat ma behas shuru ho tau dono masalik k log yeh q sochnay lagtay hain k hamaray aqaid tabdeel karnay ki sazish ki ja rahi hai?.. is haqiqat ko q nahi tasleem kia jata k har jamat jo baat khud behtar samajhti hai ussay apnay dalail k sath sabit karnay ki koshish karti hai, aur apni baat ko pesh karna, daleel bian karna har kisi ka haq hai.... us k agay baat ko qabool karna ya qabool na karnay ka ikhtyar hai.... sirf fasad karnay se mana kia gaya hai..yahan tak k ghair muslimon se bhi mazhabi behas kar k unhay qail karnay ka hukam hai, lekin agar woh fasad kiay beghair apnay mazhab par qaim rehna chahain tau unhay ijazat hai, agar woh fasad karain tab unkay khilaf jang ka hukam hai...... tau musalman apnay firqon ma kam az kam yeh baat q nahi apply kartay, yahan tau koi bhi 2 firqay apas ma beth jain, tau daleel tau dur ki baat sab se pehlay fasad shuru hota hai.
aap ko mera andaz ya islamic knowledge acha laga us k liay shukria, magar aesa hargiz nahi hai k ma tareekh e islam par aboor rakhta hun ya jo kuch bhi, aesi koi baat nahi hai, baat sirf itni si hai, k parhnay aur tehqeeq karnay ka tarika ana chahiay, meri feild tau science hai, aur ajkal bhi ma teaching and research k peshay se munsalik hun, lekin mujhay lagta hai k Allah nay yeh dunia aur aur iski har chiz insano ko naseehat karnay k liay peda farmai hai, har chiz kisi na kisi andaz ma insano ko kuch sikhati hui nazar ati hai, aur thora ghore karnay ki baat hai, har chiz "deen e islam" ka dars deti nazar ati hai..
sulab k baray ma aap ne apni last post ma jo kuch bhi tehreer kia, wakai yeh apki sari baat darust hai, zarf ka naam ly kr mazroof ki wazhat ki jai tau wakai yeh zaban dani ka wasf hai, magar shart wohi k us se murad baat k asal matlab ma zor dena ho, na keh ilfaz ki banawat aur her pher se baat ka matlab tabdeel kar k kisi aur matlab k kinaray par pohancha dia jaey, k bawakte zaroorat asal baat ka matlab bhi nikala ja sakay, aur hasab e mansha apna matlab bhi bian kar dia jaey. mera kehnay ka matlab yeh, k yeh hamaray intehai aham tareekhi waqiat, ham inhay bian kartay huway ehtiat ka daman bilkul hath se chor detay hain, aur aik nuqta mehram se mujrim bana dalta hai, jiski wja se tamam tar fasad samnay atay hain, mazi ma jis nay bhi tareekh ko bian kia hai, apnay andaz ma apni pasandeedah hasti ko is tarhan se bian kia k uski khamian bhi uski khooobian ban gain, aur apni napasand hasti ko is tarhan bian kia k uski khoobian khamian ban gain, ab hazaroon saal bad ham logon tak jo baatain pohanch rahi hian, ham asal baat ki tehqeeq kar hi nahi saktay, qk tarekhi tor par aik shakhs ko hero sabit kia jaey, tau dusri taraf k log usi shakhs ko tareekhi tor par zalim jabir sabit kar detay hain, isi tarhan is k ulat bhi hai....
magar yeh baat bhi apni jgah bilkul darust hai k wakai musalmano nay hi aesay aesay kaam bhi kiay hain k khud ham musalmano k sar sharam se jhuk jatay hain aesay ma apki baat bilkul sadiq ati hai jo aap nay farmaii .. "agr tareekhi hawala jaat sy baat ki jaye to hum sub muslimaano ko munh chupaney k liye kaheen jaga nhi miley gi q k maloon sulmaan rushdi ny Nabi pak (s.a.a.w) ki shan main jo gustakhi ki hey wo uss ny apny paas sy nhi ki bulkey inhi islamic history ki kutab sy akhaz ki hey "... yeh tau mazi qareeb ka wakia hai, is jesay hazaron wakiat mazi baeed ma utha kar dekh lain...... sab kuch chor kar.... sirf qarbala ka wakia kia aesa hai k musalmano ko mun chupanay ki jgah mil sakay? aik qom nay apnay peghambar ki nishani k sath kia salook kia...... lekin is azeem ushaan hadsay ko sirf qurani ayat hi wazahat kar sakti hain, jab quran kehta hai k Allah ki mushiyat k beghair aik patta nahi hil sakta, aik insan hil nahi sakta, Allah apni mushiyat par har kaam kar guzarta hai aur ussay koi roknay wala nahi... jab quran yeh bian karta hai k Hazrat Yousaf AS k bhiayon nay un k sath chal chali aur Allah nay unki chal kamiab na honay di aur unhay Hazrat Yousaf AS hi k samnay sajda raiz kar dia.... aur jab Allah apni ayet ma yeh bian kar deta hai k ...telka ummata qad khalat, lahum aemalahum walakum aemalakum....."yeh woh ummat hai jo guzer chuki, unkay liay woh aemal jo unhun nay kiay aur tumharay liay woh aemal jo tum nay kiay" (ghaliban sureh al an'aam ya sureh maaida)... ....
