Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Poetry: Na Neend Rehi Na Chain Raha

Urdu   >>   Urdu Poetry
 
 
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:17th Mar 2009, 11:54pm
 

uetian bhai

aap yahan jo bhi copy paste karte hain woh waqai hi appriciatable hota hae warna to maine poetry paRhani kab se choR di thi. abb phir read karne lagi hoon .waise aap k aur hamzi k jane k baad bhim ji sahib ne kafi achi poetry copy paste ki hae:)
Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4723  Age:  31  
Posted on:18th Mar 2009, 9:24am
 

main kya hon?

taiz bahrish hoi to mera diwaan mit giya.

aak esi aandhi ayi mera makaam mit giya

fursat na thi logo ko mujhe dhoondne ki

esi tarha Duniya se mera naam Mit giya.

 

Written Veer

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:18th Mar 2009, 3:01pm
 

muhabat khuch bhi nahi.....

ilfaaz kai jhootay bandhan main
aghraaz kai gheray pardon main
her shaks muhabat kerta hai
haalankai muhabat khuch bhi nahi
sab johtay rishtay naatay hain
sab dil rahknay ki batain hain
kab kon kisi ka hota hai
sab asli roop chupatay hain
ehsaas sai khali log yahan
ilfaz kai teer chalatay hain
ik baar nazer main aa kai wo
phir sari umer rulatay hain
yeh ishq_o_muhabat
mehr_o_wafa
sab rasmi rasmi batain hain
her shaks khudi ki masti main
bas apni khatir jeeta hai.

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:18th Mar 2009, 3:04pm
 

@Maryam

ohoooo my pleasure k main aik poetry lover ko wapis poetry ki terf laya..heheh.....wesy i personally beleive k poetry udas log perhty hain!
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:18th Mar 2009, 3:12pm
 

Hijar k Mousam main ye barish ka barasna kaisa?

Hijar k Mousam main ye barish ka barasna kaisa?
Ik sehra se sumandar ka guzarna kaisa?
Ayee mere dil na pareshan ho tanha ho kar,
Wo tere saath chala kab tha-Bicharna kaisa?
Log kehte hain gulshan ki tabahi dekho,
Main
to veeran sa jungle tha-Ujarna kaisa?
Dekhne main to koi dard nahi,
Phir ye ankho main youn ashkon ka ubharna kaisa?
Bewafa kehne ki jurrat b na karna,
Us nay iqraar kiya kab tha - Mukarna kaisa?

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:18th Mar 2009, 3:19pm
 

zameen p chal na saka or aasman se b gaya

zameen p chal na saka or aasman se b gaya
kata k par tu parinda uraan se b gaya
bhula dia tu vhulane ki inteha kardi
ab wo shakhs mere weham-o-guman se b gaya
kisi k hath se nikla hua teer hon main
jo hadaf ko chuu na saka kamaan se b gaya
tabah kar gaye mujhey pakke makan ki khuwaish
mai apne gaon k kache makaan sey b gaya
parai aag mai kooda tu kia mila mujhko
usay bheja na saka or apni jan se b gaya....!

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:18th Mar 2009, 3:34pm
 

KhwaB Sath RahnAy K Nit Naey Dikhata Hay

KhwaB Sath RahnAy K Nit Naey Dikhata Hay
Ye Jo Asal Musam Hay Ye Guzerta Jata Hay
KhuD Ko Sabz Hi Rakha AansOon Ki BariSh May
Werna Hijr Ka Musam Kis Ko Raas Aata Hay
Tu Hawaon Ka Musam Tujh Ko Kiya Khaber Jaana!
Gard-e-Badgumani Say Dil Bhi Tout Jata Hay
Aik Tum Hi Thy Werna Aadmi MuhaBbAt May
Lakh Aain Dewarain Rastay Banata HaY
Hum Tou KhaiR NaaDaa’n Thy Muntazir Rahy WernA
Koun Apni Benaee Is Terha Ganwata Hay
KitnAy KhwaB AankhOn May Zakhm Bun’nay Lagtay Hain
Jub Hawa K Hoontoon Per Tera Naam Aata Hay
SainkrOon Dunkanain Hain Wasl K CharagOon Ki
Koun Hijr May Apna Ab Laho Jalata HaY

khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1432  Age:  26  
Posted on:18th Mar 2009, 3:40pm
 

uetian

nice,,,,,,,,,,,,,,,,

Ap ki poetry bohat achi hai,,,,,,,,,,,

keep it up

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:18th Mar 2009, 3:42pm
 

@khyali

thanks alot bro :)
khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1432  Age:  26  
Posted on:18th Mar 2009, 3:47pm
 

Poetry

Bewafaye main yuhi ek irada karliya

Apny dil ki shoq ko had say jiyada kar liya

Janty thy donoun ham us ko niba sakty nahi

Us ny wada karliya main ny wada kar liya

Gair sy nafrat jo pali  karch khod per ho gaye

Gitny ham thy ham ny khod ko us sy ada kar liya,,,,,,,

 

 

 

khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1432  Age:  26  
Posted on:19th Mar 2009, 3:45pm
 

Poetry

Tumy jab miley fursatain mairy dil sy boj utar do

May bohat dinoun sy udas houn mujy koi sham udar do

kisi or ko mairy hal sy na gharj hai na koi wasta

May bikhar giya houn samait lo main bighar giya houn mujy sawar do

Miari waishatoun ko bara diya hai judayoun k azab nay

Mairy dil p haat rakho  zara meri dharkanoun ko qarar do



 

khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1432  Age:  26  
Posted on:19th Mar 2009, 4:19pm
 

Poetry

Huwe hai sham tu ankhoun main bas giya phir tu

Kaha giya hai mairy shaher k musafer tu

Meri misal k ek tuqul khushq sehra hai

Tera khayal k shaq chaman ka tayer tu

Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4723  Age:  31  
Posted on:19th Mar 2009, 11:46pm
 

phool

phool toor ke le jaye woh mujrum hai

jabke phoolo ki takdeer hai bikharte rehna.

Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4723  Age:  31  
Posted on:19th Mar 2009, 11:57pm
 

Mohabbat karke dekho to

Mohabbat karke dekho to

Mohabbat kya nahi karti

Mohabbat khud bhi hoti hai

Mohabbat khud hojaati hai

Mohabbat khud banati hai

Mohabbat khud bhi banti hai

Mohabbat khud bhi andhi hai

Mohabbat andha karti hai

Mohabbat jhuk bhi sakti hai

Mohabbat jhuka bhi deti hai

Mohabbat khud bhi nafrat hai

Mohabbat Pyaar bhi karti hai

Mohabbat Pyaar hai Dil ka

Mohabbat esaar bhi karti hai

Mohabbat kaam hai dukh ka

Mohabbat naam hai sukh hai

Mohabbat naam hai is ka

Mohabbat is hi ko kehte hain

Mohabbat karke dekho to

Mohabbat kya nahi karti

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:20th Mar 2009, 1:51am
 

Iss Baar Kuch Aisa Main Chahti Hoon

Iss baar kuch aisa mein chahti hoon
Tum ko apna banaana chahti hoon

Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahti hoon

Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahti hoon

Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahti hoon

Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahti hoon

Ho jaao tum mere aur main tumhari
Harr pal bas yehi ehsaas chahti hoon

Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahti hoon

Karti hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahti hoon

Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahti hoon
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:20th Mar 2009, 1:59am
 

Main duniya bhool jati hon

Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jati hoon,
Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jati hon,

Tumhain milne se pehle main bohut sajti sanwarti hon,
Magar jub tum sanwarte ho main khud ko bhool jati hon,

Main aksar kitabon pe tera hi naam likhti hon,
Magar kuch tum jo likhte ho main khud ko bhool jati hon,

Main aksar yehi kehti hon, main tum say pyar karti hon,
Magar jub tum yeh kehte ho main duniya bhool jati hon
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:20th Mar 2009, 2:03am
 

Kuch log bohut yaad aate hain

Jub yad ka album kholon to,
Kuch log bohut yad ate hain,

Main guzre dinon ka sochon to,
Kuch log bohut yaad ate hain,

Ab jane kis nagri main,
Soay pare hain muddat se,
Main raat gaye tuk jaogon to,
Kuch log bohut yaad aate hain

Kuch batein theen pholon jesi,
Kuch khushbo jese lehje thy,

Mein sheher-e-chaman mein tehlon to,
Kuch log bohut yaad aate hain

Wo pal bhar ki narazgiyan,
Aur maan bhi jana pal bhar main,
Ab khud se jub bhi rothon to,
Kuch log bohut yaad aate hain
khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1432  Age:  26  
Posted on:20th Mar 2009, 3:47pm
 

Teri yad

Bundoun main jab ankh barasny lagti hai

Barish muj sy batain karny lagti hai

Main pani ko hal sunaya karta houn

Teri yad sy dul dul jaye karta houn

Tum sapny ho jo ankh k ghar main rehty ho

Main neend houn jo ankh sy rutha rehta houn

Main qatra qatra jan jalaya karta houn

Teri yad sy dul jaye karta houn

 

uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:24th Mar 2009, 3:44pm
 

kahyaal hoa barg-o-baar ka mausum.

kahyaal hoa barg-o-baar ka mausum.
bichar gaya teri soorat bahar ka mausum.
kaiee rutoon say meray neem wa dareechon main.
thehar gaya hay teray intezaer ka mausum.
woh narm lehjay main kuch tu kahay,k laut aao.
sama'atoon ki zami'n par phooar ka mausum.
payam aaya hay phir ek saroo-qaamat ka.
meray wajood ko kheenchay hay daar ka mausum.
woh aag hay k meri poor poor jalti hay.
meray badan ko mila hay chanar ka mausum.
hawa chali tu naiee barishain bhi saath aaieen.
zamee'n k chehray pai aaya nikhaar ka mausum.
woh mera naam liye jaeey aur main uska naam.
lahoo main goonj raha hay pukaar ka mausum.
qadam rakhay meri khushboo k ghar ko laut aaeey.
koi bataeey mujhay koo-aye-yaar ka mausum.
woh rooz aa k mujhay apna piyar pehnaaey.
mera ghuroor hay belay k haar ka mausum.
teray tareq-muhabbat pai baarha soocha.
yeh jabr tha k teray ikhtiyar ka mausum.
uetian31 Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  33  
Posted on:24th Mar 2009, 4:06pm
 

December Ab Bhi Tera Muntazir Ha...!!!!!

Woh Lamhay....
Sooch Ki Dehleez Pr Thehray Huay Hain
December k Maheenay Me
Hazaroon Saal Pehlay Jab
Teray Waadon K Honton Ne
Meri Aankhon Se Behti Zindagi K Haath Choomay Thay
Meri Bay-Rung Baaton K Kinary
Tum Ne Khawabon K Sahary Aur Ashkon K sitaray Rakh Diyee Thay
Aur...
Hawa ko Apni Chahat Ki Hifazat Ka Ishara Kr Diya Tha
Hawa Ki Khunkiyon Me Ab Bhi Teri Narm Baatain
Aahaton Ka Jaal Bunti Han
SamaaT Ab Bhi Teray Qehqahon Ka Shoor Sunti Ha
Khayal Ab Tak Tumhari Ungliyon Se
Meray Dil K Surkh Aansoo Poonchta Hy
Nigahain Barf K Phailay Chamaktay Canvas Pr Ja Bajaa
Teri Rafaqat Ki Zarorat Paint Kerti Hain
Thithertay Paaniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop
Tera Hijer Rooti Ha
Kahan Hoti Ha Tu
Muhabbat Ki Sulagti Rah-Guzaroon K Kinaron Pr

December Ab Bhi Tera Muntazir Ha...!!!!!

For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7 8 9  >>
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How to get college scholarship in usa  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us