isi tarhan aap tamam tareekhi hawalajat utha kar dekh lain, k Hazoor SAW ko bhi zeher de kar shaheed kia gaya tha...... wohi wakia jab yahoodan aurat nay Hazoor SAW ko aur unkay aik sahabi ko khana khilaya tha, Sahabi RA foran wifaat pa gaey, magar Hazoor SAW par zeher ne foran asar nahi kia, 3 saal k bad ja kar us nay asar dikhaya aur wifaat se qabal aap SAW nay Hazrat Ayesha RA se farmaya tha k yeh wohi yahoodan ka zeher hai jis nay ab asar dikhaya (reference sahi bukhari).............. kehnay ka matlab yeh, k Allah apni hikmatain khud hi janay.... insan k liay siwaey aajizi k aur koi rasta nahi......
baharhaal, mera sawal yeh hai keh hamain andaz e bian ma takallufat ki kia zaroorat hai? ham log seedhi sadi baat ko aam ilfaz ma pesh q nahi kartay k aik mazdoor bhi us baat ko samajh sakay?
jab ham science and technology ki baat kartay hain, tau hamesha aesi cheez ijad kartay hain k aik aam darjay ka shakhs bhi us say istefada kar sakay, jesay keh aap dekhtay hongay mazdoor pesha log jo apna naam nahi likh saktay woh mobile fone bhi istemal kar letay hain, isliay k mobile fone ka ilm rakhnay walay log yeh mantay hain k unka ilm us wakt karamad hai jab woh apna ilm aik intehai low standard admi ko samjha aur pohancha sakain... lekin jab baat aati hai mazhab ki, tau mazhabi ilm rakhnay walay ulma, baat ko aesay mushkil andaz ma pesh kartay hain, alfaz ki aesi her pher kartay hain k aik acha khasa parha likha admi bhi samajh nahi pata, darmian ma hi atka rehta hai k molana sahab kehna kia chha rahay hian, ya aksar baat ko aesay andaz ma pesh kia jata hai k mamoli soch rakhnay wala admi bhatak jata hai, aur asal haqiqat ko samajhnay ki bjaey molana sahab ki baat man leta hai k woh theek keh rahay hain, magar kamal sirf ilfaz ka hota hai..... isi buniad par hmaray mazi k jhagray waku pazeer huway hain, aur yehi sab kuch aaj bhi ho raha hai jissay firqa wariat keh lain ya jo marzi naam de dain.
mera thora ittefaz shia kitabon ma islami tareekh parhnay ka hua hai, lekin aehle sunnat ki islami tareekh bhi kafi parhi hai, aur dono ma buniadi farq mujhay ilfaz ka hi nazar aata hai...... aksar jo wakia aehle sunnat ki kitabon ma likha hai, wohi shia kutab ma bhi mojood hai, lekin ilfaz ki tabdeeli se dono k zahiri matlab ma aesa numayan farq hai k dono itraf k log talwar le kar larnay marnay ko uth kharay hon.....is surat e hal ma aam admi ko kia karna chaiey? kis baat ko haqiqat tasleem kia jaey?. har insan baat ka zahiri pehlu ikhtyar karta hai yeh haqiqat sab ko samajhni chahaey.. sirf hazar ma se aik admi zaban dani janta hai aur ilfaz se dhoka nahi khata..... aap mazi k halat dekh lain, k fasad kesay dalwaey gayay, ilfaz ki her pher se..... aaj bhi yehi ho raha hai, ab tau quran ki ayat aur ahadees k ilfaz ma her pher tak baat pohanch chuki hai...... aesay ma meray aur ap k jesay aam darjay k log kia karain gay? .....JHAGRAY.....
(umeed hai aap is tehreer ko zati pehlu se nahi samjhain gy)
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.